Monthly Archives: March 2016

Duniya Mein Internet Istemaal Karne Walon Ki Tadaad 3 Arab 20 Crore Se Tajawaz Kar Gayi

 New York: Duniya Bhar Mein internet Istemaal Karne Walon Ki Tadaad Mein Guzashta Aik Dahai Ke Douran Teen Guna Izafa Howa Hai Aur Internet User Ki Ttadaad 3 Arab 20 Crore Se Tajawaz Kar Chuki Hai.

World bank ki janib se 2016 ke liye jari world development report mein inkishaaf kiya gaya hai ke Nigeria aur deegar taraqqi pazeer mumalik mein awam ko bijli aur saaf pani muyassar ho na ho lekin un ke paas mobile phone mojood hain.

Report mein mazeed kaha gaya hai ke aik andazay ke mutabiq taraqqi pazeer mumalik ki 70 feesad abadi mobile phone rakhnay par fakhar mehsoos karti hai.

World bank ki report ke mutabiq 2005 se 2015 ke douran internet istemaal karne walon ki tadaad mein teen guna se bhi ziyada izafah howa hai jo 1 arab se barh kar 2015 ke end tak 3 arab 20 crore taq ja pohanchi.

Is ke ilawa internet ke zariye karobari hazraat, awam aur hakoomaten aaj pehlay se ziyada aik dosray se raabtey mein hain.

World T20 Mein Pakistan Ka Fatihana Aaghaz

 Culcutta: Pakistan Ne T20 World Cup Ke Match Mein Bangladesh Ko 55 Runs Se Shikast Dey Kar Asia Cup Ka Badla Le Liya.

Calcutta ke Eden Garden Cricket Stadium mein khailay gaye T20 World Cup ke match mein Green Shirts ne pehlay batting karte hue muqarara 20 overs main 5 Wickets ke nuqsaan par 201 runs banaye jis ke taqub mein Bangladesh 6 wickets par 146 runs hi bana saki.

Bangladesh ko pehlay hi over mein 1 wicket ke khasaray ka saamna karna para jab Mohammad Aamir ne apni 3rd ball per Soumya Sarkar ko Clean Bold kiya jis ke baad Jareh mizaaj Sabbir Rahman bhi 25 runs bananay ke baad Shahid Afridi ki ball par bold hogaye.

Teesray out honay walay Batsman Tamim Iqbal they jo sirf 24 runs hi bana sakay jab ke Mahmudullah 4 runs bana kar pavellion lautay.

Mushfiq Ur Raheem aur Shkib Al Hasan ne 5th wicket ke liye 39 runs ki shiraakat daari qaim ki Mushfiq ur Raheem 18 runs par Mohammad Aamir ka shikaar banay.

Mohammad Mithun ko Mohammad Irfan ne 2 runs par pavellion bheja jab ke Shakib Al Hasan 50 runs par na qabil e shikast rahay.

Pakistan ki janib se Captain Shahid Afridi aur Mohammad Aamir ne 2, 2 jab ke Immad Wasim aur Mohammad Irfan ne 1,1 wicket haasil ki.

Shahid Afridi ko jarehana inning khailnay aur 2 wickts haasil karne par Man Of The Match se nawaza gaya.

Is se qabal Qaumi Team ke Captain Shahid Afridi ny Toss jeet kar batting ka faisla kiya to Opening Batsman Sharjeel Khan aur Ahmed Shahzad ne Team ko umda Aaghaz faraham kiya dono Batsmans ne jarehana andaaz mein inning ka aaghaz kiya to 26 ke majmoi score par Sharjeel Khan 10 balls par 18 runs bana kar Arafat Sunny ki ball par bold hogaye

Jis ke baad Ahmed Shahzad aur Mohammad Hafeez ny 2nd wicket par 95 runs ki shiraakat qaim ki dono Batsmans ne ground ke charon atraaf dilkash stroke khailay aur team ka majmoa 121 tak pouncha to Ahmed Shahzad 39 balls par 52 runs bana kar Sabbir Rahman ki ball par catch out hogaye Unhon ny apni inning mein 8 4s lagaye.

