Pakistan Apne Mulk Se Shar-Pasando ka Safaya Karey:Iran

Tehran: Iran ne pakistan se kaha hai ke magvi irani sarhadi muhafizeen ke qatal ki khabrain drust hain to sarkari tor per aelaan kiya jaye aur pakistan apne mulk se shar-pasando ka safaya karey,

Irani team sarkari news department se baat karte hue irani vazeer-e-dakhla Hussain Ali ameeri ne kaha hai ke pakistani government ko iss ki sarzameen per irani forcies ke noujwaan ki halakat ke bare main sarkari tor per mouqaf akhtyaar karna chahye,

jaish al-adl nami dehshat gard groups ke hathon ek irani sarhadi jawaan jamshed danayi far ki halakat ki khabar drust hui to iran aur pakistan ke safaratkaroon ke darmiyaan jaari guftagu per munfi asar parega,

Unhone kaha ke irani government vazeer-e-dakhla parliamentarians aur deegar security idaray magvi security guards main se ek ki halakat ke baray main investigation kar rhe hain,

Gold Mian Fee Tola 200 rupy kami: Gold 51,200 ka ho gaya

Karachi: Aalmi market main gold ki qeemat main kami ke baad maqami bazaar main 10 gram sona 171 rupy aur fee tola 200 rupy sasta ho gaya,

Aalmi market main dollar ki qeemat main izafay ke baad sone ki qeemat main numayaan kami dekhi gayi,
London main sone ka fee ounce rate 10 dollar kami se 1,320 dollar tak gir gaya iss kami ka asar maqami sarafa bazaar main bhi hua,

Jahan 10 gram qeemat 171 rupy kami se 43,885 rupy per agayi aur fee tola sona 200 rupy sasta hokar 51200 ka ho gaya..

Software Export board Ki 160 Noujawaano Ko Intership Per Mulazmat Ki peshkash

Islamabad: Pakistan software export board ( P S E P ) ne national ( I C T ) intership program ke tahet 160 noujawaano ko information technology ( I T ) aur telecom companies main batoor interni mulazmaton ki peshkash ki hai,

Yeh program national IT research nad devlopmint fund ke tahet start kiya ja raha hai P S E P 16 saal ke graduate 300 noujawaano per mushtamil ek batch ko interni ke tour per rozgaar faraham kar chuka hai jointership ki muddat kamyabi se mukammal kar chukey hain,

P S E P ke hakkam ne bataya ke program ke tahet P S E P ne marhala war 4 maah ki muddat ke liye 800 graduates appoint karne hain jabke graduates ko traning complate karne ke baad interni noujawaano ko 16 hazar monthly payment bhi ada karta hai,

T20 World Cup: Kohli Aur Raina Ne India ko Jitwa Diya

Bangladesh main khelay jane waley T20 world cup ke ek important match main india ne pakistan ko 7 wicket se khikast dedi virat kohli aur suresh raina ne apni team ki fateh main acha kirdar ada kiya,

Mirpur: mirpur ke sher bangla stadium main khelay ja rhe ek eham match main india ne pakistan ke khilaaf toss jeet kar pehlay fielding ka faisla kiya tha jo intehai sood mand sabit hua,

Indian bowlers ne apni bowling se kisi bhi pakistani player ko jam kar khelne ka moqa faraham na kiya aur pakistani team ne total 20 overs main india ko 7 wicket ke nuqsaan per 131 ka target diya jo indian players ne buhat asaani se pora kar liya,

Suresh raina aur virat kohli ne shandaar partnership ki badoulat team main eham kirdar ada kiya virat kohli ne 36 jabke suresh raina ne 35 runs ke sath not out ki innings kheli

American Dollar interbank Mian Ek Saal Ki kam Tareen Sateh Per

Karachi: Exporters ki janib se hukumat per dabao ke ba-wajood guzishta roz zare-mubadla ki dono mandiyon main american dollar ki qadar main kami ka rehjan dekha gaya hai,

Interbank market main pakistani rupy main 0.90 fesad izafa hua aur dollar ki qadar 89 pesy ki kami se ek saal ki kam tareen sateh 98.20 rupy per agai,

currency dealers ke mutabiq open market main dollar ki qadar 100 rupy se ghatt kar 99 rupy 50 pesey per band hui,

