National

1 2 3 15

Mehakma Mosmiyat Ka Aindah 5 Din Ke Douran Mulk Ke Beshtar Elaqon Mein Barish Ki Paishgoi

 Karachi : Mehakma Mosmiyat Ne Aindah 5 Din Ke Douran Mulk Ke Mukhtalif Hisson Mein Barish Ki Paish Goi Ki Hai Jab Ke Balochistan Mein Mosla Dhaar Barish Ka Silsila Jari Hai .

Mehakma Mosmiyat ne aindah 5 roz ke douran mulk ke mukhtalif hisson mein barish ki paish goi ki hai jab ke aindah 24 ghanton ke douran Balochistan ke aksar maqamat par garaj chamak ke sath aur Sindh mein gird alood hawaon ke sath barish ka imkaan hai.

Mehakma Mosmiyat ka kehna hai ke kal se itwaar ke douran Islamabad, Kashmir , khyber Pakhtunkhwa, Fata aur balai Punjab mein barish ka imkaan hai jab ke hafta aur itwaar ko Peshawar , Kohat, Mardan, Hazara Division, Rawalpindi mein bhi barish mutawaqqa hai.

Mehakma Mosmiyat ne khabardaar kiya hai ke Khyber Pakhtunkhwa, Fata, Balochistan DG Khan , Rawalpindi , Gujranwala , Hazara Division aur Peshawar ke nashebi ilaqay ziraab anay aur nadi naalon mein tughyani ka khatrah hai jab ke aindah 24 ghanton ke douran Balochistan ke aksat maqamaat par garaj chamak ke sath aur Karachi , Hyderabad, Sukkur , Larkana Division mein bhi kahin kahin barish ka imkaan hai..

Karachi Mein New Year Ke Mauqe Per Motorcycle ki Double Sawari Par Pabandi

 Karachi: Shehar Quied Mein Police Ne New Year Ke Mauqe Par Motorcycle Ki Double Sawari, Aslehay Ki Numaish Aur Firing Karne Par Pabandi Aaid Kardi.

Report ke mutabiq shehar quied mein new year ke mauqe par 31 decemeber raat 8 bajay se 12 ghantay ke liye motorcycle ki double sawari, aslehay ki numaish aur firing karne par pabandi aed kardi hai.

Jab ke new year night ke mauqe par manchalon ki dhama chokdi roknay ke liye police ki janib se baghair cylincer aur one wheelling karne walay motorcycle sawaron ke khilaaf crack down kiya jaye ga aur saahil samandar jane walay tamam raaston ko bhi band kar diya jayega.

Islamabad Samait Mulk Ke Mukhtalif Shehron Mein Zalzalay Ke Shadeed Jhatkay

 Islamabad Samait Mulk Ke Mukhtalif Shehron Mein Zalzalay Ke Shadeed Jhatkay Mehsoos Kiye Gaye Jab Ke Mukhtalif Elaqon Mein Chhatain Girnay Se 39 Afraad Zakhmi Hogaye.

Report ke mutabiq Azad Kashmir, Islamabad, khyber pakhtunkhwa, Punjab aur Gilgit Baltistan ke mukhtalif shehron mein zalzalay ke shadeed jhatkay mehsoos kiye gaye jis se logon mein shadeed khauf o hiraas phail gaya aur log kalma Tayyeba ka vird karte hue shadeed sardi mein gharon se bahar nikal aeye jab ke mukhtalif elaqon mein chhatain girnay ke baais 39 afraad zakhmi hogaye.

Zalzala pema markaz ke mutabiq richter scale par zalzalay ki shiddat 6.9 record ki gayi aur is ka dorania 90 second tha jab ke zalzalay ka markaz koh hindokash aur is ki gehrai 190 kilometer thi.

Zalzalay ke baais Peshawar ke Hospitals mein emergency nafiz karkay Dr aur pera medical staff ko talab kar liya gaya hai.

Punjab mein Lahore, Gujranwala, Mureed K, Hafiz abad, Sialkot, Qasoor, Nankana Sahib, bahkar, Myanwali, Kala Shah kako, Boray Wala, Faisal abad, Jhnag, Shore Coat, Toba Take Singh, Chinyot, Bahawalpoor, bahaval Nagar, Multan, Sahiwal, Okarah, Cheecha Watni, vharhi jab ke khyber pakhtunkhwa mein Abbotabad, Chaar Saddah, Chitral, Der Baala, Sawabi, Shab Qader, Shangla, Meri, Swaat aur Azad Kashmir ke mukhtalif ilaqon mein zalzalay ke shadeed jhatkay mehsoos kiye gaye.

