Business

Gold Mian Fee Tola 200 rupy kami: Gold 51,200 ka ho gaya

Karachi: Aalmi market main gold ki qeemat main kami ke baad maqami bazaar main 10 gram sona 171 rupy aur fee tola 200 rupy sasta ho gaya,

Aalmi market main dollar ki qeemat main izafay ke baad sone ki qeemat main numayaan kami dekhi gayi,
London main sone ka fee ounce rate 10 dollar kami se 1,320 dollar tak gir gaya iss kami ka asar maqami sarafa bazaar main bhi hua,

Jahan 10 gram qeemat 171 rupy kami se 43,885 rupy per agayi aur fee tola sona 200 rupy sasta hokar 51200 ka ho gaya..

Software Export board Ki 160 Noujawaano Ko Intership Per Mulazmat Ki peshkash

Islamabad: Pakistan software export board ( P S E P ) ne national ( I C T ) intership program ke tahet 160 noujawaano ko information technology ( I T ) aur telecom companies main batoor interni mulazmaton ki peshkash ki hai,

Yeh program national IT research nad devlopmint fund ke tahet start kiya ja raha hai P S E P 16 saal ke graduate 300 noujawaano per mushtamil ek batch ko interni ke tour per rozgaar faraham kar chuka hai jointership ki muddat kamyabi se mukammal kar chukey hain,

P S E P ke hakkam ne bataya ke program ke tahet P S E P ne marhala war 4 maah ki muddat ke liye 800 graduates appoint karne hain jabke graduates ko traning complate karne ke baad interni noujawaano ko 16 hazar monthly payment bhi ada karta hai,

American Dollar interbank Mian Ek Saal Ki kam Tareen Sateh Per

Karachi: Exporters ki janib se hukumat per dabao ke ba-wajood guzishta roz zare-mubadla ki dono mandiyon main american dollar ki qadar main kami ka rehjan dekha gaya hai,

Interbank market main pakistani rupy main 0.90 fesad izafa hua aur dollar ki qadar 89 pesy ki kami se ek saal ki kam tareen sateh 98.20 rupy per agai,

currency dealers ke mutabiq open market main dollar ki qadar 100 rupy se ghatt kar 99 rupy 50 pesey per band hui,

LPG Ki Qeemat Main 5 Rupy Fee Kilo Izafa

Lahore: LPG marketing companies ne ogra ke hukum ke ba-wajood liquefied petroleum gas ki qeemat main 5 rupy fee kilo izafa kar diya hai,

Report ke mutabiq LPG marketing companies ne LPG ki qeemat main 5 rupy fee kilo izafa kar diya hai jis ke baad gharelo slender ki qeemat main 60 rupy jabke commercial slender ki qeemat main 240 rupy izafa ho gaya hai,

LPG ki qeemat main 5 rupy fee kilo izafey se ab lahore,karachi,islamabad,rawalpindi,multan,hyderabad,sukkur,gujranwala,gujrat,sialkot,aur peshawar main LPG 125 rupy fee kilo tak dastiyaab hogi jabke pahari elaqoon main LPG ki qeemat 145 rupy fee kilo ho gayi hai,

Interbank Mian Dollar 98 Rupy 92 pesy ki Sateh Per Agaya

Karachi: Rupay ke muqably main american dollar 98 rupy 92 pesy ki  sateh per agaya hai,

Guzishta kuch dino se rupy ki qadar main tezi se izafa hua hai aur dollar ki qadar har guzarte din ke sath kam hoti ja rhi hai,

Report ke mutabiq interbank market main trading ke douraan ek maqaam per dollar 45 pesy ki kami ke bad 98 rupy 95 pesy ki  sateh per dekha gaya,

Iqtesadi tajzia karon ke mutabiq markazi bank ki janib se rupy ko mazeed mustahkam karne k liye sharah sood ko 10% per barqaraar rakha gaya tha jis ke asraat numayaan ho rhe hain,

Nepra Ne Awaam Per Mehngai bumb Giratay Huay Bijli 2 Rupy 24 pesey fee Unit Mehngi Kardi,

Islamabad: Nepra ne distribution companies ki application per bijli ki qeemat main 2 Rupy 24 pesey fee Unit ezafay ki manzoori dedi,

Distribution Companies ki janib se nepra ko bijli ki qeematon main ezafay ki application ki thi jis per nepra ne january 2014 ke liye fuel adjustment surcharge ki madd main bijli ki qeemat main 2 Rupy 24 pesey fee Unit ezafay ki manzoori dedi,

Bijli ki qeemat main haaliya ezafay ka itlaq karachi electric supply corporation ( KESC ) ke ilawa mulk ki tamaam distribution companies per hoga jo sarfeen se next bill main wasool kiya jayega..

United Arab Emirates Pakistan ko 3000 mega megawatt faraham karega,

Islamabad: Wafaqi wazarat pani bijli aur UAE ke Al-aqeeli group ke darmiyaan pakistan ko 3 hazar megawatt bijli faraham karne ke liye mafahmat ki yad-dasht per signature kiye gaye,

Wafaqi wazir pani bijli khwaja saeed al-aqeeli group of dubai ke chief executive officer muhammad saeed al-aqeeli ne mufahamat ki yad-dasht per signature kiye,
Al-aqeeli group ne pakistan ko iran ke raste bijli farahmi ke liye pakistan ke national gard tak supply line bichane ke azm ka bhi izhaar kiya,
iss moqay per khwaja Asif ne kaha ke mansobay ki takmil se dono mumalik ke darmiyan do tarfa taluqat mazeed mazboot hongay aur government ka load shedding ke khatmay ke liye ye mansooba bari kamyabi hogi..

Business

KARACHI: Karachi Stock Exchange  (KSE) 100 aaj kam se kam 25615.25 aur zida se zida 25384.93 ki qimato pe band howa.

News
Karachi
March 2024
M T W T F S S
« Mar    
 123
45678910
11121314151617
18192021222324
25262728293031