World

Denmark Main Mulk Ki Sub Se Bari Jama masjid Ka Iftetaah ho Gaya

Denmark Ke Dar-ul-Hukumat Copenhagen Main Pehli Bari  Aur Baqaida Meenaron Wali Masjid Ka Ka Iftetaah ho Gaya hai Iss masjid Ki Tameer Main Qatar Ne Maali Tawun Faraham Kiya Hai,

Copenhagen: Denmark main iss se pehle bhi kayi masajid moujood hain ta’hum isse mulk ki pehli bari masjid qaraar diya ja raha hai,

Iss masjid ki tameer ke liye qatar ke hakkam ne 20 million euros faraham kiye.
Yaad rahe ke tarkeen watan ki mukhalif jamait danish people’s party ke azro rasookh ki waja se denmark main Abad Muslim bradri aur maqami abadi ke taluqaat main tawun hai,

Musalmaan mulk ki sub se bari mazhabi aqliyat hain jub’ke iss masjid ki tameer ke khilaaf denmark main muzahirey bhi kiye gaye aur islaam dushmano ne baqaida ek muhum bhi chalai magar jaisey hi Aaj 6,700 square meters per tameer ki jane wali masjid ka Iftetaah hua,

Wahan per moujood copenhagen ki muslim bradri ne khushi ka izhaar kiya.
Denmark main 2 lakh musalmaan abad hain agar chy iftetaahi taqreeb main koi danish politician moujood na tha,

Musalmaano ke ek dushman mulk main iss shandaar masjid ke qayaam se muslim bradri main bara josh-o-kahrosh paya jata hai..

America Toofani Bagolon Ne Tabahi Macha Dee, Hadsaat Main Ek Shehri Halaak

Beijing: American Riyasat Nybrska Main 2 Toofani Bagolon Ne Tabahi Macha Dee. Mukhtalif Hadsaat Main EK Shakhs Halaak Jub’ke 19 Zakhmi,

Riyasat Nybrska ke elaqay Plcr main toofani bagolon ke sabab subse ziyada nuqsaan hua yahan kaie ghar tabaah jub’ke darakht jaroon se ukhar gaye,

Hakkaam ke mutabiq Plcr ka 75% elaqa mukammal tabaah ho gaya.
Mukhtalif hadsaat main ek shakhs halaak aur 19 zakhmi bhi ho gaye mutasira elaqon main bijli ki supply bhi Disconnect hai..

Afghanistan Mian Dhamake Se 7 Khawateen Samait 12 Afraad Halak

Kabul: Afghanistan Ke Mashreqi Soobay Main Sarak Kinaray Nasb Bomb Phatnay Se 7 Khawateen Samait 12 Afraad Halak Aur 2 Zakhmi Ho Gaye,

Report ke mutabiq afghanistan ke mashreqi soobay ghazni ke zilah guru main kuch loog shadi ki taqreeb main shirkat ke baad wapis apne gharon  ko ja rahe thay ke unki gaari sarak kinaray nasb baroodi mawad se takra gayi jis ke natijay main 7 khawateen samait 12 afraad halak aur 2 zakhmi ho gaye,

Zakhmiyon ko foori tor per qareebi hospital muntiqal kiya gaya ta’hum doctors ka kehna hai ke dono zakhmiyon ki halat tashvesh naak hai,

Ghazni ke gurnz ne waqay main halak hone walon ki tasdeeq kardi gayi hai ta’hum abhi tak kissi group ki janib se dhamake ki zimedaari qabool nahi ki gayi hai..

Saudi Citizen Ne 1 Arab Riyaal Ki Raqam Musalmano Ki bhalai Ke Liye Donation Kardi

Saudi Arab ke ek elderly donor ne apna naam aur shanakht zahir kiye bagair ek arab riyaal ki raqam islamic development bank ko Donation ki hai,

Jeddah: Ek arab tv ke mutabiq na’maloom Saudi sahib ki hidayat per islamic development bank iss raqam se
Islamic cooperation organization ke member muslim countries aur non-muslim states main moujood muslim communities ke rural aur remote areas main 75 mobile dispensaries qaim karega,

Islamic Development Bank ke Chairman Dr. Ahmad Mohammad ne media ko bataya ke Saudi private citizen ki Donation karda raqam se Pakistan, India aur Yaman, main 15 Afghanistan aur Bangladesh main 10 aur Tajikistan aur Kyrgyzstan main 5, 5, mobile hospital 5 saal ke liye qaim karega,

Unhoney Saudi donor ki janib se gaye Donation per unki sakhawat ki tareef ki aur unka shukria ada kiya. Unhoney kaha ke iss raqam se lakhon mustahkam mareez istafada karengay,

Islamic Development Bank citizen ki sharait ke mutabiq uski faraham ki gai raqam ko surf karne ka paband rahega,
Dr. Ahmad Mohammad ne aalam-e-islam ke sahib Sarwat logon se apeal ke woh Saudi citizen ke naqsh-e-qadam per chalte huwe Islamic Development Bank ke Platform se barh char kar donation karengay ta’ke poori muslim duniya ke ghareeb aur Disadvantaged areas main shehriyon ko Medical Facilities faraham ki ja saken..

