NTDC Ki janib Se Load Shedding Ke Khaatmay ke Aelaan Ke Bawajood bijli Ki Bandish Jaari

Karachi: National Transmission and dspyj Company ne Mulk main mosam Ki soorat-e-haal behter hone per Load Shedding aarzi tor per khatam karne ka faisla kar diya hai ta’hum iss ke bawajood Mulk bhar main kai kai ghante bijli ki bandish ka silsila jaari hai,

Report ke mutabiq NTDC ka kehna hai ke iss waqt mulk main bijli ki Supply aur demand 11 hazar mega watt hai iss tarah bijli ki Supply aur demand brabar ho gayi hai jis ki wajah se load shedding ko aarzi tor per khatam kar diya gaya hai ta’hum Supply aur demand ko dekhte huwe jald hi load shedding ka naya schedule jaari kiya jayega,

Dosri janib mulk bhar main bijli ki load shedding ka silsila jaari hai aur kai kai ghante bijli ki gair aelaania bandish se mamoolat zindagi shadeed mutasir ho rahi hai wasti punjab ke shehri areas main 6 se 8 ghante  jab ke dehi areas main 10 se 12 ghante bijli bund ki ja rahi hai,

Multan samait junoobi punjab main har ek ghante baad ek ghante ke liye bijli bund ki ja rahi hai sindh aur khyber pukhtoon khwah main 12 se 14 ghante jab ke balochistan main 14 se 16 ghante ki load shedding mamool hai,

American Student Ne Make-Up Ke Liye 3D Printer Bana Liya

Ladies ko Libaas ke sath matching make kharidne market nahi jana parega gender sensitive 3D printer ki madad se har color ka make-up abb ghar per khud banayengi,

New York: America ki Harvard University main business ki student ne 55 arab dollars ki make-up industry ke liye khatray ki ghanti bajadi,

American Student Ne ek aesa 3D printer banaya hai jo eye Shade, Blush, aur Lip stick print karega,

Printer main make-up companies mai Use hone walay color Use kiye jayengay matlab jis color ke bhi kapre pehnay quick printer on kiya aur usi color ka make-up ready kar liya..

Gold Ki Price Barqarar

Karachi: International Bullion Market main Gold per ounce ki qeemat 1 dollar kami se 1292 dollar ki sateh per ponchne ke ba’wajood local sarafa markets main friday ko fee tola aur fee 10 gram gold ki qeemat bagair kisi tabdeeli ke mustehkam rahien,

As a result, Karachi, Hyderabad, Sukkur, Multan, Faisalabad, Lahore, Islamabad, Rawalpindi, Peshawar aur Quetta ki sarafa markets main fee tola gold ki qeemat Rs. 48900/- rupy per mustehkam rahi aur fee 10 gram gold ki qeemat Rs. 41914/- rupy per mustehkam rahi issi tarah fee tola chandi ki qeemat bhi bagair kisi tabdeeli ke Rs. 735/- rupy per mustehkam rahi aur fee 10 gram chandi ki qeemat bhi Rs. 630/- rupy per mustehkam rahi hai..

Saudi Government Ka Hajiyon Ki Sahoolat Ke Liye New Airport Banane Ka faisla

Riyaz: Saudi government ne duniya bhar se hajj ki sa’adat ke liye aane wale aazmeen ki sahoolat ke liye makkah ke qareeb taif main ek new airport tameer karne ka faisla kiya hai,

Ek Arab website ke mutabiq Saudi government ne hajiyon ki sahoolat ke liye taif main airport ke qayam ke liye International construction companies se tender talab karne ki tayari shuru kar di hai takey hajj terminal ki tayari per aane wali Cost aur uss ki tameeri muddat ka pata lagaya ja sakey,

Saudi officials ke mutabiq 2015 tak new airport ki tameer ka contract de diya jayega, Airport ka contract tameer karo , chalao aur hawalay karo ki buniyaad per diya jayega,

Taif ke airport ko hajj ke elawa umrah ke liye aane walay aazmeen bhi use karengay, project per Saudi hakkam international finance corporation ke sath mil kar kaam kar rahe hain jabke world bank ke sath bhi mushavrat ki gai hai,

Hajj ke liye aane walay gair mulki aazmeen jaddah ka hajj terminal use kar sakte hain jabke taif ka moujooda airport sirf Internal flights ke liye use hota hai,

new airport ek buhat bara international airport hoga jahan har saal lakhon ki tadaad main aazmeen hajj-o-umrah ki aamad raft hogi..

