Smart Contact Lens
Pichlay dino google ne contact lens banane ka Aelaan kiya jo Ansoun ya Ankhon ki nami main glucose ki maqdaar janchega,
yeh Ejaad duniya bhar main diabetes ke patients ke liye nihayat faida mand sabit hogi kyun ki contact lens main lagay ek chote se gluco meter aur wireless transmitter ki wajah se ab diabetes ke patient apni ungliyaan shedne se bach jayenge.
Diabetes ke patients ko baaz Ouqaat din main kafi martaba apni diet ke lihaz se blood main sugar ki miqdar maloom karne ki zaroort paish Aati hai iss ke liye patient ke jism se mamooli miqdar main blood nikal kar makhsoos tool se iss main glucose ki janch ki jati hai
Iss contact lens ki tayyari main google ko 18 maah ka arsa laga hai google duniya main technology ki madad se inqlabi tabdeeliyaan laane ke liye apni khidmaat anjaam de rha hai aur iss maidaan main mukhtalif tajurbaat kar rha hai
Iss lanse ki tasveer per investigation ka silsila chand baras pehlay university of washington main bhi start hua tha aur project per national science foundation ke tehat experiences hue thy
Iss ke elawa bhi mukhtalif department diabetes se relate chote tools ready kar chukay hain,
Google ki yeh ejaad ek normal contact lens ki tarah hai lekin apne kaam ke Aitbaar se nihayat eham hai lens ki teho ke darmiyaan glucose sensor hoga
Sensor ke sath hazaroon bareek transmitter moujood hain iss ke elawa lense main baal se bhi bareek ek antenna moujood hai-chip aur sensor ek zarry ke brabar hain lense main lage tools fiza main moujood lehroon se tawanai hasil karte hain
In intehai bareek tools aur wires ko apas main munsalik karna nihayat mehnat talb kaam tha isey glucose napnay wala sub se chota meter kaha ja sakta hai scientist yeh koshish bhi kar rhe hain ke lense main aesi choti lines lagai jayen jo glucose ki maqdaar mamool se kam ya zyada hone per warning jaari karen,
Ankhon main lagaye jane per yeh lense batayega ke blood main sugar kitni hai aur ab patient ki dawa ka waqt ho gaya hai ya usey metha khane se parhez karna hai
yeh lense har second per glucose ki maqdaar janch sakengey iss se relate ibtedai experiences complete ho chukey hain ta’hum isse 5 saal baad market main laya ja sakega lekin khamiyaan bhi samne aai hain jinhain door kiya jayega
scientist ki iss koshish ko sarahne ke sath mahreen sehat ne iss bat per zoor diya hai ke tool ki madad se drust or bar’waqt maloomat ko yaqeeni banana hoga iss main kisi qism ki galti aur nuks ki gunjaish nahi..