Zalzalay ke baais Lahore Airport par fazai operation ko bhi Aarzi tor par moattal kar diya gaya hai.

Zaraye ke mutabiq zalzalay ke 3 jhatkay waqfay waqfay se mehsoos kiye gaye pehlay jhatkay ka dorania 10 se 15 second jab ke deegar 5 se 10 second taq mehsoos kiye gaye..

Saneha Army Public School Ko Ek Saal Guzar Gaya

 Peshawar: Army Public School Par Hamlay Ko Aik Baras Beet Gaya Ta’ham Dehshat Gardon Ki Masoom Students Ke Sath Kheli Gayi Khoon Ki Holi Ke Zakham Aaj Bhi Taza Hain.

Peshawar ke Army Public School par hamlay ki yaad mein mulk bhar mein Dua tqarib aur programs munaqqid kiye ja rahay hain,

Is silsilay mein markazi taqreeb Army Public School Peshawar mein munaqqid ki gayi jis mein Wazeer-e-Azam Nawaz shareef, Army Cheif General Raheel Shareef, Charon Sobon ke wazraye Aala, Governor Khyber Pakhtun khwa Sardar Mehtaab Abbasi Aur Wifaqi o sobai wazraa sameit Aala siyasi o askari shaksiaat ney shirkat ki.

Is ke ilawa taqreeb mein Wazeer-e-Azam Azad Kashmir Chohadry Abdul Majeed aur Governor o wazeer e Aala Gilgit Bultistan bhi taqreeb mein shareek they.

Saneha 16 decemeber mein shaheed honay walay Army Public School ke shohada ki pehli barsi par mulk ke charon sobon ke taleemi idaray band hain jab ke Punjab university ney aaj honay walay tamam imtehanat bhi multawi kar diye hain jin ki new date ka elaan baad mein kiya jayega.

Doosri janib shuhdaye APS ki pehli barsi ke mauqe par Pakistan Baar Council, Punjab Baar Council aur Islamabad Baar Council ki appeal par Lawyers baradri ne bhi mulk bhar mein yom siyah manaya.

Wazeh rahay ke guzishta baras 16 decemeber ko hi Army Public School Peshawar mein dehshat gardon ne hamla kar ke be dardi se 132 masoom bachon samait 144 afraad ko Shaheed kar diya tha..

Sindh Ke Taleemi Idaron Mein Mausam Sarma Ki Tatilat Ka Elaan

 Karachi: Mehakma Taleem Sindh Ne Soobay Ke Tamam Taleemi Idaron Mein Mausam Sarma Ki Tatilat Ka Elaan Kar Diya.

Mehakma taleem Sindh ke mutabiq soobay bhar mein mausam sarma ke silsilay mein 22 Decemeber se 1st January tak tamam taleemi idaray band rahenge is tarha School 11 din ke liye band hongay aur 2 January ko taleemi idaray mamool ke mutabiq khulenge..

Islamabad Samait Mulk Ke Balai Elaqon Mein Zalzalay Ke Shadeed Jhatkay

 Islamabad: Wafaqi Dar-Ul-Hakoomat Islamabad Samait Mulk Ke Balai Elaqon Mein Zalzalay Ke Shadeed Jhatkay Mehsoos Kiye Gaye Hain.

Report ke mutabiq wafaqi Dar-Ul-Hakoomat Islamabad samait khyber pakhtun khwa ke mukhtalif ilaqon aur Gilgit Baltistan mein bhi zalzalay ke shadeed jhatkay mehsoos kiye gaye hain.

Zalzala pema markaz ke mutabiq richter scale par zalzalay ki shiddat 7.2 record ki gayi jis ka markaz tajikstan ka sarhadi ilaqa hai jab ke zer zameen is ki geherai 88 kilometer thi.

Jin ilaqon mein zalzalay ke jhatkay mehsoos kiye gaye un mein Islamabad, Rawalpindi , Peshawar , Naushera , Abbotabad, mansehra, charah saddah, sawabi, swat, Chitral , shangla, Lower Der, Malakand, Chlas aur deegar ilaqon mein zalzalay ke shadeed jhatkay mehsoos kiye gaye jis ke baad log gharon se bahar nikal Aaye..

