Mulk Bhar Mian 60 Lakh Gair Registered Mobile Phone Sims Block Kardi Gaien

Islamabad: Pakistan telecom authority (PTA) ki hidayat per mulk bhar main 60 lakh se zaid gair registered mobile sims ko block kar diya gaya,

Report ke mutabiq Pakistan telecom authority ki hidayat per mobile phone operators ki janib se 60 lakh se zaid mobile sims block kardi gayi hain,

band ki jane wali tamaam mobile phone sims nadra ke wazeh karda nizaam se pehlay jaari ki gaien thin jabke PTA ki janib se mobile operators ko hidayat ki gai hai ke gair qanooni sims block karne ke amal ko mazeed tezz kiya jaye,

Wazeh rahay ke iss waqt pakistan main tamaam mobile operators ki janib se jaari karda 13 karoor se zaid sims istamaal ki jarahi hain taa’hum gair registered sims ke istamaal se milk main juraim aur dehshat gardi ki wardatoon main izafa ho raha hai..

Karachi Main Mukamal Aman Ki bahali Tak oppration Jaari Rahega

Karachi: Wazir-e-Azam nawaz sharif kehte hain karachi main mukamal aman ki bahali tak oppration jari rahega tarriqi ke liye inteha pasandi aur dehshat gardi khatam karna hogi,

Awaan-e-sanat-o-tijarat ki export trophy award ki taqreeb se khitaab karte huwe wazir-e-azam nawaz sharif ne kaha ke milk ki tarriqi ke liye dehshat gardi aur inteha pasandi ka khaatma karna hoga,

Unhoon ne kaha ke karachi pakistan ka dil hai yahan juraim ke khaatme tak oppration jaari rahega jis per haal taaliyoon se gonj utha aur unhoon ne kaha k khushi ki bat ye hai ke bad-amni ke khilaaf MQM aur sindh ki deegar syasi jamaiten aur tajir ek hain wazir-e-azam nawaz sharif ka kehna tha ke tajiroon ke masail ko tarjeehi bunyadoon per hal karenge,
Ab khushkhabriyaan milna shuru ho gai hain aglay 8 se 10 baras main system main 1000 megawatt bijli shamil karne ka mansoobay lagaye jayenge,
wazir-e-azam ne kaha ke cheen ne thar main koylay se chalne walay 600 megawatt ke 10 power plant lagane ka faisla kar liya hai jabke 1100 megawatt ke 3 sool new clear power plant bhi lagaye jayengay
Iss moqay per wazir-e-azam ne karachi chamber ke mukhtalif bar-amad kandgaan ko business main awards aur gold medal bhi diye..

Quetta Main Zordar Dhamake Se 10 Afraad Jaan Bahaq 37 Zakhmi Ho Gaye

Quetta ek bar phir zordar dhamake se gonj utha shiddat pasandon ne iss bar nishana banaya quetta ke sceince collage chowk ko,

Dhamake se Aas-pas ki buildings ke sheesahy toot gaye aur 1 bus 2 raksha 4 gariyon aur 4 motor bikes ko bhi nuqsaan poncha,

police ke mutabiq bomb dhamake main 8 se 10 kg baroodi mawad istamal kiya gaya jisey ek motor bike main nasab kiya gya tha,

dhamakay ke baad imdaadi teams ne moqay per ponch kar zakhmiyon ko hospital muntaqil kar diya Dhamakay ke bad security forces ne elaqay ko gherey main leliya Jabke BDS ne elaqay ki scanning start kardi,

Nepra Ne Awaam Per Mehngai bumb Giratay Huay Bijli 2 Rupy 24 pesey fee Unit Mehngi Kardi,

Islamabad: Nepra ne distribution companies ki application per bijli ki qeemat main 2 Rupy 24 pesey fee Unit ezafay ki manzoori dedi,

Distribution Companies ki janib se nepra ko bijli ki qeematon main ezafay ki application ki thi jis per nepra ne january 2014 ke liye fuel adjustment surcharge ki madd main bijli ki qeemat main 2 Rupy 24 pesey fee Unit ezafay ki manzoori dedi,

Bijli ki qeemat main haaliya ezafay ka itlaq karachi electric supply corporation ( KESC ) ke ilawa mulk ki tamaam distribution companies per hoga jo sarfeen se next bill main wasool kiya jayega..

