Utility Stores Corporation Ne Ramzan Package Per Kaam Shuru Kar Diya
Islamabad: Utility stores Corporation ne ramzan package 2014 ki tayari per kaam shuru kar diya hai,
Federal government ne iss saal Ramzan-Ul-Mubarak ke liye 2 Arab rupy ka relief package dene ka faisla kar liya hai
Utility stores corporation ke tarjumaan Wajid Khan Sawati ne bataya hai ke Ramzan-Ul-Mubarak main Federal government ki janib se Low Income Classes ke liye Utility stores ke zariye Subsidies ki farahmi ashiyae zaroorat ki Pricing stock ki dastiyabi aur supply se Schedule amal ke barey main tajaveez tayar ki ja rahi hain,
Tarjumaan ne bataya hai ke Ramzan package ke tahet , Aata , Ghee , Daal , Besan , Chai ki Patti , aur Mashroobat samait mukhtalif ashiyae zaroort discount rates per faraham ki jayengi,
1st May Se Petrol 1 Rupy Aur Diesal 1.22 Rupy fee Liter Sasta Hone Ka Imkaan
Islamabad : Mehangayi se behaal awam ke liye choti si khush-khabri 1st may se petrol 1 rupy aur diesal 1.22 rupy fee liter sasta hone ka imkaan hai,
Zaraye ke mutabiq 1st may se Petroleum masnoaat ki qameeton main kami ka imkaan hai.
Petrol ki qeemat main 1 rupy fee liter kami ka imkaan hai. Hi-speed diesal ki qeemat main 1.22 fee liter , light diesal ki qeemat main 1.20 fee liter ki kami ka imkaan hai,
jabke Hi-octain 2 rupy fee sasta ho sakta hai aur matti tail ki qeemat 1.33 fee liter kami ka imkaan..
Asian Snooker Championship Mian shirkat Ke Liye National Team 25 April ko Rawana hogi
Lahore: Asian Snooker Championship mian shirkat ke liye National Team 25 April ko United Arab Emirates Rawana hogi,
National Snooker team 3 players per mushtamil hai jis main national champion Mohammad Asif toba , Hamza Akbar aur Sajjad Iqbal shamil hain jabke haji Abdul Rasheed manager ke faraiz anjaam dengay,
Championship 26 april se 3 may tak United Arab Emirates main kheli jayegi jis main shirkat ke liye team 25 april ko rawana hogi,
Training Camp karachi main jaari hai jis main players ka kehna hai ke woh tournament main apni bharpoor salahiyatoon ka muzahira karte huwe qoum ko mayoos nahi karengay..
Mexico 7.5 Shiddat Ke Zalzalay Se Laraz Utha
Mexico City: Mexico main 7.5 shiddat ke zalzalay se emaartain laraz gaien ta’hum kisi bhi qism ke jaani nuqsaan ki information nahi mili,
Report ke mutabiq zalzalay ka center mexico ki western state guerrero ke sahily area main 31 kilo meter zere-zameen tha jis se emaartain laraz gaien aur log khouf zada ho kar gharoon se bahr nikal aaye
Maqami zalzala climber center ke mutabiq zalzalay ki shiddat 7 thi ta’hum american geological survey ka kehna hai ke iss ki shiddat 7.5 thi,
hakkam ke mutabiq zalzaly se koi jaani ya maali muqsaan nahi hua ta’hum administration iss hawalay se mazeed Investigation kar rahi hai,
Peshawar Main Security forces Ki Gari Ke Qareeb Dhamaka, Ek Ahalkar Jan-bahaq 3 Zakhmi
Peshawar: Bara Sheikhan mian sarak kinaray nusb baroodi mawad phatne ke natejay main security forces ka ek ek ahalkar jan-bahaq aur 3 Zakhmi ho gaye,
Report ke mutabiq peshawar ke qabaily elaqay Bara Sheikhan main frontier road per security forces ki gari ko nishana banaya gaya,
Zaraye ke mutabiq baroodi mawad sarak kinaray nusb tha aur dhamake ke natejay main ek ahlkar shaheed 3 zakhmi ho gaye