Wickts girnay ke bawajood qaumi batsmans ki jarehana batting jari rahi aur Captain Shahid Afridi aur Mohammad Hafeez ne 3rd wicket par 42 runs ki shiraakat qaim ki aur 17th over mein team ka majmoi score 163 tak pouncha to Mohammad Hafeez 42 balls par 64 runs bana kar out hue jis mein 2 6s aur 7 4s shaamil they jab ke Umar Akmal baghair koi runs banaye Taskeen Ahmed ka shikaar banay.

Captain Shahid Afridi last over mein apni Half Century se sirf aik runs doori par catch out hue unhon ny 4 4s aur 4 6s ki madad se 19 balls par 49 runs banaye.

Shoaib Malik 14 aur immad Wasim baghair koi ball khailay not out rahay.
Bangladesh ki janib se Taskeen Ahmed aur Arafat Sunny ne 2, 2 aur Sabbir Rahman ne 1 wicket haasil ki..

World T20 Cup Ke 1st Match Mein Newzea Land Ne India Ko Shikast Deydi

 Nagpor: T20 World Cup Ke Super 10 Marhalay Ke 1st Competitions Mein Newzea Land Ne India Ko 47 Runs Se Shikast Deydi.

Nagpor mein khailay gaye World Cup Super 10 Marhalay ke 1st match mein Newzea Land ne India ko jeet ke liye 127 runs ka Target diya jis ke jawab mein India ki poori team 79 runs par pavellion lout gayi.

India ki batting start se hi mushkilaat ka shikaar rahi aur 3 overs mein 12 runs par 3 players pavellion lout gaye they.

Shikhar Dhawan 1, Rohat Sharmaa 5 aur Suresh Raina 1 runs bana kar out hue jab ke 26 runs ke majmoi score par Yuvraj Singh bhi 4 runs bana kar out hue.

Virat Kohli ki himmat bhi 23 runs par jawab de gayi jab ke Hardik Pandya 1, Ravindra Jadeja 0, aur Ashwin 10 runs bana kar out hue.

Captain Dhoni Aakhri dam tak wicket par mojood rahay lekin 18th over mein Mitchell Santner ne inhen 30 runs par pavellion bhej diya.

Newzea Land ki janib se Mitchell Santner 4, Ish Sodhi 3, Nathan McCullum 2 aur Adam Milne aik wicket haasil karne mein kamyaab rahay.

Is se qabal Newzea Land ke Captain Kane Williamson ne Toss jeet kar pehlay batting ka faisla kiya aur muqarara 20 overs mein 7 Wickets ke nuqsaan par 126 runs banaye.

Kiwis ki janib se Martin Guptill ne pehli hi ball par Ashwin ko chakka raseed kar kay mega event ka aaghaz kiya lekin doosri hi ball par Ashwin ne inhen out kar kay hisaab chukta kar diya 3rd par batting ke liye anay walay Colin Munro bhi aik chakka maarny ke baad Ashish Nehra ka shikaar banay.

Captain Williamson bhi 8 runs hi bana sakay jab ke Ross Taylor achi form mein nazar arhay they lekin woh 10 runs par raina ke hathon run out hogaye.

Corey Anderson ne bharpoor muzahmat ki lekin un ki himmat bhi 34 runs par jawab dey gayi baad mein anay walay players mein Mitchell Santner 18, Grant Elliott 9 runs bana kar out hue jab ke Luke Ronchi 21 runs par not out rahay.

India ki janib se Ashwin, Nehra, Bumrah, Raina aur Jadeja ne 1,1 wicket haasil ki.

Wazeh rahay ke T20 World Cup ke Super 10 marhalay mein South Africa, Srilanka, West Indies, England aur qualifying team Afghanistan group 1′ jabkay Pakistan , India , Newzea Land, Australia aur Bangladesh group 2′ mein shaamil hain.

Mehakma Mosmiyat Ka Aindah 5 Din Ke Douran Mulk Ke Beshtar Elaqon Mein Barish Ki Paishgoi

 Karachi : Mehakma Mosmiyat Ne Aindah 5 Din Ke Douran Mulk Ke Mukhtalif Hisson Mein Barish Ki Paish Goi Ki Hai Jab Ke Balochistan Mein Mosla Dhaar Barish Ka Silsila Jari Hai .

Mehakma Mosmiyat ne aindah 5 roz ke douran mulk ke mukhtalif hisson mein barish ki paish goi ki hai jab ke aindah 24 ghanton ke douran Balochistan ke aksar maqamat par garaj chamak ke sath aur Sindh mein gird alood hawaon ke sath barish ka imkaan hai.