Quetta Main Nadra Office ke Qareeb Dhamake Se 2 Afraad Jan-bahaq 15 Zakhmi

Quetta: Dubble road per nadra office ke qareeb dhamake ke natijay main 2 afraad jan-bahaq jabke 15 zakhmi ho gaye,

Report ke mutabiq quetta ke elaqay dubble road per nadra office ke qareeb dhamake ke natijay main 2 afraad mouqay per hi dum tor gaye aur 15 zakhmi bhi ho gaye,

Dhamaka iss qadar shadeed tha ke uss ki awaz door door tak suni gayi jabke dhamake ki shiddat se qareebi emarton gariyon aur motor bikes ko bhi nuqsaan poncha,

Ibtedai tor per dhamake ki noyeat ke baray main maloom nahi ho saka ta’hum iss silsilay main qanoon nafiz karne walay idaron ki janib se investigation ki ja rahi hai,

Dhamake ke baad police aur FIA ki bhaari nafri ne elaqay ko gharay main le liya aur jaye haadsa ko seal karne ke baad suboot jama karna shuroo kar diye jabke rescue teams ne jan-bahaq afraad ki dead bodies aur zakhmiyon ko civil hospital muntaqil kar diya,

Hospital ke zaraye ke mutabiq dhamake main zakhmi hone waly afraad ki halat tashveesh naak hai jis ke bais halakaton main ezafay ka khadsha ha..

Duniya Main Polio Ka phelao Rokne Ke Liye Pakistaniyon Per international Safar Pabandiyaan Aaid

Geneva : World Health Organization ne duniya main polio ke phelao ko rokne ke liye pabandiyaan aaid kardi hain,

World Health Organization ke Zer-e-Ahtimaam duniya main polio ke bharte huwe marz per qabo pane ke liye geneva main ijlaas hua jis main duniya ke mukhtalif mumalik se taluq rakhne walay mahreen aur mubsareen ne shirkat ki,

Ijlaas ke baad press conference ke douraan World Health Organization Additional Director General Doctor Bruce ayluard ne kaha hai ke pakistan main guzishta baras Afghanistan aur Nigeria se bhi zyada polio ke cases record kiye gaye hain,

Iss liye marz ko duniya ke deegar mulkon main dubara phelnay se rokne ke liye yeh zaroori ho gaya hai ke pakistani shehrion per international safar pabandiyan aaid kar di jayen,

Wafaq Ne Bijli Ke Wajbaat Ki Wasooli ke Liye Soobon Se Madad Lene Ka Faisla Kar Liya

Karachi: Wafaq ne garmi ke mosam main bijli ki pedawar , tarseel loadsheding plan , bijli chori ki rok tham aur wajbaat ki wasooli ke liye soobayi hukumaton se madad lene ka faisla kar liya hai,

Iss hawalay se Wazir-e-Azam apne beroni mulk se doura wapsi ke baad jald ek aala sateh ka ijlaas bulayengay jis main inn umoor per eham faislay kiye ja sakte hain,

wafaqi hukumat ke qabil-e-aitmaad zaraye ne bataya hai ke Wazir-e-Azam nawaz Sharif ne wazarat pani aur bijli ko hidayat ki hai ke garmi ke mosam main bijli ki pedawar , tarseel aur loadsheding plan ke hawalay se foori-tor muasar Policy ko tashkeel diya jaye aur mulk bhar main bijli ki bachat ka program banaya jaye..

Customs Department Ne Mobile Phone Ke 150 Consignment Rook Liye

Islamabad: Custom Authorities ne mobile phones ki 150 Consignments rook li hain- Pakistan Telecommunication Authority PTA ki clearance report jama na karane per custom authorities ne yeh action liya hai,

Customs intelligence officials ne guzishta ek maah ke douraan china ke mobile phones ke clear kiye jane walay Consignments ki Investigation ka hukum de diya hai

Customs Authorities ko Investigation ka hukum PTA ke Fake NOC per Consignments clear karne per diya gaya hai

Security agencies ki janib se kayi martaba report di gayi thi ke customs authorities chaina se dar-Aamad kiye janay walay mobile phones ke IMEI numbers ki checking nahi karte jis ki wajah se mobile ki Aamad se mataliq aur tadaad ke baray main tazaad peda hota hai,

Dehshat-gardi bhatta khori aur deegar crime ki rook tham ke liye chaina ke mobile numbers ke bund karne main bhi Security agencies ko mushkilaat ka samna karna parta hai..

