Lahore Samait punjab Ke Mukhtalif Shehron Main Zalzaley Ke Jhatke

Lahore: punjab Ke Mukhtalif Shehron Main Zalzaley Ke Jhatke Mehsoos Kiye Gaye Ta’hum Kissi Jaani Nuqsaan Ki Report Mousool Nahi Hui Hai,

Report ke mutabiq lahore samait punjab ke mukhtalif shehron main zalzaley ke jhatke mehsoos kiye gaye zilzila koh-e-pema ke mutabiq zalzaley ki shiddat 5.2 record ki gai jub’ke iss ka markaz indian state himachal pradesh tha aur zameen main iss ki gehraayi 15 kilo meter record ki gai,

Zalzaley ke baad logo main khouf-o-hiraas phail gaya aur loog kalma-e-tayyaba ka wird karte huwe apne gharon se bahar nikal gaye,

Ta’hum  Zilziley ke natijay main kissi jaani nuqsaan ki report mousool nahi hui hai,

Islamabad “Red zone” Ki Security Fouj Ke Hawaley Kardi Gai

Imaran Khan Ke Elaan Ke Baad Hukumat Ne Islamabad Ke Red zone Ki Security Fouj Ke Hawaley Karne Ka Faisla Kar Liya.
Interior Minister Ka Kehna Hai Ke Islamabad Ki Security Ke Liye 3 Steps Banaye Gaye Hain Jin Main se 1st police, 2nd Rangers, aur 3rd Fouj Ke Paas Hoga,

Islamabad: Islamabad main press conference se khitaab main interior minister chaudhry nisar ali khan ne kaha hai ke prime minister ke zer-e-sadarat hone wale ijlaas main political situation per 3 ghante tak mushawarat hui jis ke baad hukumat ne islamabad ke Red Zone ki security pakistan fouj ke hawalay karne ka faisla kiya hai,

Islamabad Ki Security Ke Liye 3 Steps Banaye Gaye Hai Jin Main se 1st police, 2nd Rangers, aur 3rd Fouj Ke Paas Hoga,

Chaudhry nisar ali khan ka kehna tha ke PTI ke chairman imran Khan kheel ke ground main tamaam pakistaniyon ke Role model rahe hain un se request hai ke wo Politics ke ground main bhi noujawano ke liye ek Role model ka kirdaar adaa karen,

Imaran khan mulk main galat rawaayat na dalain imran khan ne red zone na jane ki yaqeen dihani karwai jis ka record mere pas moujood hai,

Un ka kehna tha ke PTI aur PAT ki leadarship se contact ke bawajood humain waqt nahi diya gaya.
Democracy aur pakitan ke future ke naam per hum dono parties se muzakraat ki dobara koshish karengay hum ek baar phir imran khan aur tahir ul qadri ko muzakraat ki dawat dete hain,

Unka kehna tha ke yeh baat kissi ki samajh main q nahi aati ke 2013 ke election hum ne nahi karwaye hukumat 4 nahi bal’ke 20 halkon ki janch partal ke liye tayyar hai..

Karachi Main Dehshat gardi Ki koshish Nakaam

Karachi: police Ne Orangi Town Main Ek Raksha Se 12gk Wazni Momb Bar’amad Kar Ke Dehshat gardi ka Mansooba Nakaam Bana Diya,

SSP karachi Irfan Baloch ke mutabiq orangi town ke elaqay bakra peri ke qareeb ek raksha se 12kg wazni bomb bar’amad hua jise bomb disposal squad ne nakara bana dia hai

Bomb remote control device se attached tha aur complete ready tha bomb blast hone se bare pemanay per tabahi ho sakti thi

Irfan Baloch ka kehna tha ke bomb ko school beg main daal kar kharab rakshe main rakha gaya tha aur isse police force ki gari ko nishana banane ke liye nasab kiya gaya tha ke jese hi bari gari guzarti ussi waqt remote control se dhamaka kiya jata..

