Shayar Mashriq Allama Mohammad Iqbal Ka 138th Yom-E-Pedaiesh Aaj Manaya Ja Raha Hai
Shayar Mashriq Aur Azeem Mufakkir Dr. Allama Mohammad Iqbal Ka 138th Yom-E-Pedaiesh Aaj Manaya Ja Raha Hai.
9 November 1877 ko Sialkot mein Ankh kholnay walay Allama Mohammad Iqbal ne ibtidayi taleem apne aabai shehar mein haasil ki aur phir Lahore ka rukh kiya.
1899 mein MA karne ke baad oriental college mein shoba dars o tadrees se wabsta hogaye aur is douran shairi bhi jari rakhi.
Allama Iqbal 1905 mein Bartania chalay gay jahan pehlay unhon ne Cambridge University Trinity College mein dakhla liya aur phir Maroof taleemi idaray Lincoln’s Inn mein waqalat ki taleem lena shuru kar di phir woh Germany chalay gaye jahan Munich University se unhon ne falsafah mein PHD ki degree haasil ki.
Dr. Mohammad Allama Iqbal ne 1910 mein watan wapsi ke baad waqalat ke sath siyasat mein bhi hissa lena shuru kiya aur apni shairi ke zariye fikri aur siyasi tor par muntashir Musalmanoon ko khawab ghaflat se jagaya.
1934 ko Muslim League ke markazi parlimani board ke rukan banay taham tabiyat ne un ka sath na diya aur woh qayam Pakistan se 9 baras qabal 21 April 1938 ko Lahore mein apne khaaliq haqeeqi se ja milay.
Mufakkir Pakistan ke yom e pedaiesh ke mauqe par mulk bhar mein khusoosi taqrebaat ka ihtimaam kiya ja raha hai.
Is silsilay mein mazaar e Iqbal par guards ki tabdeeli ki purwaqar taqreeb mein Pakistan behria ke dastay ne Pakistan Rangers ki jagah faraiz sambhale.
Is mauqe par Station Commander Navy Commodore SM Shahzad ne Mazaar par phool charhaye Fatiha khawani ki mehmanon ki kitaab mein apne remarks likhay.
Is ke ilawa Sialkot mein waqay Iqbal manzil par bhi shayar mashriq se jari cheezon ko dekhnay awam ka Tanta bndh gaya hai..