Sport

Pakistan Ne UAE Ko 129 Runs Se Shikast Dedi

Napier: Pakistan Ne UAE Ko 129 Runs Se Shikast Dekar World Cup Ke Group’B’Mein 4th Position Haasil Karli.

Newzeland ke shehar napier ke McLean park mein khailay gaye match mein Pakistan ne UAE ke khilaaf pehlay batting karte hue 50 overs mein 6 wickets ke nuqsaan par 339 runs banaye hain.

Pakistan ki janib se Ahmed Shahzad aur Nasir jamshed ne ining ka aaghaz kiya lekin Nasir Jamshed aik baar phir buri terha nakaam rahay aur 12 balls par 4 runs bana kar out ho gaye.

Is ke baad Haris Sohail ne Ahmed Shahzad ke sath mil kar team ka score 170 runs tak pouncha diya.
Haris Sohail 70 runs bana kar out hue jab ke 176 ke majmoay per Ahmed Shahzad bhi 93 runs bana kar run out ho gaye.

Captain Misbah Ul Haq ne tournament ki 3rd fifty score ki aur woh 65 runs bana kar out hue. Suhaib Maqsood 45 jab ke Umar Akmal 19 runs bana paye.
Shahid Afridi ne sirf 7 balls par 21 runs ki jarehana ining kheli aur not out rahay.
UAE ki janib se Manjula Guruge ne 4 jab ke Mohammad Naveed ne 1 player ko out kiya.

UAE ki team 340 runs ke target ke taqub mein 8 wickets ke nuqsaan par 210 runs bana saki.
Batting ke baad bowling ke shobay mein bhi Pakistani players ne achi karkardagi ka muzahira kiya aur ining ke aaghaz se hi UAE ke batsmans ke gird shikanja kisay rakha jis ke baais hareef team ke batsman khul kar na khail sakay aur runs jornay ki koshish mein waqfay waqfay se wickts ganwatey rahay.

UAE ki janib se sab se zyada runs bananay walay Shiman Anwar thy jinhon ne 88 balls mein 62 runs ki ining kheli jab ke Khurram Khan 43 runs bana kar dosray numaya batsman rahay.

Deegar players mein Amjad Ali 14,Andri Berenger2,Swapnil Patil 36, aur Amjad Javed 40 runs bana sakay.

Pakistan ki janib se Sohail Khan,Shahid Afridi aur Wahab Riaz ne 2,2 jab ke Raahat Ali aur Suhaib Maqsood ne 1,1 wicket haasil ki.

behtareen batting par Ahmed Shahzad ko man of the match se nawaza gaya.

Match ke baad National team ke captain Misbah Ul Haq ka kehna tha ke wo aaj ke match mein players ki karkardagi se satisfy hain ta’ham South Africa ke khilaaf agla match bhi eham hai jis mein kamyabi ke liye humein mazeed mehnat karni hogi..

National Team Ne Zimbabwe Ko Shikast Dekar World Cup Mein Pehli Fatah Haasil Karli

Brisbane: World Cup Ke Group Match Mein Pakistan Ne Zimbabwe Ko 20 Runs Se Shikast Dekar Event Mein Pehli Kamyabi Haasil karli Jab ke Point Score Board Par Green Shirts Ko 2 Points Bhi Mil Gaye.

Australia ke brisbane cricket ground mein khailay gaye match mein national team ne muqarara 50 overs main 7 wickets ke nuqsaan par 235 runs bnaye jis ke jawab mein Zimbabwe ki poori team aakhri over mein 215 runs par dhair hogayi.

Target ke taqub mein Zimbabwe ka aaghaz bhi acha na raha aur 22 ke total score per dono opener pavellion lout gaye,

Chamu Chibhabha 9,Sikandar Raza 8,Masakadza 29,Brendan Taylor 50,Sean Williams 33,Craig Ervine 14,Solomon Mire 8, aur Tawanda Mupariwa baghair koi run banaye out hue jab ke captain Elton Chigumbura ne mazahmat ki koshish ki lekin wo 35 runs banakar himmat haar gaye.

Hasb riwayat wicket keeper Umar Akmal ne match ke ehem mor par 2 catch chhorey jis ke bawajood Mohammad Irfan aur Wahab Riaz ne 4,4 jab ke Rahat Ali ne 1 wicket haasil ki.

