National

1 5 6 7 8 9 15

Lahore Ke Anarkali Plaza Mein Aag Lagnay Se 13 Afraad Jaan Bahaq

Lahore: Anarkali Plaza Mein Aag Lagnay Ke Nateejay Mein Khatoon Samait 13 Afraad Jaan Bahaq Hogaye Jab Ke Imdadi Teams Ne 2 Ghantay Ki Koshisho Ke Baad Aag Par Qaboo Pa Liya.

Report ke mutabiq Lahore ke anarkali plaza ki nichli manzil mein short circuit ke baais achanak aag lag gayi jis ne dekhte hi dekhte poori manzil ko apni lapait mein le liya,

Fire brigead aur rescue teams ne jaye waqooa par pahonch kar building mein phansay mutadid afraad ko nikaal liya ta’ham is douran 13 afraad jhlsne aur dam ghantay ke ba’is dam toar gaye.

Doosri janib MS meu Hospital Dr. Amjad ka kehna hai ke atishzadgi se mutasirah 13 afraad ko hospital laya gaya jin mein 12 afraad pehlay hi dam ghatney se jaan bahaq hogaye they jin mein aik khatoon bhi shaamil hai jab ke jaan bahaq afraad ki shanakht Mazhar , syed Sheeraz , Waleed , Sana Ullah, Ikram , chairag, Noman , Azam , Ateeq aur Mohammad Azam ke naam se hui hai jab ke wazeer e aala Punjab Shahbaz shareef ne atishzadgi ka notice letay hue waqea ki report talab karli..

Karachi Ke Mukhtalif Elaqon Mein Barish Se Sardi Ki Shiddat Barh Gayi

Karachi: Shehar-e-Quied Ke Mukhtalif Elaqon Mein Barish Ke Baais Sardi Ki Shiddat Mein Mazeed Izafah Hogaya Hai.

Karachi ke mukhtalif elaqon mein aaj subah achanak kahein halki aur kahein taiz barish hui. jin elaqon mein barish hui un mein I.I Chndrigrrod, Burns Road, Saddar, Ranchorline, Jorya Bazaar, Garden, Federal B Area, Naazim Abad, Karsaaz, Defence aur Clifton shaamil hain.

Barish ke baais sarkon par phislan se mutadid motorcycle sawaar gir kar zakhmi hogaye taham kisi qisam ka sangeen haadsa paish nahi aaya.
Barish ke baad shehar mein thandhi hawaon ne daairay daal liye hain jis ne sardi ki shiddat mein izafah kardiya hai.

Barish ke baais shehar ke mutadid fider trip kar gaye hain jis ki wajah se mukhtalif elaqon ki bijli moattal hogayi hai.

K-Electric intizamia ka kehna hai ke fani kharabi ko door karne ke liye iqdamaat kiye ja rahy hain jald hi bijli ki farahmi bahaal kar di jaye gi..

Tehreek Insaaf Ki Poora Mulk Band Karne Ki Call Kay Khilaaf Supreme Court Mein Darkhwast Dair

Islamabad: Tehreek Insaaf Ki Janib Se Mukhtalif Shehron Mein Ehtijaj Aur Poora Mulk Band Karne Ki Call Kay Khilaaf Supreme Court Mein Darkhwast Dair Kar Di Gayi.

Darkhwast guzaar ne istada ki hai ke ehtijaj aur shehron ko band karne se shehrion ke bunyadi haqooq mutasir hotay hain adalat PTI ko ehtijaj se rokay.
Tehreek insaaf ki shehron ko band karne ki call ke khilaaf darkhwast barrister Zafar Ullah ne adalat Uzma mein dair ki hai.

Darkhwast mein muaqqaf ikhtiyar kiya gaya hai ke Imran Khan ke Faisal abad aur Karachi ehtijaj ke nateejay mein shehrion ke bunyadi haqooq mutasir huwe.