waqay ke baad security forces ki bhari nafri ne moqay per ponch kar elaqay ko ghareay main lekar search opration shuru kar diya jabke zakhmi hone walon ko tebbi imdaad ke liye hospital muntaqil kar diya,
3G Aur 4G Technology Ke Liye 4 Mobile Companies Ne Qualify Kar Liya
Islamabad: 3G Aur 4G mobile technology ke liye 4 companies ne qualify kar liya. Modern Technology ki neelami 23 april ko hogi,
Report ke mutabiq PTA hakkam ka kehna hai ke 3G aur 4G technology neelami ki offers ke sath 200 million dollars ki raqam mousool hui ho gai hai jo naqabil-e-wapsi hai,
Technology ki neelami ke liye qualify karne wali companies main , Mobilink , Telenor , Chaina Mobile Zong , aur Ufone shamil hain,
Inn 4 companies ke elawa kissi Foreign company ne neelami main Offer jama nahi karawai PTA ke hakkam ke mutabiq neelami main 3G mobile technology ke 3 aur 4G ke 2 License diye jayengay,
Iss se pehlay islamabad main Senator Zahid Khan zere-sadarat Senate ki qaima committee IT aur telecom ka ijlaas hua jis main Senate ki Sub-Committee ka kehna tha ke 23 april ko neelami ka amal Cancel kiya jaye kyu ke 3G ki neelami ke liye qanooni taqazay poray nahi huwe,
Committee ke mutabiq Ufone ko boli main hissa lene se roka jaye aur government PTA authority ka quorum poora kare,
Committee ke member Faisal Raza Abidi ka kehna tha ke iss bat ko yaqeeni banaya jaye ke Ufone 3G aur 4G ki neelami main hissa na ly,
Unhone kaha ke hum ek cheez sell karna chahen aur aur hamara apna idara he usay purchase kare yeh mumkin nahi,
Hum 3G aur 4G ki neelami rokna nahi chahte sirf zaroori kaam pore kar diye jayen Committee ne 3G aur 4G spectrum ki neelami alag alag karne ki bhi safarish ki,..
Big Three Himayat, Rubber stamps Aaj Lagai jayegi
Lahore: PCB ki janib se big three ki himayat ke faislay per rubber stamps aaj lagai jayegi management committee ke arkaan lahore main sar’jor kar bethengay, Chief selector aur head coach ki appointment samait mukhtalif umoor per bhi gour hoga,
Report ke mutabiq PCB ki management committee ka ijlaas budh ko gaddafi stadium main hoga Najam Sethi sadarat karengay ‘ sabiq captain Zaheer Abbas ‘ sabiq chairman shehriyaar khan ‘ sabiq chief selector Iqbal Qasim ‘ sabiq manager Naveed Akram Cheema aur islamabad Region ke sadar Shakil Sheikh bhi moujood honagy,
Iss moqay per big three members ki conditional support ke faislay ki details se inform kiya jayega india ke sath UAE main possible series ke hawalay se baat cheet hogi,
Rashid Latif ki taraf se Chief selector post thukraye jane ke baad peda honay wali situation per gour karte huwe mukhtalif names per gour kiya jayega,
Zaraye ke mutabiq selection committee ki sarbarahi ke liye moin khan mazboot umeedwar hain management committee ke members head coach ke liye Waqar younus samait mukhtalif options per gour karengay,
Foreign fielding coach aur trainer ki khidmaat hasil karne per bhi baat cheet hogi zaraye ke mutabiq jonty rhodes se mukhtasir muddat ke contract ke liye contact kiya ja sakta hai,
World Cup 2015 ki tayari ke liye National cricketers ka ek pool tayar kar ke Abbottabad main conditioning camp lagane per bhi tabadla-e-khayal hoga..
