Lahore Factory Hadsa Jaan Bahaq Afraad Ki Tadaad 23 Hogayi
Lahore: Sunder Industrial State Mein Factory Ki Building Se Nikaali Gayi Dead bodies Ki Tadaad 23 Hogayi Hai Jab Ke Malbay Se Darjanon Mazdoor Ab Tak Nahi Nikalay Ja Sakay.
Lahore ki sunder industrial state mein waqay factory ki building zameen bose huwe 24 ghantay se zayed waqt guzarnay ke bawajood malbay se tamam mazdooron ko nahi nikala jaska.
Relief Activities mein 400 se zayed afraad hissa le rahay hain jin mein Resque 1122, Pak Fouj, Edhi Foundation, Falah Insaaniyat Foundation sameit mutadid Organizations ke workers shaamil hain.
Malbay se ab taq 23 afraad ki dead bodies jab ke 120 afraad ko zakhmi haalat mein nikaal liya gaya hai.
Pak fouj ke ahelkaar factory ke ‘Lenter’ mein hole kar kay building ke andar daakhil ho kar andar mojood afraad ko nikaalne mein masroof hain.
Resque 1122 ke DG brigedier retired Dr. Arshad ka kehna hai ke factory ke malbay mein ab bhi kayi afraad dabey hue hain jin mein se kayi afraad ka guzashta roz taq un ka mobile phone par rabita tha taham mobile phones ki battery khatam hojane ki wajah se un se ab rabita nahi ho pa raha.
Malbay mein dabey afraad ko zinda nikaalne ke liye intahi ahtihyaat se kaam liya ja raha hai is liye imdadi kaam kal taq jari rehne ka imkaan hai.
Dr. Arshad ka kehna hai ke haadsay ke waqt factory mein mojood afraad ki sahi tadaad ka inhen koi ilm nahi kyun kay haazri ka tamam record malbay mein daba howa hai lekin factory ke bahar mojood la’pata afraad ke vursa se tafseelaat jama ki jarahi hain.
Wazeh rahay ke guzashta shaam plastic bag tayyar karne wali factory ki building us waqt zameen bose hogayi thi jab is mein barri tadaad mein afraad mazdoori mein masroof they..