Technology
Facebook Ka Like Ke Sath Dislike Button Ka Izafa Karne Ka Faisla
California: Users Ki Pur Zor Farmaish Ke Baad Facebook ne ‘Like’ Button Ke Sath Sath ‘Dislike’ Ke Button Ka Izafa Karne Ka Bhi Faisla Kar Liya Hai.
Facebook ke sarbarah Mark Zuckerberg ne menlo park mein waqay Facebook head quarters mein sawal o jawab ke ek session se khitaab karte huye kaha ke Facebook jald hi is button ko introduce kra rhi hai Aur is se qabal button ki azmaish ki jayegi.
Mark Zuckerberg ke mutabiq 2009 mein ‘Like’ button anay ke baad se awam musalsal israar kar rahi hai ke ‘dislike’ button ka izafah bhi kiya jaye.
Users ki janib se is ki farmaaish ke baad hum is button ki azmaish ke bohat qareeb ponch chuke hain.
Lekin hum yeh bhi kehna chahtay hain ke hum koi aisa nizaam nahi banana chahtay jis ke zariye sarfeen dosron ki post ki ahmiyat ghatayen ya vote kam kar saken balkay baaz dafaa hum kisi haadsay ya udaas post ko bhi like kar dete hain jo durust amal nahi aur isi liye dislike ka button laya ja raha hai.
Philadelphia mein drexel university mein social media ki expert professor Andrea kehti hain ke Facebook par har post fori tor par dosron ko pasand nahi aati aur dislike ka button Negative Feedback aur Emotions ko zahir karne ka tareeqa hoga.
For example post ke sath anay walay popup Advertising ko dislike kiya ja sakta hai.
Lekin shayad is se doston ke bachon paaltoo janwaron aur deegar ashya ke liye napasand karne ka silsila shuru hojaye ga.
Shayad ye kisi haadsay ya nuqsaan ke amal ko napasand karne ko zahir keregi na ke post ko.
Aur is nuqsaan par dost ke sath hamdardi ko zahir karne mein madad milegi..
USB Se Charge Honay Wala Duniya Ka Sab Se Chota Drone Tayyar
New York: American Company Ne USB Se Charge Honay Wala Duniya Ka Sab Se Chota Drone Tayyar Kar Liya Jis Ki Onchai Aur Lambai Sirf 3 Centi Meter Jab Ke Choraai 2 Centi Meter Hai.
American Company ke tayyar karda is drone ko duniya ke sab se chhootey’Quadcopter’ka aizaz haasil hai is drone ko’Areas access’ka naam diya gaya hai jo USB se charge honay ke baad 5 se 7 minute tak parwaaz kar sakta hai.
Drone ki tayari ka bunyadi maqsad naye logon ko drone urane ki tarbiyat faraham karna hai is mein nasb khusoosi Gyro Scope usay parwaaz ke douran mustahkam rakhtay hain.
Is ki charon pankhriyon par plastic ki hifazati patti lagai ja sakti hai taa kay taiz ghoomti hui pankhriyon ko toot phoot ya kisi nuqsaan se mehfooz rakha ja sakay jab ke is mein kartab dikhaane ke 2 option bhi hain jis ke zariye is ki parwaaz ko mazeed dilchasp banaya ja sakta hai.
Kayi rangon mein dastyab is drone ki qeemat 35 dollar hai aur usay October se farokht ke liye paish kya jayega.
Ab tak ye company apne chhootey drone ke 10 hazaar model farokht kar chuki hai aur ab is ny baqaida company qaim karkay mazeed behtar aur chhootey drone tayyar kiye hain.
Microsoft Aaj Naya Operating System’ Windows 10 Launch Kar Raha Hai
Washington: Computer Software Bananay Wali Duniya Ki Sab Say Barri Company Microsoft Aaj Naya Operating System’ Windows 10 Launch Kar Rahi Hai.
Ghair mulki khabar agency ke mutabiq’ windows 10 duniya bhar 190 mumalik mein dastyab hoga.
Isay taweel al muddat bunyadon par istemaal kiya ja sakega jis ke liye is mein update faraham kiye jatay rahenge.
Windows 7 aur Windows 8.1 istemaal karne walay sarfeen is naye operating system ko muft download kar sakenge taham computer banany walay idaron ke liye ye system muft nahi hoga.
