Karachi Mein 3, 4 Aur 5 Decemeber Ko Taleemi Idaray Band Rahenge

 Karachi: Sindh Hakoomat Ne 3 Decemeber Ko Shuhdaye Karbalaa Ke Chahlum Ke Mauqe Par Aam Tateel Ka Elaan Kiya Hai Jab Ke 4 Aur 5 Decemeber Ko Sarkari Aur Niji Taleemi Idaray Bhi Band Rahenge .

Report ke mutabiq Sindh hakoomat ne 3 decemeber ko chahlum shuhdaye karbalaa ke mauqe par aam tateel ka elaan kiya hai jab ke Karachi mein 4 aur 5 decemeber ko taleemi idaray band rahenge.
Sobai secretary taleem Fazl Ullah Pechuho ke mutabiq 4 aur 5 decemeber ko niji aur sarkari taleemi idaray shehar mein baldeati intikhabaat ke baais band rakhnay ka faisla kiya hai..

Airport Par Passengers Ko guide Karne Wala ‘Robot’ Tayyar

 Robot Apne Laser System Ke Zariye Musalsal Atraaf Ko Dekhta Hai.
Spencer Nami Yeh Robot Ghoomta Rehta Hai Aur Musafiron Ko Aik Gate Se Dosray Gate Tak Jane Mein Madad Faraham Karta Hai Logon Ko Trolley Aur Samaan Rakhnay Mein Bhi Madad Karta Hai.

Stockholm: Europe ke aik airport par Aazmaishi tor par aik Insaan dost robot mutarif karaya gaya hai jo kayi tarha se pareshan musafiron ki madad kar raha hai.

Spencer Nami yeh robot ghoomta rehta hai aur musafiron ko aik gate se dosray gate tak jany mein madad faraham karta hai.

Iska poora naam’ Social Situation Aware Perception And Action For Cognitive Robots hai jis ki memory mein Airports flights ki tamam maloomat Maps aur gate waghera ki tafseelaat mojood hain.

Robot kisi ko ghoor kar nahi daikhta kyun Ke pareshan log mazeed pareshan nah hon.
Apne laser system ke zariye yeh musalsal atraaf ko daikhta hai trolley aur samaan rakhnay mein bhi madad karta hai.

Is mein mojood software insani bartao aur ravaiye ko dekhte hue yeh andaza laga sakta hai ke woh jaldi mein hain, pareshan hain ya nahi.

Sweden ki Orebro University ke scientists ne usay tayyar kya hai.

Airport par bohat si tabdeelian hoti rehti hain jo musafiron ko pareshan karti hain aur yeh robot Maps honay ki wajah se un ki madad karta hai..

Lahore Se Karachi Jane Wali Night Coach Ki 3 Boogies Ulat Gayeen

 Lahore: Raiwind Ke Qareeb Phaatak Cross Karte Hue Trailer Taiz Raftaar Musafir Train Ki Zad Mein Agaya Jis Ke Nateejay Mein Trailer Ka Driver Mauqe Par Jaan Bahaq Jab Ke 3 bogies Ulat Gayeen.

Report ke mutabiq Raiwind ke qareeb phaatak khula reh jane se trailer tez raftaar night coach ki zad mein agaya jis ke nateejay mein trailer ka driver mauqe par jaan bahaq jab ke train ki 3 bogies patri se utar gayeen jis ke baais kayi musafir zakhmi hogaye.

Haadsay ke fori baad logon ki barri tadaad jama hogai aur zakhmion ko qareebi hospital muntaqil kar diya.

Aeni Shahideen ke mutabiq haadsa phaatak khula reh jane ke baais paish aaya aur achanak coaster train ke samnay anay par train driver ne hungami break lagai jis ki wajah se 3 bogies patri se utar gain..

Islamabad Mein Mobile Phone Service Achanak Band

 Islamabad: Wafaqi Dar Ul Hakoomat Mein Mobile Phone Service Achanak Band Ho Gayi Jis Ke Baais Shehrion Ko Shadeed Mushkilaat Ka Saamna Karna Par Raha Hai.

Report ke mutabiq Islamabad ke red zone aur qareebi elaqon mein mobile phone achanak band honay se shehrion ko mobile phones se call karne mein mushkilaat ka saamna karna para taham PTA ki janib se koi wazahat samnay nahi aayi.

Media par mobile phone service ki khabar Nashar honay ke baad mobile phone service bahaal ho gayi.

Wazeh rahay ke malik mein mobile phone service ahem tqarib ke mauqa par security khadshaat ke paish e nazar band ki jati hain jab ke mobile phone service ki muatali ke hawalay se awam ko pehlay aagah bhi kiya jata hai..

