Monthly Archives: January 2015

Pak Chaina Dosti Ki Yadgaar Ke Tor Par 20 Rupay Ka Sikka Jari

Islamabad: Hukoomat Pakistan Ne Pak Chaina Dosti Ki Yadgar Ke Tor Par 20 Rupay Ka Sikka Jari Kar Diya..

Sikkay ke front par islami jamhooria Pakistan likha gaya hai jabkay darmiyan mein chaand tara banaya gaya hai jabkay pusht par Pakistan aur chaina ke jhanday banaye gaye hain,

Yeh sikka aaj se mulk bhar mein istemaal hosakega.

Wazeh rahay ke Pakistan aur chaina ki dosti La’zawaal tassawur ki jati hai aur army cheif general raheel shareef ke haliya dora cheen ke mauqey par cheeni hakkaam ne Pakistan ki tashweesh ko apni tashweesh qarar diya tha jab ke March mein chaina ke saddar Pakistan ka dora bhi karenge…

Micorsoft Ka New Operating System Windows 10 Paish Karne Ka Elaan

Micorsoft Ne New Operating system Windows 10 Paish Karne Ka Elaan Kiya Hai.

Jo Un Computers Ko Muft Faraham kiya Jayega Jin Par Pehlay Se Windows 8 Ya Windows 7 Ya Phir Windows Ka Phone Operating Nizaam Mojood Hai.

New York: Micorsoft ne aik hand set bhi muta’arif karaya hai jis ki madad se mustaqbil mein windows ko computer screen ke ilawa doosri cheezon par bhi dekha ja sakayga.

Windows 10 mein aawaz se control kiya jane wala software’cortina’ bhi shaamil hoga.

Windows 10 ki muft farahmi Micorsoft ki policy mein tabdeeli ki bhi alamat hai kyon ke is se pehlay windows apne upgrade ke liye khasi mehngi qeemat wusool karti rahi hai.

Yahi wajah hai ke logon ne windows 8 ko barray pemanay par qubool nahi kiya..

World Cup Jeetnay Wali Team Ko 40 Laakh Dollars Ka Inaam Mileyga

Final Mein 2nd Number Par Anay Wali Team Ko 18 Laakh Dollars Mileyge Aur Semi Finalist Ko 9 Laakh Dollars Diye Jayengay,

Sydney: Cricket par ainda 4 saal jo bhi team hukumrani keregi Us par Dollers ki barish hogi.

Tamam teams ne cricket ke barray markay ke liye barray barray khawab saja liye.

2015 World Cup ka Title jeetnay wali team ko ICC 40 laakh dollar se nawazyga.

Final ki runner up team 18 laakh dollar samait kar apne watan ko lautaygi.

Semi final khailnay wali teams 9 laakh dollars ki haqdaar qarar payengi.

Yahi nahi quarter final khailnay wali teams 5 laakh dollars samaitney mein kamyaab rahengi.

Ab dekhna yeh hai ke khazanay ki chaabi kis team ke haath lagti hai..

Sindh Aur Balochistan Ke Sahili Elaqon Mein Barish

Karachi: Mulk Mein Baarisho Aur Barf bari Ka Sabab Ban’nay Walay System Ke Baais Sindh Aur Balochistan Ke Sahili Elaqon Mein Kahin Halki To Kahin Taiz Barish Ho Rahi Hai.

Balochistan ke sahili elaqon Gwadar,Panjgoor,Turbat aur deegar mulhiqa elaqon mein guzashta raat se mosladhar barish jari hai jis se nashebi elaqay zere’Aab aagaye aur nadi naalon mein tughyani agai hai.

Kayi maqamat par musafir gariyaan phas gayi hain is ke ilawa neel nutt nadi mein tughyani ke baais Balochistan ke mukhtalif elaqon ka Karachi se zameeni rabita bhi munqita hogaya hai.

Balochistan mein daakhil honay walay baadalon ne Karachi samait Sindh ke beshtar sahili elaqon ko bhi apni lapait mein le liya hai jis se mukhtalif elaqon mein taiz hawaon ke sath kahin halki aur kahin taiz barish ho rahi hai.

Mehakma Mosamiyat ka kehna hai ke ainda 2 roz mein baarisho aur barf bari ka silsila poray mulk tak phail jayega.

Budh aur jumeraat ke roz Islamabad,Rawalpindi ,Sargodha,Gujranwala aur Lahore jab’kay Balochistan mein Queta,Qalaat,Pasheen aur qilah Saif Ullah jab’kay Khyber Pakhtunkhwa Azad Kashmir aur Gilgit Baltistan mein jummey tak barish aur barf bari hogi..