Green shirts ki janib se captain Misbah Ul Haq aur Wahab Riaz ne bal tarteeb sab se ziyada 73 aur 54 runs score kiye jab ke 2 players apna khata khole baghair aur 1 batsman 1 run hi bana saka.

Ibtidayi 2 wickts girnay ke baad captain Misbah Ul Haq aur Haris Sohail mohtaat andaaz se batting karte rahay aur dono batsmans ne shorts khailnay ke bajaye balls roknay ko tarjeeh di.

3rd wicket ki shiraakat mein dono batsmans ne 54 runs jore jis ke baad Haris Sohail 27 runs bananay ke baad Sikandar Raza ki gaind par catch out hogaye.

Zimbabwe bowlers ke samnay opening batsman aur middle order rait ki deewar sabit howa.
4th wicket par captain Misbah Ul Haq aur Umar Akmal ne 69 runs ki shiraakat qaim ki to Umar Akmal 127 ke Total par 33 runs bananay ke baad pavellion lout gaye jis ke baad Shahid afridi apne riwayati andaaz mein short khailtay hue clean bold hogaye.

47th over mein captain Misbah Ul Haq out hue to is waqt team ka score 202 tha jis ke baad Wahab Riaz ne jarehana andaaz apnatay hue Sohail Khan ke sath 33 runs ki shiraakat qaim karte hue apni half century mukammal ki aur muqarara over ke ekhtataam tak score 235 tak pouncha diya.

Wahab Riaz 54 aur Sohail Khan 6 runs par nOt out rahay. Zimbabwe ki janib se Tendai Chatara ne 3,Sean Williams ne 2,Sikandar Raza aur Tawanda Mupariwa ne 1,1 wicket haasil ki.

pakistan ki janib se match mein behtareen all round performance paish karne par Wahab Riaz ko mean of the match ke aizaz se nawaza gaya.

World cup ke group “B” mein India apne 3 matches mein kamyabi ke baad 6 points ke sath 1st per hai jab ke South Africa,Ireland aur west indies 4,4 points ke sath bal tarteeb 2nd,3rd aur 4th number par hain.

Pool mein Zimbabwe ne apne 4 matches mein se 1 mein kamyabi haasil ki aur run rate ke aitbaar se Pakistan se upar hai jab ke Pakistan ne ab tak 3 matches khailay hain jis mein se 2 mein shikast aur 1 mein kamyabi haasil ki aur list mein 6th number par hai aur UAE baghair koi match jeetay sab se aakhri number par hold hai..

Pakistan World Cup Mein india Ke Khilaaf Apni Riwayat Na Tor Paaya

Adelaide: World Cup Ke Match Mein India Ne Pakistan Ko 76 Runs Se Hara Diya.

Adelaide mein khailay jane waly match mein Indian captain Mahendra Singh Dhoni ne toss jeet kar batting ka faisla kiya aur muqarara 50 overs mein 7 wickets ke nuqsaan par 300 runs banaye.

Opener RohIt Sharma aur Shikhar Dhawan team ko acha aaghaz faraham karne mein nakaam rahay aur Rohit sharma 34 ke majmoi score par 15 runs bana kar Sohail Khan ki ball par Misbah Ul Haq ke hathon catch out hue,

Rohit sharma ke out honay ke baad virat kohli crease par aaye aur Shikhar Dhawan ke sath team ke score ko agay berhate hue 60 balls par apni half century mukammal ki taham 163 ke majmoay par Shikhar Dhawan 73 runs bananay ke baad run out hue.

Shikhar Dhawan ke out honay ke baad Suresh Raina crease par aaye aur baghair kisi dabao ke jarehana andaaz mein batting karte hue 74 runs bana kar out hue.

Virat kohli ne shandaar batting ka muzahira karte hue apni ODI match ki 22nd century mukammal ki aur 107 runs bana kar Sohail Khan ki ball par catch out hue jab ke Mahendra Singh Dhoni 18 bana sakay.

Pakistan ki janib se Sohail Khan ne shandaar bowling ka muzahira karte hue 10 overs mein 55 runs day kar 5 players ko pavellion ki raah dikhayi jab ke Wahab Riaz ne aik player ko out kiya.