Islamabad Main Parliament House Ke Bahar Jashn-e-Azaadi Ki Markazi Taqreeb Jaari

Islamabad: Dar-ul-Hukumat Main Jashn-e-Azaadi Ki Munasbat Se Markazi Taqreeb Ka Aghaaz ho Gaya Hai Jis Main Prime Minister Nawaz Sharif Aur Armed Forces Ke Heads Shareek Hain,

Islamabad main parliament house ke samne munqaid ki gai taqreeb ka aghaaz Tilawat-e-kalaam paak se kiya gaya jis main prime minister nawaz sharif ne mehman-e-khussi tor’per shirkat kar rhe hain jub’ke taqreeb main Armed Forces ke heads joint Chiefs of Staff Committee, Chairman Senate, Speaker of the National Assembly, Opposition Leader, Federal Ministers, Diplomat, Senior government officials aur political parties Leaders shareek hain,

Taqrreb main armed forces ke chaak-o-choband ne shandaar Parade ka muzahira kiya,

Iss moqe per dar-ul-hukumat ki fizaien milli naghmo aur qoumi tarano se gounj uthin,

Taqreeb main armed forces ki qurbaniyon per mushtamil documentary aur mumlikat khudadad pakistan ko hasil karne ke liye di gai qurbaniyon per bhi khusoosi dastavezi film dekhai gai jub’ke jashn-e-azaadi ki taqreeb main funkaron ne bhi apne fun ka muzahira kiya..

Islamabad Mai Dafa 144 Nafiz Har Qism Ke Jalsay Julooson Per Pabandi Aaid

Islamabad: District Administration Ne Wafaqi Darul Hakumat Mai Dafa 144 Nafiz Karte Huwe Shehar Main Har  Qism Ke Jalsay Julooson Per Pabandi Aaid Kardi Hai,

Reoprt ke mutabiq islamabad administration ne shehar main fori’tor per dafa 144 nafiz kardi hai jis ka notification bhi jaari kar diya gaya hai.

Notification ke mutabiq wafaqi darul hakumat mai red zone samiat kissi bhi jaga har qism ke jalsay julsoonon per pabandi aaid kardi hai aur 5 afraad ke ikathay hone per bhi pabandi hogi jub’ke kissi bhi qism ke weapon ki numaish per bhi pabandi laga di gai hai.

Pabandi ka faisla shehar mai aman-o-amaan ki surat-haal ko barqaraar rakhne ke liye lagaya gaya hai jub’ke dosri janib islamabad administration ne shehar mai har qism ke internal aur external roads ko bhi seal karna start kar diya hai jis ke tehat rawalpindi se islamabad aane walay roads ko container aur barbed wire laga kar block kiya ja raha hai..

Medical Experts ke Mutabiq Zyada Antibiotics Ke Istemaal Se Parhaiz Karen

Medical Experts Ne Khabardar Kiya Hai Ke Zyada Antibiotics Ke Istemaal Se Parhaiz Karen,

London mai hone wali research ke baad experts ne khabardar kiya hai ke antibiotics ke zyada Istemaal Se Parhaiz kiya jaye.

Research mai yeh results samne aya hai ke khansi aur sardi lagne jesi alamaat main 2011 ke douraan 51% logon ko antibiotics di gaien jub’ke 1999 main aesay logon ki tadaad sirf 36% thi,

Last month british prime minister david cameron bhi antibiotics ke istemaal ko health ke liye khatra qaraar de chuke hain aur qanoon sakht banane ki tajveez di hai..

Chaman Maal Road Per Remote Control Bomb Dhamaka 3 Ahlkaar Samait 11 Afraad Zakhmi

Chaman: Maal Road Per Additional Deputy Commissioner House Ke Samne Motor Bike Main Zordar Bomb Dhamaka 3 Ahlkaron Samait 11 Afraad Zakhmi Ho Gaye,

Chaman shehar ke gunjan abad elaqay maal road per additional deputy commissioner house ke samne ek dorzar bomb dhamaka hua jis se 3 ahlkaron samait 11 afraad zakhmi howey,

Dhamake ke baad police aur deegar qanoon nafiz karne wale idaaron le ahlkaar moqe per ponch kar elaqay ko mukammal seal kar diya aur tamaam zakhmiyon ko district headquarters hospital chaman muntakil kar diya,

Eany shahidain ke mutabiq ke bomb ek khari motor bike main hua.

Security sources ki preliminary report ke mutabiq bomb remote control tha aur dehshat gardo ka nishana police ki gari thi.

Iss silsilay main mazeed tafteesh jari hai dhamake se qareebi dukano aur gariyon ko bhi shadeed nuqsaan poncha hai..

Karachi Samandar Ki Be Reham Mojon Ne 36 Zindagiyaan Nigal Lien

Lawahqeen Ne Un Ke Kapron Aur Deegar Saman Se Shanakht Karli Gharon Mai Sif Matam.
Lawahqeen Ki Aah-o-baqa Mutasreen Khandanon ke Liye 2, 2 Lakh Imdaad Ka Elaan.
Clifton main CVU Ke Maqaam Per Police Ki Bhaari Nafri Taienaat,

Karachi: Eid ke moqe cvu clifton aur hawke’s Bay per samandar main doob kar jan-bahaq hone wale 36 afraad ki lashain nikaal li gaien hain,

Jumma ki subah Navy ka helicopter aur rescue teams Clifton ponch gaien jinhon ne samandar se lashain nikalne ke liye opration ek baar phir shuru kiya.
Navy ki imdaadi teams ne helicopter ke zariye gehray samandar se mazeed 11 lashain nikal li hain.

