World
Saneha Army Public School Ko Ek Saal Guzar Gaya
Peshawar: Army Public School Par Hamlay Ko Aik Baras Beet Gaya Ta’ham Dehshat Gardon Ki Masoom Students Ke Sath Kheli Gayi Khoon Ki Holi Ke Zakham Aaj Bhi Taza Hain.
Peshawar ke Army Public School par hamlay ki yaad mein mulk bhar mein Dua tqarib aur programs munaqqid kiye ja rahay hain,
Is silsilay mein markazi taqreeb Army Public School Peshawar mein munaqqid ki gayi jis mein Wazeer-e-Azam Nawaz shareef, Army Cheif General Raheel Shareef, Charon Sobon ke wazraye Aala, Governor Khyber Pakhtun khwa Sardar Mehtaab Abbasi Aur Wifaqi o sobai wazraa sameit Aala siyasi o askari shaksiaat ney shirkat ki.
Is ke ilawa taqreeb mein Wazeer-e-Azam Azad Kashmir Chohadry Abdul Majeed aur Governor o wazeer e Aala Gilgit Bultistan bhi taqreeb mein shareek they.
Saneha 16 decemeber mein shaheed honay walay Army Public School ke shohada ki pehli barsi par mulk ke charon sobon ke taleemi idaray band hain jab ke Punjab university ney aaj honay walay tamam imtehanat bhi multawi kar diye hain jin ki new date ka elaan baad mein kiya jayega.
Doosri janib shuhdaye APS ki pehli barsi ke mauqe par Pakistan Baar Council, Punjab Baar Council aur Islamabad Baar Council ki appeal par Lawyers baradri ne bhi mulk bhar mein yom siyah manaya.
Wazeh rahay ke guzishta baras 16 decemeber ko hi Army Public School Peshawar mein dehshat gardon ne hamla kar ke be dardi se 132 masoom bachon samait 144 afraad ko Shaheed kar diya tha..
Mulk Bhar Mein 8.1 Darjay Ke Zalzalay Ke Shadeed Jhatkay
Lahore: Islamabad, DI Khan Sameit Mulk Ke Mukhtalif Shehron Mein 8.1 Darjay Ke Zalzalay Ke Shadeed Jhatkay.
Log Kalma Tayyaba Ka Vird Karte Gharon Aur Dafatir Se Bahar Nikal Aeye Aur abhi kisi jani o maali nuqsaan ki ittila nahi mili hai .
American zalzala kohay pema markaz ke mutabiq zalzalay ki shiddat 7.7 record ki gayi.
Pakistan ki tareekh mein yeh sab se ziyada shiddat wala zalzala hai jis ke jhatkay 1 minute se zayed waqt mehsoos kiye gaye.
Zalzalay ke shadeed jhatkon ke baais log gharon aur dafatir se kalma tayyiba ka vird karte hue bahar nikal aeye.
Ibtidayi maloomat ke mutabiq zalzalay ke shadeed jhatkon se mawaslati nizaam darham barham ho gaya.
traffic aur tele communication ka nizaam bhi mutasir howa hai.
Pakistan mein director mehakma mosmiyat ka kehna hai ke zalzalay ki shiddat 8.1 record ki gayi hai.
Unhon ne bataya ke zalzalay ki geherai 193 kilometer thi jabkay is ka markaz Afghanistan ke paas tha.
Wazeh rahay ke Pakistan mein 2005 mein anay wala zalzala 7.6 shiddat ka tha.
Zalzalay ke jhatkay India aur Afghanistan mein bhi mehsoos kiye gaye hain..
Malaysia Mein Tarkin Watan Ki Kashti Ulatnay Se 14 Afraad Halaak
Kuala Lumpur: Malaysia Ke Maghribi Saahil Ke Qareeb Tarikeen Watan Ki Kashti Ulatnay Se 14 Afraad Halaak Gogaye.
Ghair mulki khabar agency ke mutabiq haadsa malaysia ke maghribi saahil mein masroof tareen tijarti aabi guzargah abnaye malaka ke qareeb paish aaya.
Jahan ghair qanooni tor par malaysia mein daakhil honay walay tarikeen watan ki kashti ulat gayi jis mein 100 se zayed afraad sawaar they.