Pakistan ki team 301 runs ke hadaf ke taqub mein 47 overs mein 224 runs bana kar all out hogayi,

Qaumi team ko ining ke aaghaz mein hi khasaray ka samna karna para aur Younus Khan sirf 11 runs ke majmoay par 6 runs bana kar Mohammad Shami ki ball par wickets ke peechay catch out hue,

Younus Khan ke out honay ke baad Haris Sohail crease par aaye taham woh bhi Ahmed Shahzad ke sath bari shiraakat qaim karne mein nakaam rahay aur 79 ke majmoay par 36 runs bana kar catch out hogaye,

102 runs ke majmoi score par Ahmed Shahzad bhi 47 runs bana kar
Umeshkumar Yadav ki ball par catch out hue jis ke baad agli hi ball par Suhaib Maqsood ne bhi Suresh Raina ko catch day kar pavellion ki raah li jab ke Umar Akmal bhi baghair khata khole Ravindrasinh Jadeja ki ball par wicketon ke peechay catch out hue.

Umar Akmal ke out honay ke baad captain Misbah Ul Haq aur Shahid afridi ne team ke score ko agay badhaya taham Shahid afridi bhi ziyada der crease par na tik paye aur 22 runs bana kar pavellion lout gaye.

Misbah Ul Haq ne 6 players ke out honay ke baad bhi haar na maani aur indian bowlers ke agay muzahmat jari rakhtay hue 76 runs ki zimma daarana ining kheli jab ke yasir Shah 13, Wahab Riaz 4 aur Sohail Khan 7 runs bana kar out hue.

India ki janib se Mohammad Shami ne umda bowling ka muzahira karte hue 4 wickts haasil ki.

Umeshkumar Yadav aur Mohit Sharma ne 2,2 jab ke Ashwin aur Ravindrasinh Jadeja ne 1,1 player ko out kiya.

Match ke baad qaumi team ke captain Misbah Ul Haq ka kehna tha ke match harnay ka afsos hai aur india ne achi batting ka muzahira kiya taham ab humein ye match bhula kar agay dekhna hai aur deegar matches bhi eham hain jin par tawajah deeni hogi.

behtareen karkardagi par virat kohli ko match ka behtareen player qarar diya gaya.

New zeland Ne Pakistan Ko 119 Runs Se Shikast De kar Series Apne Naam Karli

Napier: New zeland Ne Pakistan Ko 2nd ODI Match Mein 119 Runs Se Shikast De Kar 2 Matches Par Mushtamil Series 0-2 Se Apne Naam karli.

Napier ke mclean park mein khailay gaye 2nd ODI match mein new zeland ne pehlay batting karte huye muqarara 50 overs mein 369 runs banaye jis ke jawab mein qoumi team 43.1 overs mein 250 runs par dhair hogayi.

Green shirts ki janib se opening bats man Mohammad Hafeez aur Ahmed Shahzad ne pehli wicket ki shiraakat mein 111 runs jore aur Shahzad 55 runs bananay ke baad nathan mccullum ki ball par catch out hue jis ke baad Younus Khan bhi 11 runs bananay ke baad 130 ke majmoi score par pavellion lout gaye jis ke baad waqfay waqfay se wickts girty chali gayeen,

Mohammad Hafeez 86 runs ke sath numaya batsman rahay jab ke captain Misbah Ul Haq 45, Shahid afridi 11, Sarfraz Ahmed 13 runs banakar out hue aur 4 player double figur mein bhi shaamil nah hosakay.

Newzeland ki janib se Tim Southee, Grant Elliott, Nathan McCullum aur Adam Milne ne 2,2 jab ke Daniel Vettori aur Trent Boult ne 1,1 wicket haasil ki.

Is se qabal new zeland ne Pakistan ke khilaaf toss jeet kar pehlay batting ka faisla kiya to sazgaar pitch ka faida uthatay hue new zeland batsman ne bollers ki khoob pataayi ki aur 50 overs mein 5 wickets ke nuqsaan par 369 runs banaye.