Iss tarah ab tak nikali jane wali lashon ki tadaad 36 ho gai hai jumme ke roz nikali jane wali lashain kharab ho chuki thien.
Lawahqeen ne kapron aur deegar saman se un ki shankht ki. nikali gai lashon mai se 5 lashon ki abb tak shanakht nahi ho saki jin ko Edhi sard khane main rakhwa diya gaya hai,

Clifton main cvu ke maqaam per police ki bhaari nafri taienaat hai jub’ke La’pata afraad ke ahle khana bhi moujood hain subah search opration ke Aaghaz main takheer per doobne wale afraad ke lawahqeen ne ahtijaaj bhi kiya,

Clifton aur hawke’s Bay per 2 darjan se zaid afraad doobne ke baad shehri intezamiya ki janib se shehriyon ki jano ko tahafuz faraham karne ke liye samandar per shehriyon ke nahane aur pani ke andar jane per pabandi aaid kardi gai,

CVU ke sahil per baaz jagahon per takhte laga kar samandar main andar jane wale raston ko band kiya gaya hai ta’hum shehri pabandiyan seal hone ke bawajood chori chuppe sahil per dakhil hone ki koshish kar rahe hain,

Baaz jagahon per police aur shehriyon ke darmiyaan talkh kalami ke manazir dekhne main aaye police ki janib se pani main ghusay huwe logon per lathi charge bhi kiya gaya lekin police ke jate hi log dobara samandar main andar jate rahay,

Baad main police ki bhaari nafri ko talab kar liya gaya ta’hum shehriyon ko pani main andar jane se roka ja sakay.

karachi ke District Administration ne samandar mai nahane per 3 maah ki pabandi aaid kardi hai..

Shawal Ka Chand Dekhne Ke liye Ruet-e-Hilal Committee Ka Ijlaas Aaj hoga

Zonal Head Quarters Main Hone Wale Ijlaas Mian Chand Dekhne Ke Hawalay Se Shahadatain jama ki Jayengi,

Karachi: Pakistan main shawal ka chand dekhne ke liye Ruet-e-Hilal Committee ka ijlaas Aaj ho raha hai,

Shawal ka chand dekhne ke liye Ruet-e-Hilal Committee ka markazi ijlaas karachi main hoga,

jub’ke zonal head quarter Islamabad, Lahore, Peshawar, aur Quetta main bhi ijlaas hongay,

Ijlaas main mulk bhar se chand dekhay jane se mutaliq Shahadatain jama ki jayengi..

Islamabad Samait Mukhtalif Shehron Main Barish Mousam Khushgawar

Rawalpindi, Islamabad Samait Mukhtalif Shehron Main Barish Se Mousam Khushgawar Ho Gaya karachi Main Bonda bandi Jub’ke Lahore Main Badalon Aur Suraj Ke Darmiyaan Ankh Macholi Ka Silsila Jaari Hai,

Rawalpindi Islamabad main abar-e-karam ki bondon ne garmi ka zor tor diya karachi main bhi bonda bandi se mousam haseen ho gaya,

Mosamyaat ke mutabiq Karachi, Thatta, Badin, Hyderabad, Mirpurkhas, Thar, Sukkur, Larkana, Jacobabad aur Umerkot main mosam thanda renhe aur halki barish ka imkaan hai,

Lahore main bhi badalon aur suraj ke darmiyaan ankh macholi ka silsila jaari hai.
Mehkamaye mosamiyaat ke mutabiq 24 ghanton ke douraan Rawalpindi, Islamabad, Lahore, Gujranwala, Sargodha, Sahiwal, Faisalabad, Kashmir aur Khyber Pakhtoonkhwa main aksar maqamaat per barish ki peshan goi ki hai,

Jub’ke Multan, Bahawalpur, Dera Ghazi Khan division, Gilgit-Baltistan, Zhob aur Kalat Division main kahien kahien tez hawa aur garj chamak ke sath barish ho sakti hai..

News

Karachi
May 2024
M T W T F S S
« Mar    
 12345
6789101112
13141516171819
20212223242526
2728293031