National Grid Main Kharabi Se Karachi Mian Bijli band Aur Pani Ki Farahmi bhi Mutasir
Karachi: National Grid Station Main Kharabi Ke Bais Karachi Main Bijli Band Ho Gai Jub’ke Dhabeji Pumping Station Main Bijli Ke Breakdown Ke Bais Karachi Ko Pani Ki Supply Bhi Mutasir Ho Gai,
K-Electric ke tarjuman ke mutabiq national gird main fanni kharabi ke bais karachi ko bijli ki supply band hai.
New Karachi, North Nazimabad, Gulshan-e-Iqbal, Gulistan-e-Johar, Defence Society, Malir, Landhi, Korangi, FB Area, Karachi, Islamabad, Gulshan Maymar aur deegar elaqon ko bijli ki supply band hai,
Dosri janib dhabeji pumping station main bijli ke breakdown ke bais karachi shehar ko pani ki supply mutasir ho gai hai.
Tarjuman water board ke mutabiq 6 ghante se bijli ke break down ke bais shehar ko 5.6 milloin gallons pani ki kami ka samna hai jub’ke phase 4 pumps aur k three 2 pumps ta’haal bijli na hone ke bais band parre hain,
Karachi Main Fazal Mill Ke Qareeb Bus Main Cylinder Dhamake Se 3 Afraad Jan’bahaq 5 Zakhmi
Karachi:Fazal Mill Ke Qareeb Gas Cylinder Dhamake Main 3 Afraad Jan’bahaq 5 Zakhmi ho Gaye,
Report ke mutabiq karachi ke elaqey Rashid minhas road per fazal mill ke qareeb waqe CNG station per gas cylinder bharwane ke douraan bus ka cylinder zordar dhamake se phat gaya jis ke natijay main bus main sawar 3 afraad jan’bahaq aur 5 zakhmi bhi ho gaye,
police ke muitabiq bus main naqis cylinder laga hone ke bais dhamaka hua jis se bus ka ek hissa tabah ho gaya jub’ke dhamake se CNG station ko bhi nuqsaan poncha,
Dhamak main jan’bahaq hone walon ki lashen qareebi hospital muntaqil kardi hain jub’ke zakhmiyon ko bhi hospital main medical add di jarahi hai,
Wazeh rahe ke CNG gariyon main gaflat ke bais cylinder dhamake ke waqe’aat mamool ban gaye hain..
Peshawar CNG Cylinder Phatne Se 4 Afraad Jan’bahaq
Peshawar Ke Elaqey Chamkani main CNG Cylinder Phatne Se 4 Afraad Jan’bahaq Jub’ke 3 Zakhmi Ho Gaye.
Dhamake Se CNG Station Ki Chhat Ko bhi Nuqsaan Poncha,
Peshawar: Peshawar Ring Road Per Chamkani Ke Elaqey Main Waqe pak Afghan CNG Station Per Ek Gari Main Gas Bhari Ja Rahi Thi Ke Us Douraan Cylinder Zordar Dhamake Se Phat Gaya Jis Se Gari Main Sawar 4 Afraad moqe Per hi jan’bahaq ho Gaye Jub’ke Wahen Ek Dosri gari Main Sawar 3 Afraad Bhi Zakhmi Ho Gaye,
Dhamake Se CNG Station Per Khari 2 Gariyaan Bhi tabah Ho Gayen Dhamake Ke Foran Baad Rescue Teams moqe Per Ponch Gayen Aur jan’bahaq hone Walon Ki Lashon Aur Zakhmiyon Ko Lady Reading Muntaqil Kar Diya,
Zakhmiyon ko Fori Medical Add Ke Baad Farigh Kar Diya Gaya Dhamake Se CNG Station Ki Chhat ko Bhi Nuqsaan Poncha..
Yom-e-Ali R.A Per karachi Main Mobile Phone Service band Karne Ka Notification Jaari
Karachi: Sindh Government Ki Janib Se Yom-e-Hazrat Ali R.A Ke Moqe Per Shehar-e-Quaid Main Mobile Phone Service Muatal Karne Ka Notification Jaari Kar Diya Gaya Hai,
Report ke mutabiq karachi main dehshat gardi ke khatraat ke pesh-e-nazar kisi bhi na’khushgawar waqaye se bachne ke liye 21 Ramzan-Ul-Mubarak ko Yom-e-Hazrat Ali R.A Ke juloos ke moqe per shehar bhar main subah 4 se raat 11 baje tak mobile phone service muatal rahegi,
Jis ka official notification jaari kar diya gaya hai jub’ke karachi samait Interior Sindh main aaj se 3 din tak double sawari per pabandi Aaid ki ja chuki hai,
Dosri janib department ki janib se Yom-e-Hazrat Ali R.A ke moqe per security intezamaat ko bhi hatmi shakal di gai hai.
