Karachi Mein Masjid Ke Bahar Se Bomb Bar’Aamad

Karachi: Bomb Disposel Squad Ne Masjid Ke Bahar Rakhay Gaye Bomb Ko Nakara Bana Kar Dehshat Gardi Ki Koshish Nakaam Bana Di.

Karachi ke elaqay north naazimabad mein qalandariah chowk ke qareeb waqay masjid ke darwazay par mushtaba bag ki mojoodgi ki ittila par police mauqe par pahonch gayi.

Talashi ke douran bag se cement ka aik block mila jis ke bahar kuch wires nazar aa rahi thien police ne block mein baroodi mawaad ki mojoodgi ke khadshay ke paish e nazar bomb disposel squad ko talab karliya jis ne block ke andar bomb ko nakara banadiya.

Bomb disposel squad ka kehna tha ke block mein 2 se 3 kg tak baroodi mawaad mojood tha jo barri tabahi ka baais ban sakta tha.

Police ne jaye waqooa se aik mushtaba shakhs ko hirasat mein le kar is se pooch gach shuru kardi hai.

Rawalpindi Chitian Bhatiyan Mein Khud’kash Dhamaka

Rawalpindi ke Elaqay Chitian Bhatiyan Mein Imam Bargaah Ke Bahar Khud kash Dhamakay Mein 7 Afraad Jaan Bahaq Jab’kay Mutadid Zakhmi Hogaye.

Rawalpindi: Dehshat gardon ne aik baar phir waar kiya aur masoom shehrion ko apni darindgi ka nishana banaya.

Committee chowk ke qareeb bhabra bazaar ke ghunjaan abad muhallay chitian bhatiyan mein imam bargaah imam baara syed Abbu Mohammad Rizvi main mehfil milaad jari thi jis mein 50 se 60 afraad mojood thay.

Raat 9:15 bajay aik motorcycle sawaar imam bargaah ki taraf barha police ahelkaar Amaan Ullah ne usay roknay ki koshish ki to us ne motorcycle par hi khud ko ura liya. dhamakay se imarat ka samnay wala hissa munhadim ho gaya aur mehfil milaad mein shareek afraad dhamaka khaiz mawaad ki zad mein aa gaye har taraf dhuwen ke baadal chaa gaye aur cheekh o pukaar mach gayi kayi afraad mauqe par hi jaan bahaq ho gaye jab’kay mutadid buri tarha zakhmi huey.

Ghunjaan abad elaqay aur tang galiyo ki wajah se rescue teams ko wahan pounchanay aur imdadi kaam mein mushkilaat ka saamna karna para.

Maqami logon ka kehna hai ke mehfil milaad jari thi ke zor daar dhamakay ki aawaz aayi aur har taraf dhuwan aur guru gubhar chaa gaya.
Police,Rangers aur Army ki quick response force ke jawan mauqe par pahonch gaye aur  elaqay ko ghairay mein le liya aur ghair mutaliqa afraad ko daur hata diya dhamakay se qareebi gharon ko bhi shadeed nuqsaan pouncha.

Zakhmiyon ko Rawalpindi ke mukhtalif hospitals mein daakhil kara diya gaya jahan kuch ki haalat tashweesh-naak hai tamam hospitals mein emergency nafiz kar di gayi.

Security hakkaam ke mutabiq dhamakay mein 10kg baroodi mawaad istemaal kiya gaya dhamakay ke baad kuch der tak asal surat haal ka pata na chal saka.

Police ne bhi wireless par cylinder dhamakay ki cal chalayi.
Dhamakay ke baad shehar ke mukhtalif elaqon mein security high alert kar di gayi. wazeer e azam Mohammad Nawaz shareef ne dhamakay ke waqey ka notice letay hue wizarat dakhla se report talab karli.

Asif Zardari aur Altaf Hussain samait siyasi rehnumao ki muzammat. Mazhabi tanzeemon ne 3 roza sog ka elaan kar diya.

World Cup 2015 Ke Liye 15 Rukni Qaumi Cricket Team Ka Elaan

Karachi: Pakistan Cricket Board Ki Selection Committee Ne World Cup 2015 Ke Liye Qaumi Squad Ka Elaan Kar Diya Hai Jis Mein jahan Kamran Akmal, Shoiab Malik,Asad Shafeeq, Azhar Ali Jagah Nahi Bnapaye Wahein Khilaaf Tawaqqa Sohail Khan Ko Shaamil Kiya Gaya Hai.

National stadium Karachi mein cheif selector Moueen Khan ne world cup 2015 ke liye qaumi team ka elaan kiya,

15 Rukni hatmi squad 2 openers, 5 middle orders batsman, 2 spinners aur 5 fast bowlers par mushtamil hai, team mein jahan Kamraan Akmal, Shoiab malik,Asad shafeeq, Azhar Ali aur Umar Gul ko shaamil nahi kiya gaya wahein squad mein khilaaf tawaqqa Anwar Ali aur bilawal Bhatti bhi jagah nahi bnapaye jabkay khilaaf tawaqqa Sohail Khan ko shaamil kiya gaya hai.

