National
Musharraf Ki Aamriyat Nawaz Shareef Ki Jamhoriat Se Behtar Thi
Imran Khan Ne Kaha Hai Ke Awam Ko Haqooq Nahi Miley To Khooni Inqilab Ka Rasta Khul JayeGa.
Khud’Kash Hamlay Ka Saamna Karne Ke Liye Bhi Tayyar Hain. Dehshat Gardon Se Nahi Hukmraanon Ki Dehshat Gardi Se Khatra Hai,
Islamabad: dharnay ke shurka se khitaab mein Imran Khan ne kaha ke nojawanon ka mustaqbil andheray mein hai aur haqeeqi jamhoriat hi wahid hal hai.
Pakistanio beron mulk ja kar paisa to kama lo ge magar izzat nahi pa sakoge. mujhe Pakistan ki adliya se takleef hai jamhoori mulk mein adliya azad hoti hai, adliya ki azadi ke baghair haqeeqi jamhoriat nahi aa sakti,
Unhon ne kaha Iftikhar choudhary ki bahaali ke liye sab se agay mein tha tareekh gawah hai ke tehreek insaaf ne adliya ki bahaali ke liye koshishen kee mera Emaan tha ke adliya ki azadi ke baghair insaaf nahi mil sakta,
2013 ke intikhab ke waqt mujhe sabiq cheif justice par bharosa tha magar Iftikhar chohadry Pakistan ki tareekh ka Meer Jaffer nikla. Imran Khan ne kaha election se qabal hi keh diya tha ke intikhabaat shafaaf nahi honge kya is mulk ki adliya ka kaam insaaf dena nahi?
Dhandli ko chupanay ke liye qanoon ka istemaal kiya ja raha hai, mein ne pehlay hi keh diya tha ke agar insaaf nahi mila to sarkon par niklon ga. un ka mazeed kehna tha mujhe Pakistani fouj ki zaroorat nahi, meri fouj meri awam hai pur aman ehtijaj karne walon ko golian marain, grftaryan kee, adliya kahan thi ?. adliya se puchta hon kis qanoon ke tehat dharnay walon par danday barsaye gaye?
PTV hamlay mein agar tehreek insaaf ka ek bhi worker mulawis nikla to khud usay jail bhijwaonga.
Dj Butt ko muawza day kar sound system ke liye rakha howa hai. Imran Khan ka ye bhi kehna tha container Islamabad high court ke faislay ke baad bhi nahi uthaye ja rahay, jamhoriat ka raag alapne walay high court ke faislay par amal nahi kar rahay.ujrat se puchta hon kab apne haqooq ke liye kharay hoge,
Nawaz shareef had se ziyada dar’pok insaan hai khud kash hamlay ke liye bhi tayyar hon hukmraanon ki terha dar’pok nahi. mujhe dehshat gardon se nahi Nawaz shareef ki dehshat gardi se khatrah hai agar adliya awam ko insaaf nahi day gi to hum kidhar jayen ge?
kya adliya ka kaam human rights ka tahaffuz nahi ?. awam adliya ki bahaali ke liye is liye niklay thy ke inhen insaaf miley ga yahi waqt hai ke adliya awam ki behtari ke liye so motto action le agar awam ko haqooq nah miley to khooni inqilab ka rasta khul jayega,
Javed Khan ke dono betay thaanay mein hain cheif justice se puchta hon awam insaaf ke liye kis dar par jayen? unhon ne kaha general Musharraf ki aamriyat Nawaz shareef ki jamhoriat se behtar thi Nawaz shareef kyun mulk ki fouj ko badnaam kar rahay ho. shakeel ur Rahman Pakistan ka firaon hai. shakeel ur Rahman aur Nawaz shareef dono miley hue hain. Imran Khan ka kehna tha ke ab hukoomat se mazeed mazakrat ki zaroorat nahi…
Nazimabad Mein Bank Ke Bahar Dhamaka
Sharpasnd Anasir Niji Bank Ke Bahar Dhamaka Khaiz Mawaad Pheink Kar Faraar Hogaye Dhamake Ki Aawaz Door Door Tak Suni Gayi,
Karachi: North nazimabad mein niji bank ke bahar motorcycle sawaar dhamaka khaiz mawaad pheink kar faraar ho gaye.
Dhamake ki aawaz kaafi door tak suni gayi.
Waqeye ke baad police aur imdaadi team mauqe par poanch gayeen.
Waqeye mein koi jani nuqsaan nahi howa, mauqe par pounchanay wali bomb disposel team ke mutabiq dhamaka desi sakhta dasti bomb ka tha..