Zaraye ke mutabiq karachi ke mukhtalif elaqon se bar’aamad hokar MA Jinnah road per ponchne walay julooson ke shurkaa ki hifazat ke liye 14000 ahlkaar tainaat kiye jayengay,
jub’ke juloos main shirkat karne walon ko walk through gate ke zariye entry ki ijazat hogi aur entry-exit points per Container bhi lagaye jayengay…
Lahore Rawalpindi Aur Islamabad Samait Kaie Shehron Main Barish
Lahore Rawalpindi Aur Islamabad Samait Kaie Shehron Main Mosla Dhaar Barish Garmi Aur Habs Ko Baha Le Gaie,
Aglay 24 Ghanto Ke Douraan Mazeed Kaie Elaqon Mian Bhi Badal Barsenagy,
Jurwa Shehron main kali ghataien garmi per khoob garji aur barsi barish main naha kar nazaray bhi nikhar gaye.
Gujranwala, Gujrat aur deegar shehron main bhi khoob mahina para. Lahore mian sawan ki pehli barish se mousam khush gawar ho gaya,
Darja hararat main kami ke sath habs ka zor bhi toot gaya mousam ka haal batane walon ne aglay 24 ghanton ke douraan Lahore main barish ki peshan goi ki hai,
Sargodha aur Hazara Division samait deegar kaie elaqon main bhi rim jhim hogi.
Sindh ke elaqon mian Thar, Mithi, Nagar Parker, dyplu aur IslamKot main bhi barish ki mutawaqe hai,
Karachi samait Soobay Coastal areas main mutla abar alood rehne aur bonda bandi ka imkaan hai..
Germany 24 Saal Baad FootBall ki Dunya Ka Naya Champion Ban Gaya
Ryudy Janeiro: FIFA FootBall World Cup Ke Final Main 3 Baar Ke World Champions Germany Ne Sansani Khez Muqablay Ke Baad 2 Baar World Champion Argentina Ko Zero ke Muqablay Main Ek Goal Se Shikast De kar 4thi Baar FootBall Ke World Champion Ban’ne Ka Title Hasil Kar Liya,
Brazil ke shehar ryudy janeiro ke marakana Stadium Main khele gaye final muqablay ke 1st half main dono teams ne jarhana kheel pesh kiya aur ibtedaa hi se ek dosre ke goal post per tabar tor hamlay kiye,
Match ke 35 mint main Argentina ko goal karne ka sunehri moqa mila lekin us ne yeh moqa ganwa diya 1st half main dono teams ne ek ek baar ball ko jaal main dala lekin Referees ke Off side ke faislay ne players ki khushi ke lamhaat ko mayoosi main badal diya aur match ka 1st half bina kissi goal ke barabari per khatam hua,
Match ka 2nd half bhi sansani khez raha aur dono teams ne ek dosre ke goal post per ek baar phir bhar poor waar kiye lekin dono tems ke tamaam hamlay nakaam rahey aur koi team bartari hasil na kar saki,
Match ke 1st half ki tarah 2nd half main bhi dono teams ko goal karne ke kaie moqay milay lekin koi team unse faida na utha saki aur is tarah match ka muqarrar waqt baghair kisi faislay ke khtam hua jis ke baad match ezafi waqt main chala gaya,
Ezafi waqt ke 1st half main bhi Massey, Mueller, close samait dono teams ke players ki goal karne ki tamaam koshishain raega gaie lekin 2nd half main German tamashai aur fans uss waqt khushi se be’haal ho gaye jub Mario guytzy ne intehai eham goal kar ke German ko fateh kun bartari dila di aur German ne yeh final muqabla 0-1 se jeet kar football ke world champion ban’ne ka title hasil kar liya..