Swaat Malaa Kund Aur Gardo Nawah Mein Zalzalay Ke Jhatkay

Swaat: Malaa Kund Aur Gardo Nawah Mein Zalzalay Ke Jhatkay Mehsoos Kiye Gaye Taham Kisi Jani O Maali Nuqsaan Ki It’tilaat Masool Nahi Hui Hain.

Report ke mutabiq swaat aur malaa kund mein zalzalay ke jhatkay mehsoos kiye gaye.

Zalzala koh pema markaz ke mutabiq richter scale par zalzalay ki shiddat 4.6 record ki gayi jab ke is ka markaz tajikstan ka sarhadi elaqa aur zameen mein is ki gehrai 10 kilometer thi.

Zalzalay ke baais kisi jani o maali nuqsaan ki it’tilaat masool nahi hui hain taham khauf ke baais log kalma tayyaba ka vird karte hue apne gharon se bahar aa gaye..

Karachi Mein Masjid Ke Bahar Se Bomb Bar’Aamad

Karachi: Bomb Disposel Squad Ne Masjid Ke Bahar Rakhay Gaye Bomb Ko Nakara Bana Kar Dehshat Gardi Ki Koshish Nakaam Bana Di.

Karachi ke elaqay north naazimabad mein qalandariah chowk ke qareeb waqay masjid ke darwazay par mushtaba bag ki mojoodgi ki ittila par police mauqe par pahonch gayi.

Talashi ke douran bag se cement ka aik block mila jis ke bahar kuch wires nazar aa rahi thien police ne block mein baroodi mawaad ki mojoodgi ke khadshay ke paish e nazar bomb disposel squad ko talab karliya jis ne block ke andar bomb ko nakara banadiya.

Bomb disposel squad ka kehna tha ke block mein 2 se 3 kg tak baroodi mawaad mojood tha jo barri tabahi ka baais ban sakta tha.

Police ne jaye waqooa se aik mushtaba shakhs ko hirasat mein le kar is se pooch gach shuru kardi hai.

Rawalpindi Chitian Bhatiyan Mein Khud’kash Dhamaka

Rawalpindi ke Elaqay Chitian Bhatiyan Mein Imam Bargaah Ke Bahar Khud kash Dhamakay Mein 7 Afraad Jaan Bahaq Jab’kay Mutadid Zakhmi Hogaye.

Rawalpindi: Dehshat gardon ne aik baar phir waar kiya aur masoom shehrion ko apni darindgi ka nishana banaya.

Committee chowk ke qareeb bhabra bazaar ke ghunjaan abad muhallay chitian bhatiyan mein imam bargaah imam baara syed Abbu Mohammad Rizvi main mehfil milaad jari thi jis mein 50 se 60 afraad mojood thay.

Raat 9:15 bajay aik motorcycle sawaar imam bargaah ki taraf barha police ahelkaar Amaan Ullah ne usay roknay ki koshish ki to us ne motorcycle par hi khud ko ura liya. dhamakay se imarat ka samnay wala hissa munhadim ho gaya aur mehfil milaad mein shareek afraad dhamaka khaiz mawaad ki zad mein aa gaye har taraf dhuwen ke baadal chaa gaye aur cheekh o pukaar mach gayi kayi afraad mauqe par hi jaan bahaq ho gaye jab’kay mutadid buri tarha zakhmi huey.

Ghunjaan abad elaqay aur tang galiyo ki wajah se rescue teams ko wahan pounchanay aur imdadi kaam mein mushkilaat ka saamna karna para.

Maqami logon ka kehna hai ke mehfil milaad jari thi ke zor daar dhamakay ki aawaz aayi aur har taraf dhuwan aur guru gubhar chaa gaya.
Police,Rangers aur Army ki quick response force ke jawan mauqe par pahonch gaye aur  elaqay ko ghairay mein le liya aur ghair mutaliqa afraad ko daur hata diya dhamakay se qareebi gharon ko bhi shadeed nuqsaan pouncha.

Zakhmiyon ko Rawalpindi ke mukhtalif hospitals mein daakhil kara diya gaya jahan kuch ki haalat tashweesh-naak hai tamam hospitals mein emergency nafiz kar di gayi.

Security hakkaam ke mutabiq dhamakay mein 10kg baroodi mawaad istemaal kiya gaya dhamakay ke baad kuch der tak asal surat haal ka pata na chal saka.

Police ne bhi wireless par cylinder dhamakay ki cal chalayi.
Dhamakay ke baad shehar ke mukhtalif elaqon mein security high alert kar di gayi. wazeer e azam Mohammad Nawaz shareef ne dhamakay ke waqey ka notice letay hue wizarat dakhla se report talab karli.

