Daily Archives: March 29, 2014

Smart Contact Lens

Pichlay dino google ne contact lens banane ka Aelaan kiya jo Ansoun ya Ankhon ki nami main glucose ki maqdaar janchega,

yeh Ejaad duniya bhar main diabetes ke patients ke liye nihayat faida mand sabit hogi kyun ki contact lens main lagay ek chote se gluco meter aur wireless transmitter ki wajah se ab diabetes ke patient apni ungliyaan shedne se bach jayenge.

Diabetes ke patients ko baaz Ouqaat din main kafi martaba apni diet ke lihaz se blood main sugar ki miqdar maloom karne ki zaroort paish Aati hai iss ke liye patient ke jism se mamooli miqdar main blood nikal kar makhsoos tool se iss main glucose ki janch ki jati hai

Iss contact lens ki tayyari main google ko 18 maah ka arsa laga hai google duniya main technology ki madad se inqlabi tabdeeliyaan laane ke liye apni khidmaat anjaam de rha hai aur iss maidaan main mukhtalif tajurbaat kar rha hai

Iss lanse ki tasveer per investigation ka silsila chand baras pehlay university of washington main bhi start hua tha aur project per national science foundation ke tehat experiences hue thy

Iss ke elawa bhi mukhtalif department diabetes se relate chote tools ready kar chukay hain,

Google ki yeh ejaad ek normal contact lens ki tarah hai lekin apne kaam ke Aitbaar se nihayat eham hai lens ki teho ke darmiyaan glucose sensor hoga

Sensor ke sath hazaroon bareek transmitter moujood hain iss ke elawa lense main baal se bhi bareek ek antenna moujood hai-chip aur sensor ek zarry ke brabar hain lense main lage tools fiza main moujood lehroon se tawanai hasil karte hain

In intehai bareek tools aur wires ko apas main munsalik karna nihayat mehnat talb kaam tha isey glucose napnay wala sub se chota meter kaha ja sakta hai scientist yeh koshish bhi kar rhe hain ke lense main aesi choti lines lagai jayen jo glucose ki maqdaar mamool se kam ya zyada hone per warning jaari karen,

Ankhon main lagaye jane per yeh lense batayega ke blood main sugar kitni hai aur ab patient ki dawa ka waqt ho gaya hai ya usey metha khane se parhez karna hai

yeh lense har second per glucose ki maqdaar janch sakengey iss se relate ibtedai experiences complete ho chukey hain ta’hum isse 5 saal baad market main laya ja sakega lekin khamiyaan bhi samne aai hain jinhain door kiya jayega

scientist ki iss koshish ko sarahne ke sath mahreen sehat ne iss bat per zoor diya hai ke tool  ki madad se drust or bar’waqt maloomat ko yaqeeni banana hoga iss main kisi qism ki galti aur nuks ki gunjaish nahi..

Security Khadshaat Ke Bais Mazar-e-Quaid Main public Entry bund

Karachi: Security khadshaat ke peshe nazar Mazar-e-Quaid main ta’hukum sani cars aur bikes ki entry per pabandi kar ke police aur rangers ki nafri ko tainaat kar diya gaya jabke 3 din tak public entry per pabandi aaid kardi gai hai,

Report ke mutabiq Mazar-e-Quaid Security khadshaat ke peshe nazar police aur rangers ki bhari nafri tainaat kardi gai hai iss hawale se SHO brigade gulam nabi afridi ne tasdeeq karte huwe bataya hai ke ibtedai tor per Mazar-e-Quaid ke ander cars aur bikes ki entry per ta’hukum sani pabandi aaid kar di gai hai jabke Mazar-e-Quaid aane walo ko kisi bhi qism ka thela ya bag lekar aane per pabandi hogi,

police officers ka kehna hai ke Mazar-e-Quaid ki parking area main car ya bike ke zariye dehshat gardi ke mumkina hamle ki information mili hain jis ke bais sakht hifazati iqdamaat kiye gaye hain

Mazar-e-Quaid ko 3 din ke liye public entry per pabandi aaid ki gayi hai brigade police ka kehna hai ke Mazar ki intezaamiah se baat cheet chal rhi hai aur mushawarat ke baad mazeed security ka jaiza lete huwe mazeed iqdamaat kohatmi shakal di jayegi

Lahore main bhi Mazar-e-Iqbal ko security khadshaat ki waja se bund kar diya hai,

News
Karachi
March 2014
M T W T F S S
    Apr »
 12
3456789
10111213141516
17181920212223
24252627282930
31