Mukhtalif shehron mein ehtijaj se article 2, 4, No aur 18 ki khilaaf warzi ho rahi hai.
Darkhwast mein kaha gaya hai ke Imran Khan ne 18 decemeber ko poora mulk band karne ki call de rakhi hai jis se shehrion ke bunyadi haqooq mutasir hunge.
Adalat ehtajaji jalson aur shehron ko band karne se roknay ka hukum de. darkhwast mein wifaqi hukoomat Imran Khan aur deegar ko fareeq banaya gaya hai.

Hukoomat Juditional Commission Bana Kar 18 Decemeber Ka Ehtijaj Rok Sakti Hai : Imran Khan

Islamabad: Chairman Tehreek Insaaf Imran Khan Ka Kehna Hai Ke Jodishil Commission Ban Jaye To Maamla Hal Ho Sakta Hai,
Hukoomat Chahay To 18 Decemeber Ko Pahiyah Jaam Honay Se Ruk Sakta Hai.

Unhon ne kaha ke dabao khatam hotay hi hukoomat peechay hatt jati hai, election tribunal ne chaar mein se dhai halqon mein fraud ka zikar kya, chaar halqon ka nateeja maangna bari baat nahi thi.

Lahore rawaangi se pehlay bani gala mein Jahangir tareen ke hamrah media se baat karte hue Imran Khan ne kaha hum ne Karachi ki tareekh ka pur aman ehtijaj kya.

Lahore walon ko haq aur sach ke liye qurbani deeni parre gi.
Hukoomat ko jab khatrah hota hai yeh mazakraat karne lag jatay hain dabao khatam hotay hi peechay hatt jatay hain.

Imran Khan ne kaha election tribunal ne chaar mein se dhai halqon mein fraud ka zikar kiya, chaar halqon ka nateeja maangna buri baat nahi thi. unhon ne kaha agar kal hukoomat ne sanjeedgi ka muzahira kiya to apne logon ko mushkil mein nahi dalain ge.

Is mauqa par Jahangir tareen ne media se mukhtasir baat karte hue kaha kal mazakraat mein pata chal jaye ga ke hukoomat kya chahti hai.

Quetta Satellite Town Mein Dhamaka 1 Shakhs Jaan Bahaq

Dhamaka Gaari Mein Nasb Time Device Ke Zariye kiya Gaya Zakhmion Ko Qareebi Hospital Muntaqil Kar Diya Gaya.

Quetta mein purani sabzi mandi ke qareeb dhamakay se aik shehri jaan bahaq aur 9 afraad zakhmi ho gaye

Civil hospital mein emergency nafiz kar di gayi. Dehshat gardon ne aik baar phir queta ko dehshat gardi ka nishana banaya hai

Satellite town mein sarki road par honay walay zor daar dhamakay ki aawaz do kilometer door tak suni gayi

Ibtidayi it-tila-aat ke mutabiq dhamaka khaiz mawaad aik gaari mein nasb kiya gaya tha
Dhamakay se do gariyon ko shadeed nuqsaan pouncha jub’ke qareebi emaarton ke sheeshay toot gaye.

Police aur security ehalkaron ne dhamakay ki jagah poanch kar ilaqay ko ghairay mein le liya
Dhamakay ki ittila mlitay hi Civil hospital mein emergency nafiz kar di gayi

Imdadi teams ne zakhmion ko fori tor par hospital muntaqil kar diya baaz zakhmion ki haalat tashweesh-naak hai.

Sukkur Mein JUI (F) Ke Rehnuma Khalid Mahmood Soomro Qatilana Hamlay Mein Jaan Bahaq

Sukkur: Sabiq Senetor Aur Jamiat Ulema e Islam Sindh Ke Secretary General Dr. Khalid Mahmood Soomro Qatilana Hamlay Mein Jaan Bahaq Ho Gaye.

Dr. Khalid Mahmood Soomro Sukkur ki Gulshan Iqbal society mein jamea haqaniyah mein namaz Fajar ada kar rahay thy ke namaloom musallah mulzimaan ne un par andha dhund firing kar di.