Asif Zardari aur Altaf Hussain samait siyasi rehnumao ki muzammat. Mazhabi tanzeemon ne 3 roza sog ka elaan kar diya.

World Cup 2015 Ke Liye 15 Rukni Qaumi Cricket Team Ka Elaan

Karachi: Pakistan Cricket Board Ki Selection Committee Ne World Cup 2015 Ke Liye Qaumi Squad Ka Elaan Kar Diya Hai Jis Mein jahan Kamran Akmal, Shoiab Malik,Asad Shafeeq, Azhar Ali Jagah Nahi Bnapaye Wahein Khilaaf Tawaqqa Sohail Khan Ko Shaamil Kiya Gaya Hai.

National stadium Karachi mein cheif selector Moueen Khan ne world cup 2015 ke liye qaumi team ka elaan kiya,

15 Rukni hatmi squad 2 openers, 5 middle orders batsman, 2 spinners aur 5 fast bowlers par mushtamil hai, team mein jahan Kamraan Akmal, Shoiab malik,Asad shafeeq, Azhar Ali aur Umar Gul ko shaamil nahi kiya gaya wahein squad mein khilaaf tawaqqa Anwar Ali aur bilawal Bhatti bhi jagah nahi bnapaye jabkay khilaaf tawaqqa Sohail Khan ko shaamil kiya gaya hai.

Team ki qayadat Misbah Ul Haq karen ge jabkay deegar players mein Mohammad Hafeez, Ahmed Shahzad,Younis Khan,Umar Akmal,Haris Sohail, Suhaib Maqsood,Sarfraz Ahmed, yasir Shah,Shahid Afridi,Wahab Riaz, Ahsaan Adil,Junaid Khan, Sohail Khan aur Mohammad Irfan shaamil hain.

Is mauqe par Moueen Khan ne kaha ke Mohammad Hafeez aur Ahmed Shahzad team ke opners honge jabkay Sarfraz Ahmed ko bhi opner ke tor par team mein shaamil kiya ja sakta hai.

Pakistan cricket board har 4 maah baad players ki fitness ka test leta hai aur sab hi players ki fitness behtar hui hai jisay dekhte huey inhen yaqeen hai ke players deegar teams ke sath muqablay ke liye tayyar hain.

Unhon ne kaha ke Anwar Ali aur Bilawal Bhatti ko mukhtalif muqablon mein Aazmaaya gaya hai jis ke baad Wahab Riaz aur Sohail Khan ko shaamil karne ka faisla kiya gaya,

Dono Players ki shamoliat se qaumi team ko batting ke shobay mein bhi faida hoga.

Wazeh rahay ke Sohail Khan world cup ke liye 30 rukni ibtidayi squad mein shaamil nahi thay.

pakistan Mein Youtube Ke Mutabadil Youtubes.pk Muta’rif Karadi Gayi

Islamabad: Pakistan Mein Youtube Par Taveel Pabandi Ke Baad Ab Muqami Satah Par Video Sharing Ki Mosar Website  (youtubes.pk)  Muta-arif KaradI Gayi.

Pakistan mein social media ki barhti hui maqboliat ke baais awam ki sahoolat ke liye you tube par pabandi ke baais muqami satah par mutabadil Website you youtubes.pk muta-arif karade gayi hai.

Wazeh rahay ke saal 2012 mein youtube par tauheen risalat par mabni ek video samnay anay ke baad Pakistan mein pur-tashaddud muzahiron ke tanazur mein hukoomat ne is video sharing Website par gair muena muddat tak ke liye pabandi aaid kar di thi jo ta’haal barqarar hai.

Naye Saal 2015 Ka Sooraj Tulu Hogaya Pakistani Shehri Mulk Mein Qiyam Aman Ke Khwahan

Naye Saal Mein Mulk Mein Khoshion Ka Daur Dora Ho, Kisi Be-Gunah Ka Khoon Na Bahe, Saal No Par Shehrion Ke Ta’suraat.

Islamabad: 2015 ka Sooraj apni poori Aabb wa-taab ke sath tulu ho gaya.

Khuda kere ye saal Ahal-e-Pakistan ke liye Umedon, Ygangat, Akhuwat o bhai Chaaray aur Aman o Aashtee ka saal ho.

Khuda kere saal no Arz Pakistan mein basnay walon ke liye khoshion ka payamabar ho.

Sir zameen pak mein basnay wala har shehri khushaal ho.
Kisi ka khoon bahe na kisi ke ansoo na kisi ki izzat o Namoos pamaalna ho.

Insaaf har aik ko aaye is terhan muyassar Aameen..

News
Karachi
January 2015
M T W T F S S
« Dec   Feb »
 1234
567891011
12131415161718
19202122232425
262728293031