Naadra Ne Tamaam Halqon Ke Finger Prints Ki Tasdeeq Namumkin Qarar Daydi
Naadra Ne Wazeh Kiya Hai Ke Agar Mulk Bhar Ke Intikhabi Halqay Khole Gaye To Angothon Ke Nishanaat Ki Tasdeeq Ka Amal 10 Saal Mein Mukammal Hoga. Doosri Janib Member Election Commission Justice Retired Riaz Kiyani Ne Afzal Khan Ko Qanooni Notice Arsaal Kar Diya,
Islamabad: Nadra ne mojooda dour hukoomat mein tamam halqon ki finger prints ki tasdeeq namumkin qarar daydi. national data bees authority zaraye ka kehna hai ke angothon ke nishanaat ki tasdeeq ke liye nadra ko saat marahil se guzarna parega.
Pehley marhalay mein counter file aur voter list serial number ke tehat wasool ki jaye gi. dosray marhalay mein counter file ki ginti. teesray mein tasweer wali voter fhrston ke sath Counter file ko match kiya jata hai. choutha marhala scanning digitization hai jis ke baad ki tasdeeq ka amal agay barhta hai.
Ek martaba report anay ke baad yeh amal do se teen martaba dohraya bhi jata hai. aakhri marhalay mein naadra dastawizi report tayyar karta hai.
doosri janib election commission Punjab ke rukan justice retired Riaz Kiyani ne afzal Khan ko qanooni notice bhijwa diya hai jis mein kaha gaya hai ke afzal Khan ne be-bunyaad ilzamaat lagaye.
Afzal Khan 14 din ke andar maafi mangeen. un ka kehna tha ke afazl Khan ne maafi na mangi to un ke khilaaf 2 crore rupay harjana aur fouj daari karwai ke liye darkhwast dunga..
Selaab Se Hone Wali Tabahi Ki Zimmadaar Punjab Hukoomat Hai
Islamabad: Chairman Tehreek Insaaf Imran Khan Ka Kehna Hai Ke Selaab Se Honay Wali Tabahi Ke Zimmadaar Mojooda Hukmaran Hain Kyun Ke Unhon Ne Selaab Ki Rok Thaam Ke Liye Kuch Nahi Kiya Aur Ab Kaha Ja Raha Hai Ke Dharna Khatam Kya Jaye,
Islamabad ke D chowk par azaadi March ke shurka se khitaab karte hue Imran Khan ka kehna tha ke Punjab mein selaab ke baais kisanon ko arbon rupay ka nuqsaan howa jabkay selabi pani ko zakheera kar ke qabil istemaal banaya ja sakta tha lekin selaab ki rok thaam ke liye iqdamaat na karna Punjab hukoomat ki ghaflat ka nateeja hai aur wohi is ki zimmadaar hai.
unhon ne kaha ke tehreek insaaf har haal mein selaab mutasireen ki madad kere gi, hukoomat ke sath milnay walay corrupt tolay ka muqaabla kar ke deikheinge.
Chairman tehreek insaaf ka kehna tha ke tehreek azadi ke baad yeh tehreek sab se barri hai, hum apne liye nahi balkay mazloom tabqay ke liye jad-o-jehad kar rahay hain, un logon ke liye qurbaniyan day rahay hain jinhein hukmaran bheer bakrion ki terhan rakhtay hain aur un bachon ke liye lar rahay hain jinhein un ke bunyadi haq taleem ke husool se door rakha jata hai.
Unhon ne kaha ke sahib Iqtidaar Pakistan ko apni riyasat samajte hain aur apne bachon ko lainay ke liye tayyar kar rahay hain.
Quaid-e-Azam aur Allama Iqbal ne jis Pakistan ke liye jad-o-jehad ki usay haqeeqi shakal mein laane ke liye koshish jari rahay gi.