Haadsay ke baad muqami mahi gairon ne doobnay walay mutadid afraad ki jaan bachai jab ke is douran 14 afraad ki lashain bhi nikaali gayi jin mein khawateen bhi shaamil hain.
Malaysia ke hakkaam ke mutabiq tarkin watan ki bari tadaad ab bhi lapta hai jinhein talash kiya ja raha hai aur is ke baais halakaton mein mazeed izafay ka bhi khadsha hai.
Muqami media ke mutabiq haadsay ki wajah kashti mein gunjaish se ziyada musafiron ko sawaar karna tha jab ke kashti mein sawaar afraad ki aksariyat ka talluq Indonesia se tha taham hakkaam ki janib se is ki tasdeeq nahi ki gayi hai.
Wazeh rahay ke 20 laakh se zayed afraad rozgaar ke liye ghair qanooni tor par malaysia mein muqeem hain jin ki aksariyat ka talluq hamsaye mulk Indonesia se hai jahan se har saal hazaron afraad rozgaar ki talaash mein tang aur khatarnaak aabi guzar gahon se malaysia mein daakhil hotay hain.
Wazan ki zayadti aur tando taiz lehron ki wajah se aksar kashtiyan ulatnay ke hadsaat paish atay rehtay hain aur is se 2 mah pehlay bhi Indonishin tarikeen watan ki aik kashti ulatnay se 12 afraad halaak hogaye they.
Nepal Mein Zalzalay Se Halaak Honay Walon Ki Tadaad 3700 Se Tajawaz Kar Gayi
Khatmandu: Nepal Mein 2 Roz Qabal Anay Walay Tabah Kun Zalzalay Se Halaak Honay Walon Ki Tadaad 3700 Se Tajawaz Kar Gayi Hai Jab Ke Ab Bhi Hazaron Afraad Imaarton Ke Malbay Taley Dabey Hain Jinhein Nikaalne Ke Liye Imdadi Karwai Jari Hai.
Report ke mutabiq guzishta haftay 7.9 shiddat ke zalzalay se nepal ke 75 mein se 35 azlaa buri terha mutasir hue hain.
Kayi elaqon ke mulk ke deegar hisson se zameeni aur mawaslati raabtey mukammal tor par toot chuke hain.
Is ke ilawa maghribi nepal ke pahari elaqon aur unke nawahi dehaat mein bhi bohat ziyada tabahi hui hai taham dushwaar guzaar raaston aur rabton ki kami ki wajah se wahan ki durust soorat e haal ka andaza nahi ho raha.
Nepal ka dar-al-hakoomat Khatmandu zalzalay se sab se ziyada mutasir howa hai jo is waqt khaima basti mein tabdeel ho chuka hai.
Zalzalay ke baad Aftershocks ka silsila ab bhi jari hai jis ki wajah se logon mein shadeed khauf o hiraas paaya jata hai aur awam khulay aasman taley zindagi guzaarne par majboor hain.
Nepal ki wizarat baraye hungami sorat e haal ke sarbarah Ram Ishwar dangal ke mutabiq ab tak 3700 se zayed laashon ko nikala ja chuka hai jab ke zakhmion ki tadaad 6500 se tajawaz kar chuki hai.
Malbay taley ab bhi hazaron afraad dabey hue hain jis ki wajah se halakaton ki tadaad mazeed barh sakti hai.
Nepal mein guzashta 81 barson mein anay wala ye taaqatwar tareen zalzala tha.
Is se qabal 1934۶ mein anay walay 8.3 shiddat ke zalzalay mein 10 hazaar afraad halaak hue thay..
Pakistan Samait Duniya Bhar Mein Aaj Hemophilia Ka Din Manaya Ja Raha Hai
Lahore: Pakistan Samait Duniya Bhar Mein Aaj Hemophilia Ka Din Manaya Ja Raha Hai.
khoon insani jism ka laazmi juza hai ragon mein dorta khoon zindagi ko har dam rawan rakhta hai.
Yahi khoon agar bahne lagay aur ruknay ka naam na le aur insaan is ki kami ka shikaar ho jaye to Hemophilia jaisi khatar’naak bemari wajood mein aati hai.
