Technology

3G Aur 4G Technology Ke Liye 4 Mobile Companies Ne Qualify Kar Liya

Islamabad: 3G Aur 4G mobile technology ke liye 4 companies ne qualify kar liya. Modern Technology ki neelami 23 april ko hogi,

Report ke mutabiq PTA hakkam ka kehna hai ke 3G aur 4G technology neelami ki offers ke sath 200 million dollars ki raqam mousool hui ho gai hai jo naqabil-e-wapsi hai,

Technology ki neelami ke liye qualify karne wali companies main , Mobilink , Telenor , Chaina Mobile Zong , aur Ufone shamil hain,

Inn 4 companies ke elawa kissi Foreign company ne neelami main Offer jama nahi karawai PTA ke hakkam ke mutabiq neelami main 3G mobile technology ke 3 aur 4G ke 2 License diye jayengay,

Iss se pehlay islamabad main Senator Zahid Khan zere-sadarat Senate ki qaima committee IT aur telecom ka ijlaas hua jis main Senate ki Sub-Committee ka kehna tha ke 23 april ko neelami ka amal Cancel kiya jaye kyu ke 3G ki neelami ke liye qanooni taqazay poray nahi huwe,
Committee ke mutabiq Ufone ko boli main hissa lene se roka jaye aur government PTA authority ka quorum poora kare,

Committee ke member Faisal Raza Abidi ka kehna tha ke iss bat ko yaqeeni banaya jaye ke Ufone 3G aur 4G ki neelami main hissa na ly,

Unhone kaha ke hum ek cheez sell karna chahen aur aur hamara apna idara he usay purchase kare yeh mumkin nahi,

Hum 3G aur 4G ki neelami rokna nahi chahte sirf zaroori kaam pore kar diye jayen Committee ne 3G aur 4G spectrum ki neelami alag alag karne ki bhi safarish ki,..

Smart Contact Lens

Pichlay dino google ne contact lens banane ka Aelaan kiya jo Ansoun ya Ankhon ki nami main glucose ki maqdaar janchega,

yeh Ejaad duniya bhar main diabetes ke patients ke liye nihayat faida mand sabit hogi kyun ki contact lens main lagay ek chote se gluco meter aur wireless transmitter ki wajah se ab diabetes ke patient apni ungliyaan shedne se bach jayenge.

Diabetes ke patients ko baaz Ouqaat din main kafi martaba apni diet ke lihaz se blood main sugar ki miqdar maloom karne ki zaroort paish Aati hai iss ke liye patient ke jism se mamooli miqdar main blood nikal kar makhsoos tool se iss main glucose ki janch ki jati hai

Iss contact lens ki tayyari main google ko 18 maah ka arsa laga hai google duniya main technology ki madad se inqlabi tabdeeliyaan laane ke liye apni khidmaat anjaam de rha hai aur iss maidaan main mukhtalif tajurbaat kar rha hai

Iss lanse ki tasveer per investigation ka silsila chand baras pehlay university of washington main bhi start hua tha aur project per national science foundation ke tehat experiences hue thy

Iss ke elawa bhi mukhtalif department diabetes se relate chote tools ready kar chukay hain,

Google ki yeh ejaad ek normal contact lens ki tarah hai lekin apne kaam ke Aitbaar se nihayat eham hai lens ki teho ke darmiyaan glucose sensor hoga

Sensor ke sath hazaroon bareek transmitter moujood hain iss ke elawa lense main baal se bhi bareek ek antenna moujood hai-chip aur sensor ek zarry ke brabar hain lense main lage tools fiza main moujood lehroon se tawanai hasil karte hain

In intehai bareek tools aur wires ko apas main munsalik karna nihayat mehnat talb kaam tha isey glucose napnay wala sub se chota meter kaha ja sakta hai scientist yeh koshish bhi kar rhe hain ke lense main aesi choti lines lagai jayen jo glucose ki maqdaar mamool se kam ya zyada hone per warning jaari karen,

Ankhon main lagaye jane per yeh lense batayega ke blood main sugar kitni hai aur ab patient ki dawa ka waqt ho gaya hai ya usey metha khane se parhez karna hai

yeh lense har second per glucose ki maqdaar janch sakengey iss se relate ibtedai experiences complete ho chukey hain ta’hum isse 5 saal baad market main laya ja sakega lekin khamiyaan bhi samne aai hain jinhain door kiya jayega

scientist ki iss koshish ko sarahne ke sath mahreen sehat ne iss bat per zoor diya hai ke tool  ki madad se drust or bar’waqt maloomat ko yaqeeni banana hoga iss main kisi qism ki galti aur nuks ki gunjaish nahi..

Sirf 30 Seconds Mein Bemari Ka Pata lagane Wali Machine Tayar

famous japani company toshiba ne ek aesa unit tayar kiya hai jis ki madad se sirf 30 seconds main insaani jism main moujood mukhtalif bemariyoon ka pata lagaya ja sakta hai jis main bil-khusoos diabetes aur pait ke masail shamil hain,

Kisi bhi insaan main moujood bemari ke baray main sirf 30 seconds main information dene walay iss unit ka size sirf ek dish washer ke brabar hai aur iss unit ko istamaal karne ka tariqa nihayat hi Aasan hai,

Iss unit main ek nozal moujood hai jis ke zariye insaan saans muntaqil karega aur sirf 30 seconds ke mukhtasir se waqfay main uss ke jism main moujood bemariyoon ka pata chal jayega,

Weather

Karachi main barish mosam khuash gawar bache school na jasake Karachi University ki Point Service motal Student bus stop pe hi khare rehgaye.

News
Karachi
April 2024
M T W T F S S
« Mar    
1234567
891011121314
15161718192021
22232425262728
2930