Pakistan Ne England Ko Aakhri Test Mein Shikast Day Kar Series Jeet Li

 284 Runs Ke Target  Mein England Ki Team 156 Par Out,
Shoiab Malik Ki 3 Aur Yasir Shah Ki 4 wickets..

Sharjah: Pakistan ne Sharjah test mein England ko 127 runs se shikast day kar series apne naam kar li hai.

Sharjah mein khailay janey walay match mein England ki team 284 runs ke target ke taqub mein 156 runs par dhair hogayi.

England ki janib se Alastair Cook 63 runs bana kar top score rahay un ke ilawa Moeen Ali aur Adil Rasheed ne 22,22 runs ki ining khelain.

Pakistan ki janib se Yasir Shah ne 4, Shoiab Malik ne 3, Zulfiqar Babar ne 2 aur Rahat Ali ne 1 wicket hasil ki.

Pakistan ne match ki pehli ining mein 234 runs banaye they jis mein Misbah Ul Haq 71 runs ke sath top score they jab kay 2nd ining mein Mohammad Hafeez ne 151 runs ki shandaar inning kheli.

Pakistan ka 2nd ining mein total 355 score raha.
England ki team ne 1st ining mein 306 runs banaye James Taylor 76 runs ke sath top score rahay.

1st ining mein Rahat Ali ne 2, Yasir Shah ne 3, Shoiab Malik ne 4 aur Zulfiqar Babar ne 1 player ko out kiya.

England ki team ko 2nd ining mein jeet ke liye 284 runs ka target mila magar all team 156 runs par out ho gayi.

Alastair Cook 63 runs ke sath top score rahay.

Yasir Shah ne 4, Shoiab Malik ne 3, Zulfiqar Babar ne 2 aur Rahat Ali ne 1 wicket haasil ki.

Pakistan ne 3 matches ki series 0-2 se apne naam karli hai.
Sharjah test mein Pakistani spin bowling ne England ko khul kar khailnay nahi diya.

Leg spinner Yasir Shah ne Sharjah stadium mein 7 shikaar kiye.
Unko behtareen performance par man of the series aur Mohammad Hafeez ko man of the match ka award diya gaya.

Lahore Factory Hadsa Jaan Bahaq Afraad Ki Tadaad 23 Hogayi

 Lahore: Sunder Industrial State Mein Factory Ki Building Se Nikaali Gayi Dead bodies Ki Tadaad 23 Hogayi Hai Jab Ke Malbay Se Darjanon Mazdoor Ab Tak Nahi Nikalay Ja Sakay.

Lahore ki sunder industrial state mein waqay factory ki building zameen bose huwe 24 ghantay se zayed waqt guzarnay ke bawajood malbay se tamam mazdooron ko nahi nikala jaska.

Relief Activities mein 400 se zayed afraad hissa le rahay hain jin mein Resque 1122, Pak Fouj, Edhi Foundation, Falah Insaaniyat Foundation sameit mutadid Organizations ke workers shaamil hain.

Malbay se ab taq 23 afraad ki dead bodies jab ke 120 afraad ko zakhmi haalat mein nikaal liya gaya hai.

Pak fouj ke ahelkaar factory ke ‘Lenter’ mein hole kar kay building ke andar daakhil ho kar andar mojood afraad ko nikaalne mein masroof hain.

Resque 1122 ke DG brigedier retired Dr. Arshad ka kehna hai ke factory ke malbay mein ab bhi kayi afraad dabey hue hain jin mein se kayi afraad ka guzashta roz taq un ka mobile phone par rabita tha taham mobile phones ki battery khatam hojane ki wajah se un se ab rabita nahi ho pa raha.

Malbay mein dabey afraad ko zinda nikaalne ke liye intahi ahtihyaat se kaam liya ja raha hai is liye imdadi kaam kal taq jari rehne ka imkaan hai.