Karachi Mein 3, 4 Aur 5 Decemeber Ko Taleemi Idaray Band Rahenge

 Karachi: Sindh Hakoomat Ne 3 Decemeber Ko Shuhdaye Karbalaa Ke Chahlum Ke Mauqe Par Aam Tateel Ka Elaan Kiya Hai Jab Ke 4 Aur 5 Decemeber Ko Sarkari Aur Niji Taleemi Idaray Bhi Band Rahenge .

Report ke mutabiq Sindh hakoomat ne 3 decemeber ko chahlum shuhdaye karbalaa ke mauqe par aam tateel ka elaan kiya hai jab ke Karachi mein 4 aur 5 decemeber ko taleemi idaray band rahenge.
Sobai secretary taleem Fazl Ullah Pechuho ke mutabiq 4 aur 5 decemeber ko niji aur sarkari taleemi idaray shehar mein baldeati intikhabaat ke baais band rakhnay ka faisla kiya hai..

Lahore Se Karachi Jane Wali Night Coach Ki 3 Boogies Ulat Gayeen

 Lahore: Raiwind Ke Qareeb Phaatak Cross Karte Hue Trailer Taiz Raftaar Musafir Train Ki Zad Mein Agaya Jis Ke Nateejay Mein Trailer Ka Driver Mauqe Par Jaan Bahaq Jab Ke 3 bogies Ulat Gayeen.

Report ke mutabiq Raiwind ke qareeb phaatak khula reh jane se trailer tez raftaar night coach ki zad mein agaya jis ke nateejay mein trailer ka driver mauqe par jaan bahaq jab ke train ki 3 bogies patri se utar gayeen jis ke baais kayi musafir zakhmi hogaye.

Haadsay ke fori baad logon ki barri tadaad jama hogai aur zakhmion ko qareebi hospital muntaqil kar diya.

Aeni Shahideen ke mutabiq haadsa phaatak khula reh jane ke baais paish aaya aur achanak coaster train ke samnay anay par train driver ne hungami break lagai jis ki wajah se 3 bogies patri se utar gain..

Islamabad Mein Mobile Phone Service Achanak Band

 Islamabad: Wafaqi Dar Ul Hakoomat Mein Mobile Phone Service Achanak Band Ho Gayi Jis Ke Baais Shehrion Ko Shadeed Mushkilaat Ka Saamna Karna Par Raha Hai.

Report ke mutabiq Islamabad ke red zone aur qareebi elaqon mein mobile phone achanak band honay se shehrion ko mobile phones se call karne mein mushkilaat ka saamna karna para taham PTA ki janib se koi wazahat samnay nahi aayi.

Media par mobile phone service ki khabar Nashar honay ke baad mobile phone service bahaal ho gayi.

Wazeh rahay ke malik mein mobile phone service ahem tqarib ke mauqa par security khadshaat ke paish e nazar band ki jati hain jab ke mobile phone service ki muatali ke hawalay se awam ko pehlay aagah bhi kiya jata hai..

Shah Abdal Latif Bhitai Rehmat Ullah Alaihi Ka Urs 27th November Ko Sindh Bhar Mein Aam Tateel Ka Elaan

 Karachi: Sindh Hukoomat Ne Azeem Sufi Buzurg Aur Shayar Shah Abdal Ltif Bhitai Rehmat Ullah Alaihi Ke Urs Ke Mauqe Par 27 November Ko Soobay Bhar Mein Aam Tateel Ka Elaan Kar Diya Hai.

Sindh hukoomat ki janib se jari karda notification ke mutabiq 27 November baroz jumma Hazrat Abdal Latif Bhitai Rehmat Ullah Alaihi ke Urs ki munasbat se Sindh bhar mein Aam tateel hogi.

Iska itlaq khud mukhtaar corporation samait Sindh hukoomat ke tamam idaron aur sarkari O niji taleemi idaron par hoga.

Wazeh rahay ke Sindh mein har saal 14 safar ko hazrat Shah Abdal Latif Bhitai Rehmat Ullah Alaihi ke Urs ki munasbat se Aam tateel hoti hai..

1 2 3 15
News
Karachi
September 2024
M T W T F S S
« Mar    
 1
2345678
9101112131415
16171819202122
23242526272829
30