Technology

Duniya Mein Internet Istemaal Karne Walon Ki Tadaad 3 Arab 20 Crore Se Tajawaz Kar Gayi

 New York: Duniya Bhar Mein internet Istemaal Karne Walon Ki Tadaad Mein Guzashta Aik Dahai Ke Douran Teen Guna Izafa Howa Hai Aur Internet User Ki Ttadaad 3 Arab 20 Crore Se Tajawaz Kar Chuki Hai.

World bank ki janib se 2016 ke liye jari world development report mein inkishaaf kiya gaya hai ke Nigeria aur deegar taraqqi pazeer mumalik mein awam ko bijli aur saaf pani muyassar ho na ho lekin un ke paas mobile phone mojood hain.

Report mein mazeed kaha gaya hai ke aik andazay ke mutabiq taraqqi pazeer mumalik ki 70 feesad abadi mobile phone rakhnay par fakhar mehsoos karti hai.

World bank ki report ke mutabiq 2005 se 2015 ke douran internet istemaal karne walon ki tadaad mein teen guna se bhi ziyada izafah howa hai jo 1 arab se barh kar 2015 ke end tak 3 arab 20 crore taq ja pohanchi.

Is ke ilawa internet ke zariye karobari hazraat, awam aur hakoomaten aaj pehlay se ziyada aik dosray se raabtey mein hain.

Phone Ko Sirf 5 Minute Mein Charge Karne Wala Charger Tayyar

Beijing: Chines Experts Ne Aesa Charger Tayyar Kiya Hai Jo Sirf 5 Minute Me Aap Ke Phone Ko Charge Karega Jab Ke Ye Charger Khud Battery Ki Life Ko Bhi 4 Guna Barha Deta Hai.

Crowd funding Website ke mutabiq dish ASAP (As Soon As Pssible) Charger ko Chines experts ne tayyar kiya hai aur ye battery charger khud bhi USB port aur deegar alaat se charge ho sakta hai.

Dish charger ki charge karne ki gunjaish 5 hazaar MEH hai jab ke bazaar mein dastyab behtareen battery charger alaat ab tak 2 hazaar MEH se agay nahi poanch sakay.

Ek ASAP charger lagataar 3 iphone charge karne ke liye kaafi hai jin mein 15 minute se zayed ka waqfa nahi lagta.

Tecnology ke deegar mahireen ne kaha hai ke taiz tareen charging se phone ki original aur qeemti battery par koi muzir asar nahi hoga.

Mobile phone ki battery ko charge karne walay alaat 100 se 300 ya ziyada se ziyada 500 cycle ke baad khatam ho jatay hain lekin ASAP charger 1200 cycles tak kaam karta hai.

Is terha agar rozana istemaal kiya jaye to yeh 3 saal tak kaar amad rehta hai.
Charger ki qeemat 89 dollar ( Pakistani 9 hazaar rupay ) hai jis ki International sale rawan saal June se shuru hogi.

Iphone 7 Plus Mein 2 Back Cameras Ka Imkaan

 Iphone Ko Pehlay Hi Behtareen Smart Phone Camera Ki Badolat Jana Jata Hai Aur Imagine Karen Ke Agar 1 ke Bajaye 2 Back Ya Rear Camera Is Device Mein Lagey Hon To Is Ki Taaqat Kitni Hogi.

Wesay to Apple ke new iphone 7 ko samnay anay mein 8 month baqi hain magar is ke baare mein afwahon aur ittilaat ki aamad ka silsila jari hai.

Technology Website Mesh able ke mutabiq iphone ke baare mein jo ittila ab samnay aayi hai ke is ke mutabiq iphone 7 plus ke back par dual camera system hoga.

Agarchay 2 Rear Camera bzahir to ghair zaruri lagtay hain magar Apple ki janib se is izafi camera ko 3D video bananay ke liye istemaal kiya ja sakta hai jabkay software ki behtar triks ka mauqa bhi mil sakta hai.

Yeh dono camera Imaging Algorithms ke sath honge is Technology ko Apple ne guzashta saal 1 Company khareed kar haasil kiya tha.

Is Technology ke baais camera lense ki zaroorat nahi rehti jabkay yeh kam roshni mein bhi behtareen tasaveer lainay mein madad faraham karti hai.

