National

Karachi Main Rangers Head Quarters Ke Qareeb Dhamake Se 8 Afraad Zakhmi Ho Gaye

Karachi: North Nazimabad main Rangers Head Quarters Ke Qareeb Dhamake Se Kayi Afraad Zakhmi Ho Gaye,

Report ke mutabiq karachi ke elaqay North Nazimabad Block-B main moujood rangers head quarters ke qareeb ek backery ke bahar dhamake main 8 afraad zakhmi ho gaye,

Zakhmiyon ko Abbasi Shaheed Hospital muntaqil kar diya gaya jahan unhaien medical saholat faraham ki ja rahi hai.
Dhamake se qareebi shops, buildings, aur wahan moujood motor bikes ko bhi kafi muqsaan poncha.

Incident ke fori baad rangers aur police ne ealqay ko gherey main lekar shawahid ikhate kar ke investigation ka aghaaz kar diya,

Bomb Disposal Squad ke mutabiq dhamake main 5kg dhamaka khez mawad use huwa aur dhamaka khez mawad motor bike main fit kiya gaya tha,

Wazeh rahey ke north nazimabad main moujood rangers head quarter ko guzishta 2 saal ke douraan 3 martaba dehshat gardi ka nishana ban chuka hai..

Karachi Main Halki Barish Se Mousam khushgawar garmi Ka Zoor Toot Gaya

Karachi main waqfay waqfay se bonda bandi aur halki barish ka silsila jaari hai jis se mousam khushgawar ho gaya hai,

Karachi main guzishta shub se hi halki barish ka silsila shuro ho gaya tha ta’hum subah se dhoop aur chaon ki ankh macholi jaari hai iss ke sath sath bonda bandi bhi ho rahi hai,
abhi bhi shehar ke mukhtalif areas main gehray badal chaye huwe hain ta’hum thori der baad kisi area main sooraj badalon se nikal kar apni tamazat dikhata hai aur kahen halki barish hoti hai,

Halki barish aur alooda fiza ne shehar ke mousam ko khushgawar kar diya hai manchalon ne mousam se lutf andooz hone ke liye sea side ka rukh kar liya hai jab ke khane peene ki dukaano per logon ka rush dekha ja raha hai,

barish ki waja se jahan mousam dilfareb ho gaya hai wahan roads per Slip ki wajah se trafic ke kae hadsaat bhi ro’numa huwe hain inn hadsaat ke  natejay mian kae afraad zakhmi huwe hain ta’hum kisi bhi qism ka jaani nuqsaan nahi hua,

Iss ke elawa barish ki chand bondon ke sath hi shehar ke baray elaqay main bijli ki farahmi bhi muatal ho gae hai,

NTDC Ki janib Se Load Shedding Ke Khaatmay ke Aelaan Ke Bawajood bijli Ki Bandish Jaari

Karachi: National Transmission and dspyj Company ne Mulk main mosam Ki soorat-e-haal behter hone per Load Shedding aarzi tor per khatam karne ka faisla kar diya hai ta’hum iss ke bawajood Mulk bhar main kai kai ghante bijli ki bandish ka silsila jaari hai,

Report ke mutabiq NTDC ka kehna hai ke iss waqt mulk main bijli ki Supply aur demand 11 hazar mega watt hai iss tarah bijli ki Supply aur demand brabar ho gayi hai jis ki wajah se load shedding ko aarzi tor per khatam kar diya gaya hai ta’hum Supply aur demand ko dekhte huwe jald hi load shedding ka naya schedule jaari kiya jayega,

Dosri janib mulk bhar main bijli ki load shedding ka silsila jaari hai aur kai kai ghante bijli ki gair aelaania bandish se mamoolat zindagi shadeed mutasir ho rahi hai wasti punjab ke shehri areas main 6 se 8 ghante  jab ke dehi areas main 10 se 12 ghante bijli bund ki ja rahi hai,

Multan samait junoobi punjab main har ek ghante baad ek ghante ke liye bijli bund ki ja rahi hai sindh aur khyber pukhtoon khwah main 12 se 14 ghante jab ke balochistan main 14 se 16 ghante ki load shedding mamool hai,

Quetta Main Nadra Office ke Qareeb Dhamake Se 2 Afraad Jan-bahaq 15 Zakhmi

Quetta: Dubble road per nadra office ke qareeb dhamake ke natijay main 2 afraad jan-bahaq jabke 15 zakhmi ho gaye,

Report ke mutabiq quetta ke elaqay dubble road per nadra office ke qareeb dhamake ke natijay main 2 afraad mouqay per hi dum tor gaye aur 15 zakhmi bhi ho gaye,

Dhamaka iss qadar shadeed tha ke uss ki awaz door door tak suni gayi jabke dhamake ki shiddat se qareebi emarton gariyon aur motor bikes ko bhi nuqsaan poncha,