Hemophilia aik khandani ya moroosi bemari hai jo walidain se bachon mein muntaqil hoti hai aur ziyada tar mard hi is ka shikaar hotay hain.
Is ki alamaat mein jism par surkh ya neelay nishaan parna zakham hone ki soorat mein khoon ka na rukna aur joron ka sooj jana shaamil hain.
Aik mohtaat andazay ke mutabiq Pakistan mein taqreeban 50 hazaar afraad Hemophilia ke marz mein mubtala hain jin mein 90% aisay hain jo Jahalat,Gurbat,Aagahi ki kami Medical Facilities ki Adam dasteyabi ki wajah se apna ilaaj karwanay se qaasir rehtay hain.
Hukoomati satah par Aagahi Campaigns aur Medical institutions ko di jane wali Facilities is bemari ke mareezon ko khatir khuwa faida deney mein madad degi..
Saudi Arab Aur Dubai Mein Rait Ka Toofaan
Riaz, Dubai: Saudi Arab Ke Dar-Ul-Hukoomat Riaz samait Mutadid Shehron Aur Dubai Mein Rait Ke Shadeed Toofaan Se Nizaam Zindagi Darham Barham Hogaya Jabkay Communication Ka Nizaam Mutasir Honay Se Flights Aur Trains Bhi Late Hogai.
Rait ke tufaan ki wajah se PIA ki flights bhi mansookh ho gayeen.
Saudi media kay mutabiq dar-al-hakoomat Riaz samait Saudi arab ke mutadid shehron mein rait ke shadeed tufaan ke baa’is har tarf gird o gubhar ki dabeez chadar bichh gayi aur shehri gharon mein mahsor ho kar reh gaye jabkay schools ko band kar diya gaya Communication nizaam bhi buri tarha mutasir howa.
Ta’hum fori tor par bahaali ka amal shuru kar diya gaya.
Dubai mein rait aur matti ke tufaan se had nigah 200 se 300 meter tak reh gayi jabkay tufaan se nizaam zindagi buri tarha maflooj ho kar reh gaya.
Dubai aur Abu Dhabi mein flights ke schedule tabdeel kar diye gaye jabkay trains ki aamad o Raft ko bhi rok diya gaya.
Roads par trafic bhi rok di gayi shadeed tufaan se school o dafatir ko bhi band kar diya gaya.
Dubai ke mehakma mosmiyat ke mutabiq rait ke tufaan aur shadeed hawaon ki wajah se samandar mein tughyani aagai hai.
Jis se qareebi areas mein shehrion ko high alert jari kar diya gaya hai ilawa azeen mashriqi wasti ke mumalik mein rait ke tufaan aur mausam ki kharabi ki wajah se airport par had nigah sifar honay ki wajah se Pakistan international air line ki Karachi samait mulk ke deegar airports se jane wali 6 flights mansookh kar di gayeen.
China Mein Gadhay Ke Taaza Gosht Ke Liye Kharidaro Ki Line Lag Gaye
Beijing: Gadhay Ka Gosht Khanay Ka Tasawwur Hi Qabil Nafrat Mehsoos Hota Hai Lekin Cheeni Apne Naye Saal Ki Khushi Mein Apne Samnay Gadhon Ko Intehai Zalimana Andaaz Mein Halaak Karwa Ke Un Ka Taaza Gosht Dheron Dhair Khareed Rahay Hain.
Chein mein gadhay ke gosht ko khaas soghaat samjha jata hai aur logon ki khwahish hoti hai ke woh taaza gosht azeezon aur doston ke liye tohfay ke tor par le kar jayen.
Kharidaro ki is khwahish ko poora karne ke liye qasai un ke samnay gadhay ko halaak karte hain.
Haal hi mein cheeni soobah hobay ke shehar bounding mein gadhay ke taaza gosht ki tayari ke manazair samnay aaye hain jinhen dekh kar duniya mein khauf aur ishtial ki lehar daur gayi hai.
Gadhay ki tangein bandh kar usay lita diya jata hai aur 1 shakhs is ke sir se bandhi rassi ko khech kar rakhta hai jab ke dosra aik barray hathoray ke sath badnaseeb janwar ke sir par waar karna shuru kar deta hai aur phir is ki gardan kaat kar khoon aik plastic ke dabba mein jama kar letay hain.
