National
Rawalpindi Sabzi Mandi Main Dhamaka 22 Afraad janbahaq 107 Zakhmi
Rawalpindi: Rawalpindi Ki Sabzi mandi main dhamake se janbahaq hone walay afraad ki tadaad 22 ho gayi jabke 107 afraad zakhmi hain,
Dhamake se insaani jism ke tukre door door tak bikhar gaye har taraf afra tafri phail gayi rawalpindi ke elaqay pir wadhai ke maqaam per qaim sabzi mandi aur phal mandi main aaj subha 8:25 per hazaroon afraad rozi ki talaash main jama thay amrood ki boli lag rhi thi aur dhamaka ho gaya,
Intehayi zoordar dhamaka hua ke zameen hill gayi aur insaani jism ke tukre hawa main urne lagay, dekhne walay bhi zinda laash ban gaye har taraf afra tafri thi kayi so gaz ka elaqa khoon alood tha hawas bakhta logo ne apni madad aap ke tehat zakhmiyoon ko hospital muntaqil karna shuro kar diya,
15 se 20 mint baad rescue aur police pounchi to elaqay ka muhasra kar liya gaya dhamake ki jaga 2 fit gehra aur 3 fit chora garha par gaya sabzi mandi association ke mutabiq us waqt sirf amrood ki nilami hoti hai boli ke waqt hazaroon afraad moujood thay,
Sibi Railway Station Per Jaffar Express main Dhamake Se 14 Afraad Janbahaq Darjano Zakhmi
Sibi: Quetta se rawalpindi jane wali jaffar express main sibi railway station per dhamake ke natejay main 14 afraad janbahaq aur darjano zakhmi ho gaye jabke dhamake ki zimedari united baloch armi nami tanzeem ne qabool karli,
Report ke mutabiq deputy commissioner ka kehna hai ke quetta se rawalpindi jane wali jaffar express jese he sibi railway junction per ponchi to ek zordar dhamaka ho gaya jis ke natejay main 14 afraad janbahaq aur 42 zakhmi ho gaye,
dhamake main janbahaq hone wale afraad ka taluq ek he khandan se hai dhamake ke natejay main train ki ek bogi mukammal tor per tabaah jabke train ki deegar bogiyon main aag lag gayi,
Security Khadshaat Ke Bais Mazar-e-Quaid Main public Entry bund
Karachi: Security khadshaat ke peshe nazar Mazar-e-Quaid main ta’hukum sani cars aur bikes ki entry per pabandi kar ke police aur rangers ki nafri ko tainaat kar diya gaya jabke 3 din tak public entry per pabandi aaid kardi gai hai,
Report ke mutabiq Mazar-e-Quaid Security khadshaat ke peshe nazar police aur rangers ki bhari nafri tainaat kardi gai hai iss hawale se SHO brigade gulam nabi afridi ne tasdeeq karte huwe bataya hai ke ibtedai tor per Mazar-e-Quaid ke ander cars aur bikes ki entry per ta’hukum sani pabandi aaid kar di gai hai jabke Mazar-e-Quaid aane walo ko kisi bhi qism ka thela ya bag lekar aane per pabandi hogi,
police officers ka kehna hai ke Mazar-e-Quaid ki parking area main car ya bike ke zariye dehshat gardi ke mumkina hamle ki information mili hain jis ke bais sakht hifazati iqdamaat kiye gaye hain
Mazar-e-Quaid ko 3 din ke liye public entry per pabandi aaid ki gayi hai brigade police ka kehna hai ke Mazar ki intezaamiah se baat cheet chal rhi hai aur mushawarat ke baad mazeed security ka jaiza lete huwe mazeed iqdamaat kohatmi shakal di jayegi
Lahore main bhi Mazar-e-Iqbal ko security khadshaat ki waja se bund kar diya hai,
karachi Main Matric Aur Inter Ke Exams Ke Douran Dafa 144 Nafiz
Karachi: Sindh Government ne matric aur intermediate ke exams ke moqe per dafa 144 nafiz karte huye intehani marakiz ke qareeb photocopy state machines chalane per pabandi aaid kardi,
Report ke mutabiq sindh government ne karachi main ainda maah start hone wale matric aur intermediate ke exams ke moqe per copy ke khaatmay ke liye dafa 144 nafiz kardi hai,
iss ke tehat imtehani marakiz ke itraaf 100 matric tak 4 se zaid gair mutalqa afraad ke jama hone per pabandi hogi iss ke elawa imtehani marakiz ke qareeb photocopy state machines ke istamaal per bhi pabandi hogi,
Iss moqe per kissi bhi soorat-e-haal se nimatne ke liye sindh government ne police aur rangers ko bhi khusoosi ahkamaat jari kiye hain aur agar koi bhi inn exams ke douraan garh barh karta paya gaya to uss ke khilaaf muqadma bhi darj kiya jayega,
Lahore Airport Per PIA Ki Madina Se Aane Wali Parwaz Ki Emergency Landing
Lahore: Ba-kamaal log la-jawab service PIA ki madina se aane wali parwaz ki allama iqbal international airport per hangami landing,
Report ke mutabiq PIA ki parwaz madina airport se 500 passengers ko lekar Aa rhi thi ke douran-e-parwaz plane ka front wheel jam ho gaya jis per pilot ne control tower se contact ke baad airport per emergency nafiz kardi gayi,
plane ki emergency landing ke baad androon aur bairoon mulk jane wali deegar flights ka schedule bhi mutasir ho gaya jabke mutasira plane ko runway se trolley ki madad hataya gaya,
Mulk Bhar Mian 60 Lakh Gair Registered Mobile Phone Sims Block Kardi Gaien
Islamabad: Pakistan telecom authority (PTA) ki hidayat per mulk bhar main 60 lakh se zaid gair registered mobile sims ko block kar diya gaya,
Report ke mutabiq Pakistan telecom authority ki hidayat per mobile phone operators ki janib se 60 lakh se zaid mobile sims block kardi gayi hain,
band ki jane wali tamaam mobile phone sims nadra ke wazeh karda nizaam se pehlay jaari ki gaien thin jabke PTA ki janib se mobile operators ko hidayat ki gai hai ke gair qanooni sims block karne ke amal ko mazeed tezz kiya jaye,
Wazeh rahay ke iss waqt pakistan main tamaam mobile operators ki janib se jaari karda 13 karoor se zaid sims istamaal ki jarahi hain taa’hum gair registered sims ke istamaal se milk main juraim aur dehshat gardi ki wardatoon main izafa ho raha hai..