wazeh rahay ke chairman tehreek insaaf ne Sialkot ke selaab mutasirah elaqon ka dora kiya jahan mutasireen se mulaqaat ke baad Imran Khan dobara dharnay mein ponch gaye…
PTI Ke Sath Taqreeban Tamam Cheezon Par Ittafaq Ho Chuka
Hukumat Aur Tehreek Insaaf Ki Mazakarati Cometion Ke Darmiyan Mulaqaat Khatam, Wifaqi Wazeer Khazana Ishaq daar Ne Kaha Hai Ke PTI Ke Sath Taqreeban Tamaam Cheezon Par Ittafaq Ho Chuka Hai,
Islamabad; Siyasi bohraan ke khatmay ke liye hukumat aur tehreek insaaf ki mazakarati cometion ke darmiyan aaj do ijlaas hue jis mein tehreek insaaf ki janib se tehreek insaaf ke deputy chairman Shah Mahmood Qureshi aur Jahangir tareen ne shirkat ki,
Jub’ke hukumat ki janib se wifaqi wazeer khazana Ishaq daar aur Zahid Hamid ijlaas mein shareek huye. ijlaas ke baad media se guftagu karte hue Ishaq daar ne bataya ke tehreek insaaf ke sath taqreeban tamam cheezon par ittafaq ho gaya hai lekin tehreek insaaf se aik mutalbe par baat nahi ho sakti,
Do cheezon par qayadat se mushawarat ke baad PTI ko batayenge. Shah Mahmood Qureshi ne kaha ke hum ne jo kuch kehna tha hakumati team ko keh diya hai. mazakarati amal mukammal ho chuka hai jis ki kamyabi ka inhisaar hukumat par hai…
Awami Tahreek Ke Workers Ne Dharne Ki Yaadgar Bana Dali
Gende Aur Gulaab Ki Pattion Se Aaraish Jagah Ko Inqelaab Chowk Ka Naam De Diya Gaya,
Islamabad: Pakistan Tahreek ke workers ne shahra-e-dastoor per apne dharne ki yaadgar bhi bana dali.
Dharne ke shurkaa ka kehna hai ke aane walay dour main iss yaadgar ko khusoosi ehmiyat hasil hogi.
Pakistan Awami Tahreek ke workers apne dharne ko tareekhi to qaraar dete hain ab unhone shahra-e-dastoor per apne dharne ki yaadgar bhi bana dali aur supreme court ke samne chowk ko Inqelaab chowk ka naam de diya hai,
Workers ne yaadgar ke nishaan ko guldaston gende aur gulaab ki pattion se saja dala hai.
Kehtay hain humain assembly ke floor per khana-badoosh kaha gaya hai agar inqelaab lanay wale khana-badoosh hain to humain us per fakhar hai,
dharne main shamil hina B.B yaadgar per guldasta sajane aai unka kehna tha ke wo yaha roz aati hain aur chahti hain ke isse phoolon ki mehak se taza rakhen,
Ansa ilyaas aur misbah ka kehna hai ke wo inqelaab chowk ke bagh ki safai ka khaas khayal rakhti hain,
dharne ke shurkaa kehtay hain ke hukumat humain aur kuch dy na dy lekin apne aewano ke sath hamari aamad ki iss yaadgar ko zaroor rehne dain..
Pakistan Defence Day Rawayati Josh-0-Kharosh Se Manaya Ja Raha Hai
Islamabad: Mulk Bhar Main Pakistan Defence Day Aaj 6 September Rawayati Josh-0-Kharosh Se Manaya Ja Raha Hai,
Din ka Aaghaaz masajid main mulk ki salamati ki duaaon ke sath hua jub’ke Aaj ke din 6 september 1965 main shaheed hone waloon ki yaadgaron per phool charhane ke elawa Qur’aan khwani aur fatiha khwani ki jayegi.
Radio Pakistan iss hawalay se special program nashar karega newspapers main bhi Articles likhey gaye hain jub’ke TV channels se bhi special programs telecast kiye jayenagy.
President Mamnoon Hussain ne defence day per apne massage main mulk ki difaa aur waqar ki khatir datt jane waly Sipahiyon, Ghaziyon, aur Shaheedon ko khiraj-e-tehseen pesh karte huwe kaha ke pakistan ki bahadur muslah afwaaj androni aur bairooni khatraat ka muqabla karne ke liye har waqt tayyar hai jub’ke prime minister nawaz sharif ne qoum ko yaqeen dilaya ke mojouda jamhori hukumat apni muslah afwaaj ki zarooriyaat pori karne ke liye pur’azm hai..
Imran Khan Ka D-Chowk Wapis Jaane Ka Elaan
Imran khan Ne Red Zone se D-Chowk Wapis Jaane Ka Elaan Kar Diya.
Captain Ka Kehna Hai Ke Dharna Jaari Rahega Prime Minister Resignation Liye bagair Wapis Nahi Jayengy,
Islamabad: Islamabad main dharne ke shurkaa se khitaab karte huwe imran khan ne kaha hai ke kuch log samajh rahe thy ke workers thak haar kar gharon ko wapis chaly jayengy lekin dharne ke shurkaa ki tadaad musalsal barh rahi hai,
Naye pakistan ki jung bhi almost jeet chuke hain Chairman tahreek-e-insaaf ne ek baar phir wazeh kiya ke fouj ke Indicator per nahi awaan ke Indicator per Islamabad aaye hain.
