Foot Ball World Cup 8 Teams Ne Quarter final Main Jaga Bana Li

Brasilia: Foot Ball Ki Aalmi Jung Main 8 Teams Ne Quarter final Main Apni Seat Pakki Karli Hai,

July 4th se start hone walay quarter final round ke pehlay match main france aur german player pakistani time ke mutabiq rat 9 bajy ground main utraingey,

Knockout round main france ne nigeria jub’ke germany ne algeria ko wapsi ka ticket thama diya.
Din ke 2nd match main brazil aur colombia ki teams pakistani time ke mutabiq raat 1 bajy mad’muqabil hongi,

World Cup Trophy ki mazboot umeedwaar aur maizbaan team brazil ne chile ke khilaaf penalty shoot-out main 2 ke muqablay 3 goal se victory samait kar quarter final main rasaie hasil ki to colombia ne uruguay ko hara kar aglay round main seat pakki ki,

july 5th ko honay wala 3rd quarter final argentina aur belgium ke bech pakistani time ke mutabiq raat 9 bajy start hoga.

Laynl Massey ki team argentina ne pre-quarterfinal round main switzerland ko zeer kar ke kamyaabi ka safar jaari rakha,

Belgium ke players ne bhi america ko shikast de kar quarter final main jaga banai jub’ke last quarter final raat 1 bajay netherlands aur costa rica ke bech khela jayega,

Knockout stage main na’qabil shikast netherlands ne mexico jub’ke costa rica ne greece ko shikast de kar aglay round main rasaie hasil ki…

Karachi: Ramzan-Ul-Mubarak Ke Douraan Masajid Ki Security Sakht Kardi Gai

Karachi Main Ramzan-Ul-Mubarak Ke Douraan Masajid Ki Security Sakht Kardi Gai Shehar Main 3,000 Se Zaid Taraveeh Ke Ijtemaat Ka Security Plan Tarteeb De Diya Gaya Hai,

Karachi: Ramzan-Ul-Mubarak ki amad ke sath hi taraveeh ke ijtemaat ka agaaz ho gaya hai. Shehar ki masajid, mukhtalif Halls aur parks main taraveeh ka ineqaad kiya ja raha hai,

Police ne taraveeh ke liye sakht security ke intezamaat kiye hain karachi ke 3 zone 3427 masajid, 427 halls, aur 86 deegar maqamaat per namaz taraveeh adaa ki jayegi,

Taraveeh ke liye 4900 Police Ahlkaar security ke faraiz sar anjaam dengay. Hassas masajid ke bahar police ahlkaar ke sath rangers ahlkaat bhi security ka hissa hongay,

Security le kiye 700 razakaar aur 1200 Scouts ki khidmaat bhi hasil ki gai hain. masajid ke darvazoon per police ahlkaar taraveeh main aane walay afraad ki talashi lengay,

police hakkam ka kehna hai ke taraveeh ke ijtemaat ko Fullproof security faraham ki jayegi.

Aala police hakkam ka kehna hai ke Ramzan-Ul-Mubarak main taraveeh ke ijtemaat ki security police ke liye chalange hogi,
Mumkina dehshat gardi ko rokne ke liye har mumkin iqdaam kiye gaye hain..

Pakistan Ki Financial Situation Behtar Hui Hai Mehangai Kam Honi Chahye

Washington: IMF Ne Kaha Hai Ke Pakistan Ki Macroeconomic and financial Situation Main Behtari Aa Rahi Hai Ta’hum pakistani Maeishat Ke Liye Ta’Haal Khatraat Moujood Hain Magar Mehngai Main Kami Ke Liye iqdamaat Karne Ki Zaroort Hai,

IMF ke Executive Board ke ijlaas ke baad jaari elamiye main kaha gaya hai ke pakistan ki financial Situation behtar hui hai,

Gurbat tabqaat ke liye naqad imdaad hosla afzai hai pakistan main Anti-money laundering laws main behtari se musbat asraat hongay,

Tax Net ko barhaney ki zaroorat hai Tax exemption ke khatmay se mahasil main behtari aayegi..

Saudi Arabia Main Ramazan-Ul-Mubarak Ka Chand Dekhne Ke Liye Ijlaas Aaj hoga

Riyaz: Saudi Arabia Main Ramazan-Ul-Mubarak Ka Chand Dekhne Ke Liye Saudi Higher Judicial Council Ka Ijlaas Aaj Hoga,

Ramazan-ul-mubarak 1435 hijri ka chand dekhne ke liye saudi arabia ki higher judicial council ka ijlaas aaj hoga jub’ke council ki janib se apne citizens se bhi chand dekhne ki apeel ki gai hai,

Council members ke mutabiq chand nazar aane ka imkaan moujood hai ta’hum iss se pehlay saudi arabia ke mahreen falkiyaat ka kehna tha ke riasat main 27 june ba’mutajiq 29 shaban ko ramazan-ul-mubarak ka chand nazar aane ka koi imkaan nahi iss liye pehla roza 29 june ko hoga,

Saudi mahreen falkiyaat ki is peshan goyi ke baad iss baat ke qoumi imkaan hain ke pakistan main 1st Ramazan-ul-mubarak 30 june monday ko hoga..