Dr. Khalid Mahmood ko hospital muntaqil kya ja raha tha ke woh rastay mein hi dum tor gaye. Jamiat Ulema e Islam ke sobai tarjuman molana Abdul haq mahar aur un ke betay nasir Mahmood ne Dr. Khalid Mahmood ke jaan bahaq honay ki tasdeeq kar di hai.

Jamiat Ulema e Islam (F) ke rehnuma ke qatal ke baad Sindh ke mukhtalif elaqon mein halaat kasheeda ho gaye hain jab ke school, petrol pumps aur dukanain band karadi gayi hain taham markazi aur sobai qaideen ki janib se awam ko pur aman rehne aur sabar ki Talqeen ki ja rahi hai.

JUI (F) ke rehnumao ne mutalba kiya hai ke Dr. Khalid Mahmood Soomro ke qatilon ko fori tor par girftar kya jaye. Aaj Dr. Khalid Mahmood ke betay Dr. Atta Ur Rehman ki shadi bhi thi aur woh guzishta roz Sukkur mein aik convention mein shirkat ke liye gaye thay.

Dr. Khalid Mahmood ki namaz e janaza larkana mein un ke madrasay jamea islamia ashaat al quran wal hadees mein ada ki jaye gi jub’ke un ki tadfeen un ke aabadi gaon Aaqil mein ki jaye gi.

Police ne Dr. Khalid Soomro par hamlay ki ibtidayi report tayyar kar li hai jis mein kaha gaya hai ke 4 mulzimaan safaid rang ki corolla car mein aaye aur jamea haqaniyah ke pichlle darwazay se 3 mulzimaan andar daakhil hue, hamla aawar jadeed aslehay se lais thay aur unhon ne deegar namazion ko hata kar sirf Dr. Khalid Mahmood Soomro ko nishana banaya aur faraar ho gaye. hamlay ke waqt Dr. Khalid Soomro ka Muhafiz wuzu bana raha tha jab ke mulzimaan balochi zabaan mein baat cheet kar rahay thay.

Wazeer-e-Azam Nawaz shareef, wazeer e aala Punjab Shahbaz shareef aur Ameer jamaat islami Siraj Ul Haq samait siyasi o mazhabi jamaaton ke rehnumao ne Dr. Khalid Mahmood Soomro ke qatal ki shadeed alfaaz mein muzammat ki hai jab ke Jamiat Ulema e Islam ke sarbarah molana fazl-Ul-Rahman ne fori tor par qatilon ki giraftari ka mutalba kiya hai.

Sabiq saddar Asif Ali Zardari ne Dr. Khalid Mahmood Soomro ke qatal par dukh ka izhaar karte hue wazeer e aala Sindh Syed Qaim Ali Shah ko telephone kiya aur qatilon ki giraftari ke liye tamam tar wasail barooay car laane ka hukum diya.
IG Sindh police ne waqeye ka notice letay hue fori tor par report talab kar li hai.

Wazeh rahay ke Dr. Khalid Mahmood Somro ka talluq larkana se tha aur woh 26 saal tak JUI (F) ke secretary general rahay, 2006 mein senetor muntakhib hue aur mukhtalif committeyon ke chaiman rahay.

Dr. Khalid Mahmood par pehlay bhi 5 martaba qatilana hamla ho chuka tha jab ke kuch arsay qabal bhi un par rato dero mein qatilana hamla kiya gaya tha.

Dr. Khalid Mahmood ka shumaar JUI (F) ke markazi rehnumao mein kya jata tha,
Sindh ki siyasat mein un ka Eham kirdaar raha hai aur JUI (f) ke Sindh mein jalson ke tamam tar intizamaat Dr. Khalid Mahmood hi kiya karte thay..

Karachi Ke Elaqay Gulsitan-e-Johar Jhopriyon Mein Aag Lagnay Se Khatoon Jan-bahaq

Karachi: Gulsitan-e-Johar Mein Waqay Jhopriyon Mein Aag Lagnay Se Khatoon Jhulas Kar Kaan Bahaq Jab’ke 6 Afraad Zakhmi Hogaye.