WiFi Se 100 Guna Ziyada Raftaar Wala ‘LiFi’ Tayyar

 Edinburgh: Internet Ki Speed Se Aksar Log Pareshan Rehtay Hain Aur Shikayat Karte Nazar Atay Hain Lekin Ab Unhen Pareshan Honay Ki Zaroorat Nahi Kyun Ke Ab Wifi Se 100 Guna Ziyada Taiz Raftaar Lifi Maidan Mein Aagaya Hai Jo Data Ko Ziyada Taizi Se Muntaqil Karne Ki Salahiyat Rakhta Hai.

University Of Edinburgh ke Scientists ne radio band ki bajaye roshni ke zariye data muntaqili ka pehli baar Lab se bahar Tajurba kiya jis ke herat angaiz nataij samnay aeye aur data Wifi se 100 guna ziyada taizi se muntaqil howa.

Is Ejaad ke inventor Harald Hayes ne Lifi ke liye visible light communication (VLC) ka istemaal karte hue intehai jadeed morse code ke zariye usay qabil istemaal banaya.

LED micro chips lagey bulb ke of aur on ke douran roshni aam aankhh se mehsoos nahi ki jasakaygi jab ke yeh amal data ko binary code par muntaqil kar daita hai.

Scientists ka kehna hai ke pehli baar is tajarbay ko Lab se bahar kiya gaya aur yeh baat samnay aayi ke yeh tareeqa aik second mein aik GB data muntaqil karta hai jo ke Wifi se 100 guna ziyada raftaar hai jis ka matlab hai ke is ke market mein atay hi internet ki raftaar herat angaiz hadd tak taiz hojayegi.

Company ke cheif executive officer Deepak Solnki ka kehna hai ke fil haal Industrial mahol mein Smart Lighting Solutions ka istemaal kiya ja raha hai kyun ke wahan light ko data muntaqili ke liye istemaal kiya jata hai.

Unka kehna hai ke Lifi na sirf taiz raftaar hai balkay mehfooz bhi hai kyun ke roshni dewaron se nahi guzar sakti is liye deegar device ki mudakhlat bhi mumkin nahi.

Lifi ke Inventor Hayes ka kehna hai ke jald poori duniya LED light bulb mein lagi micro chips ki madad internet istemaal karenge..

Shah Abdal Latif Bhitai Rehmat Ullah Alaihi Ka Urs 27th November Ko Sindh Bhar Mein Aam Tateel Ka Elaan

 Karachi: Sindh Hukoomat Ne Azeem Sufi Buzurg Aur Shayar Shah Abdal Ltif Bhitai Rehmat Ullah Alaihi Ke Urs Ke Mauqe Par 27 November Ko Soobay Bhar Mein Aam Tateel Ka Elaan Kar Diya Hai.

Sindh hukoomat ki janib se jari karda notification ke mutabiq 27 November baroz jumma Hazrat Abdal Latif Bhitai Rehmat Ullah Alaihi ke Urs ki munasbat se Sindh bhar mein Aam tateel hogi.

Iska itlaq khud mukhtaar corporation samait Sindh hukoomat ke tamam idaron aur sarkari O niji taleemi idaron par hoga.

Wazeh rahay ke Sindh mein har saal 14 safar ko hazrat Shah Abdal Latif Bhitai Rehmat Ullah Alaihi ke Urs ki munasbat se Aam tateel hoti hai..

Karachi Mein Bomb Dhamakay Ke Natijay Mein 1 Shakhs Jaan Bahaq

 Karachi: Lee’Market Mein LPG Cylinder Ki Dukaan Mein Dhamakay Ke Natijay Mein 1 Shakhs Jaan Bahaq Jab Ke 5 Zakhmi Hogaye.

Report ke mutabiq Karachi ke elaqay Lee’Market mein LPG Gas Cylinder ki dukaan mein achanak dhamaka hogaya jis ke natijay mein 6 afraad zakhmi hogaye.

Zakhmion ko fori tor Civil hospital muntaqil kiya gaya jahan 1 zakhmi dam tor gaya jab ke deegar ki haalat bhi tashweesh-naak hai.

Waqeye ke baad police aur bomb disposel squad ki teams ne shawahid ikathay kiye.

Bomb disposel squad ka kehna hai ke dhamaka cylinder phatnay se nahi hua balkay is ke liye Aadha kilo baroodi mawaad istemaal kiya gaya aur se remote control ke zariye uraya gaya..

Islamabad Aur Lahore Samait Khyber Pakhtun Khwa Ke Mukhtalif Elaqon Mein Zalzalay Ke Shadeed Jhatkay

 Islamabad: Khyber Pakhtun Khwa Ke Mukhtalif Elaqon Samait Lahore Aur Islamabad Mein Zalzalay Ke Shadeed Jhatkay Mehsoos Kiye Gaye.