Ibtedai tor per dhamake ki noyeat ke baray main maloom nahi ho saka ta’hum iss silsilay main qanoon nafiz karne walay idaron ki janib se investigation ki ja rahi hai,

Dhamake ke baad police aur FIA ki bhaari nafri ne elaqay ko gharay main le liya aur jaye haadsa ko seal karne ke baad suboot jama karna shuroo kar diye jabke rescue teams ne jan-bahaq afraad ki dead bodies aur zakhmiyon ko civil hospital muntaqil kar diya,

Hospital ke zaraye ke mutabiq dhamake main zakhmi hone waly afraad ki halat tashveesh naak hai jis ke bais halakaton main ezafay ka khadsha ha..

Duniya Main Polio Ka phelao Rokne Ke Liye Pakistaniyon Per international Safar Pabandiyaan Aaid

Geneva : World Health Organization ne duniya main polio ke phelao ko rokne ke liye pabandiyaan aaid kardi hain,

World Health Organization ke Zer-e-Ahtimaam duniya main polio ke bharte huwe marz per qabo pane ke liye geneva main ijlaas hua jis main duniya ke mukhtalif mumalik se taluq rakhne walay mahreen aur mubsareen ne shirkat ki,

Ijlaas ke baad press conference ke douraan World Health Organization Additional Director General Doctor Bruce ayluard ne kaha hai ke pakistan main guzishta baras Afghanistan aur Nigeria se bhi zyada polio ke cases record kiye gaye hain,

Iss liye marz ko duniya ke deegar mulkon main dubara phelnay se rokne ke liye yeh zaroori ho gaya hai ke pakistani shehrion per international safar pabandiyan aaid kar di jayen,

3G Aur 4G Licenses Neelaam hote he Services Ki Aazmaish Shuru

Karachi: 3G 4G  Technology ke Licenses ki kamyaab neelami ke baad telecom industry main sargarmiyan urooj per ponch gaien hain,

Licenses hasil karne wali companies ne baray shehron main Trial basis per Users ko free 3G service ki farahmi shuru kardi hai jis ke baad maqami market main smart phones ki Sale main numayaan izafa ho gaya hai,

3G Licenses hasil karne wali ek European Company numainday ne bataya hai ke inn companies ne baray shehron main apne users ke liye Trial basis per 3G ki free service ka Aaghaaz kar diya hai,

Unhone bataya hai ke iss service ki farahmi ka maqsad 3G nerwork per load ka andaza lagana hai jis se service quality ko behter rakhne main madad milegi,

Unhone ne bataya hai ke 3G network per abb tak ke bahtreen nataij hasil ho rahe hain baray shehron main tamaam 3G sale site on kardi gaien hain aur users ko Via SMS inform kar diya gaya haike woh 3G ki free Trial service se Use kar sakte hain iss maqsad ke liye users ko ek Information number bhi jaari kiya gaya hai jis per SMS kar ke User maloom kar sakte hain ke unn ke area main Trail 3G Available hai ya nahi,

Mobile market ke zaraye ka kehna hai ke 3G Licenses ki kamyab neelami ke baad smart phones ki talab main gair mamooli izafa ho gaya hai,

Users ki bari tadaad ainda budget main smart phones per tex lagaye jane ke khadshaat ke sabab fori-tor per smart phones ki kharidari ki tarjeeh dy rahi hai jabke companies ki janib se users ko Trial basis per free 3G ki farahmi ne bhi smart phones ki talab barhane main eham kirdar adda kiya hai,

Industry zaraye ka kehna hai ke 3G service ki marketing ke liye heavy budget mukhtas kiye gaye hain.
Print aur electronic media ke sath large media per bhi multi expenses kiye ja rahe hain jis se advertising ki industry main bhi activities teez ho gaien hain,

Shehar main 3G aur 4G service se mutaliq banners aur display hoardings kiye ja chukay hain jis se rozgaar ki farahmi ke liye new technology se wabista umeedain poori hona shuru ho gaien hain..

karachi Ke Elaqay Gizri Main Dhamaka

Karachi: Gizri main carpet showroom ke qareeb dhamake ke natijay main khatoon samait 4 afraad jan-bahaq jabke 30 zakhmi ho gaye hain,

Report ke mutabiq karachi ke elaqay gizri main choudhry khaliq al zaman road dehli colony main carpet showroom ke qareeb dhamake ke natijay mian 4 afraad jan-bahaq aur 30 zakhmi ho gaye jabke kayi gharon aur gariyon ko bhi nuqsaan poncha hai,
dhamaka iss qadar shadeed tha ke iss ki awaz door dorr tak suni gai jabke aas paas ki buildings bhi laraz gaien,

dhamake ke baad police aur rangers ki bhaari nafri moqay per ponch kar evidence jama karna shuru kar diye jabke rescue teams ne dhamake ke natijay main zakhmi aur jan-bahaq hone walay afraad ko hospital shift kar diya,

