Pakistan World Cup Mein india Ke Khilaaf Apni Riwayat Na Tor Paaya
Adelaide: World Cup Ke Match Mein India Ne Pakistan Ko 76 Runs Se Hara Diya.
Adelaide mein khailay jane waly match mein Indian captain Mahendra Singh Dhoni ne toss jeet kar batting ka faisla kiya aur muqarara 50 overs mein 7 wickets ke nuqsaan par 300 runs banaye.
Opener RohIt Sharma aur Shikhar Dhawan team ko acha aaghaz faraham karne mein nakaam rahay aur Rohit sharma 34 ke majmoi score par 15 runs bana kar Sohail Khan ki ball par Misbah Ul Haq ke hathon catch out hue,
Rohit sharma ke out honay ke baad virat kohli crease par aaye aur Shikhar Dhawan ke sath team ke score ko agay berhate hue 60 balls par apni half century mukammal ki taham 163 ke majmoay par Shikhar Dhawan 73 runs bananay ke baad run out hue.
Shikhar Dhawan ke out honay ke baad Suresh Raina crease par aaye aur baghair kisi dabao ke jarehana andaaz mein batting karte hue 74 runs bana kar out hue.
Virat kohli ne shandaar batting ka muzahira karte hue apni ODI match ki 22nd century mukammal ki aur 107 runs bana kar Sohail Khan ki ball par catch out hue jab ke Mahendra Singh Dhoni 18 bana sakay.
Pakistan ki janib se Sohail Khan ne shandaar bowling ka muzahira karte hue 10 overs mein 55 runs day kar 5 players ko pavellion ki raah dikhayi jab ke Wahab Riaz ne aik player ko out kiya.
Pakistan ki team 301 runs ke hadaf ke taqub mein 47 overs mein 224 runs bana kar all out hogayi,
Qaumi team ko ining ke aaghaz mein hi khasaray ka samna karna para aur Younus Khan sirf 11 runs ke majmoay par 6 runs bana kar Mohammad Shami ki ball par wickets ke peechay catch out hue,
Younus Khan ke out honay ke baad Haris Sohail crease par aaye taham woh bhi Ahmed Shahzad ke sath bari shiraakat qaim karne mein nakaam rahay aur 79 ke majmoay par 36 runs bana kar catch out hogaye,
102 runs ke majmoi score par Ahmed Shahzad bhi 47 runs bana kar
Umeshkumar Yadav ki ball par catch out hue jis ke baad agli hi ball par Suhaib Maqsood ne bhi Suresh Raina ko catch day kar pavellion ki raah li jab ke Umar Akmal bhi baghair khata khole Ravindrasinh Jadeja ki ball par wicketon ke peechay catch out hue.
Umar Akmal ke out honay ke baad captain Misbah Ul Haq aur Shahid afridi ne team ke score ko agay badhaya taham Shahid afridi bhi ziyada der crease par na tik paye aur 22 runs bana kar pavellion lout gaye.
Misbah Ul Haq ne 6 players ke out honay ke baad bhi haar na maani aur indian bowlers ke agay muzahmat jari rakhtay hue 76 runs ki zimma daarana ining kheli jab ke yasir Shah 13, Wahab Riaz 4 aur Sohail Khan 7 runs bana kar out hue.
India ki janib se Mohammad Shami ne umda bowling ka muzahira karte hue 4 wickts haasil ki.
Umeshkumar Yadav aur Mohit Sharma ne 2,2 jab ke Ashwin aur Ravindrasinh Jadeja ne 1,1 player ko out kiya.
Match ke baad qaumi team ke captain Misbah Ul Haq ka kehna tha ke match harnay ka afsos hai aur india ne achi batting ka muzahira kiya taham ab humein ye match bhula kar agay dekhna hai aur deegar matches bhi eham hain jin par tawajah deeni hogi.
behtareen karkardagi par virat kohli ko match ka behtareen player qarar diya gaya.