Market mein microsoft se mutabqat rakhnay walay computer aur tablets mein windows 10′ pehlay se hi mojood hoga.
Windows 10 alag se farokht ke liye rawan baras ke ekhtataam taq dastyab ho sakayga.
Micorsoft ke mutabiq Windows 10 ki tayari mein is baat ka khayaal rakha gaya hai ke bilkhushoos smart phones aur tablets ke sarfeen is se istifada kar saken jis ke liye is naye operating system mein applications ki tayari par khusoosi tavajja di gayi hai.
Mahireen ka kehna hai ke microsoft ke windows system mein mojood applications mobile phones aur tablets ke sarfeen ko apni taraf mutwajjah karne mein ziyada kamyaab nahi hosaki hai.
Is tanazur mein Google ka android system aur apple ka IOS market mein bohat ziyada maqbool hai taham Windows 10 ki kamyabi ki soorat mein Microsoft smart phones aur tablets ke sarfeen ka aetmaad bhi haasil karne mein kamyaab ho sakti hai..
Roza Rakhnay Se Dil Ke Amraaz Aur Cancer Se Bacha Ja Sakta Hai
Washington: University Of Southern California Ke Experts Ka Kehna Hai Ke Roza Rakhnay Se Dil Ke Amraaz Aur Cancer Se Bacha Ja Sakta Hai.
University mahireen ka kehna hai ke tehqeeq se ye baat samnay aayi hai ke agar aik maah mein paanch martaba calories ki nisf miqdaar istemaal ki jaye to cancer diabities aur amraaz qalb jaise amraaz se bacha ja sakta hai.
Mahireen ka kehna hai ke kam az kam 6 ghantay tak pani par iktifa karne se bhi sehat par misbat asraat muratab hotay hain.
Unhon ne kaha ke roza rakhnay se jism mein insulin ki miqdaar behtar hoti hai nizaam hazam durust hota hai aur Metabolism ke amal mein bhi behtari aati hai.
Mahireen ka kehna hai ke roza rakhnay se Umar mein izafah hota hai unhon ne kaha ke roza rakhnay walay country aur afraad par tehqeeq se ye baat samnay aayi hai ke kam khanay se nizaam hazem par zor nahi parta aur khaliyaat mein toot phoot ka amal sust ho jata hai jab ke dimaghi salahiyat mein bhi behtari aati hai.
Mahireen ne kaha ke har mah mein kam az kam paanch rozay rakhna insani sehat aur zindagi ke liye nihayat ahmiyat ka haamil hai.
Pakistan Mein Internet Sust Raftaar Ka Shikaar
Karachi: Pakistan Mein Internet Service Samandar Mein Mojood Fiber Optic Cable Mein Kharabi Ke Baa’is Jumaraat Ke Roz Adam Tasalsul Ka Shikaar Rahi.
Pakistan Communications Authority ke mutabiq murammat ka kaam jari hai ta’hum yeh wazeh nahi kiya ke is ke liye kitna waqt darkaar hoga.
Ek ailamiye mein idaray ka kehna tha ke bahera arab mein mojood sab marine cable’ C Me V 4′ mein kharabi peda hogayi hai jis ke baa’is khittay ke mumalik Bashmole Pakistan mein internet ki raftaar par asar para hai.
Ailamiye ke mutabiq cable ke nizaam ko chalanay walay idaray ne murammat ka kaam shuru kar diya hai.
Ailamiye mein mazeed kaha gaya ke PTCL ne yakeeni banaya ke Pakistan mein sarfeen ko internet ki rasai jari rahay.
Ta’hum bahaali ka kaam jari rehne tak internet istemaal karne walon ko dheemi raftaar ka saamna karna par sakta hai.
2008 mein teen mah se bhi kam arsay mein do martaba fibre cable mein kharabi peda hui thi jab’kay 2005 mein isi qism ki kharabi ke baa’is Pakistan mein aik haftay tak internet istemaal nahi kiya jaska tha.
2005 mein Pakistan mein sirf aik hi link mojood tha jo kharab hogaya tha.