Rawalpindi Main Teez Aandhi Ke Bais Airport Per Khara Plane Deewar Se Takra gaya
Rawalpindi: Shehar Main Teez Aandhi Ke Bais Flight Operations Muatal Kar Diya Gaya Jub’ke Airport Per Khara Plane Deewar Se Takra gaya Jis Se Plane Ko Bhi Shadeed Nuqsaan poncha,
Report ke mutabiq rawalpindi main teez hawa ke bais benazir international airport per khara Private airlines ka plane deewar se takra gaya jis se plane ko shadeed nuqsaan poncha,
Airport sources ke mutabiq plane 320-A parking main moujood tha ke hawa ke teez dabao se us ne harkat shuru kardi aur qareeb he
moujood airport Services ki markazi deewar se takra gaya jis se plane ki body ko shadeed nuqsaan poncha,
Dosri janib shehar main teez Aandhi ke bais benazir international airport per flight opration bhi muatal kar diya gaya hai jis ke baad airport se shaam 7 bajy ke baad koi bhi parwaz land nahi kar saki jub’ke Multan aur Karachi se aane wali parwazon ka rukh bhi Lahore ki janib mor diya gaya..
Mohtarma Fatima Jinnah Ki 45th Barsi Aaj Aqeedat-o-Ahtraam Se Manai Ja Rahi Hai
Lahore: Madar-e-Millat Mohtarma Fatima Jinnah Ki 45th Barsi Aaj Mulk Bhar Main Aqeedat-o-Ahtraam Se Manai Ja Rahi Hai Unki Khidmaat Ko Khiraaj-e-Aqeedat Pesh Karne Ke Liye Khusoosi References Aur Taziati Taqreebat Ka Ahtimaam Bhi Kiya Gaya Hai,
Mohtarma Fatima Jinnah Tehreek pakistan main be’misaal kirdar adaa kiya 1929 main Quaid-e-Azam ki wife death ke baad unki zindagi badal gai,
Mohtarma ne Quaid-e-Azam ke shana bashana chalte huwe bar’sagheer ki mislim khawateen ko ek platform per jama kar ke husool pakistan ki manzil ko asaan tar kar diya.
Unki garan qadar khidmaat per qoum ne unhaien Madar-e-Millat ka khtaab diya.
1964 main perana sali ke ba’wajood qoum aur jamhoriyat ki khatir fouji Aamar General Ayub ka muqabla kiya aur shama jamhoriyat kehlaein,
Ek Aamar ke khilaaf intekhabaat main hissa lekar unhone muashray main pesse huwe tabqaat aur bil’khusoos khawateen ko mushkilaat ke samne datt jane ka sabaq bhi diya,
9 july 1967 ko 73 baras ki umar main iss dar fani se coach kar gaien pakistani qoum unki gran qadar qoumi khidmaat per unhaien aaj bhi yaad karti hai..
Rajanpur: KhushHaal Khatak Express Ko Nishana banane Ka Mansooba Nakaam
Rajanpur Main Railway Track Ke Sath Nasab 10kg wazni Bomb Nakara Bana Kar KhushHaal Khatak Express Ko Nishana banane Ka Mansooba Nakaam Bana Diya Gaya.
Rajanpur: Dehshat gardon ne khushHaal khatak express ke masoom musafiron ko bar’bariat ka nishana banane ki mansooba bandi ki,
Na’paak azaim ko amli jama pehnane ke liye rajanpur ke elaqay fazilpur main track ke sath 10kg wazni bomb nasab kiya ta’hum track petrolur ne antenna dekh kar district administration ko inform kar diya bomb disposal squad ko bhi talab kar liya gaya jis ne bomb nakara bana diya.
GM Railway’s Anjum Pervaiz ke mutabiq petrolur ki hazir dimagi ne kaie qeemti jaanain bacha lien bar’qawt itlaa ke bais khushHaal khatak express bari tabahi se bach gaie,
Bomb ki itlaa dene walay petrolur ko inaam bhi diya jayega..
PTA International illegal Calls Rokne Main Na Kaam
Islamabad: Pakistan Telecommunication Authority (PTA) International Illegal Calls Rokne Main Na Kaam Ho Gai Hai,
Grey Trafficking rokne ke liye international clearing house bana kar international calls mehngi kardi thin aur access settlement charges 8.8 St. kar diye gaye,
Grey trafficking ke khatmay ke liye international clearing house ke qayaam aur Grey trafficking ke khilaaf hikmat amli ka nuqsaan overseas pakistanis ko mehngi calls ki soorat main bhugatna para,
Telecom operators se international clearing house ke aalat khareedne ke liye 2 arab 70 caror rupy liye gaye…