Daily Archives: June 8, 2015

Karachi Mein Motocycle Sawaron Ke Liye Helmit Zaroori

 Karachi: Motorcycle Par Safar Karne Walon Ko Mangal Se Helmit Ka Laazmi Istemaal Karna Hoga Jis Ki Khilaaf Warzi Karne Walon Ke Khilaaf 9 June Se Karwai Amal Mein Layi Jayegi.

Traffic police hakkaam ka kehna hai ke shehar Quaid mein motorcycle par safar karne walon ko mangal se helmit laazmi pehnana hoga aur motorcycle chalanay walay shakhs ke sath sath peechay bethnay walay khuwa woh mard ho ya aurat dono ko laazmi helmit pehnana hoga.

Khilaaf warzi karne walay afraad ke khilaaf 9 June se 150 rupay se 300 rupay tak ke chalaan ke sath qanooni charah joi bhi ki jaye gi.

Is pabandi ka itlaq traffic police, district police aur deegar units mein tainaat police Officers aur Ahlkaron par bhi hoga ba’sorat deegar un officers o ehalkaron ke khilaaf bhi qanooni chara jui ki jayegi.

Traffic hakkaam ka kehna hai motorcycle sawaron ko helmit ke istemaal ka paband bananay ka maqsad un ke safar ko ziyada se ziyada mehfooz banana hai kyun ke shehar mein honay walay traffic hadsaat mein 60% Mout motorcycle par safar karne walon ki hoti hai jin mein aik tahai motorcycle mein safar karne afraad shaamil hotay hain aur amwaat ki bunyadi wajah helmit ka istemaal na karna hota hai.

Unhon ne kaha ke motorcycle par sawaar khawateen mein helmit pahannay ke rujhan mein izafay ke liye muft helmit taqseem kiye jayenge.

Doosri janib shehar Quaid ke shehrion ne traffic police ke iqdaam ko saraha hai jabkay kuch shehrion ne usay anokha iqdaam bhi qarar diya hai.

Shehrion ka kehna hai ke mazkoorah muhim bhi maazi ki tarha is martaba bhi Eid Ul Fittar se qabal traffic police ke sath sath district police ke liye kamaai ka zareya saabit hogi.

Shehrion ne mutalba kiya hai ke mazkoorah pabandi ke douran buzurag bachon aur khawateen ko helmit pahannay se mustasna qarar diya jaye.

Motorcycle par safar karne wali beshtar khawateen ka kehna hai ke wo burqa aur abaya pehan kar apne bachon ke hamra motorcycle par safar karti hain isi soorat mein un ke liye na sirf helmit pehnana intehai mushkil amal saabit hoga balkay woh kisi aur duniya ki makhlooq bhi lagengi.

Shehrion ka kehna hai ke agar kisi shehri ne safar ke douran helmit pehna howa nahi hai to inhen roknay ya is ka chalaan karne ka ikhtiyar sirf traffic police officers ya ehalkaron ko hi hona chahiye.

Aesa na ho ke traffic police ki Aar mein police ahelkaar shehrion se lout maar karen..

Bahera Arab Mein Ban’nay Wala Hawa Ka Shadeed Kam Dabao Tufaan Mein Tabdeel

 Karachi: Bahera Arab Mein Ban’nay Wala Hawa Ka Shadeed Kam Dabao Tufaan Mein Tabdeel Ho Gaya Hai Jisay Ashoba Ka Naam Day Diya Gaya Hai.

Mehakma mosmiyat ki janib se bayan ke mutabiq bahera arab mein ban’nay wala hawa ka shadeed kam dabao tufaan mein tabdeel ho gaya hai jisay baqaida tor par Ashoba ka naam day diya gaya hai.

Samandari tufaan Ashoba aik nut fi ghanta ki raftaar se agay barh raha hai aur is waqt Karachi ke shumal mein 850 kilometer ki doori par hai.

Mehakma mosmiyat ke mutabiq 80% imkaan hai ke Ashoba oman ke saheli ilaqay se takrayega jab ke 20% imkaan hai ke tufaan Balochistan ke saahil se takrayega.

Doosri janib tufaan ke khadshay ke paish e nazar Karachi mein mahi geron ko saahil samandar se door rehne ki Hidayat jari kar di gayi hain jab ke ainda 24 ghanton ke douran Sindh aur Balochistan ke saheli ilaqon hisson mein garaj chamak ke sath barish ka imkaan bhi zahir kiya ja raha hai.

Bahera arab mein ban’nay walay tufaan ke mumkina tor par Karachi ke saahil se takaraane ke khadshay ke paish e nazar shehar bhar ke hospitals mein emergency nafiz kar di gayi hai jab ke ke electric ne bhi apne operation ko fa-aal kardiya hai.

News
Karachi
June 2015
M T W T F S S
« May   Jul »
1234567
891011121314
15161718192021
22232425262728
2930