National
Karachi Ke Elaqay Paper Market Mein Masjid Ke Bahar Dhamaka
Karachi: Paper Market Mein Masjid Ke Qareeb Dhamakay Ke Nateejay Mein 2 Afraad Jaan bahaq Jub’ke 20 Afraad Zakhmi Hogaye.
Report ke mutabiq Karachi mein Aaraam baagh thaanay ke elaqay paper market mein waqay burhani masjid ke bahar theek us waqt dhamaka howa jab log namaz-e-jumma ki adaigi ke baad bahar nikal rahay thay.
Dhamaka is qader shadeed tha ke us ki aawaz door door tak suni gayi.
Dhamakay se masjid ke qareeb khari motorcyclen tabah ho gai jub’ke qareebi shops aur buildings ke sheeshay toot gaye.
Is ke ilawa masjid ke markazi darwazay ko bhi nuqsaan pouncha.
Waqeye ki report mlitay hi police aur rangers ki bhaari nafri imdadi teams aur bomb disposel squad ka amlah jaye haadsa par pahonch gaya aur haadsay mein zakhmi afraad ko civil aur burhani hospital muntaqil kiya gaya jahan unhein tibbi imdaad di ja rahi hai.
Tibbi zaraye ne 2 afraad ke jaan bahaq jab ke khatoon samait 20 afraad ke zakhmi honay ki tasdeeq ki hai.
DIG Karachi janoobi Abdal khaliq Sheikh ne media se baat karte hue kaha hai ke dhamakay mein 2 kilo gram baroodi mawaad istemaal kiya gaya jo wahan khari aik motorcycle mein rakha gaya tha jab ke dhamaka time device ke zariye kiya gaya.
Dhamakay mein istemaal honay wali motorcycle ka number KGB-7264 hai jis ke maalik ka naam Liaqat hai aur woh kemari ka rehaishi hai..
Karachi Mein Mehakma Income Tax Ki Building Mein Aag Lag Gayi
Karachi: fire brigade Ke Amlay Ne Mehakma Income Tax Ki Building Mein Lagi Aag Par 1 Ghantay Ki Koshish Ke Baad Qaboo Pa Liya.
Karachi mein sindh secretariat ke Ahatay mein waqay mehakma income tax ke 8th floor par waqay canteen mein aag lag gayi jis ne dekhte hi dekhte poori manzil ko apni lapait mein le liya isi waqeye ke douran building ke 4th floor mein bhi aag bharak uthi.
Waqeye ki report mlitay hi fire brigade ka amla mauqe par ponch gaya jis ne pehlay isnorkel ki madad se imarat mein phansay hue logon ko nikaal liya.
Amlay ne aik ghantay ki koshish ke baad aag par qaboo pa liya hai taham cooling ka amal jari hai..
Karachi Samait Sindh Aur Balochistan Ke Mukhtalif Elaqon Mein Barish Ke Baad Mausam Khushgawar
Karachi: Maghrib Se Barish Barasane Wali Hawaon Ka Naya Silsila Balochistan Mein Daakhil Ho Gaya Hai Jis Ke Baad Mukhtalif Shehron Mein Halki Aur Taiz Barish Se Mausam Khushgawar Hogaya.
Mehakma Mosmiyat ke mutabiq maghrib se barish barasane wali hawaen Balochistan mein daakhil hogai jab ke raat se shuru hone wali barish ke naye silsilay ne mausam ko Khushgawar aur dilkash bana diya hai.
Gwadar mein 35 mili meter jab ke Karachi aur Lower deer mein 3 mili meter barish record ki gayi.
Mehakma Mosmiyat ke mutabiq ainda 24 ghantay ke douran mulk ke junoobi elaqon mein mausam abar alood rehne ka imkaan hai jabkay Karachi, Hyderabad,Mirpurkhas samait androon Sindh,Mekran Division,Queta,Sob,Qalaat,Lahore division,Bahawalpoor,Multan,DG Khan,Sahiwal aur Kashmir mein barish aur taiz hawaen chalne ka imkaan hai.
Mehakma Mosmiyat ka kehna hai ke kal se mangal tak Islamabad samait mulk ke pahari elaqon mein halki barfbari ka imkaan hai jab ke Punjab mein Lahore , Faisal abad aur sahiwal samait mukhtalif shehron mein taiz hawaon ke sath barish ka bhi imkaan hai..
Pak Chaina Dosti Ki Yadgaar Ke Tor Par 20 Rupay Ka Sikka Jari
Islamabad: Hukoomat Pakistan Ne Pak Chaina Dosti Ki Yadgar Ke Tor Par 20 Rupay Ka Sikka Jari Kar Diya..