Bijli Se Parwaaz Karne Wala Duniya Ka Pehla Hawai Jahaaz Tayyar
Paris: Bijli Se Urnay Wala Duniya Ka Pehla Hawai Jahaaz Tayyar Kar Liya Gaya Hai Jisay Duniya Ka Khamosh Tareen Hawai Jahaaz Bhi Qarar Diya Ja Raha Hai.
Paris ke mashhoor Air Show mein pehli baar numaish ke liye paish kiya jane walay E Fan Nami tayyaray 2.0 mein 2 afraad baith satke hain aur ye aik martaba charge honay par 136 meel fi ghanta ki raftaar se aik ghante tak parwaaz kar sakta hai.
Aur Esay bananay wali Air Bus Company ke mutabiq is model ko 2017 tak farokht ke liye paish kar diya jayega.
Jub’ke saal 2050 tak company bijli se parwaaz karne wala 100 seats ka tayyara bhi tayyar karle gi.
Company ki janib se esay duniya ka khamosh tareen tayyara bhi qarar diya ja raha hai jis se carbon dioxide ka ikhraj nahi hota jab ke usay duniya ka pehla barqi jahaaz qarar diya ja sakta hai jis ki designing aur tayari par 2 crore dollar ki sarmaya kaari ki gayi hai.
Jahaaz ka wazan nisf tan hai jis mein Lithium Ion polymer batteries nasb hain aur paron ka ghair 31 foot hai aur is mein nasb electric motors 60 kilo watt ki qowat peda karti hain.
Air bus company ne isi model ke sath mukammal tor par bijli se parwaaz karne walay Helicopter tayyar karne ka elaan bhi kya hai.
Data Mehfooz Bananay Ke Liye Ab Paasword Apne Pait Mein Utaar Lain
San Francisco: Digital Dour Mein Paasword Behad Ahmiyat Rakhtay Hain Lekin Unko Khufia Rakhnay Ki Zaroorat Wahan Aur Zyada Barh Jati Hai Jahan Difai Ya Maliyati Accounts Aur Data Mojood Ho Kyun Kay Un Par Har Waqt Hackers Ki Nazrain Lagi Hoti Hain.
American company ne paasword ko mehfooz bananay ka dilchasp hal talaash kiya hai jis ke tehat paasword ko khaya bhi ja sakta hai aur woh aap ke pait ke andar se aap ko login honay ki sahoolat paish kerega.
Company ke mutabiq is jadeed Capsule mein band aik chhota sa computer maiday ke tezaab se bijli haasil kar kay kaam kerega aur usay insaan aur machine ke milaap ki aik misaal qarar diya ja sakta hai jis mein aap khud apni security ke maalik hotay hain.
American jareeday ke mutabiq pait mein utrney wala ye Capsule us shakhs mein sugar ki satah aur blood pressure bhi note kerega jab ke ye paasword wireless signal ke zariye bahar jayega jis ke baad aap account ki tafseelaat darj karkay sirf chhoo kar login ho sakinge is ke ilawa Skin ke andar kisi chip ko fix kar kay ya Digital Tattoo ke zariye bhi wireless information bheji ja sakti hai.
Company ke mutabiq is jadeed nizaam ko jald mutarif karanay ke liye kaam jari hai jis ke liye ibtidayi tor par aawaz, unglion ke nishanaat, aankhon ke khadd-o-khaal aur chehray ko bhi paasword ke tor par istemaal kiya ja raha hai.
Wazeh rahay ke aksar afraad kahili ki wajah se buhat saada paasword rakhtay hain jis ke baais saal 2014 mein 123456 aur 12345678 sab se aam aur ziyada istemaal honay walay paasword thay…
Nakhun Per Chipak Kar Khufiya SMS Karne Wala Jadeed Sticker Tayyar
Bostan: Kabhi Kabhi Apko Intehai Zaroori Pegham Pohanchanay Ke Liye Msg Bhejnay Ki Zaroorat Hoti Hai Lekin Agar Aap Us Waqt Meeting Ya Mehfil Mein Hon To Is Terha Phone Per Masroof Rehna Khilaaf Adab Amal Shumaar Kiya Jata Hai Magar Ab Aap Ki Yeh Mushkil Bhi Aasaan Ho jayegi Kyun Ke Angothay Ke Naakhun Par Nasb Aik Aisa Sticker Tayyar Kar Liya Gaya Hai Jisay Chone Se Aap Ki Email Ya Msg Pahonch Jayega Aur Kisi Ko Iska ilm Bhi Nahi Hoga.