New zeland ki janib se Kane Williamson aur Ross Taylor ne 112 aur 102 runs ki shandaar ining kheli,

is ke elawa Martin Guptill ne bhi 76 runs ki baari khail kar runs ki behti ganga mein khoob haath dhoye.

Pakistan ki janib se Mohammad Irfan ne 2 jabkay Shahid afridi, Ahsaan adil aur Ahmed Shahzad ne 1,1 wicket haasil ki jab ke bilawal Bhatti mehngay tareen bowler saabit hue aur unhon ne 10 over mein 93 runs diye aur koi wicket bhi haasil na kar sakay.

Match mein behtareen karkardagi paish karne walay Kane Williamson ko men of the match qarar diya gaya.

Wazeh rahay ke 2 matches par mushtamil series ke pehlay match mein new zeland ne Pakistan ko 7 wickets se shikast di thi…

World Cup Jeetnay Wali Team Ko 40 Laakh Dollars Ka Inaam Mileyga

Final Mein 2nd Number Par Anay Wali Team Ko 18 Laakh Dollars Mileyge Aur Semi Finalist Ko 9 Laakh Dollars Diye Jayengay,

Sydney: Cricket par ainda 4 saal jo bhi team hukumrani keregi Us par Dollers ki barish hogi.

Tamam teams ne cricket ke barray markay ke liye barray barray khawab saja liye.

2015 World Cup ka Title jeetnay wali team ko ICC 40 laakh dollar se nawazyga.

Final ki runner up team 18 laakh dollar samait kar apne watan ko lautaygi.

Semi final khailnay wali teams 9 laakh dollars ki haqdaar qarar payengi.

Yahi nahi quarter final khailnay wali teams 5 laakh dollars samaitney mein kamyaab rahengi.

Ab dekhna yeh hai ke khazanay ki chaabi kis team ke haath lagti hai..

World Cup 2015 Ke Liye 15 Rukni Qaumi Cricket Team Ka Elaan

Karachi: Pakistan Cricket Board Ki Selection Committee Ne World Cup 2015 Ke Liye Qaumi Squad Ka Elaan Kar Diya Hai Jis Mein jahan Kamran Akmal, Shoiab Malik,Asad Shafeeq, Azhar Ali Jagah Nahi Bnapaye Wahein Khilaaf Tawaqqa Sohail Khan Ko Shaamil Kiya Gaya Hai.

National stadium Karachi mein cheif selector Moueen Khan ne world cup 2015 ke liye qaumi team ka elaan kiya,

15 Rukni hatmi squad 2 openers, 5 middle orders batsman, 2 spinners aur 5 fast bowlers par mushtamil hai, team mein jahan Kamraan Akmal, Shoiab malik,Asad shafeeq, Azhar Ali aur Umar Gul ko shaamil nahi kiya gaya wahein squad mein khilaaf tawaqqa Anwar Ali aur bilawal Bhatti bhi jagah nahi bnapaye jabkay khilaaf tawaqqa Sohail Khan ko shaamil kiya gaya hai.

Team ki qayadat Misbah Ul Haq karen ge jabkay deegar players mein Mohammad Hafeez, Ahmed Shahzad,Younis Khan,Umar Akmal,Haris Sohail, Suhaib Maqsood,Sarfraz Ahmed, yasir Shah,Shahid Afridi,Wahab Riaz, Ahsaan Adil,Junaid Khan, Sohail Khan aur Mohammad Irfan shaamil hain.

Is mauqe par Moueen Khan ne kaha ke Mohammad Hafeez aur Ahmed Shahzad team ke opners honge jabkay Sarfraz Ahmed ko bhi opner ke tor par team mein shaamil kiya ja sakta hai.

Pakistan cricket board har 4 maah baad players ki fitness ka test leta hai aur sab hi players ki fitness behtar hui hai jisay dekhte huey inhen yaqeen hai ke players deegar teams ke sath muqablay ke liye tayyar hain.

Unhon ne kaha ke Anwar Ali aur Bilawal Bhatti ko mukhtalif muqablon mein Aazmaaya gaya hai jis ke baad Wahab Riaz aur Sohail Khan ko shaamil karne ka faisla kiya gaya,

Dono Players ki shamoliat se qaumi team ko batting ke shobay mein bhi faida hoga.

