Daily Archives: March 13, 2014

Nepra Ne Awaam Per Mehngai bumb Giratay Huay Bijli 2 Rupy 24 pesey fee Unit Mehngi Kardi,

Islamabad: Nepra ne distribution companies ki application per bijli ki qeemat main 2 Rupy 24 pesey fee Unit ezafay ki manzoori dedi,

Distribution Companies ki janib se nepra ko bijli ki qeematon main ezafay ki application ki thi jis per nepra ne january 2014 ke liye fuel adjustment surcharge ki madd main bijli ki qeemat main 2 Rupy 24 pesey fee Unit ezafay ki manzoori dedi,

Bijli ki qeemat main haaliya ezafay ka itlaq karachi electric supply corporation ( KESC ) ke ilawa mulk ki tamaam distribution companies per hoga jo sarfeen se next bill main wasool kiya jayega..

MQM Aur People’s party ke Muzakrat Eham Mor Per Agaye,

Karachi: Intehayi ba-aitmaad zaraye ke mutabiq MQM ke jald sindh government main shamooliyat ke hawalay se muamlaat hatmi marahil main dakhil ho chukay hian aur iss silsilay main People’s party aur Mutahidda ke darmiyan pas-parda rabtoon main bhi taezi agayi hai,

Zaraye ke mutabiq dono parties iss baat per agree ho gayi hain ke sindh ki tarraqi awaam ke masail aur deegar umoor ke liye mushtarka koshishain ki jayengi,
Zaraye ka kehna hai ke MQM ki sindh government main mumkina shamooliyat ke hawalay se party workers se raye bhi talab ki ja sakti hai,
Zaraye ka kehna hai ke in rabtoon se sindh main baldiyati nizaam specially moujoda baldiyati idaroon ko tarraqyati funds ke ajraa karachi, hyderabad, aur deegar districts ke baldiyati masail sameet mukhtalif umoor per gour kiya ja rha hai aur People’s party ki janib se MQM ki qayadat ko inform kiya gaya hai ke dono parties ke rehnumaoun main jab ba-zabta mulaqat hogi to karachi oppration ke hawalay se MQM ke tahafuzaat ko marhala war door kiya jayega aur jo ziyadatioun ki complaints hain unka azala kiya jayega,

Zaraye ka kehna hai ke sindh main moujoda siyasi soorat-e-haal per People’s party aur MQM ke pas-parda rabtoon ko buhat eham qaraar diya jayega…

News
Karachi
March 2014
M T W T F S S
    Apr »
 12
3456789
10111213141516
17181920212223
24252627282930
31