Team ki qayadat Misbah Ul Haq karen ge jabkay deegar players mein Mohammad Hafeez, Ahmed Shahzad,Younis Khan,Umar Akmal,Haris Sohail, Suhaib Maqsood,Sarfraz Ahmed, yasir Shah,Shahid Afridi,Wahab Riaz, Ahsaan Adil,Junaid Khan, Sohail Khan aur Mohammad Irfan shaamil hain.

Is mauqe par Moueen Khan ne kaha ke Mohammad Hafeez aur Ahmed Shahzad team ke opners honge jabkay Sarfraz Ahmed ko bhi opner ke tor par team mein shaamil kiya ja sakta hai.

Pakistan cricket board har 4 maah baad players ki fitness ka test leta hai aur sab hi players ki fitness behtar hui hai jisay dekhte huey inhen yaqeen hai ke players deegar teams ke sath muqablay ke liye tayyar hain.

Unhon ne kaha ke Anwar Ali aur Bilawal Bhatti ko mukhtalif muqablon mein Aazmaaya gaya hai jis ke baad Wahab Riaz aur Sohail Khan ko shaamil karne ka faisla kiya gaya,

Dono Players ki shamoliat se qaumi team ko batting ke shobay mein bhi faida hoga.

Wazeh rahay ke Sohail Khan world cup ke liye 30 rukni ibtidayi squad mein shaamil nahi thay.

pakistan Mein Youtube Ke Mutabadil Youtubes.pk Muta’rif Karadi Gayi

Islamabad: Pakistan Mein Youtube Par Taveel Pabandi Ke Baad Ab Muqami Satah Par Video Sharing Ki Mosar Website  (youtubes.pk)  Muta-arif KaradI Gayi.

Pakistan mein social media ki barhti hui maqboliat ke baais awam ki sahoolat ke liye you tube par pabandi ke baais muqami satah par mutabadil Website you youtubes.pk muta-arif karade gayi hai.

Wazeh rahay ke saal 2012 mein youtube par tauheen risalat par mabni ek video samnay anay ke baad Pakistan mein pur-tashaddud muzahiron ke tanazur mein hukoomat ne is video sharing Website par gair muena muddat tak ke liye pabandi aaid kar di thi jo ta’haal barqarar hai.

Naye Saal 2015 Ka Sooraj Tulu Hogaya Pakistani Shehri Mulk Mein Qiyam Aman Ke Khwahan

Naye Saal Mein Mulk Mein Khoshion Ka Daur Dora Ho, Kisi Be-Gunah Ka Khoon Na Bahe, Saal No Par Shehrion Ke Ta’suraat.

Islamabad: 2015 ka Sooraj apni poori Aabb wa-taab ke sath tulu ho gaya.

Khuda kere ye saal Ahal-e-Pakistan ke liye Umedon, Ygangat, Akhuwat o bhai Chaaray aur Aman o Aashtee ka saal ho.

Khuda kere saal no Arz Pakistan mein basnay walon ke liye khoshion ka payamabar ho.

Sir zameen pak mein basnay wala har shehri khushaal ho.
Kisi ka khoon bahe na kisi ke ansoo na kisi ki izzat o Namoos pamaalna ho.

Insaaf har aik ko aaye is terhan muyassar Aameen..

PIA January Mein Mazeed 5 Jahaaz Bairay Mein Shaamil Keregi

Islamabad: PIA January Mein Mazeed 5 A-320 Jahaaz Apne Bairay Mein Shaamil Keregi Jab’kay March Tak 777 Bowing Tayyaray Bhi Leas Par Liye Jane Ka Imkaan Hai.

Bavsoq zaraye ke mutabiq PIA ko 5 A-320 jahaaz 4 January ko mileinge jo PIA ke bairay mein shaamil honge.

PIA ne naye tayyaray 5 se 7 saal ki leas par haasil kiye hain aur un par qaumi airline ka apna amlah hoga.

Is ke ilawa qaumi airline 777 bowing tayyaray leas par lenay ke liye bhi mukhtalif companies se mazakraat kar rahi hai jo March tak PIA ke bairay mein shaamil kiye jane ka imkaan hai.

PIA ke kal 35 tayyaron mein se is waqt 27 functional hain.

Fazai bairay mein naye tayyaron ki shamoliat se un mumalik mein PIA ki service bahaal ho jaye gi jin mumalik ne PIA par pabandi aed kar rakhi hai.

Punjab-Khyber Pakhtunkhwa Aur Balai Sindh Mein Dhund Ka Raaj Bar’qarar

Punjab – Khyber Pakhtunkhwa Aur Balai Sindh Ke Mukhtalif Elaqon Mein Dhund Ka Raaj Bar’qarar Hai Jis Ki Wajah Se Nizaam Zindagi Shadeed Mutasir Ho Rahay Hain.

Punjab ke medani elaqay Sindh ke Sukkur division aur Khyber Pakhtunkhwa mein guzashta kayi roz se dhund ka silsila jari hai jis ki wajah se logon ko aamad wa’raft mein shadeed mushkilaat ka saamna hai,
Multan airport par aaj bhi kayi parwaazon ki aamad o Raft mansookh kar di gayi hain jab’kay Lahore airport par bhi flight schedule shadeed mutasir hai is ke ilawa had nigah kam honay ki wajah se motor way par trafic ki ravani shadeed mutasir ho rahi hai.