Wazeh rahay ke Sohail Khan world cup ke liye 30 rukni ibtidayi squad mein shaamil nahi thay.

India Mein Mere Bowling Action Ko Mashkook Qarar Dena Heran Kun Hai

Lahore: Pakistan Cricket Team Ke Sabiq Captain Aur All Rounder Mohammad Hafeez Ka Kehna Hai Ke India Mein Unke Bowling Action Ko Mashkook Qarar Dena Heran kun Hai Jab’kay Woh Guzashta Saal Se Esi Terha Bowling Kar Rahay Hain Aur kabhi Kisi Ne Aitraaz Nahi Kiya.

Australia ke khilaaf mutahidda arab amarat mein teh shuda series mein hissa lainay ke liye rawaangi se qabal Lahore airport par media se baat karte hue Mohammad Hafeez ka kehna tha ke India mein champions league mein mere bowling action par aitraaz uthana heran kun hai.

Unhon ne kaha ke k mere bowling action par aitraaz kya gaya hai lekin woh apna action tabdeel nahi karenge kyun kay mein guzashta saal se ICC ke mujawaza qawaneen ke mutabiq bowling karwa raha hon.

Mohammad Hafeez ka kehna tha ke champions league india mein honay wala domestic tournament tha jis mein bowling action par lagaye jane walay aitrazaat ki koi hesiyat nahi.

All rounder ka kehna tha ke baaz halqon ke nazdeek ” dosra ” delivery ko ghair qanooni samjha jata hai lekin unhon ne kabhi ”dosra” ball nahi karwai jis ki wajah se inhen koi khouf nahi.

Sabiq captain ne kaha ke woh 6 aalmi tournament mein hissa le chuke hain jis mein 2 world cup aur 3 T20 world cup shaamil hain jis mein kabhi kisi ne un ke bowling action par sawal nahi uthaya jab’kay india mein un ke bowling action par aitraaz karna samajh se baala hai.

Wazeh rahay ke ICC ki janib se mashkook bowling action par Pakistani spiner Saeed Ajmal ko bowling karanay se rok diya gaya tha jab’kay world cup se qabal spiner ke action par aitraaz laga kar inhen event se bahar karne ki koshish par Pakistani coach Waqar Younis ne kayi sawalaat uthaye hain..

World Cup Ki Fatah Ke Liye Saeed Ajmal Ka Team Mein Hona Zurori Nahi, Javed Miandad

Karachi: Pakistan Ke Sabiq Maaya Naz Batsman Javed Miandaad Ne Kaha Hai Ke World Cup Ke Tournament Mein Fatah Ke Liye Saeed Ajmal Ka Team Mein Hona Zaroori Nahi,

World cup ki trophy Lahore se Karachi pounchanay par is ka shandaar istaqbaal kya gaya.
Is mauqa par munqaid taqreeb se khitaab mein sabiq Pakistani legend batsman Javed miandaad ne kaha ke agar Saeed Ajmal par world cup ke Aaghaz tak pabandi barqarar rehti hai tab bhi Pakistan world cup jeetnay ki salahiyat rakhta hai.

Unka kehna tha ke Pakistan world cup jeet chuka hai jo tareekh ka hissa hai. agar Pakistani players apni poori salahiyaton ke sath khelain to qaumi team aik baar phir world cup jeetnay mein kamyaab hogi.

Javed miandaad ne aik sawal ke jawab mein kaha ke Pakistani team ko kisi aik player par hi inhisaar nahi karna chahiye. Aese player ke baray mein kyun socha jaye jo team ka hissa hi nahi hai balkay dosray khiladion ko apni zimma darion ko poora karna chahiye.

Wazeh rahay ke world cup Australia aur newzeland mein february se March ke douran khela jaye ga jab’ke Pakistan apna pehla match rawayeti hareef india ke khilaaf 15 february ko Adelaide mein khailay ga.