Ilzaam tarashi karne waly fouj ko badnaam kar rahe hain imran khan ne kaha hukumraan ayashiyon main masroof hain aur saara bojh gareeb awaam per dala ja raha hai pakistani qoum ko jagna hoga..
Punjab Main Shadeed Barish Ne Tabahi Machadi
Punjab Main Tez Barish Ne Tabahi Machadi Deewarain Chhatain Aur karant Lagne Se 32 Afraad Jan’bahaq
Shahbaz Sharif Ka Jan’bahaq Afraad Ke Warsa Ke Liye 5,5, Lakh Rupy Imdaad Ka Elaan kar Diya,
Lahore: mulk main monsoon barishon ka silsila urooj per hai aasman se baraste pani ne beshtar elaqay dibo diye,
garajti barasti ghatain kai gharon ke liye ajal pegaam ban gaien.
Chhatain girne aur karant lagne se mukhtalif waqeaat main darjano gharon ke chiraagh gull ho gaye.
Lahore ke elaqay chah miran main 2 manzila girne se ek hi khandan ki 2 khawateen aur bachi samait 6 afraad zindagi ki baazi haar gaye.
G O R main 2, thokar niaz bag main 3, aur defence phase 6 main 3 afraad afraad chal basey.
Mozang aur johar town main chhatain girne se 8 afraad zakhmi ho gaye.
Faisalabad main saifabad, maqbool road, ghulam mohammad abad aur nishatabad main factory aur makanaat ki chhatain girne ke mukhtalif waqaat main 32 afraad jan’bahaq huwe,
Punjab hukumat ne barishon se jan’bahaq hone walon ke lawahqeen ke liye 5,5, lakh aur zakhmiyon ke liye 1,1, lakh rupy imdaad ka elaan kiya hai,
Chief Minister Shahbaz Sharif ne hidayat ki hai ke administration aur WASA afsar office main bethne ke bajaye field main jayen aur pani ki nakasi ki khud nigrani karen.
Shahbaz Sharif ne kaha hai ke hadsaat main zakhmi hone walo ko behtreen saholiyaat ki farahami ko yaqeeni banaya jaye aur fori madaadi karwaiyaan ki jayen..
PTV Per Hamlay Ka muqadma Imaran Khan Aur Tahir Ul Qadri Ke Khilaaf Darj
Islamabad: Pakistan Television Network Ki Building Per Hamlay Ka muqadma Tahreek-e-Insaaf Ke Chairman Imran Khan Aur Awami Tahreek Ke Head Tahir Ul Qadri Ke Khilaaf Darj Kar Liya Gaya Hai,
Report ke mutabiq PTV ki building per hamlay aur qabzay ka muqadma imran khan aur tahir ul qadri ke khilaaf police station secretariat main darj kar liya gaya hai.
Official TV per hamlay ka muqadma number 183 hai jis main PTV hamlay aur qabzay ka ilzaam Aaid kiya hai iss ke elava tahreek-e-insaaf ke leaders Shah Mehmood Qureshi, Arif Alvi, Jahangir Tareen, Asad Umar, Shireen Mazari aur Shafqat Mahmood ke khilaaf khyber pakhtun khwa assembly ke MPA Iftikhar Mashwani ko faraar karane ka muqadma bhi darj kiya gaya hai,
Jis main kaha gaya hai ke guzishta roz tehreek-e-insaaf ke leaders apne workers ke sath police station secretariat main aaye aur MPA ko mulaqaat ke lye bulwaya aur phir kissi ko khatir main na laate huwe unhain churwa kar legaye aur jub police bahar nikli to tehreek-e-insaaf ke workers bari tadaad main moujood thy jis ki waja se police kissi qism ka action nhi kar saki thi,
Iss ke elawa pakistan tehreek-e-insaaf aur awami tahreek ke leaders ke khilaaf ab’tak 7 FIR darj karai ja chuki hain jin main se police station secretariat main 3 PS kohsaar main 2 aur PS abpaara main 2 darj karai ja chuki hain,
Wazeh rahe ke guzishta roz tehreek-e-insaaf aur awami tahreek ke workers ne PTV ki building main ghus kar tor’phor ki aur building ko qabzay ke baad PTV World Broadcasting band kara di gai,
Pak Fouj Soldiers ke aane ke baad Protesters building se bahar nikal aaye..