Report ke mutabiq Karachi ke elaqay Gulsitan-e-Johar block 16 mein waqay Jhopriyon mein se aik mein khana pakanay ke douran aag lag gayi jis ne dekhte hi dekhte atraaf mein waqay deegar Jhopriyon ko bhi apni lapait mein le liya.

Waqeye ki ittila mlitay hi fire brigade ki aik gaari ne mauqa par pahonch kar aag par qaboo panay ki koshish ki ta’hum sorat e haal ki sangini ko dekhte hue mazeed 5 gariyaan aur aik water browser bulaya gaya jis ne aik ghantay ki mushaqqat ke baad aag par qaboo pa liya.

Atishzadgi ke waqeye mein aik khatoon jhulas kar jaan bahaq jabkay 5 bachon samait 6 afraad zakhmi hogaye,
Zakhmion ko fori tor hospital pouncha diya gaya jahan inhen tibbi imdaad faraham kardi gayi hai.

Sukkur Ke Qareeb Coach Aur Truck Mein Tassadum Se 59 Afraad Jan’Bahaq

Sukkur: Therhi Bypass Ke Qareeb Coach Aur Truck Mein Tassadum Ke Nateejay Mein Jan’Bahaq Afraad Ki Tadaad 59 Ho Gayi Jub’ke Khawateen Aur Bachon Samait Mutadid Afraad Zakhmi Hain.

Report ke mutabiq Peshawar se Karachi Aanay wali musafir bus 79 musafiron ko lekar Aa rahi thi ke Sukkur mein therhi bypaas ke qareeb koylay se bharay truck se takra gayi jis ke nateejay mein 59 afraad jaan bahaq jab ke khawateen aur bachon samait 20 zakhmi hogaye.

Imdadi teams ke ehalkaron ne haadsay mein jaan bahaq aur zakhmi honay walon ko fori tor par civil hospital khiarpur muntaqil kiya jahan zakhmion ko tibbi imdaad di ja rahi hai jab ke doctors ka kehna hai ke 6 afraad ki halat tashweesh-naak honay ke baais halakaton mein izafay ka khadsha hai.
Khairpur hospital mein emergency nafiz kar ke tamam doctors ko fori tor par talab kar liya gaya hai.

MS civil hospital khairpur ka kehna hai ke haadsay ke nateejay mein 56 lashain hospital layi gayi jin mein 18 khawateen aur 12 bachay shaamil hain jab ke 13 zakhmion ko bhi tibbi imdaad di ja rahi hai aur shadeed zakhmion ko larkana aur Karachi ke hospitals mein muntaqil kar diya gaya hai.

Haadsay mein bus ka driver waheed jan’bahaq jab ke truck ke driver Ali Ahmed ki taang toot gayi.
Rescue zaraye ka kehna hai ke haadsa itna shadeed tha ke haadsay ke baad bas mein aag lag gayi jab ke sarrak par koyla phail gaya.

DIG Motorway AD khwaja ne bataya ke haadsay ki asal wajah Road ki kharab sorat-e-haal hai jab ke haadsay ka shikaar bas over loaded thi jis ka over speed par motorway police ne chalaan bhi kya tha.
Unhon ne bataya ke Road ki kharab sorat-e-haal aur over speed ke baais driver bus par apna qaboo kho betha aur bus Road ki doosri taraf qlabazyan khatay hue ja pohanchi jahan mukhalif simt se Aanay walay koylay se bharay truck se takra gayi jis ke baais halakaton mein izafah howa.

Gariyaan Tornay Par Saza Yafta Mulzim Gullu Butt Ne Saza Ko Adalat Mein Challenge Kar Diya

Mutasireen Ne Shikayat Darj Nahi Karai, Police Ki Jhooti Gawahi Par Saza Di Gayi, Kaladam Qarar Di Jaye : Wakeel Gullu Butt

Saniha model town mein gariyon ki tor phor case mein saza Yafta ne saza ko Lahore high court mein challenge kar diya hai.