Dr. Arshad ka kehna hai ke haadsay ke waqt factory mein mojood afraad ki sahi tadaad ka inhen koi ilm nahi kyun kay haazri ka tamam record malbay mein daba howa hai lekin factory ke bahar mojood la’pata afraad ke vursa se tafseelaat jama ki jarahi hain.

Wazeh rahay ke guzashta shaam plastic bag tayyar karne wali factory ki building us waqt zameen bose hogayi thi jab is mein barri tadaad mein afraad mazdoori mein masroof they..

President Aur Prime Minister Samait Tamam Officials Androon O Beron Mulk Urdu Mein Taqareer Karenge

Islamabad: Government Ne Faisla Kiya Hai Ke President Aur Prime Minister Samait Tamam Official Representatives Aur Officers Androon O Beron Mulk Mein Qaumi Zabaan Mein Taqareer Karenge Jab Ke Is Kam Ka Marhala Waar Aaghaz 3 Mah Mein Kar Diya Jayega.

Senate ke ijlaas mein Government Ki janib se paish ki jane wali dastawizaat ke mutabiq Aieen ke Artical 251 ke tehat Urdu Zaban ko sarkari aur deegar maqasid ke liye istemaal kiya jayega,

Tamam wazaraton aur divisions ke wifaqi Secretary baraye It’tila’aat O nashriyaat Qoumi virsa, wifaq ke zair e intizaam kaam krne walay sarkari o name sarkari idaray apni policies ka 3 mah ke andar urdu tarjuma jab ke wifaq ke zair e intizaam kaam krne walay sarkari o name sarkari idaray har tarah ke qawaneen aur har tarah ke form angrezi se urdu mein tarjuma karenge.

Tamam awaami ahmiyat ke maqamat Courts, police stations, hospitals, parks, Educational institutions, banks ke angrezi ke sath sath urdu mein board nasb kiye jayenge.

Is ke ilawa Passport office, income tax department, GPRS, auditor general of pakistan, WAPDA, Sui Gas, election commission of pakistan, driving licence, utility bills aur Tamaam sarkari dastawizaat ka urdu mein tarjuma kiya jayega.

Dastawizaat ke mutabiq passport ke tamam Contents ko angrezi se urdu mein muntaqil kiya jayega.

Government Websites ko 3 mah ke andar Urdu mein muntaqil kiya jayega jab ke Mulk bhar mein choty bary roads ke ke kinaron per rehnumaiy ke gharz se nasb sign bords angrezi aur urdu ke sath nasb kiye jayenge.

1st November Se Petrol Ki Fi Letter Price Mein 5 Rupay Se Zayed Izafay Ka Imkaan

Petroleum Islamabad: Ogra Ki Janib Se 1st November Se Petroleum Masnoaat Ki Price Mein Izafay Ka Imkaan Zahir Kiya Ja Raha Hai.

Report ke mutabiq ogra ki janib se Petroleum masnoaat ki price mein izafay ka imkaan zahir kiya ja raha hai aur is silsilay mein samri ko kal tak hatmi shakal diye jane ka imkaan hai.

Zaraye ke mutabiq OGRA ne petrol ki price mein 5 rupay 35 pesey fi letter, diesel ki price mein 2 rupay 43 pesey, matti ke tail mein 3 rupay 17 pesey, light diesel ki price mein 3 rupay 63 pesey jab ke HOBC ki price mein 6 rupay 10 pesey fi letter izafay ka imkaan hai..

Mulk Bhar Mein 8.1 Darjay Ke Zalzalay Ke Shadeed Jhatkay

Lahore: Islamabad, DI Khan Sameit Mulk Ke Mukhtalif Shehron Mein 8.1 Darjay Ke Zalzalay Ke Shadeed Jhatkay.

Log Kalma Tayyaba Ka Vird Karte Gharon Aur Dafatir Se Bahar Nikal Aeye Aur abhi kisi jani o maali nuqsaan ki ittila nahi mili hai .

American zalzala kohay pema markaz ke mutabiq zalzalay ki shiddat 7.7 record ki gayi.

