Daily Archives: March 14, 2014

Karachi Main Mukamal Aman Ki bahali Tak oppration Jaari Rahega

Karachi: Wazir-e-Azam nawaz sharif kehte hain karachi main mukamal aman ki bahali tak oppration jari rahega tarriqi ke liye inteha pasandi aur dehshat gardi khatam karna hogi,

Awaan-e-sanat-o-tijarat ki export trophy award ki taqreeb se khitaab karte huwe wazir-e-azam nawaz sharif ne kaha ke milk ki tarriqi ke liye dehshat gardi aur inteha pasandi ka khaatma karna hoga,

Unhoon ne kaha ke karachi pakistan ka dil hai yahan juraim ke khaatme tak oppration jaari rahega jis per haal taaliyoon se gonj utha aur unhoon ne kaha k khushi ki bat ye hai ke bad-amni ke khilaaf MQM aur sindh ki deegar syasi jamaiten aur tajir ek hain wazir-e-azam nawaz sharif ka kehna tha ke tajiroon ke masail ko tarjeehi bunyadoon per hal karenge,
Ab khushkhabriyaan milna shuru ho gai hain aglay 8 se 10 baras main system main 1000 megawatt bijli shamil karne ka mansoobay lagaye jayenge,
wazir-e-azam ne kaha ke cheen ne thar main koylay se chalne walay 600 megawatt ke 10 power plant lagane ka faisla kar liya hai jabke 1100 megawatt ke 3 sool new clear power plant bhi lagaye jayengay
Iss moqay per wazir-e-azam ne karachi chamber ke mukhtalif bar-amad kandgaan ko business main awards aur gold medal bhi diye..

Quetta Main Zordar Dhamake Se 10 Afraad Jaan Bahaq 37 Zakhmi Ho Gaye

Quetta ek bar phir zordar dhamake se gonj utha shiddat pasandon ne iss bar nishana banaya quetta ke sceince collage chowk ko,

Dhamake se Aas-pas ki buildings ke sheesahy toot gaye aur 1 bus 2 raksha 4 gariyon aur 4 motor bikes ko bhi nuqsaan poncha,

police ke mutabiq bomb dhamake main 8 se 10 kg baroodi mawad istamal kiya gaya jisey ek motor bike main nasab kiya gya tha,

dhamakay ke baad imdaadi teams ne moqay per ponch kar zakhmiyon ko hospital muntaqil kar diya Dhamakay ke bad security forces ne elaqay ko gherey main leliya Jabke BDS ne elaqay ki scanning start kardi,

News
Karachi
March 2014
M T W T F S S
    Apr »
 12
3456789
10111213141516
17181920212223
24252627282930
31