Hoshyaar Baash Gullo Butt Phones Main Bhi Tor Phor Karne Ponch Gaya !

Mobile Phone Sarfeen Hoshyaar Baash. Model Town Main Tor Phor Karne Wala Gullo Butt Un Ke Phones Main Bhi Tor Phor Karne Ponch Gaya Hai,

Gloogle play store per Gullo Butt ke naam per bani ”game google” guzishta roz hi Introducing karai gai hai jisay abb tak hazaron afraad download kar chuke hain,

Game main bhaari mushoon wala Gullo Butt nayi naweli gariyon ko tehas nehas karta dekhai deta hai aur maze ki baat yeh hai ke yahan bhi Gullo Butt ke ird-gird police ahlkaron ki fouj zafar mouj hai jo khamosh khari dekhai deti hai,

Gullo Butt jitni gariyon ki head lights aur mirrors toreyga game khelney walay ko utne hi number milengay game ko google play store per pasand karne waley Fans ki tadaad main dhara dhar izafa ho raha hai..

Zehni Dabao Dil Ke Masail Peda Karne Ka Eham Sabab

Medical Experts Ne Bataya Hai Ke Dil Ke Dourey Aur Falij Ka Dareena Stress Aur Daimi Zehni Dabao Se Gehra Taluq Hota Hai Jub’ke Depression Ka Aarza Young Womens ko Dil Ke Masail Main Mubtala Kar Sakta Hai,

Iss research main iss amar ka andaza lagaya hai ke zehni fashar ki halat main blood main moujood white cells ki peda’waar buhat zyada barh jati hai.

White blood cells hi kisi bhi beemari ke barhne ke amal ko rokne ke liye zaroori kirdaar ada karte hain ta’hum blood main unki maqdaar zaroorat se zyada barhne ko sangeen khatraat lahuq hote hain.

Extra white cell ek dosre ke sath jurr kar sharyano ki androni deewaron per jama hone lagte hain iss tarah jism main blood ki gardish ke nizaam main sakht rukawat pesh aane lagti hai.

Iss ka natija ye hota hai ke blood ke klats ban’ne lagte hain jo slow slow deegar parts ki taraf gardish karna start kar dete hain agar ye klats dil ki sharyano tak ponch jayen to heartbeat ke bund hone ka sabab bante hain jub’ke dimag main ponch jayen to natija falij ki soorat main samne aata hai,

Ek New research main yeh baat bhi samne aai hai ke young aur middle-aged womens main depression ka aarza dil ke dourey ke imkanaat ko dubble kar sakta hai bal’ke zyada’ter muzmahal aur yasiat ka shikaar khawateen main qabl’az waqt mout ke khadshaat bhi dubble ho jate hain,

Experts ka kehna hai ke london main depression main mubtila afraad main se taqreeban do tahai tadaad khawateen ki hai khas tor per 5 main se 1 khatoon ko zindagi ke kuch mawaqe per depression ke imkanaat gents ki nisbat dubble ho sakte hain,

Lekin yeh marz zyada tar 40 saal se 59 saal ki khawateen main normal hai..

Islamabad Police Per Tashadud Awami Tehreek ke 3 Hazar Workers Ke Khilaf Muqadmaat

Rawalpindi Islamabad Ke Mukhtalif  Police Stations Main Awami tehreek Ke 3000, Workers Ke Khilaf Muqadmaat Darj Kar Liye Gaye. Muqadmaat Main Docaty, Government Main Madakhlat Aur Dehshat gardi Samait Deegar Dafaat bhi Shamil  kiye Gaye Hain,

Rawalpindi: Rawalpindi ke police station airport main (PAT) ke 3 hazar workers ke khilaaf muqadmaat darj kar liye gaye hain.

Report ke mutabiq muqadmaat main docaty, government main madakhlat, police per hamla aur amlaak ko nuqsaan ponchane ke elawa dehshat gardi ki dafaat bhi Shamil ki gai hain,

Guzishta roz awami tahreek ke workers ne sarkari aur awami amlaak ki hifazat karne walay police ahlkaron ko bad’tareen tashadud ka nishana banaya.