Sikkay ke front par islami jamhooria Pakistan likha gaya hai jabkay darmiyan mein chaand tara banaya gaya hai jabkay pusht par Pakistan aur chaina ke jhanday banaye gaye hain,
Yeh sikka aaj se mulk bhar mein istemaal hosakega.
Wazeh rahay ke Pakistan aur chaina ki dosti La’zawaal tassawur ki jati hai aur army cheif general raheel shareef ke haliya dora cheen ke mauqey par cheeni hakkaam ne Pakistan ki tashweesh ko apni tashweesh qarar diya tha jab ke March mein chaina ke saddar Pakistan ka dora bhi karenge…
Sindh Aur Balochistan Ke Sahili Elaqon Mein Barish
Karachi: Mulk Mein Baarisho Aur Barf bari Ka Sabab Ban’nay Walay System Ke Baais Sindh Aur Balochistan Ke Sahili Elaqon Mein Kahin Halki To Kahin Taiz Barish Ho Rahi Hai.
Balochistan ke sahili elaqon Gwadar,Panjgoor,Turbat aur deegar mulhiqa elaqon mein guzashta raat se mosladhar barish jari hai jis se nashebi elaqay zere’Aab aagaye aur nadi naalon mein tughyani agai hai.
Kayi maqamat par musafir gariyaan phas gayi hain is ke ilawa neel nutt nadi mein tughyani ke baais Balochistan ke mukhtalif elaqon ka Karachi se zameeni rabita bhi munqita hogaya hai.
Balochistan mein daakhil honay walay baadalon ne Karachi samait Sindh ke beshtar sahili elaqon ko bhi apni lapait mein le liya hai jis se mukhtalif elaqon mein taiz hawaon ke sath kahin halki aur kahin taiz barish ho rahi hai.
Mehakma Mosamiyat ka kehna hai ke ainda 2 roz mein baarisho aur barf bari ka silsila poray mulk tak phail jayega.
Budh aur jumeraat ke roz Islamabad,Rawalpindi ,Sargodha,Gujranwala aur Lahore jab’kay Balochistan mein Queta,Qalaat,Pasheen aur qilah Saif Ullah jab’kay Khyber Pakhtunkhwa Azad Kashmir aur Gilgit Baltistan mein jummey tak barish aur barf bari hogi..
Swaat Malaa Kund Aur Gardo Nawah Mein Zalzalay Ke Jhatkay
Swaat: Malaa Kund Aur Gardo Nawah Mein Zalzalay Ke Jhatkay Mehsoos Kiye Gaye Taham Kisi Jani O Maali Nuqsaan Ki It’tilaat Masool Nahi Hui Hain.
Report ke mutabiq swaat aur malaa kund mein zalzalay ke jhatkay mehsoos kiye gaye.
Zalzala koh pema markaz ke mutabiq richter scale par zalzalay ki shiddat 4.6 record ki gayi jab ke is ka markaz tajikstan ka sarhadi elaqa aur zameen mein is ki gehrai 10 kilometer thi.
Zalzalay ke baais kisi jani o maali nuqsaan ki it’tilaat masool nahi hui hain taham khauf ke baais log kalma tayyaba ka vird karte hue apne gharon se bahar aa gaye..
Karachi Mein Masjid Ke Bahar Se Bomb Bar’Aamad
Karachi: Bomb Disposel Squad Ne Masjid Ke Bahar Rakhay Gaye Bomb Ko Nakara Bana Kar Dehshat Gardi Ki Koshish Nakaam Bana Di.
Karachi ke elaqay north naazimabad mein qalandariah chowk ke qareeb waqay masjid ke darwazay par mushtaba bag ki mojoodgi ki ittila par police mauqe par pahonch gayi.
Talashi ke douran bag se cement ka aik block mila jis ke bahar kuch wires nazar aa rahi thien police ne block mein baroodi mawaad ki mojoodgi ke khadshay ke paish e nazar bomb disposel squad ko talab karliya jis ne block ke andar bomb ko nakara banadiya.
Bomb disposel squad ka kehna tha ke block mein 2 se 3 kg tak baroodi mawaad mojood tha jo barri tabahi ka baais ban sakta tha.
Police ne jaye waqooa se aik mushtaba shakhs ko hirasat mein le kar is se pooch gach shuru kardi hai.
Rawalpindi Chitian Bhatiyan Mein Khud’kash Dhamaka
Rawalpindi ke Elaqay Chitian Bhatiyan Mein Imam Bargaah Ke Bahar Khud kash Dhamakay Mein 7 Afraad Jaan Bahaq Jab’kay Mutadid Zakhmi Hogaye.
Rawalpindi: Dehshat gardon ne aik baar phir waar kiya aur masoom shehrion ko apni darindgi ka nishana banaya.