Is ke baad gahak ke samnay gadhay ka taaza gosht tayyar kiya jata hai. yeh gosht aam halaat mein to bohat mehanga bikta hai magar naye saal ke mauqa par hazaron lakhoon gadhon ka bandobast kiya jata hai aur un ka taaza gosht taqreeban aik hazaar rupay fi kilo mein becha jata hai.
Naye Saal 2015 Ka Sooraj Tulu Hogaya Pakistani Shehri Mulk Mein Qiyam Aman Ke Khwahan
Naye Saal Mein Mulk Mein Khoshion Ka Daur Dora Ho, Kisi Be-Gunah Ka Khoon Na Bahe, Saal No Par Shehrion Ke Ta’suraat.
Islamabad: 2015 ka Sooraj apni poori Aabb wa-taab ke sath tulu ho gaya.
Khuda kere ye saal Ahal-e-Pakistan ke liye Umedon, Ygangat, Akhuwat o bhai Chaaray aur Aman o Aashtee ka saal ho.
Khuda kere saal no Arz Pakistan mein basnay walon ke liye khoshion ka payamabar ho.
Sir zameen pak mein basnay wala har shehri khushaal ho.
Kisi ka khoon bahe na kisi ke ansoo na kisi ki izzat o Namoos pamaalna ho.
Insaaf har aik ko aaye is terhan muyassar Aameen..
Hooshiyar! Hackers Ne 50 Laakh Ke Qareeb G Mail Paas Words Chori Kar Liye
New Delhi:Russian Hackers Ne 50 Laakh Ke Qareeb G Mail IDs Aur Paas Words Chori Kar Liye Jo Ke Drive, Plus, Youtube Aur Maps Waghera Ke Liye Bhi Istemaal Hotay Hain,
Indian media reports ke mutabiq russian Hackers ne taqreeban 49 laakh 30 hazaar G Mail IDs aur paas words chori kar liye hain aur yeh tamam paas words G mail ke ilawa, drive, plus, you tube aur maps ke liye bhi istemaal hotay hain.
Hackers ne accounts ki tafseelaat bhi internet par jari kar di hain aur kaha hai ke heck kiye gaye paas words mein se 60% paas words ab bhi Active hain.
Doosri janib Google ka kehna hai ke chori kiye gaye paas words mein se sirf 2% active hain aur hamaray khud’car anti high jacking system ne paas word chori karne ki bohat si koshishon ko roka.
Google ka kehna hai ke IDs aur paas words hamaray system ki kamzori ki wajah se chori nahi hue bal’kay aksar aisi Ehem cheezein mukhtalif zaraye se haasil ki jati hain.
Agar aap aik jaisi user IDs aur paas words ko mukhtalif Websites par istemaal karte hain aur un mein se aik Website hack ho jati hai to is account ke zariye se doosri Website par bhi ba aasani login ho sakta hai jab ke kuch hackers IDs aur paas words hack karne ke liye dosray tareeqay bhi istemaal karte hain…
Chaman Maal Road Per Remote Control Bomb Dhamaka 3 Ahlkaar Samait 11 Afraad Zakhmi
Chaman: Maal Road Per Additional Deputy Commissioner House Ke Samne Motor Bike Main Zordar Bomb Dhamaka 3 Ahlkaron Samait 11 Afraad Zakhmi Ho Gaye,
Chaman shehar ke gunjan abad elaqay maal road per additional deputy commissioner house ke samne ek dorzar bomb dhamaka hua jis se 3 ahlkaron samait 11 afraad zakhmi howey,
Dhamake ke baad police aur deegar qanoon nafiz karne wale idaaron le ahlkaar moqe per ponch kar elaqay ko mukammal seal kar diya aur tamaam zakhmiyon ko district headquarters hospital chaman muntakil kar diya,
Eany shahidain ke mutabiq ke bomb ek khari motor bike main hua.
Security sources ki preliminary report ke mutabiq bomb remote control tha aur dehshat gardo ka nishana police ki gari thi.
Iss silsilay main mazeed tafteesh jari hai dhamake se qareebi dukano aur gariyon ko bhi shadeed nuqsaan poncha hai..