Karachi Main Mukamal Aman Ki bahali Tak oppration Jaari Rahega
Karachi: Wazir-e-Azam nawaz sharif kehte hain karachi main mukamal aman ki bahali tak oppration jari rahega tarriqi ke liye inteha pasandi aur dehshat gardi khatam karna hogi,
Awaan-e-sanat-o-tijarat ki export trophy award ki taqreeb se khitaab karte huwe wazir-e-azam nawaz sharif ne kaha ke milk ki tarriqi ke liye dehshat gardi aur inteha pasandi ka khaatma karna hoga,
Unhoon ne kaha ke karachi pakistan ka dil hai yahan juraim ke khaatme tak oppration jaari rahega jis per haal taaliyoon se gonj utha aur unhoon ne kaha k khushi ki bat ye hai ke bad-amni ke khilaaf MQM aur sindh ki deegar syasi jamaiten aur tajir ek hain wazir-e-azam nawaz sharif ka kehna tha ke tajiroon ke masail ko tarjeehi bunyadoon per hal karenge,
Ab khushkhabriyaan milna shuru ho gai hain aglay 8 se 10 baras main system main 1000 megawatt bijli shamil karne ka mansoobay lagaye jayenge,
wazir-e-azam ne kaha ke cheen ne thar main koylay se chalne walay 600 megawatt ke 10 power plant lagane ka faisla kar liya hai jabke 1100 megawatt ke 3 sool new clear power plant bhi lagaye jayengay
Iss moqay per wazir-e-azam ne karachi chamber ke mukhtalif bar-amad kandgaan ko business main awards aur gold medal bhi diye..
Quetta Main Zordar Dhamake Se 10 Afraad Jaan Bahaq 37 Zakhmi Ho Gaye
Quetta ek bar phir zordar dhamake se gonj utha shiddat pasandon ne iss bar nishana banaya quetta ke sceince collage chowk ko,
Dhamake se Aas-pas ki buildings ke sheesahy toot gaye aur 1 bus 2 raksha 4 gariyon aur 4 motor bikes ko bhi nuqsaan poncha,
police ke mutabiq bomb dhamake main 8 se 10 kg baroodi mawad istamal kiya gaya jisey ek motor bike main nasab kiya gya tha,
dhamakay ke baad imdaadi teams ne moqay per ponch kar zakhmiyon ko hospital muntaqil kar diya Dhamakay ke bad security forces ne elaqay ko gherey main leliya Jabke BDS ne elaqay ki scanning start kardi,
MQM Aur People’s party ke Muzakrat Eham Mor Per Agaye,
Karachi: Intehayi ba-aitmaad zaraye ke mutabiq MQM ke jald sindh government main shamooliyat ke hawalay se muamlaat hatmi marahil main dakhil ho chukay hian aur iss silsilay main People’s party aur Mutahidda ke darmiyan pas-parda rabtoon main bhi taezi agayi hai,
Zaraye ke mutabiq dono parties iss baat per agree ho gayi hain ke sindh ki tarraqi awaam ke masail aur deegar umoor ke liye mushtarka koshishain ki jayengi,
Zaraye ka kehna hai ke MQM ki sindh government main mumkina shamooliyat ke hawalay se party workers se raye bhi talab ki ja sakti hai,
Zaraye ka kehna hai ke in rabtoon se sindh main baldiyati nizaam specially moujoda baldiyati idaroon ko tarraqyati funds ke ajraa karachi, hyderabad, aur deegar districts ke baldiyati masail sameet mukhtalif umoor per gour kiya ja rha hai aur People’s party ki janib se MQM ki qayadat ko inform kiya gaya hai ke dono parties ke rehnumaoun main jab ba-zabta mulaqat hogi to karachi oppration ke hawalay se MQM ke tahafuzaat ko marhala war door kiya jayega aur jo ziyadatioun ki complaints hain unka azala kiya jayega,
Zaraye ka kehna hai ke sindh main moujoda siyasi soorat-e-haal per People’s party aur MQM ke pas-parda rabtoon ko buhat eham qaraar diya jayega…
Sindh police ke liye 100 bullet proof gariyaan khareedne ka faisla,
Karachi: Sindh police ko jadeed weapon se less karne or terrorist ki janib se police ko target banane ki wardaaton main izafay ke bad Sindh police ke liye B-6 level ki bullet proof gariyaan khareedne ka faisla kiya gaya hai,
Tamaam gariyaan beroni mulk se dar-amad ki jayengi.
kharidari aur dar-amad kiye jane tak gariyon per 77 karor rupay akhraajat ka takhmiah lagaya gaya hai,
iss zaman main summary manzoor karli gai aur ainda haftay Sindh police ko fund bhi muntaqil kar diye jayengay senior police officers ka kehna hai ke bullet proof gariyon ki idaray ko shadeed zaroorat hai,