Pakistan ki tareekh mein yeh sab se ziyada shiddat wala zalzala hai jis ke jhatkay 1 minute se zayed waqt mehsoos kiye gaye.

Zalzalay ke shadeed jhatkon ke baais log gharon aur dafatir se kalma tayyiba ka vird karte hue bahar nikal aeye.

Ibtidayi maloomat ke mutabiq zalzalay ke shadeed jhatkon se mawaslati nizaam darham barham ho gaya.

traffic aur tele communication ka nizaam bhi mutasir howa hai.

Pakistan mein director mehakma mosmiyat ka kehna hai ke zalzalay ki shiddat 8.1 record ki gayi hai.

Unhon ne bataya ke zalzalay ki geherai 193 kilometer thi jabkay is ka markaz Afghanistan ke paas tha.

Wazeh rahay ke Pakistan mein 2005 mein anay wala zalzala 7.6 shiddat ka tha.
Zalzalay ke jhatkay India aur Afghanistan mein bhi mehsoos kiye gaye hain..

Chrome Se “OK Google” VoiceCommand Feature Khatam

 Google Ne Apne Browser Chrome Se “OK Google” Voice Command Feature Khatam kar diya.

Venture Beat ke mutabiq ziyada tar log is feature ko use nahi kar rahay they is wajah se Google ne usay browser se khatam kar diya hai taham yeh changes mobile ya Google box ke liye nahi ki gayeen.

Is feature ko aik extension ke zariye November 2013 mein Introduced karwaya gaya tha.

Isko install karne ke baad aap ‘OK Google’ kehnay ke baad apne browser ko apni aawaz ke zariye command day satke they.

Launching ke mauqe par Google ka kehna tha ke yeh feature is waqt kaam aeyega jab aap apne laptop par kuch browse karna chahtay hain taham aap ke dono haath masroof hain ( jaisay khana pakatay hue ).

Taham baad mein yeh baat samnay aayi ke ziyada tar log apne mobile par is feature ka istemaal karna chahtay hain taham computer par yeh soorat e haal nahi hai.

Is feature ko chrome 46 ki launch par khatam kya gaya.

Is ke elawa is Deep-up mein chrome notification center ka bhi khtama kar diya gaya..

Shaheed-E-Millat Nawabzada Liyaqat Ali Khan Ki 64th Barsi Aaj Manayi Ja Rahi Hai

 Lahore: Pakistan Ke Pehlay Wazeer-e-Azam Tehreek Pakistan Ke Sargaram Leader Shaheed-E-Millat Nawabzada Liyaqat Ali Khan KI 64th Barsi Aaj Intehai Aqeedat O Ahtiram Se Manayi Ja Rahi Hai.

Zawabzaadah Liyaqat Ali Khan ko 16 October 1951 ko Company baagh jo ab Liyaqat baagh ke naam se jana jata hai mein aik awaami ijtima se khitaab ke douran goli mar kar Shaheed kar diya gaya tha.

Liyaqat Ali Khan Ki Barsi ke mauqe par mukhtalif Organizations ki janib se Seminar, Mzakron, Conferences aur deegar taziyati taqrebaat ka ineqad kiya jayega.

Mukhtalif Political, Journalism, Court, Religious, Public, aur Social parties ke leaders taqrebaat se khitaab kar kay Shaheed e Millat Nawabzaadah Liyaqat Ali Khan ko khidmaat per  khiraj e aqeedat paish karenge…

Internet Connection Ke Liye Bio Metric Lazmi

 Government Ne Faisla Kiya Hai Ke Internet Connection Broad Band, Wifi Aur DSL Ke Liye Bio Metric Ko Laazmi Qarar Diya Jayega Ta kay Is Ke Ghalat Istemaal Ko Roka Ja Sakay. Interior Ministry Is Baray Mein Ainda Kuch Roz Mein Notification Jari Kar degi.