Reports ke mutabiq iphone 7 plus mein Optical zoom ke function ko bhi behtar banaya ja sakta hai.

Khayaal rahay ke abhi tak 2 back camera wala smart phone Apple ke hareef Samsung ne bhi Introduce nahi karaya hai.

Youtube Ka Pakistani Users Ke Liye Special Version Introduce

 Website Ki Taraf Introduce Kurwaye Gaye Version Ke Baad Pakistan Mein Mojood Taqreeban Har User Ko Hi Youtube Ki Website Open Karne Par Logo Ke Sath Chhota Sa ”PK“ Bhi Likha Nazar Aa Raha Hai.

Lahore: Youtube ne Pakistani users ke liye aik special version introduce karwaya hai jis ke mutabiq Pakistan mein mojood users ke liye youtube ke logo par ”pk“ likha nazar aa raha hai.

Jab kay is se pehlay Pakistan mein youtube ka globle version hi dekha ja sakta tha taham America , England aur Germany samait duniya bhar ke mutadid mumalik mein pehlay se hi special version introduce kurwaye ja chuke thay aur un mumalik ke users ko youtube ki Website par apne mulk ka makhsoos code bhi nazar aata tha.

Lekin ab Website ki taraf se introduce kurwaye gaye version ke baad Pakistan mein mojood taqreeban har user ko hi youtube ki Website kholnay par logo ke sath chhota sa ”PK“ bhi likha nazar aa raha hai.

Taham youtube ke logo per ”pk“ ke bawajood bhi is version par bhi wo tamam Data available hai jo youtube ke globle version par mojood hai.

Huawei Ka Naya Smart Phone Meet 8 Introduced

 Famous Chinese Company Huawei Ne Apna Naya Smart Phone Meet 8 Introduce Kara Diya Hai.

Las Vegas Mein CES Numaish Ke Douran Huawei Ny Apna Naya Flag Ship Smart Phone Introduce Karaya.

6 inch 1080p display screen ke sath ye smart phone meet 7 phablet jaisay features se bharpoor hai.

Is mein Octa core crane 950 chip set mojood hai jo pehlay ke muqablay mein behtareen karkardagi aur Utilities ki haamil hai jab kay 16nm fun fate processor ke sath yeh taaqatwar tareen CPU ka haamil phone hai.

Is mein LTE kate six modem bhi nasb hai jab kay is ke deegar features mein pehlay se ziyada taaqatwar 16 mega pixls camera jis mein Huawei ka apna image signal processor aur sony ka sensor mojood hai jo usay zabardast bana dete hain.

Isi terha 128 GB tak Storage, 4000MEH battery aur pehlay se mo’assar Eye-Fi SENSORY Processor ke sath is Aluminium Smartphone mein android 6.0 operating system mojood hai.

Taham is mein herat angaiz tor par USB type C port charging ke liye mojood nahi taham pehlay se ziyada taiz finger print Scanner zaroor is ka hissa hai.

Ye phone 4 Colors mein sell ke liye paish kiya jayega taham is ki Price ka elaan abhi tak nahi howa.

Umeed hai ke is month ya feb mein isay sell ke liye paish kar diya jayega..

Business Class Bhool Jayen Ab Jahaaz Ki Chhat Par Safar Ka Iutf Uthayen

 New York: Kafi Fazai Companian Fazai Safar Ko Jadeed Aur Mazeed Lutf Andoz Bananay Ki Koshish Mein Masroof Amal Hain Aur Isi Koshish Mein Ek American Fazai Company Jahaaz Ki Chhat Par Safar Ka Anokha Aur Dilchasp Andaaz Muta’arif Kara Rahi Hai Jis Par Baith Kar Passenger Intahi Bulandi Par Baghair Kisi Rukawat Ke Duniya Ka Nzara Kar Sakenge.

American company ne jahaaz ki chhat par 2 seats bananay ka mansoobah bana liya hai jis mein seat oopar ki janib utthegi aur chhat par kisi bulbulay ki terha bani Transparent canopy mein ja kar fit ho jayegi Aur wahan betha passenger Pilot se bhi ziyada behtar andaaz mein aasman ki bulandiyon se lutf Andoz ho sakega.