Yellow Color Ka Nayaab Diamond Ek Caror 60 Lakh Main Neelam

Duniya ke nayaab diamonds main se ek yellow color ka diamond ek caror 60 lakh dollar main neelam kar diya gaya,

Geneva: Switzerland ke shehar geneva main hone wali neelami ke douraan yellow diamond dramaiy tor per 3 baar neelam kiya gaya,

So karat ka yeh diomand finally apne Buyer ko ragib karne main kamyaab ho hi gaya aur final bid ek caror 60 lakh dollar per khatam huwe jis ke sath hi iss diamond ki neelami ne world record qaim kar diya,

Saudi Government Ka Hajiyon Ki Sahoolat Ke Liye New Airport Banane Ka faisla

Riyaz: Saudi government ne duniya bhar se hajj ki sa’adat ke liye aane wale aazmeen ki sahoolat ke liye makkah ke qareeb taif main ek new airport tameer karne ka faisla kiya hai,

Ek Arab website ke mutabiq Saudi government ne hajiyon ki sahoolat ke liye taif main airport ke qayam ke liye International construction companies se tender talab karne ki tayari shuru kar di hai takey hajj terminal ki tayari per aane wali Cost aur uss ki tameeri muddat ka pata lagaya ja sakey,

Saudi officials ke mutabiq 2015 tak new airport ki tameer ka contract de diya jayega, Airport ka contract tameer karo , chalao aur hawalay karo ki buniyaad per diya jayega,

Taif ke airport ko hajj ke elawa umrah ke liye aane walay aazmeen bhi use karengay, project per Saudi hakkam international finance corporation ke sath mil kar kaam kar rahe hain jabke world bank ke sath bhi mushavrat ki gai hai,

Hajj ke liye aane walay gair mulki aazmeen jaddah ka hajj terminal use kar sakte hain jabke taif ka moujooda airport sirf Internal flights ke liye use hota hai,

new airport ek buhat bara international airport hoga jahan har saal lakhon ki tadaad main aazmeen hajj-o-umrah ki aamad raft hogi..

Mexico 7.5 Shiddat Ke Zalzalay Se Laraz Utha

Mexico City: Mexico main 7.5 shiddat ke zalzalay se emaartain laraz gaien ta’hum kisi bhi qism ke jaani nuqsaan ki information nahi mili,

Report ke mutabiq zalzalay ka center mexico ki western state guerrero ke sahily area main 31 kilo meter zere-zameen tha jis se emaartain laraz gaien aur log khouf zada ho kar gharoon se bahr nikal aaye

Maqami zalzala climber center ke mutabiq  zalzalay ki shiddat 7 thi ta’hum american geological survey ka kehna hai ke iss ki shiddat 7.5 thi,

hakkam ke mutabiq zalzaly se koi jaani ya maali muqsaan nahi hua ta’hum administration iss hawalay se mazeed Investigation kar rahi hai,

Pakistan Apne Mulk Se Shar-Pasando ka Safaya Karey:Iran

Tehran: Iran ne pakistan se kaha hai ke magvi irani sarhadi muhafizeen ke qatal ki khabrain drust hain to sarkari tor per aelaan kiya jaye aur pakistan apne mulk se shar-pasando ka safaya karey,

Irani team sarkari news department se baat karte hue irani vazeer-e-dakhla Hussain Ali ameeri ne kaha hai ke pakistani government ko iss ki sarzameen per irani forcies ke noujwaan ki halakat ke bare main sarkari tor per mouqaf akhtyaar karna chahye,

jaish al-adl nami dehshat gard groups ke hathon ek irani sarhadi jawaan jamshed danayi far ki halakat ki khabar drust hui to iran aur pakistan ke safaratkaroon ke darmiyaan jaari guftagu per munfi asar parega,

Unhone kaha ke irani government vazeer-e-dakhla parliamentarians aur deegar security idaray magvi security guards main se ek ki halakat ke baray main investigation kar rhe hain,

News
Karachi
April 2024
M T W T F S S
« Mar    
1234567
891011121314
15161718192021
22232425262728
2930