Islamabad: Internet connection ke husool ke liye bio metric ki shart na honay ki wajah se aik naam par kayi connection kaam kar rahay hain jin ki koi tasdeeq nahi ke yeh customer ke apne naam par hi hain ya un ka ghalat istemaal ho raha hai.

Zaraye ke mutabiq yeh maamla us waqt samnay aaya jab aik aala sarkari Afsar ny internet connection ke husool ke liye darkhwast di to maloom howa ke un ke naam par pehlay se internet ke 5 connection chal rahay hain.

Jab mazkoorah Afsar ne is hawalay se mazeed tafseelaat maloom ki to yeh baat samnay aayi ke yeh connection mukhtalif shehron mein hain aur un ke istemaal mein koi internet connection nahi tha lekin un ka qaumi shanakhti cards number aur is ki copy istemaal hui.

yeh bilkul isi terha tha jaisay naye mobile number ke husool ke liye maazi mein hota raha jis ki wajah se mobile sims ke ajra ke liye bio metric ka nizaam shuru kiya gaya ta ke is ka ghalat istemaal roka ja sakay aur yeh dehshat gardi aur deegar juraim mein istemaal na ho sakay.

Ye ahem maamla Interior Minister ke ilm mein laya gaya jis ke baad is par ghor shuru howa ke internet connection ke husool ke liye bhi sim card ke husool ki tarha bio metric laazmi qarar diya jaye.

Is muamlay par Interior Minister Pakistan Tele Communication Authority se jald rabita karegi..

Sindh Government Ne Muhrram Ul Haram Ke Douran Aman O Amaan Ke Liye Pak Fouj Talab Karli

 Karachi: Sindh Government Ne Security Khadshaat Ke Paish-E-nazar Muharram Ul Haram Ke Douran Aman O Amaan Ke Liye Pak Fouj Talab Karli..

Report ke mutabiq Sindh Government ki janib se pak fouj aur wifaqi hukoomat ko likhay gaye khat mein kaha gaya hai ke Muharram ul Haram ke douran security khadshaat ke paish e nazar pak fouj tainaat ki jaye.

Khat mein darkhwast ki gayi hai ke Karachi mein pak fouj ki 8 Companies, Hyderabad division mein 400 fouji jawan, Shaheed Benazirabad division mein 2 Platoon, Sukkur division ke liye pak fouj ki 2 Companies aur Larkana division ke liye 700 fouji jawan tainaat kiye jayen.

Gold Ki Qeemat Mein 800 Rupay Fi Tola Numaya Izafa

 Karachi: International market Mein Fi ounce Gold Ki Qeemat 34 Dollar Izafay Se 1141 Dollar Ki Satah Par Pounchanay Ke Baa’is Muqami Sarafa Markets Mein Bhi Iska Assar Dekha Ja Raha Hai Fi Tola Aur Fi 10 Gram Gold Ki Qeemat Mein Bal Tarteeb 800 Rupay Aur 686 Rupay Ka Izafa Hogaya.

Report ke mutabiq International bullion market mein Fi ounce gold ki qeemat 34 dollar ke izafay se 1141 dollar ki satah par pahonch gayi jis ke baais muqami sarafa markets mein friday ko fi tola qeemat mein 800 rupay aur 10 gram gold ki qeemat mein 686 rupay ka izafa dekha gaya.

Gold ki qeemat mein haliya izafay ke baad Karachi, Hyderabad, Sukkur, Multan , Faisalabad, Lahore , Islamabad, Rawalpindi , Peshawar aur Queta mein fi tola gold ki qeemat barh kar 46,200 rupay aur fi 10 gram gold ki qeemat barh kar 39,600 rupay hogayi jub ke fi tola chandi ki qeemat bagair kisi tabdeeli ke 650 rupay aur fi 10 gram chandi ki qeemat 557.14 rupay par hai..

News

Karachi
April 2024
M T W T F S S
« Mar    
1234567
891011121314
15161718192021
22232425262728
2930