3G Aur 4G Licenses Neelaam hote he Services Ki Aazmaish Shuru

Karachi: 3G 4G  Technology ke Licenses ki kamyaab neelami ke baad telecom industry main sargarmiyan urooj per ponch gaien hain,

Licenses hasil karne wali companies ne baray shehron main Trial basis per Users ko free 3G service ki farahmi shuru kardi hai jis ke baad maqami market main smart phones ki Sale main numayaan izafa ho gaya hai,

3G Licenses hasil karne wali ek European Company numainday ne bataya hai ke inn companies ne baray shehron main apne users ke liye Trial basis per 3G ki free service ka Aaghaaz kar diya hai,

Unhone bataya hai ke iss service ki farahmi ka maqsad 3G nerwork per load ka andaza lagana hai jis se service quality ko behter rakhne main madad milegi,

Unhone ne bataya hai ke 3G network per abb tak ke bahtreen nataij hasil ho rahe hain baray shehron main tamaam 3G sale site on kardi gaien hain aur users ko Via SMS inform kar diya gaya haike woh 3G ki free Trial service se Use kar sakte hain iss maqsad ke liye users ko ek Information number bhi jaari kiya gaya hai jis per SMS kar ke User maloom kar sakte hain ke unn ke area main Trail 3G Available hai ya nahi,

Mobile market ke zaraye ka kehna hai ke 3G Licenses ki kamyab neelami ke baad smart phones ki talab main gair mamooli izafa ho gaya hai,

Users ki bari tadaad ainda budget main smart phones per tex lagaye jane ke khadshaat ke sabab fori-tor per smart phones ki kharidari ki tarjeeh dy rahi hai jabke companies ki janib se users ko Trial basis per free 3G ki farahmi ne bhi smart phones ki talab barhane main eham kirdar adda kiya hai,

Industry zaraye ka kehna hai ke 3G service ki marketing ke liye heavy budget mukhtas kiye gaye hain.
Print aur electronic media ke sath large media per bhi multi expenses kiye ja rahe hain jis se advertising ki industry main bhi activities teez ho gaien hain,

Shehar main 3G aur 4G service se mutaliq banners aur display hoardings kiye ja chukay hain jis se rozgaar ki farahmi ke liye new technology se wabista umeedain poori hona shuru ho gaien hain..

karachi Ke Elaqay Gizri Main Dhamaka

Karachi: Gizri main carpet showroom ke qareeb dhamake ke natijay main khatoon samait 4 afraad jan-bahaq jabke 30 zakhmi ho gaye hain,

Report ke mutabiq karachi ke elaqay gizri main choudhry khaliq al zaman road dehli colony main carpet showroom ke qareeb dhamake ke natijay mian 4 afraad jan-bahaq aur 30 zakhmi ho gaye jabke kayi gharon aur gariyon ko bhi nuqsaan poncha hai,
dhamaka iss qadar shadeed tha ke iss ki awaz door dorr tak suni gai jabke aas paas ki buildings bhi laraz gaien,

dhamake ke baad police aur rangers ki bhaari nafri moqay per ponch kar evidence jama karna shuru kar diye jabke rescue teams ne dhamake ke natijay main zakhmi aur jan-bahaq hone walay afraad ko hospital shift kar diya,

DIG West Abdul Khaliq Shaikh ka kehna hai ke nearly 10kg gram baroodi mawad rakshaw main nasab tha aur dhamake ke natijay main 1 rakshaw aur 3 gariyon ko bhi nuqsaan poncha jis main 2 sarkari gariyaan bhi shamil hain,

Health Minister Sindh Doctor sagheer ahmed ka kehna tha ke dhamake main 1 khatoon samait 4 afraad jan-bahaq huwe jabke 30 zakhmiyon ko hospital muntaqil kiya gaya jis main se 5 ki halat nazuk hai,

Sindh ke Information Minister Sharjeel Inaam Memon ne kaha hai ke terrorists ka target sarkari gariyaan thien jabke hamlay main eham government officials saqib soomro ki gari ko ko bhi nuqsaan poncha ta-hum woh gari main moujood nahi thy,

Unhoon ne kaha hai ke terrorists Musalsal sindh ko nishana bana rahe hain federal government ab terrorists se muzakraat ke bajaye jawabi karwai ka aaghaz kare..

News

Karachi
April 2024
M T W T F S S
« Mar    
1234567
891011121314
15161718192021
22232425262728
2930