Daily Archives: September 9, 2015
Withholding Tax Ke Khilaaf Karachi Ki Tamam Markets Mein Kaarobar Band
Tax Ke Nifaz Ka Faisla Wapis Na Liya Gaya To Hukoomat Ko Deegar Tax Bhi Ada Nahi Karenge Taajiron Ki Dhamki.
Karachi: Withholding Tax ke khilaaf taajiron ki hartaal ke baais aaj Karachi ki taqreeban tamam markets band hain.
All Karachi tajir ittehaad ka kehna hai ke agar faisla wapis na liya gaya to deegar tax bhi ada nahi karenge.
Doosri janib hartaal ke baais maeeshat ko arbon rupay ka nuqsaan aur mazdoor aaj apni ujrat se mahroom raha.
Mulk bhar ki tarha Karachi mein bhi tajir Withholding Tax ke muamlay par saraapaa ehtijaj hain.
Taajiron ki janib se Karachi ki taqreeban tamam markets jis mein Boltan Market, Jame Cloth Market, Buhri Bazaar, Akbar Road, Regal Chowk, Jorya Bazaar, Haidry Market aur Liaqatabad sameit deegar choti markets band hain.
Doosri janib taajiron ne mutalba kiya hai ke Withholding Tax ka faisla wapis liya jaye warna deegar tax bhi ada nahi karenge aur hartaal o ehtijaj ka silsila bhi jari rahega.
Taajiron ki hartaal se jahan maeeshat ko arbon rupay ka nuqsaan ho raha hai wahein mazdoor tabqa bhi buri tarha mutasir ho raha hai.
FBR ke mutabiq 1st October se Withholding Tax ki sharah aik baar phir .6% kar di jayegi.
Zaraye ke mutabiq Withholding Tax ke hawalay se jald Islamabad mein ahem ijlaas mutawaqqa hai.
Supreme Court Ka Urdu Ko Daftari Zabaan Ke Tor Par Raij Karne Ka Hukum
Islamabad : Supreme Court Ne Aaien Ke Article 251 Ke Tehat Urdu Ko Daftari Zabaan Ke Tor Par Raij Karne Ka Hukum De Diya.
Cheif justice of Pakistan justice Jawad S khwaja ki sarbarahi mein Supreme Court ke 3 rukni bench ne urdu ko sarkari aur daftari zabaan ke tor par raij karne se mutaliq faislay ki samaat ki.
Supreme Court ne apne faislay mein urdu zabaan ko raij karne se mutaliq 9 Hidayat jari karte hue kaha gaya hai ke Aaien ka itlaq hum sab ka farz hai.
Aaien mein darj hai ke 15 saal ke andar angrezi ki jaga urdu ko sarkari aur daftari zabaan ke tor par raij kiya jaye ga.
Aaien ke article 251 ke tehat urdu ko fori tor par daftari zabaan ke tor par nafiz kiya jaye. Wafaqi satah par muqablay ke imtehanaat mein qaumi zabaan istemaal ki jaye.
Supreme Court ne apne tafseeli faislay mein kaha hai ke tamam idaron mein article 251 ka nifaz yakeeni banaya jaye.
Qaumi zabaan ke rasam alkhat mein yaksaniyat ke liye hakoomaten hum ahangi peda karen teen mah ke andar hakoomaten qawaneen ka urdu zabaan mein tarjuma karen.
Adalti muqadmaat mein mehakmay apne jawabaat mumkina had tak urdu mein paish karen.
Awaami mafaad se mutaliq adalti faislon ko bhi urdu mein tarjuma kiya jaye.
Adalti faislay par amal-dar-aamad ke liye har shakhs qanooni chara joi ka haq rakhta hai.
Wazeh rahay ke kokab Iqbal aur Mahmood Akhtar Naqvi ki janib se allag allag darkhwasten dair ki gayi theen jin mein adalat Uzma se istada ki gayi thi ke Aaien ke article 251 ke tehat urdu ko sarkari aur daftari zabaan ke tor par raij karaya jaye.
Adalat Uzma ne 26 Augst ko samaat mukammal karte hue faisla mehfooz kar liya tha..