Company ke mutabiq kayi jadeed design ke jahaaz bananay koshish ki ja rahi hai jab ke yeh jahaaz bhi isi koshish ka hissa hai.

Company ka kehna hai ke passenger un 2 seats par Elevator ke zariye upar ki janib utthega.

Passenger yeh 2 seats ya koi aik set 360 degree par ghuma kar ziyada behtar andaaz mein aasman ke na qabil faramosh manazair ko dekh sakta hai.

Company ka kehna hai ke kaafi arsay se fazai safar ke douran passengers ko koi khaas tafreeh muhayya nahi ki gayi aur yeh koshish passengers ke lambay safar ki boriat khatam kar kay unhen safar ka aik naya andaaz faraham kerega.

Company ka kehna hai ke in seats par bethnay ke liye passengers par view ke mutabiq alag se bhi kiraya ada karna parega.

Company ke mutabiq seats ki canopy super sonic jahazoo mein istemaal honay walay material se banai gayi hai aur woh parindon aur har qisam ke deegar pressure ko ba’asani bardasht kar sakegi jab ke is ki arrow dynamic girtay hue ansoo ki terhan ki shakal ki canopi usay har qisam ki ragar se mehfooz banati hai..

Japani Company Ne Water Proof Smart Phone Bana Diya

 Is Smart Ko Sabun Se Wash Karen Ya Shampoo Se, Isay Koi Nuqsaan Nahi Hoga.

Tokyo: Aik Tahaqeeq mein ye baat samnay aayi hai ke mobile phones ke bohat ziyada istemaal se hathon par mojood jaraseem ki barri tadaad un par muntaqil ho jati hai.

Gair mulki khabar rasan idaray ke mutabiq aik japaani company nay aesa Smart Phone tayyar kar liya hai jisay sabun aur pani se dhoya ja sakta hai.

Dignu Referee Nami ye phone apni taraf ka pehla smart phone hai jisay dhonay se koi nuqsaan nahi pohanchta.

Mobile mein Android 5.1 Operating System Aur 13 Mega Pixel Camera Nasb hai jab ke is ki Qeemat 310 British pond ya Pakistani 49 hazaar rupay hai.

Company ka daawa hai ke agar is ke plastic case par Scratches aur nishaan ajayeen to woh khud ba’khud door ho jaienge.

Is new Water Proof mobile phone ko bananay ka maqsad un Parents ki pareshani ko door karna hai jo apne mobile phone ko saaf rakhna chahtay hain.

Is mobile phone ki tashheer ke liye banai gayi aik video mein dekhaya gaya hai ke aik bachay ke haath se phone tomato ketchap se bhari plate mein gir jata hai jis ke baad is ki walida is phone ko utha kar dho deti hai.

Company ne daawa kiya hai ke apni tarz ka yeh pehla smart phone hai jo market mein samnay laya gaya hai.

is phone ko market mein laane se pehlay 700 martaba pani aur sabun se dhoya gaya lekin is ki body aur androoni parts ko koi farq nahi para aur woh bilkul sahi salamat rahay..

Airport Par Passengers Ko guide Karne Wala ‘Robot’ Tayyar

 Robot Apne Laser System Ke Zariye Musalsal Atraaf Ko Dekhta Hai.
Spencer Nami Yeh Robot Ghoomta Rehta Hai Aur Musafiron Ko Aik Gate Se Dosray Gate Tak Jane Mein Madad Faraham Karta Hai Logon Ko Trolley Aur Samaan Rakhnay Mein Bhi Madad Karta Hai.

Stockholm: Europe ke aik airport par Aazmaishi tor par aik Insaan dost robot mutarif karaya gaya hai jo kayi tarha se pareshan musafiron ki madad kar raha hai.

Spencer Nami yeh robot ghoomta rehta hai aur musafiron ko aik gate se dosray gate tak jany mein madad faraham karta hai.

Iska poora naam’ Social Situation Aware Perception And Action For Cognitive Robots hai jis ki memory mein Airports flights ki tamam maloomat Maps aur gate waghera ki tafseelaat mojood hain.