DIG West Abdul Khaliq Shaikh ka kehna hai ke nearly 10kg gram baroodi mawad rakshaw main nasab tha aur dhamake ke natijay main 1 rakshaw aur 3 gariyon ko bhi nuqsaan poncha jis main 2 sarkari gariyaan bhi shamil hain,

Health Minister Sindh Doctor sagheer ahmed ka kehna tha ke dhamake main 1 khatoon samait 4 afraad jan-bahaq huwe jabke 30 zakhmiyon ko hospital muntaqil kiya gaya jis main se 5 ki halat nazuk hai,

Sindh ke Information Minister Sharjeel Inaam Memon ne kaha hai ke terrorists ka target sarkari gariyaan thien jabke hamlay main eham government officials saqib soomro ki gari ko ko bhi nuqsaan poncha ta-hum woh gari main moujood nahi thy,

Unhoon ne kaha hai ke terrorists Musalsal sindh ko nishana bana rahe hain federal government ab terrorists se muzakraat ke bajaye jawabi karwai ka aaghaz kare..

Utility Stores Corporation Ne Ramzan Package Per Kaam Shuru Kar Diya

Islamabad: Utility stores Corporation ne ramzan package 2014 ki tayari per kaam shuru kar diya hai,

Federal government ne iss saal Ramzan-Ul-Mubarak ke liye 2 Arab rupy ka relief package dene ka faisla kar liya hai

Utility stores corporation ke tarjumaan Wajid Khan Sawati ne bataya hai ke Ramzan-Ul-Mubarak main Federal government ki janib se Low Income Classes ke liye Utility stores ke zariye Subsidies ki farahmi ashiyae zaroorat ki Pricing stock ki dastiyabi aur supply se Schedule amal ke barey main tajaveez tayar ki ja rahi hain,

Tarjumaan ne bataya hai ke Ramzan package ke tahet , Aata , Ghee , Daal , Besan , Chai ki Patti , aur Mashroobat samait mukhtalif ashiyae zaroort discount rates per faraham ki jayengi,

Peshawar Main Security forces Ki Gari Ke Qareeb Dhamaka, Ek Ahalkar Jan-bahaq 3 Zakhmi

Peshawar.1Peshawar: Bara Sheikhan mian sarak kinaray nusb baroodi mawad phatne ke natejay main security forces ka ek ek ahalkar jan-bahaq aur 3 Zakhmi ho gaye,

Report ke mutabiq peshawar ke qabaily elaqay Bara Sheikhan main frontier road per security forces ki gari ko nishana banaya gaya,

Zaraye ke mutabiq baroodi mawad sarak kinaray nusb tha aur dhamake ke natejay main ek ahlkar shaheed 3 zakhmi ho gaye

waqay ke baad security forces ki bhari nafri ne moqay per ponch kar elaqay ko ghareay main lekar search opration shuru kar diya jabke zakhmi hone walon ko tebbi imdaad ke liye hospital muntaqil kar diya,

Tahafuz pakistan Bunyadi Insaani Huqooq Aur Aazadi Ke Khilaaf Hai, Human Rights Watch

New York: Human Rights Watch ne bhi tahaffuz pakistan ordinance per tanqeed karte huye essy bunyadi huqooq aur aazadi ke khilaaf qaraar diya hai,

Ordinance ke hawalay se Human Rights Watch Asia ke Director Brad Adams ka kehna hai ke bill ka masooda na sirf bunyadi huqooq aur aazadi ke khilaaf hai balke iss se pur aman Political opposition parties ko bhi khatra hai,

Hukumat pakistan insdaad-e-deshat gardi qawaneen ki aar main bunyadi insaani huqooq na dabaye Brad Adams ne kaha hai ke pakistan ki Senate ko yeh qanoon manzoor karne se inkaar karte huye isssy nazar saani ke liye wapis National Assembly bhej dena chahye,

Report ke mutabiq deshat gardi ki tareef ko wazeh karna zaroori hai chota sa trafic jaam bhi iss ke ramze main aa sakta hai police ko bagair Warrant ke kissi shaks ke khilaaf karwai ya griftari ki ijaazt dena awaam ke haq ki munafi hai,

Report main kaha gaya hai ke Security Forces ko di jane wali aesi Aazadi bhi aalmi qawaneen ki khilaaf warzi hai aur iss tareeqay se shehri bar-baryat ka nishana ban sakte hain,

News
Karachi
November 2024
M T W T F S S
« Mar    
 123
45678910
11121314151617
18192021222324
252627282930