Mehakma Mosmiyat ka kehna hai ke kal se itwaar ke douran Islamabad, Kashmir , khyber Pakhtunkhwa, Fata aur balai Punjab mein barish ka imkaan hai jab ke hafta aur itwaar ko Peshawar , Kohat, Mardan, Hazara Division, Rawalpindi mein bhi barish mutawaqqa hai.

Mehakma Mosmiyat ne khabardaar kiya hai ke Khyber Pakhtunkhwa, Fata, Balochistan DG Khan , Rawalpindi , Gujranwala , Hazara Division aur Peshawar ke nashebi ilaqay ziraab anay aur nadi naalon mein tughyani ka khatrah hai jab ke aindah 24 ghanton ke douran Balochistan ke aksat maqamaat par garaj chamak ke sath aur Karachi , Hyderabad, Sukkur , Larkana Division mein bhi kahin kahin barish ka imkaan hai..

Asia T20 Pakistan Ne UAE Ko Shikast Dedi

 Dhaka: Asia Cup T20 Ke 4th Match Mein Pakistan Ne UAE Ko 7 Wickets Se Shikast Dedi.

Mirpor ke Sheer Bangla stadium mein khailay gaye Asia T20 Cup ke 4th match mein UAE ne pehlay batting karte hue total 20 overs mein 6 wickets ke nuqsaan par 129 runs banaye jis ke jawab mein Pakistan ne 18.4 over mein 3 wickets ke nuqsaan par target haasil kar liya.

Mohammad Hafeez aur Sherjeel Khan ne ining ka aaghaz kiya lekin UAE ke Captain Amjad Javed ne 3 overs main Sherjeel Khan 4, Khurram Manzoor 0 aur Mohammad Hafeez ko 11 runs par pavellion bhej kar match mein sansani peda kar di taham Umar Akmal aur Shoiab Malik ne 4th wicket ke liye 114 runs ki shirakat daari qaim kar kay Pakistan ko jeet se humkinar karaya.

Shoiab Malik 3 6s aur 7 4s ki madad se 63 jab ke Umar Akmal 3 6s aur 2 4s ki madad se 50 runs par not out rahay.

Is se qabal UAE ke Captain Amjad Javed ne Toss jeet kar pehlay batting ka faisla kiya, Rohaan Mustafa aur Mohammad Kaleem ne ining ka aaghaz kiya lekin dono player aik aik runs bana kar pavellion lout gaye jis ke baad Mohammad Shahzad batting ke liye aaye aur 5 runs bana kar Mohammad Irfan ka nishana banay.

Shaiman Anwar aur Usman Mushtaq ne 4th wicket ke liye 29 runs ki shiraakat daari qaim ki.

Mushtaq 9 runs bana kar pavellion lautay jab ke Shaiman Anwar ne 5th wicket ke liye Mohammad Usmaan ke sath mil kar 31 runs banaye aur Shaiman 46 runs bana kar out hue.

Mohammad Usmaan ne 6th wicket ke liye Captain Mohammad Amjad ke hamrah mil kar 46 runs ki shandaar shiraakat daari qaim kar kay team ka score mustahkam kiya.

Mohammad Usman 21 runs bana kar out hue jab ke captain 27 runs par not out rahay.

Pakistan ki janib se Mohammad Aamir ne Shandaar bowling ka muzahira karte hue 4 overs mein 6 runs de kar 2 wickets, Mohammad Irfan ne bhi 2 jab ke Mohammad Sami aur Shahid Afridi ne 1,1 wicket haasil ki.

Wazeh rahay ke Pakistan aur UAE pehli martaba T20 mein aik dosray ke mad-muqabil aye hain is se qabal dono Teams mein 3 one day matches bal tarteeb 1994, 1996 aur 2015 mein khailay ja chukay hain.

Shahid Afridi ne Ab tak 85 T20 ining mein 66 6s maray hain 3 mazeed 6s se woh David Warner ( 67 ) aur Martin Guptil ( 68 ) ko peechay chortay hue all time list mein 4th number par poanch jayenge..

News
Karachi
March 2016
M T W T F S S
« Feb    
 123456
78910111213
14151617181920
21222324252627
28293031