Advocate kashif zaidi ki wasatat se Gullu butt ne dair ki jane wali appeal mein muaqqaf ikhtiyar kiya ke insidaad e dehshat gardi ki khusoosi adalat ne gariyon ke tor phor ke muqadmay mein haqaiq ke bar aks faisla sunaya halan’ke jin afraad ki gariyon ke sheeshay torrey gaye un mein se kisi ne bhi na to shikayat darj karwai aur na hi adalat mein gawahi di.

Qanoon ke tehat mutasira fariqain agar gawahi na de to saza nahi sunai ja sakti lekin is ke ba’wajood trial court ne police Ahalkaron ki jhooti gawahi ki bunyaad par 11 Saal 3 Maah qaid aur 1,11,000 rupay jurmana ki saza sunai.

Lehaza adalat se istada hai ke ki saza ko kaladm qarar day kar riha kiya jaye.

Wizarat-e-Dakhla Ka 9 Aur 10 Muhrram Ko Mobile Phone Service Band Karne Ka Faisla

Islamabad: Wizarat-e-Dakhla Ne 9 Aur 10 Muhrram Ko Security Khadshaat Ke Baais Mobile Phone Service Band Karne Ka Faisla Kiya Hai Jub’ke Sindh Hukumat Ne Karachi Samait 5 Izlaa Mein 8 se 10 Muhrram Tak Mobile Service Moattal Rakhnay Ki Darkhwast Ki Hai.

Report ke mutabiq wizarat dakhla ki janib se Muhrram mein security khadshaat se mutaliq high alert jari kiya gaya hai jis ke baais mulk bhar mein 9 aur 10 Muhrram ke douran mobile phone service ko bhi band rakhnay ka faisla kiya gaya hai.

Zaraye ke mutabiq wizarat dakhla ko jis sobai hukoomat ki janib se darkhwast masool hogi wahan aur hassas elaqon mein mehdood waqt ke liye service band ki jayegi.

Zaraye ka kehna hai ke mulk bhar mein Muhrram ke douran full proof security ko yakeeni bananay ke 32 hazaar 695 ahelkaar tainaat kiye jayen ge jin mein pak fouj rangers, frontier Constabulary aur FC ke troops shaamil honge jo mulk ke 54 mukhtalif izlaa mein faraiz injaam denge jub’ke is douran wizarat dakhla ke 12 Helicopter bhi high alert rakhay jayen ge taa kay kisi bhi nakhushgawaar waqea par sobai hukoomat ko fori tor par taawun faraham kya jasakay.

Zaraye ne bataya ke Paramilitaries forces ko 12 Muhrram tak insidaad e dehshat gardi act ke tehat khusoosi ikhtiyarat bhi somp diye gaye hain jis ke tehat dehshat gardon ki karwai roknay ke liye fori tor par mo-asar iqdamaat kiye ja sakenge.

Doosri janib Karachi police ki sifarish ke baad Sindh hukumat ne wifaq se 8 se 10 Muhrram tak mobile phone service moattal rakhnay ki darkhwast kardi hai.

Mehakma dakhla ke mutabiq Karachi , Hyderabad, Khairpur, Sukkur aur Larkana mein security khadshaat ke baais mobile phone service band rakhnay ki darkhwast ki gayi hai.

Khyber pakhtoon khuwa Hukumat ne yom-e-aashor ke mauqe par Peshawar , Hangu, Taank aur Deera ismael Khan ko intehai hassas qarar diya hai jub’ke security khadshaat ke paish e nazar hassas elaqon mein 9 aur 10 Muhrram ko mobile phone service moattal rakhnay ka bhi elaan kiya hai.

1 5 6 7 8 9 15
News
Karachi
April 2024
M T W T F S S
« Mar    
1234567
891011121314
15161718192021
22232425262728
2930