Committee chowk ke qareeb bhabra bazaar ke ghunjaan abad muhallay chitian bhatiyan mein imam bargaah imam baara syed Abbu Mohammad Rizvi main mehfil milaad jari thi jis mein 50 se 60 afraad mojood thay.
Raat 9:15 bajay aik motorcycle sawaar imam bargaah ki taraf barha police ahelkaar Amaan Ullah ne usay roknay ki koshish ki to us ne motorcycle par hi khud ko ura liya. dhamakay se imarat ka samnay wala hissa munhadim ho gaya aur mehfil milaad mein shareek afraad dhamaka khaiz mawaad ki zad mein aa gaye har taraf dhuwen ke baadal chaa gaye aur cheekh o pukaar mach gayi kayi afraad mauqe par hi jaan bahaq ho gaye jab’kay mutadid buri tarha zakhmi huey.
Ghunjaan abad elaqay aur tang galiyo ki wajah se rescue teams ko wahan pounchanay aur imdadi kaam mein mushkilaat ka saamna karna para.
Maqami logon ka kehna hai ke mehfil milaad jari thi ke zor daar dhamakay ki aawaz aayi aur har taraf dhuwan aur guru gubhar chaa gaya.
Police,Rangers aur Army ki quick response force ke jawan mauqe par pahonch gaye aur elaqay ko ghairay mein le liya aur ghair mutaliqa afraad ko daur hata diya dhamakay se qareebi gharon ko bhi shadeed nuqsaan pouncha.
Zakhmiyon ko Rawalpindi ke mukhtalif hospitals mein daakhil kara diya gaya jahan kuch ki haalat tashweesh-naak hai tamam hospitals mein emergency nafiz kar di gayi.
Security hakkaam ke mutabiq dhamakay mein 10kg baroodi mawaad istemaal kiya gaya dhamakay ke baad kuch der tak asal surat haal ka pata na chal saka.
Police ne bhi wireless par cylinder dhamakay ki cal chalayi.
Dhamakay ke baad shehar ke mukhtalif elaqon mein security high alert kar di gayi. wazeer e azam Mohammad Nawaz shareef ne dhamakay ke waqey ka notice letay hue wizarat dakhla se report talab karli.
Asif Zardari aur Altaf Hussain samait siyasi rehnumao ki muzammat. Mazhabi tanzeemon ne 3 roza sog ka elaan kar diya.
pakistan Mein Youtube Ke Mutabadil Youtubes.pk Muta’rif Karadi Gayi
Islamabad: Pakistan Mein Youtube Par Taveel Pabandi Ke Baad Ab Muqami Satah Par Video Sharing Ki Mosar Website (youtubes.pk) Muta-arif KaradI Gayi.
Pakistan mein social media ki barhti hui maqboliat ke baais awam ki sahoolat ke liye you tube par pabandi ke baais muqami satah par mutabadil Website you youtubes.pk muta-arif karade gayi hai.
Wazeh rahay ke saal 2012 mein youtube par tauheen risalat par mabni ek video samnay anay ke baad Pakistan mein pur-tashaddud muzahiron ke tanazur mein hukoomat ne is video sharing Website par gair muena muddat tak ke liye pabandi aaid kar di thi jo ta’haal barqarar hai.
Punjab-Khyber Pakhtunkhwa Aur Balai Sindh Mein Dhund Ka Raaj Bar’qarar
Punjab – Khyber Pakhtunkhwa Aur Balai Sindh Ke Mukhtalif Elaqon Mein Dhund Ka Raaj Bar’qarar Hai Jis Ki Wajah Se Nizaam Zindagi Shadeed Mutasir Ho Rahay Hain.
Punjab ke medani elaqay Sindh ke Sukkur division aur Khyber Pakhtunkhwa mein guzashta kayi roz se dhund ka silsila jari hai jis ki wajah se logon ko aamad wa’raft mein shadeed mushkilaat ka saamna hai,
Multan airport par aaj bhi kayi parwaazon ki aamad o Raft mansookh kar di gayi hain jab’kay Lahore airport par bhi flight schedule shadeed mutasir hai is ke ilawa had nigah kam honay ki wajah se motor way par trafic ki ravani shadeed mutasir ho rahi hai.
Mehakma mosamiyat ne ainda 24 ghanton ke douran mulk bhar mein mousam khushk aur sard rehne ka imkaan zahir karte hue malakand division ke kuch elaqon mein barish aur halki barfbari ki paish goi ki hai.
Is ke ilawa Gujranwala , Lahore , Faisal abad, Multan , bahawalpoor, sahiwal, sargodha, DI Khan , DG Khan aur Sukkur mein gehri dhund ka imkaan zahir kya hai.