Sirf 30 Seconds Mein Bemari Ka Pata lagane Wali Machine Tayar

famous japani company toshiba ne ek aesa unit tayar kiya hai jis ki madad se sirf 30 seconds main insaani jism main moujood mukhtalif bemariyoon ka pata lagaya ja sakta hai jis main bil-khusoos diabetes aur pait ke masail shamil hain,

Kisi bhi insaan main moujood bemari ke baray main sirf 30 seconds main information dene walay iss unit ka size sirf ek dish washer ke brabar hai aur iss unit ko istamaal karne ka tariqa nihayat hi Aasan hai,

Iss unit main ek nozal moujood hai jis ke zariye insaan saans muntaqil karega aur sirf 30 seconds ke mukhtasir se waqfay main uss ke jism main moujood bemariyoon ka pata chal jayega,

LPG Ki Qeemat Main 5 Rupy Fee Kilo Izafa

Lahore: LPG marketing companies ne ogra ke hukum ke ba-wajood liquefied petroleum gas ki qeemat main 5 rupy fee kilo izafa kar diya hai,

Report ke mutabiq LPG marketing companies ne LPG ki qeemat main 5 rupy fee kilo izafa kar diya hai jis ke baad gharelo slender ki qeemat main 60 rupy jabke commercial slender ki qeemat main 240 rupy izafa ho gaya hai,

LPG ki qeemat main 5 rupy fee kilo izafey se ab lahore,karachi,islamabad,rawalpindi,multan,hyderabad,sukkur,gujranwala,gujrat,sialkot,aur peshawar main LPG 125 rupy fee kilo tak dastiyaab hogi jabke pahari elaqoon main LPG ki qeemat 145 rupy fee kilo ho gayi hai,

World T20 Warm up Match Pakistan Ne New zeland ko 7 Wicket se Hara diya

Dhaka: World T20 warm up match main pakistan ne new zeland ko 7 wicket se shikast dedi,

pakistan ne total score over ki 4th ball per hasil kiya-dhaka main khely jane waly match ka toss new zeland ke captain brendon mccullum ne jeet kar betting ka faisla kiya,

New zeland ne 20 overs main pakistan ko 146 ka target diya- new zeland ke captain brendon mccullum ne 59 runs banaye aur Colin Munro ne 20 aur Martin Guptill ne 11 runs banaye pakistan ki janib se Umer Gull ne 3 Muhammad talha ne 2 Saeed Ajmal Sohail Tanvir Bilawal Bhatti ne 1,1 wicket hasil ki,

Jawab main pakistan ne total score 3 wicket ke nuqsaan per last over ki 4th ball per poora kar liya pakistan ki janib se opnar ne shandaar Aagaz farahm kiya Sharjeel Khan sirf 12 runs bana kar out ho gaye,

Iss ke baad muhammad hafeez aur kamran Akmal ne zimedarana betting karte huwe half centuries banai Muhammad hafeez ne 55 aur Kamran Akmal ne 52 runs banaye,

Interbank Mian Dollar 98 Rupy 92 pesy ki Sateh Per Agaya

Karachi: Rupay ke muqably main american dollar 98 rupy 92 pesy ki  sateh per agaya hai,

Guzishta kuch dino se rupy ki qadar main tezi se izafa hua hai aur dollar ki qadar har guzarte din ke sath kam hoti ja rhi hai,

Report ke mutabiq interbank market main trading ke douraan ek maqaam per dollar 45 pesy ki kami ke bad 98 rupy 95 pesy ki  sateh per dekha gaya,

Iqtesadi tajzia karon ke mutabiq markazi bank ki janib se rupy ko mazeed mustahkam karne k liye sharah sood ko 10% per barqaraar rakha gaya tha jis ke asraat numayaan ho rhe hain,

Cricket Awards Afridi 2013 Ke Behtreen One Day Bowler Qaraar

Dubai: Maroof cricket website ”cricinfo” ke awards main pakistani all rounder shahid afridi ne 2013 ke bahtreen one day international bowler ka title jeet liya,

Shahid Afridi ko yeh title west indies ke khilaaf 14 july ke 5 matches per mushtamil series ke pehlay one day main 12 runs per 7 wickets hasil karne ki bahtreen performance per diya gaya,

Iss match main afridi ne apni Betting ke johar bhi dikhaye aur 55 balls per 76 ki inning kheli thi, yeh afridi ka 2nd ”cricinfo” award hai woh issi category main 2009 main bhi aizaaz ke haqdaar ban chukay hain,

News

Karachi
April 2024
M T W T F S S
« Mar    
1234567
891011121314
15161718192021
22232425262728
2930