Robot kisi ko ghoor kar nahi daikhta kyun Ke pareshan log mazeed pareshan nah hon.
Apne laser system ke zariye yeh musalsal atraaf ko daikhta hai trolley aur samaan rakhnay mein bhi madad karta hai.

Is mein mojood software insani bartao aur ravaiye ko dekhte hue yeh andaza laga sakta hai ke woh jaldi mein hain, pareshan hain ya nahi.

Sweden ki Orebro University ke scientists ne usay tayyar kya hai.

Airport par bohat si tabdeelian hoti rehti hain jo musafiron ko pareshan karti hain aur yeh robot Maps honay ki wajah se un ki madad karta hai..

WiFi Se 100 Guna Ziyada Raftaar Wala ‘LiFi’ Tayyar

 Edinburgh: Internet Ki Speed Se Aksar Log Pareshan Rehtay Hain Aur Shikayat Karte Nazar Atay Hain Lekin Ab Unhen Pareshan Honay Ki Zaroorat Nahi Kyun Ke Ab Wifi Se 100 Guna Ziyada Taiz Raftaar Lifi Maidan Mein Aagaya Hai Jo Data Ko Ziyada Taizi Se Muntaqil Karne Ki Salahiyat Rakhta Hai.

University Of Edinburgh ke Scientists ne radio band ki bajaye roshni ke zariye data muntaqili ka pehli baar Lab se bahar Tajurba kiya jis ke herat angaiz nataij samnay aeye aur data Wifi se 100 guna ziyada taizi se muntaqil howa.

Is Ejaad ke inventor Harald Hayes ne Lifi ke liye visible light communication (VLC) ka istemaal karte hue intehai jadeed morse code ke zariye usay qabil istemaal banaya.

LED micro chips lagey bulb ke of aur on ke douran roshni aam aankhh se mehsoos nahi ki jasakaygi jab ke yeh amal data ko binary code par muntaqil kar daita hai.

Scientists ka kehna hai ke pehli baar is tajarbay ko Lab se bahar kiya gaya aur yeh baat samnay aayi ke yeh tareeqa aik second mein aik GB data muntaqil karta hai jo ke Wifi se 100 guna ziyada raftaar hai jis ka matlab hai ke is ke market mein atay hi internet ki raftaar herat angaiz hadd tak taiz hojayegi.

Company ke cheif executive officer Deepak Solnki ka kehna hai ke fil haal Industrial mahol mein Smart Lighting Solutions ka istemaal kiya ja raha hai kyun ke wahan light ko data muntaqili ke liye istemaal kiya jata hai.

Unka kehna hai ke Lifi na sirf taiz raftaar hai balkay mehfooz bhi hai kyun ke roshni dewaron se nahi guzar sakti is liye deegar device ki mudakhlat bhi mumkin nahi.

Lifi ke Inventor Hayes ka kehna hai ke jald poori duniya LED light bulb mein lagi micro chips ki madad internet istemaal karenge..

Chrome Se “OK Google” VoiceCommand Feature Khatam

 Google Ne Apne Browser Chrome Se “OK Google” Voice Command Feature Khatam kar diya.

Venture Beat ke mutabiq ziyada tar log is feature ko use nahi kar rahay they is wajah se Google ne usay browser se khatam kar diya hai taham yeh changes mobile ya Google box ke liye nahi ki gayeen.

Is feature ko aik extension ke zariye November 2013 mein Introduced karwaya gaya tha.

Isko install karne ke baad aap ‘OK Google’ kehnay ke baad apne browser ko apni aawaz ke zariye command day satke they.

Launching ke mauqe par Google ka kehna tha ke yeh feature is waqt kaam aeyega jab aap apne laptop par kuch browse karna chahtay hain taham aap ke dono haath masroof hain ( jaisay khana pakatay hue ).

Taham baad mein yeh baat samnay aayi ke ziyada tar log apne mobile par is feature ka istemaal karna chahtay hain taham computer par yeh soorat e haal nahi hai.

Is feature ko chrome 46 ki launch par khatam kya gaya.

Is ke elawa is Deep-up mein chrome notification center ka bhi khtama kar diya gaya..

News
Karachi
December 2024
M T W T F S S
« Mar    
 1
2345678
9101112131415
16171819202122
23242526272829
3031