Pakistan SAARC Insurance Regulators Forum Ka Chairman Select
Karachi: Chairman Insurance (SECP) Mohammad Arif ko SAARC ke 2nd insurance regulators ke ijlaas main tashkeel hone wali Regulators Forum Ka Chairman Select kar liya gaya hai,
Ijlaas main hone waly delegates ne visa ke amal main narmi aur SAARC countries ke darmiyaan wasail aur staff ke easy exchange per bhi gour kiya,
Cooperation ki raah mazeed mazbot karne ke liye chamber of commerce and industry per bhi soch bichar kiya gaya SAARC Regulators ijlaas main Pakistan , Bangladesh , Sri lanka , Nepal , bhootan , aur Maldep , samait turkey and kenya etc. ke regulatory authorities ne shirkat ki,
Ijlaas main Insurance ke area ki development ke liye SAARC countries ke liye ek secretariat ki tashkeel ki tajveez bhi pesh ki gai jis ke tehat 2 Committees banai gaien jin ka maqsad 3 maah ke ander secretariat ke structures aur collaboration ke areas per apni ibtedai report pesh karna hai ta’ke 6 maah ke ander inn tajaveez per amal kiya ja sakey,
Insurance board of Nepal ke chairman doctor fateh bahadur ne pesh-kash ki ke ainda SAARC countries ijlaas kathmandu main munqaid kiya jaye. issey ittefaq raye se manzoor kar liya gaya,
Food Authority Khatam Karne Ka Mutalba, Floor Mills Aaj se Strike Karengay
Islamabad: All pakistan flour mills association ne aaj Monday se complete strike ka Aellan kar diya,
Chairman Mian Muhammad Riaz ne kaha hai ke food authority ka qayaam gair qanooni hai isse khatam kiya jaye,
All pakistan flour mills association ke Chairman Mian Muhammad Riaz ne lahore main press conferance se khitaab karte huwe kaha hai tamaam mills Food Department ke pas registered hain,
iss ke bawajood food authority ka qayaam amal main laya gaya hai ji inn se gair qanooni tor per 6000 sample fees wasool kar rahi hai aur ek hi waqt main do department ki janch partal kar rahi hai,
Alamati strike ke bawajood goverment ki khamoshi per monday se gandum ki pasai rook di jayegi – mian muhammad riaz ka kehna tha ke ek director general punjab food authority ne poori goverment ko yargamal bana rakha hai jin ki waja se goverment aur floor mills association ke darmiyaan khaleej barh rahi hai..
SECP Ne Fees Wasooli Ke Liye Online Service Start Kardi
Islamabad: Securities and Exchange Commission of Pakistan ne e-service ko mazeed Aagay barhate huwe All Types ki regulatory aur deegar feeses ko jama karanay ke liye online sahoolat ka aaghaz kar diya gaya hai,
Aesy tamaam afraad jo MCB Bank ki Facility use karte huwe All Types ki regulatory feeses ki Payment kar sakte hain SECP ko kisi bhi qism ki regulatory Documents e-service ki sahoolat ke zariye jama karawai ja sakti hain jabke Related Documents ki fees adda karne ke liye bhi e-service ko he use karte huwe SECP ki web site se fees Challan Download kiya ja sakta hai,
Challan form per diya gaya Challan number apne online bank account main moujood funds transfer ke option main enter kar ke Regulatory fees adda kar sakte hain,
Online fees payment ki sahoolat ke sath abb Consumer aur investor kissi bhi jagah se regulatory Documents jama kara sakengay aur iss ke liye unhain SECP ke dafter ya bank tak jane ki zaroort nahi rahegi,
SECP Investors ko mazeed sahoolat faraham karne ki pesh nazar feeses ki online payments ke liye deegar option per bhi kaam kar raha hai jis ke baad investor credit card ya ATM ke zariye bhi regulatory fees adda kar sakengay,
Partners aur investors ki sahoolat ke pesh nazar online feeses ki payments ke mutaliq guidelines SECP ki web site per bhi Provide kar di gayi hai,