Baaz maqamaat per muzahreen ne police ko pehlay gheera aur hamla kiya muzahreen ke hatte charhne walay police ahlkaron ke sar phat gaye jub’ke kai ahlkaron ke hath pair bhi toot gaye,

Zyada tarr police officers aur ahlkar muzahreen ke shadeed pathrao aur dandon se zakhmi huwe kai police ahlkaron ke bazoun aur tangoon main fractures aaye hain.

muzahreen ke per’tashadud hone ke bawajood police ne tahmul aur bardasht ka muzahira kiya aur pit’te rahe pur’tashadud waqiyaat main Rawalpindi police ke incharge aur islamabad police ke DSP samait 36 ahlkar zakhmi huwe jin main se 3 ahlkaron ki halat tashvesh’naak hai..

Islamabad Pindorian Ke Qareeb Meley Main Dhamaka 41 Afraad Zakhmi

Islamabad Main Police Station Shahzad Town Ki Hudood Main Waqe Ek Darbaar per Meley Ke douraan Bomb Dhamaka Hua Jis Main 41 Afraad Zakhmi Ho Gaye. Zakhmiyon ko PIMS, Benazir Hospital Aur Polyclinic Hospital Muntaqil Kar Diya Gaya.

Islamabad: Islamabad main police station shahzad town ki hudood main pindorian ke qareeb ek darbaar main dhamake se 41 afraad ke zakhmi hone ke Itlaat hain,

Police ke mutabiq dhamaka chun peer darbar main hua dhamake ke waqt 200 ke qareeb afraad Urs main shareek thay.
Bomb ko darbar ke gate ke qareeb fit kiya gaya tha jo langar ki taqseem ke douraan achanak phat gaya jis kaie afraad zakhmi ho gaye,

Police ke mutabiq dhamake main ek pound se kam baroodi mawad use kiya gaya tha waqe ki itla milte hi rescue ki teams aur police ki bhaari nafri moqe per ponch gayi aur ambulance ke zariye zakhmi afraad ko PIMS, benazir hospital aur polyclinic main dakhil kar diya gaua jahan unhaien tibbi imdaad di ja rahi hai,

Soorat-e-haal ke pesh nazar islamabad ke dakhli aur kharji raston ki security intehai sakht kar di gai hai..

Denmark Main Mulk Ki Sub Se Bari Jama masjid Ka Iftetaah ho Gaya

Denmark Ke Dar-ul-Hukumat Copenhagen Main Pehli Bari  Aur Baqaida Meenaron Wali Masjid Ka Ka Iftetaah ho Gaya hai Iss masjid Ki Tameer Main Qatar Ne Maali Tawun Faraham Kiya Hai,

Copenhagen: Denmark main iss se pehle bhi kayi masajid moujood hain ta’hum isse mulk ki pehli bari masjid qaraar diya ja raha hai,

Iss masjid ki tameer ke liye qatar ke hakkam ne 20 million euros faraham kiye.
Yaad rahe ke tarkeen watan ki mukhalif jamait danish people’s party ke azro rasookh ki waja se denmark main Abad Muslim bradri aur maqami abadi ke taluqaat main tawun hai,

Musalmaan mulk ki sub se bari mazhabi aqliyat hain jub’ke iss masjid ki tameer ke khilaaf denmark main muzahirey bhi kiye gaye aur islaam dushmano ne baqaida ek muhum bhi chalai magar jaisey hi Aaj 6,700 square meters per tameer ki jane wali masjid ka Iftetaah hua,

Wahan per moujood copenhagen ki muslim bradri ne khushi ka izhaar kiya.
Denmark main 2 lakh musalmaan abad hain agar chy iftetaahi taqreeb main koi danish politician moujood na tha,

Musalmaano ke ek dushman mulk main iss shandaar masjid ke qayaam se muslim bradri main bara josh-o-kahrosh paya jata hai..

Chile Ne Spain Ko 2-0 Se hara Kar World Cup Se Bahar Kar Diya

Brazil Main Jaari World Football Cup Ke Ek Match Main Chile Ne Mojouda Champion Spain Ko 2 Goal Se Hara Kar 2014 Ke World Cup Se Bahar Kar Diya,

Chile ne dono goal kheel ke First half main kiye.
Spain ki team koi goal na kar saki chile ki taraf se pehla goal Vargas ne 19 mint aur dosra goal Arun guyz ne 43 mint main kiya,

Wazeh rahay ke spain apna pehla match holland se 5-1 se hara tha..

News

Karachi
November 2024
M T W T F S S
« Mar    
 123
45678910
11121314151617
18192021222324
252627282930