Mehakma mosamiyat ne ainda 24 ghanton ke douran mulk bhar mein mousam khushk aur sard rehne ka imkaan zahir karte hue malakand division ke kuch elaqon mein barish aur halki barfbari ki paish goi ki hai.

Is ke ilawa Gujranwala , Lahore , Faisal abad, Multan , bahawalpoor, sahiwal, sargodha, DI Khan , DG Khan aur Sukkur mein gehri dhund ka imkaan zahir kya hai.

Lahore Ke Anarkali Plaza Mein Aag Lagnay Se 13 Afraad Jaan Bahaq

Lahore: Anarkali Plaza Mein Aag Lagnay Ke Nateejay Mein Khatoon Samait 13 Afraad Jaan Bahaq Hogaye Jab Ke Imdadi Teams Ne 2 Ghantay Ki Koshisho Ke Baad Aag Par Qaboo Pa Liya.

Report ke mutabiq Lahore ke anarkali plaza ki nichli manzil mein short circuit ke baais achanak aag lag gayi jis ne dekhte hi dekhte poori manzil ko apni lapait mein le liya,

Fire brigead aur rescue teams ne jaye waqooa par pahonch kar building mein phansay mutadid afraad ko nikaal liya ta’ham is douran 13 afraad jhlsne aur dam ghantay ke ba’is dam toar gaye.

Doosri janib MS meu Hospital Dr. Amjad ka kehna hai ke atishzadgi se mutasirah 13 afraad ko hospital laya gaya jin mein 12 afraad pehlay hi dam ghatney se jaan bahaq hogaye they jin mein aik khatoon bhi shaamil hai jab ke jaan bahaq afraad ki shanakht Mazhar , syed Sheeraz , Waleed , Sana Ullah, Ikram , chairag, Noman , Azam , Ateeq aur Mohammad Azam ke naam se hui hai jab ke wazeer e aala Punjab Shahbaz shareef ne atishzadgi ka notice letay hue waqea ki report talab karli..

Karachi Ke Mukhtalif Elaqon Mein Barish Se Sardi Ki Shiddat Barh Gayi

Karachi: Shehar-e-Quied Ke Mukhtalif Elaqon Mein Barish Ke Baais Sardi Ki Shiddat Mein Mazeed Izafah Hogaya Hai.

Karachi ke mukhtalif elaqon mein aaj subah achanak kahein halki aur kahein taiz barish hui. jin elaqon mein barish hui un mein I.I Chndrigrrod, Burns Road, Saddar, Ranchorline, Jorya Bazaar, Garden, Federal B Area, Naazim Abad, Karsaaz, Defence aur Clifton shaamil hain.

Barish ke baais sarkon par phislan se mutadid motorcycle sawaar gir kar zakhmi hogaye taham kisi qisam ka sangeen haadsa paish nahi aaya.
Barish ke baad shehar mein thandhi hawaon ne daairay daal liye hain jis ne sardi ki shiddat mein izafah kardiya hai.

Barish ke baais shehar ke mutadid fider trip kar gaye hain jis ki wajah se mukhtalif elaqon ki bijli moattal hogayi hai.

K-Electric intizamia ka kehna hai ke fani kharabi ko door karne ke liye iqdamaat kiye ja rahy hain jald hi bijli ki farahmi bahaal kar di jaye gi..

Tehreek Insaaf Ki Poora Mulk Band Karne Ki Call Kay Khilaaf Supreme Court Mein Darkhwast Dair

Islamabad: Tehreek Insaaf Ki Janib Se Mukhtalif Shehron Mein Ehtijaj Aur Poora Mulk Band Karne Ki Call Kay Khilaaf Supreme Court Mein Darkhwast Dair Kar Di Gayi.

Darkhwast guzaar ne istada ki hai ke ehtijaj aur shehron ko band karne se shehrion ke bunyadi haqooq mutasir hotay hain adalat PTI ko ehtijaj se rokay.
Tehreek insaaf ki shehron ko band karne ki call ke khilaaf darkhwast barrister Zafar Ullah ne adalat Uzma mein dair ki hai.

Darkhwast mein muaqqaf ikhtiyar kiya gaya hai ke Imran Khan ke Faisal abad aur Karachi ehtijaj ke nateejay mein shehrion ke bunyadi haqooq mutasir huwe.

Mukhtalif shehron mein ehtijaj se article 2, 4, No aur 18 ki khilaaf warzi ho rahi hai.
Darkhwast mein kaha gaya hai ke Imran Khan ne 18 decemeber ko poora mulk band karne ki call de rakhi hai jis se shehrion ke bunyadi haqooq mutasir hunge.
Adalat ehtajaji jalson aur shehron ko band karne se roknay ka hukum de. darkhwast mein wifaqi hukoomat Imran Khan aur deegar ko fareeq banaya gaya hai.

News

Karachi
May 2024
M T W T F S S
« Mar    
 12345
6789101112
13141516171819
20212223242526
2728293031