Daily Archives: March 16, 2016

World T20 Mein Pakistan Ka Fatihana Aaghaz

 Culcutta: Pakistan Ne T20 World Cup Ke Match Mein Bangladesh Ko 55 Runs Se Shikast Dey Kar Asia Cup Ka Badla Le Liya.

Calcutta ke Eden Garden Cricket Stadium mein khailay gaye T20 World Cup ke match mein Green Shirts ne pehlay batting karte hue muqarara 20 overs main 5 Wickets ke nuqsaan par 201 runs banaye jis ke taqub mein Bangladesh 6 wickets par 146 runs hi bana saki.

Bangladesh ko pehlay hi over mein 1 wicket ke khasaray ka saamna karna para jab Mohammad Aamir ne apni 3rd ball per Soumya Sarkar ko Clean Bold kiya jis ke baad Jareh mizaaj Sabbir Rahman bhi 25 runs bananay ke baad Shahid Afridi ki ball par bold hogaye.

Teesray out honay walay Batsman Tamim Iqbal they jo sirf 24 runs hi bana sakay jab ke Mahmudullah 4 runs bana kar pavellion lautay.

Mushfiq Ur Raheem aur Shkib Al Hasan ne 5th wicket ke liye 39 runs ki shiraakat daari qaim ki Mushfiq ur Raheem 18 runs par Mohammad Aamir ka shikaar banay.

Mohammad Mithun ko Mohammad Irfan ne 2 runs par pavellion bheja jab ke Shakib Al Hasan 50 runs par na qabil e shikast rahay.

Pakistan ki janib se Captain Shahid Afridi aur Mohammad Aamir ne 2, 2 jab ke Immad Wasim aur Mohammad Irfan ne 1,1 wicket haasil ki.

Shahid Afridi ko jarehana inning khailnay aur 2 wickts haasil karne par Man Of The Match se nawaza gaya.

Is se qabal Qaumi Team ke Captain Shahid Afridi ny Toss jeet kar batting ka faisla kiya to Opening Batsman Sharjeel Khan aur Ahmed Shahzad ne Team ko umda Aaghaz faraham kiya dono Batsmans ne jarehana andaaz mein inning ka aaghaz kiya to 26 ke majmoi score par Sharjeel Khan 10 balls par 18 runs bana kar Arafat Sunny ki ball par bold hogaye

Jis ke baad Ahmed Shahzad aur Mohammad Hafeez ny 2nd wicket par 95 runs ki shiraakat qaim ki dono Batsmans ne ground ke charon atraaf dilkash stroke khailay aur team ka majmoa 121 tak pouncha to Ahmed Shahzad 39 balls par 52 runs bana kar Sabbir Rahman ki ball par catch out hogaye Unhon ny apni inning mein 8 4s lagaye.

Wickts girnay ke bawajood qaumi batsmans ki jarehana batting jari rahi aur Captain Shahid Afridi aur Mohammad Hafeez ne 3rd wicket par 42 runs ki shiraakat qaim ki aur 17th over mein team ka majmoi score 163 tak pouncha to Mohammad Hafeez 42 balls par 64 runs bana kar out hue jis mein 2 6s aur 7 4s shaamil they jab ke Umar Akmal baghair koi runs banaye Taskeen Ahmed ka shikaar banay.

Captain Shahid Afridi last over mein apni Half Century se sirf aik runs doori par catch out hue unhon ny 4 4s aur 4 6s ki madad se 19 balls par 49 runs banaye.

Shoaib Malik 14 aur immad Wasim baghair koi ball khailay not out rahay.
Bangladesh ki janib se Taskeen Ahmed aur Arafat Sunny ne 2, 2 aur Sabbir Rahman ne 1 wicket haasil ki..

World T20 Cup Ke 1st Match Mein Newzea Land Ne India Ko Shikast Deydi

 Nagpor: T20 World Cup Ke Super 10 Marhalay Ke 1st Competitions Mein Newzea Land Ne India Ko 47 Runs Se Shikast Deydi.

Nagpor mein khailay gaye World Cup Super 10 Marhalay ke 1st match mein Newzea Land ne India ko jeet ke liye 127 runs ka Target diya jis ke jawab mein India ki poori team 79 runs par pavellion lout gayi.

India ki batting start se hi mushkilaat ka shikaar rahi aur 3 overs mein 12 runs par 3 players pavellion lout gaye they.

Shikhar Dhawan 1, Rohat Sharmaa 5 aur Suresh Raina 1 runs bana kar out hue jab ke 26 runs ke majmoi score par Yuvraj Singh bhi 4 runs bana kar out hue.

Virat Kohli ki himmat bhi 23 runs par jawab de gayi jab ke Hardik Pandya 1, Ravindra Jadeja 0, aur Ashwin 10 runs bana kar out hue.

Captain Dhoni Aakhri dam tak wicket par mojood rahay lekin 18th over mein Mitchell Santner ne inhen 30 runs par pavellion bhej diya.

Newzea Land ki janib se Mitchell Santner 4, Ish Sodhi 3, Nathan McCullum 2 aur Adam Milne aik wicket haasil karne mein kamyaab rahay.

Is se qabal Newzea Land ke Captain Kane Williamson ne Toss jeet kar pehlay batting ka faisla kiya aur muqarara 20 overs mein 7 Wickets ke nuqsaan par 126 runs banaye.

Kiwis ki janib se Martin Guptill ne pehli hi ball par Ashwin ko chakka raseed kar kay mega event ka aaghaz kiya lekin doosri hi ball par Ashwin ne inhen out kar kay hisaab chukta kar diya 3rd par batting ke liye anay walay Colin Munro bhi aik chakka maarny ke baad Ashish Nehra ka shikaar banay.

Captain Williamson bhi 8 runs hi bana sakay jab ke Ross Taylor achi form mein nazar arhay they lekin woh 10 runs par raina ke hathon run out hogaye.

Corey Anderson ne bharpoor muzahmat ki lekin un ki himmat bhi 34 runs par jawab dey gayi baad mein anay walay players mein Mitchell Santner 18, Grant Elliott 9 runs bana kar out hue jab ke Luke Ronchi 21 runs par not out rahay.

India ki janib se Ashwin, Nehra, Bumrah, Raina aur Jadeja ne 1,1 wicket haasil ki.

Wazeh rahay ke T20 World Cup ke Super 10 marhalay mein South Africa, Srilanka, West Indies, England aur qualifying team Afghanistan group 1′ jabkay Pakistan , India , Newzea Land, Australia aur Bangladesh group 2′ mein shaamil hain.

News
Karachi
March 2016
M T W T F S S
« Feb    
 123456
78910111213
14151617181920
21222324252627
28293031