American experts Ne colorful fake nails se mutasir hokar aik Sticker tayyar kar liya hai jis ke neechay bareek circuit mojood hai jo sirf ungli lehraane se hi aik msg tayyar kar sakta hai.
Is ijaad ko NailO ka naam diya gaya hai jisay baaz log jasoosi ka aik aala bhi qarar day rahay hain kyun ke sirf naakhun chone aur ungli lehraane se bhi email aur sms tayyar kiya ja sakta hai jis ka kisi ko ehsas bhi nahi hota jab ke yeh pegham wireless ya bluetooth ke zariye smart phone ya computer par muntaqil hojata hai.
Is jadeed sticker par 4 layers mojood hain jin mein sab se uper color layer,2nd par sensor,3rd par micro chips aur controller aur bluetooth aur 4th battery hai jab ke ye sticker 2 ghantay tak pegham Nashar kar saktha hai.
Is jadeed technology ke zariye chhootey sms aur email paighamaat ko sirf anghutha ghumanay se bheja ja sakta hai.
Experts ke mutabiq is ahem ijaad ka antina banana aik challenge tha taham aur ab battery ko behtar bananay par kaam jari hai jo filhaal sirf 2 ghantay tak kaam kar sakti hai.
Experts ke mutabiq Isay mustaqbil ka remote control bhi qarar diya ja raha hai.
For example ghar mein daakhil hotay hi agar aap naakhun ke sticker par right se left ungli phairen to is se darwaaza khul jaye aur left se right phairnay par ghar ki roshni jalayi ja sakti hai…
Jadeed Cholhey Se Khana Pakayen Aur Mobile Bhi Charge Karen
New York: Bijli Ho Ya Na Ho ab Mobile Phone Charge Karna Na’Mumkin Nahi Kyun kay America Mein Aik Jadeed Chulha Tayyar Kar Liya Gaya Hai.
America mein tayyar kiya jane wala jadeed cholha jis ki jalti aag par khana pakanay ke sath sath mobile phone bhi charge kiya ja sakta hai.
Insani haath ke Barabar size ke haamil is ‘Biolite camp Stove’ Nami choolhay ko jalanay ke liye gas istamal ki jati hai jis ke sath aik aisi device fit ki gayi hai jo jadeed technology ke tehat aag se niklny wali tapish ko power mein tabdeel karti hai.
Isi douran is device ke sath mobile phone ya ipad ko Connect kar ke charge kiya jata hai jab ke emergency light bhi charge aur roshan ki ja sakti hai.
Ibtidayi tor par is herat angaiz cholhey ki qeemat 129$ rakhi gayi hai..
Facebook Ne ‘Chatiing’ Ke Liye Website Introduce karadi
Saan Francisco: Jab Aap Samaji Rabton Ki Website Facebook Par Apne Doston Ke Sath Chatiing Mein Masroof Hotay Hain Is Douran Likes Ke Notification Se Aap Yaqeenan uktahat Ka Shikaar Hotay Honge Lekin Facebook Ne Ab Yeh Masla Bhi Hal Kar diya Hai Jis Ke Liye Aik Website Introduced Karai Gayi Hai Jis Mein Sirf Chatiing Ka Hi Option Rakha Gaya Hai.
Facebook ki janib se Introduced karai gayi Website messenger.com sirf chatiing ke liye banai gayi hai jis mein aap sirf chatiing hi kar saktay hain aur is douran kisi qisam ke likes aur game Invitation ke notification aap ko tang nahi karenge.
Iss Website se login honay ke liye aap ko kisi qisam ka naya account bananay ki zaroorat nahi aap sirf apni Facebook ki ID ke zariye hi is par login ho saktay hain.
Facebook ke experts kehna hai ke is Website ko is liye tayyar kiya gaya hai ke aap apni screen par kisi bhi notification ko dekhe baghair online aur ba aasani cheat kar saken.
Wazeh rahay ke is se qabal yahoo aur MSN ki janib se bhi isi tarha ke messenger Introduced karaye ja chukay hain..