ICC Ki Nai One Day Ranking Jari Pakistan 6th position Par Barqarar

Dubai: International Cricket Council Ne One Day Cricket Ki Nai Ranking Jari Kar Di Hai Jis Ke Tehat Qaumi Team Ki 6th position Barqarar Hai Jub’ke Jadugar Spinner Saeed Ajmal Ki One Day Format Mein Badshahat Brqrar Hai Aur All Rounders ki fehrist mein bhi Pakistan ke Mohammad Hafeez sir fehrist hain,

International cricket council ki janib se jari kardah rating ke mutabiq one day format mein india sare fehrist hai jub’ke south africa 2nd aur Srilanka ka 3rd number hai,

fehrist mein Australia , England , Pakistan , newzeland, west indies aur Bangladesh bil tarteeb 4th, 5th, 6th, 7th 8th and 9th number par mojood hain.

One day format ke 10 behtareen bats man mein south africa aur india ke 3,3, srilanka ke 2 jub’ke australia aur newzeland ka 1,1, player shamil hain.

Behtareen bats mans mein AB de villiers 1st, hashim amla 2nd, kohli 3rd, george baili 4th aur kamaraa sangakara 5th number par hold hain, one day ranking mein Pakistan ki janib se sab se agay Misbah ul Haq hain jin ka fehrist mein 12th number hai.

Mashkook action ke ilzaam ka shikaar Pakistan ke jadugar spiner Saeed Ajmal ki one day format mein badshahat barqarar hai aur woh duniya ke behtareen bowlers mein sab se agay hain, 2nd number par west indies ke sunil narayan aur 3rd number par south africa ki gun deal styn mojood hain.

James anderson ka 4th jub’ke ravindra jadeja ka 5th number hai, top ten bowlers ki fehrist mein Pakistani professor ki ranking mein 3 darjay taraqqi hui hai is tarha Mohammad Hafeez 9th se 6th number par aagaye hain.

Bowling ki tarha all rounders ki fehrist mein bhi Pakistan ki baladasti barqarar hai aur guzashta kayi mah se Mohammad Hafeez sir fehrist hain,

angelio mathews 2nd, ravinder 3rd aur shakib Al Hasan 4th number par mojood hain,

All rounders ki top ten fehrist mein boom boom afridi bhi mojood hain aur un ki ranking 7th hai.

Germany 24 Saal Baad FootBall ki Dunya Ka Naya Champion Ban Gaya

Ryudy Janeiro: FIFA FootBall World Cup Ke Final Main 3 Baar Ke World Champions Germany Ne Sansani Khez Muqablay Ke Baad 2 Baar World Champion Argentina Ko Zero ke Muqablay Main Ek Goal Se Shikast De kar 4thi Baar FootBall Ke World Champion Ban’ne Ka Title Hasil Kar Liya,

Brazil ke shehar ryudy janeiro ke marakana Stadium Main khele gaye final muqablay ke 1st half main dono teams ne jarhana kheel pesh kiya aur ibtedaa hi se ek dosre ke goal post per tabar tor hamlay kiye,

Match ke 35 mint main Argentina ko goal karne ka sunehri moqa mila lekin us ne yeh moqa ganwa diya 1st half main dono teams ne ek ek baar ball ko jaal main dala lekin Referees ke Off side ke faislay ne players ki khushi ke lamhaat ko mayoosi main badal diya aur match ka 1st half bina kissi goal ke barabari per khatam hua,

Match ka 2nd half bhi sansani khez raha aur dono teams ne ek dosre ke goal post per ek baar phir bhar poor waar kiye lekin dono tems ke tamaam hamlay nakaam rahey aur koi team bartari hasil na kar saki,

Match ke 1st half ki tarah 2nd half main bhi dono teams ko goal karne ke kaie moqay milay lekin koi team unse faida na utha saki aur is tarah match ka muqarrar waqt baghair kisi faislay ke khtam hua jis ke baad match ezafi waqt main chala gaya,

Ezafi waqt ke 1st half main bhi Massey, Mueller, close samait dono teams ke players ki goal karne ki tamaam koshishain raega gaie lekin 2nd half main German tamashai aur fans uss waqt khushi se be’haal ho gaye jub Mario guytzy ne intehai eham goal kar ke German ko fateh kun bartari dila di aur German ne yeh final muqabla 0-1 se jeet kar football ke world champion ban’ne ka title hasil kar liya..

News
Karachi
April 2024
M T W T F S S
« Mar    
1234567
891011121314
15161718192021
22232425262728
2930