Biometric Verification 3 Carore Sims Block Kiye Jane Ka Khadsha
Karachi: Telecom Operators Ne 10 Carore 30 Laakh Mobile Phone Sims Ki Biometric Verification Ka 46% Target 36 Din Mein Haasil Karte Hue 4 Carore 80 Laakh Mobile Phone Sims Ki Tasdeeq Ka Amal Poora Kar liya Hai.
Dehshat Gardi ke khilaaf qaumi mansoobay ke tehat mobile phone companies ko 90 din mein 10 carore 30 laakh sims ki verification karne ka target diya gaya tha jis ka aaghaz 12 January se kiya gaya.
Pehlay marhalay mein mulk ke hassas elaqon mein 1 ID card par 2 ya is se zayed sims ke haamil sarfeen ke zair istemaal sims ko biometric verification ke amal se guzaarna tha.
Pehlay marhalay mein 26 february tak 4 carore 40 laakh connections ki tasdeeq karni thi taham operators ne 12 January se shuru honay wali muhim mein ibtidayi 36 roz mein hi 4 carore 80 laakh sims ki verifications ka amal mukammal kar liya hai.
Pakistan Telecommunication Authority (PTA) ke adad o shumaar ke mutabiq mobile phone smz ki biometric tasdeeq ke pehlay marhalay mein 3 carore 56 laakh ID cards ki jaanch karte hue 4 carore 74 laakh sims ki tasdeeq ki ja chuki hai.
Pehlay marhalay ki jaanch mein 56 laakh sims ki biometric tasdeeq nahi hosaki jinhein block kar diya jayega.
Telecom Specialists ke mutabiq agarchy pehlay marhalay mein tasdeeq ke adad o shumaar khush kun hain lekin pehlay marhalay ke khatmay tak block honay wali sims ki tadaad 1 carore tak pahonch sakti hai.
Verification ka dosra marhala pehlay marhalay se ziyada sakht hoga.
Telecom experts Suhaib Sheikh ne kaha ke hukoomat ko biometric verification ke liye muqarara muddat mein kam az kam 2 mah ki tosee karna hogi.
Agar muddat mein izafa na kiya gaya to 14 April ko muhim ke ekhtataam par 2 se 3 carore sims ki bandish ka saamna hoga jo telecom sector ke revenue mein kami ke sath khud hukoomat ke revenue mein bhi kami ka sabab hoga.
Unhon ne zor diya ke duniya bhar mein mobile phone connections ka dehshat gardi ya juraim se barah e raast koi talluq nahi.
GSMA ki globle reserch report bhi is muaqqaf ko taqwiyat faraham karti hai.
Pakistan mein tamam zair istemaal sims ki tasdeeq aur registration ke baad bhi dehshat gardi ke waqe’Aat ka imkaan khatam nahi ho sakta.
Saneha Peshawar mein bhi biomatric verification shuda sims hi istemaal ki gayi theen.
fil-waqt Pakistan mein kaam karne walay operators dabao ka shikaar hain,
Sims ki tasdeeq ki muhim ke khatmay ke baad yeh dabao industry ke dosray shobo mein muntaqil ho sakta hai jin mein devices ya data services shaamil hain.
Wazeh rahay ke Pakistan mein 2014 ke ekhtitaam tak mobile phone connections ki tadaad 13 carore 57 laakh 60 hazaar ki satah par Aagai jis mein haliya muhim ke douran 56 laakh sims ki bandish ke baad mulk bhar mein zair istemaal Connections ki tadaad 13 carore ki satah tak Aagai hai muhim ki takmeel ke baad 25 se 30 million sims ki bandish ki soorat mein mulk bhar mein zair istemaal sims ki tadaad bhi 10 carore 50 laakh ki satah par anay ka andesha hai.
Telecom industry ke zaraye ka kehna hai ke tasdeeq ki muhim ke pehlay marhalay ke ekhtitaam mein ek maah ki tosee ki ja sakti hai taham is ka hatmi faisla muhim ki muddat ke khatmay par tasdeeq ki jane wali sims ki tadaad ko mad-e-nazar rakhtay hue kiya jayega..