MQM Aur People’s party ke Muzakrat Eham Mor Per Agaye,

Karachi: Intehayi ba-aitmaad zaraye ke mutabiq MQM ke jald sindh government main shamooliyat ke hawalay se muamlaat hatmi marahil main dakhil ho chukay hian aur iss silsilay main People’s party aur Mutahidda ke darmiyan pas-parda rabtoon main bhi taezi agayi hai,

Zaraye ke mutabiq dono parties iss baat per agree ho gayi hain ke sindh ki tarraqi awaam ke masail aur deegar umoor ke liye mushtarka koshishain ki jayengi,
Zaraye ka kehna hai ke MQM ki sindh government main mumkina shamooliyat ke hawalay se party workers se raye bhi talab ki ja sakti hai,
Zaraye ka kehna hai ke in rabtoon se sindh main baldiyati nizaam specially moujoda baldiyati idaroon ko tarraqyati funds ke ajraa karachi, hyderabad, aur deegar districts ke baldiyati masail sameet mukhtalif umoor per gour kiya ja rha hai aur People’s party ki janib se MQM ki qayadat ko inform kiya gaya hai ke dono parties ke rehnumaoun main jab ba-zabta mulaqat hogi to karachi oppration ke hawalay se MQM ke tahafuzaat ko marhala war door kiya jayega aur jo ziyadatioun ki complaints hain unka azala kiya jayega,

Zaraye ka kehna hai ke sindh main moujoda siyasi soorat-e-haal per People’s party aur MQM ke pas-parda rabtoon ko buhat eham qaraar diya jayega…

Waqar Younus Ko Bangladesh Ke Bowlers Ko Traning Deney Ke Liye 60 Lakh Rupy Fee Season Milengay,

kolkata: Pakistan ke sabiq azeem fast bowler waqar younus Ko bangaal Ke Bowlers Ko Traning Deney Ke Liye ek Season ke 60 Lakh Rupy Milengay,

Un ke sath 3 saal ka agreement kiya gaya hai jo 15 july se start hoga.
cricket Association of bangaal ne sabiq Sri Lankan spin star murali dharan ki bhi khidmaat same agreement pe ki gayi hai,

India ke sabiq captain sourav ganguly chief batting consultant hongay ibtidai tor per waqar aur murali dharan ko different clubs ke 200 larkon ke sath kaam karna hoga,
ganguly ke iss mansoobay ka maqsad bangaal se talented players ko samne lana hai..

United Arab Emirates Pakistan ko 3000 mega megawatt faraham karega,

Islamabad: Wafaqi wazarat pani bijli aur UAE ke Al-aqeeli group ke darmiyaan pakistan ko 3 hazar megawatt bijli faraham karne ke liye mafahmat ki yad-dasht per signature kiye gaye,

Wafaqi wazir pani bijli khwaja saeed al-aqeeli group of dubai ke chief executive officer muhammad saeed al-aqeeli ne mufahamat ki yad-dasht per signature kiye,
Al-aqeeli group ne pakistan ko iran ke raste bijli farahmi ke liye pakistan ke national gard tak supply line bichane ke azm ka bhi izhaar kiya,
iss moqay per khwaja Asif ne kaha ke mansobay ki takmil se dono mumalik ke darmiyan do tarfa taluqat mazeed mazboot hongay aur government ka load shedding ke khatmay ke liye ye mansooba bari kamyabi hogi..

Sindh police ke liye 100 bullet proof gariyaan khareedne ka faisla,

Karachi: Sindh police ko jadeed weapon se less karne or terrorist ki janib se police ko target banane ki wardaaton main izafay ke bad Sindh police ke liye B-6 level ki bullet proof gariyaan khareedne ka faisla kiya gaya hai,

Tamaam gariyaan beroni mulk se dar-amad ki jayengi.
kharidari aur dar-amad kiye jane tak gariyon per 77 karor rupay akhraajat ka takhmiah lagaya gaya hai,
iss zaman main summary manzoor karli gai aur ainda haftay  Sindh police ko fund bhi muntaqil kar diye jayengay senior police officers ka kehna hai ke bullet proof gariyon ki idaray ko shadeed zaroorat hai,

Asia cup ka final na jeetne per afsoos hai, Misbah Ul haq

Lahore: National cricket team ke captain Misbah ul haq ka kehna hai team ne apni janib se poori koshish ki lekin unhain Asia cup ka final na jeetne per buhat afsoos hai..

Asia cup main shirkat ke bad pakistan wapsi per media se bat karte huey National cricket team ke captain ka kehna tha k Asia cup ke important competition main hamari fielding achi nhi thi aur kafi important mowaqy per catches drop huey.

iska matlub ye nhi k fielders ne koshish nhi ki unhon ne har match main khoob jaan larai,

India or Bangladesh se match jeetne per poori team ne khoob enjoy kiya magar final main kuch catches drop karna bhi khikast ki waja bani jis ka team ko afsoos hai…

Shahid Afridi

Asia Cup: Bangladash ko home ground pe shandar shikast Shahid Afridi Man of the match rahe.

News

Karachi
March 2024
M T W T F S S
« Mar    
 123
45678910
11121314151617
18192021222324
25262728293031