Report ke mutabiq Fata, Khyber Pakhtun Khwa, Azad Kashmir aur Punjab ke mukhtalif azlaa mein zalzalay ke shadeed jhatkay mehsoos kiye gaye aur richter scale par is ki shiddat 6.2 record ki gayi.

Zalzala pema markaz ke mutabiq zalzalay ka markaz Afghanistan Tajksitan ka sarhadi ilaqa hai.

Khyber Pakhtun Khwa ke jin shehron mein zalzalay ke jhatkay mehsoos kiye gaye un mein Peshawar, Mansehra, Hari poor, Swat, Shangla, Malakand, Naushera, Der, Hangu, Bsham, Kohastan aur Kohaat shaamil hain.

Lahore Islamabad samait Punjab ke jin azlaa mein zalzalay ke jhatkay mehsoos kiye gaye un mein Sheikhupura, Sialkot, Gujranwala, Sargodha, Manndi Baha uddin, Gujranwala, Miyanwali, Khushab, Sahiwal, Narrwal, Hafiz abad, Qusoor aur Vihaari shaamil hain jab ke Kotli Azad kshmir aur khyber agency mein bhi zalzalay ke jhatkay mehsoos kiye gaye.

Lahore Sheikhupura Aur Qareebi Shehron Mein Zalzalay Ke Jhatkay

 Lahore Sheikhupura Aur Qareebi Shehron Mein Zalzalay Ke Jhatkay Mehsoos Kiye Gaye.
Log Kalma Ttayyiba Ka Vird Karte Gharon Se Nikal Aaye richter scale Par Shiddat Record Ki Gayi.

Lahore: Zalzala Pema Mmarkaz Ke Mutabiq Zalzalay Ka Markaz Lahore Se 50 Kilometer door Maghrib Mein Tha Jo Ke Sheikhupura Banta Hai.

Zalzalay ki geherai 30 kilometer record ki gayi.

Sheikhupura mein 3.4 shiddat ke zalzalay se logon mein khauf o hiraas phail gaya aur log kalma tayyiba ka vird karte gharon se bahar nikal aaye.

Mehakma mosmiyat ke mutabiq zalzalay ke jhatkay 3 baj kar 48 minute par mehsoos kiye gaye..

Shayar Mashriq Allama Mohammad Iqbal Ka 138th Yom-E-Pedaiesh Aaj Manaya Ja Raha Hai

 Shayar Mashriq Aur Azeem Mufakkir Dr. Allama Mohammad Iqbal Ka 138th Yom-E-Pedaiesh Aaj Manaya Ja Raha Hai.

9 November 1877 ko Sialkot mein Ankh kholnay walay Allama Mohammad Iqbal ne ibtidayi taleem apne aabai shehar mein haasil ki aur phir Lahore ka rukh kiya.

1899 mein MA karne ke baad oriental college mein shoba dars o tadrees se wabsta hogaye aur is douran shairi bhi jari rakhi.

Allama Iqbal 1905 mein Bartania chalay gay jahan pehlay unhon ne Cambridge University Trinity College mein dakhla liya aur phir Maroof taleemi idaray Lincoln’s Inn mein waqalat ki taleem lena shuru kar di phir woh Germany chalay gaye jahan Munich University se unhon ne falsafah mein PHD ki degree haasil ki.

Dr. Mohammad Allama Iqbal ne 1910 mein watan wapsi ke baad waqalat ke sath siyasat mein bhi hissa lena shuru kiya aur apni shairi ke zariye fikri aur siyasi tor par muntashir Musalmanoon ko khawab ghaflat se jagaya.

1934 ko Muslim League ke markazi parlimani board ke rukan banay taham tabiyat ne un ka sath na diya aur woh qayam Pakistan se 9 baras qabal 21 April 1938 ko Lahore mein apne khaaliq haqeeqi se ja milay.

Mufakkir Pakistan ke yom e pedaiesh ke mauqe par mulk bhar mein khusoosi taqrebaat ka ihtimaam kiya ja raha hai.

Is silsilay mein mazaar e Iqbal par guards ki tabdeeli ki purwaqar taqreeb mein Pakistan behria ke dastay ne Pakistan Rangers ki jagah faraiz sambhale.

Is mauqe par Station Commander Navy Commodore SM Shahzad ne Mazaar par phool charhaye Fatiha khawani ki mehmanon ki kitaab mein apne remarks likhay.

Is ke ilawa Sialkot mein waqay Iqbal manzil par bhi shayar mashriq se jari cheezon ko dekhnay awam ka Tanta bndh gaya hai..

News

Karachi
April 2024
M T W T F S S
« Mar    
1234567
891011121314
15161718192021
22232425262728
2930