Awami Tahreek Ke Workers Ne Dharne Ki Yaadgar Bana Dali
Gende Aur Gulaab Ki Pattion Se Aaraish Jagah Ko Inqelaab Chowk Ka Naam De Diya Gaya,
Islamabad: Pakistan Tahreek ke workers ne shahra-e-dastoor per apne dharne ki yaadgar bhi bana dali.
Dharne ke shurkaa ka kehna hai ke aane walay dour main iss yaadgar ko khusoosi ehmiyat hasil hogi.
Pakistan Awami Tahreek ke workers apne dharne ko tareekhi to qaraar dete hain ab unhone shahra-e-dastoor per apne dharne ki yaadgar bhi bana dali aur supreme court ke samne chowk ko Inqelaab chowk ka naam de diya hai,
Workers ne yaadgar ke nishaan ko guldaston gende aur gulaab ki pattion se saja dala hai.
Kehtay hain humain assembly ke floor per khana-badoosh kaha gaya hai agar inqelaab lanay wale khana-badoosh hain to humain us per fakhar hai,
dharne main shamil hina B.B yaadgar per guldasta sajane aai unka kehna tha ke wo yaha roz aati hain aur chahti hain ke isse phoolon ki mehak se taza rakhen,
Ansa ilyaas aur misbah ka kehna hai ke wo inqelaab chowk ke bagh ki safai ka khaas khayal rakhti hain,
dharne ke shurkaa kehtay hain ke hukumat humain aur kuch dy na dy lekin apne aewano ke sath hamari aamad ki iss yaadgar ko zaroor rehne dain..
Pakistan Defence Day Rawayati Josh-0-Kharosh Se Manaya Ja Raha Hai
Islamabad: Mulk Bhar Main Pakistan Defence Day Aaj 6 September Rawayati Josh-0-Kharosh Se Manaya Ja Raha Hai,
Din ka Aaghaaz masajid main mulk ki salamati ki duaaon ke sath hua jub’ke Aaj ke din 6 september 1965 main shaheed hone waloon ki yaadgaron per phool charhane ke elawa Qur’aan khwani aur fatiha khwani ki jayegi.
Radio Pakistan iss hawalay se special program nashar karega newspapers main bhi Articles likhey gaye hain jub’ke TV channels se bhi special programs telecast kiye jayenagy.
President Mamnoon Hussain ne defence day per apne massage main mulk ki difaa aur waqar ki khatir datt jane waly Sipahiyon, Ghaziyon, aur Shaheedon ko khiraj-e-tehseen pesh karte huwe kaha ke pakistan ki bahadur muslah afwaaj androni aur bairooni khatraat ka muqabla karne ke liye har waqt tayyar hai jub’ke prime minister nawaz sharif ne qoum ko yaqeen dilaya ke mojouda jamhori hukumat apni muslah afwaaj ki zarooriyaat pori karne ke liye pur’azm hai..
Imran Khan Ka D-Chowk Wapis Jaane Ka Elaan
Imran khan Ne Red Zone se D-Chowk Wapis Jaane Ka Elaan Kar Diya.
Captain Ka Kehna Hai Ke Dharna Jaari Rahega Prime Minister Resignation Liye bagair Wapis Nahi Jayengy,
Islamabad: Islamabad main dharne ke shurkaa se khitaab karte huwe imran khan ne kaha hai ke kuch log samajh rahe thy ke workers thak haar kar gharon ko wapis chaly jayengy lekin dharne ke shurkaa ki tadaad musalsal barh rahi hai,
Naye pakistan ki jung bhi almost jeet chuke hain Chairman tahreek-e-insaaf ne ek baar phir wazeh kiya ke fouj ke Indicator per nahi awaan ke Indicator per Islamabad aaye hain.
Ilzaam tarashi karne waly fouj ko badnaam kar rahe hain imran khan ne kaha hukumraan ayashiyon main masroof hain aur saara bojh gareeb awaam per dala ja raha hai pakistani qoum ko jagna hoga..
Punjab Main Shadeed Barish Ne Tabahi Machadi
Punjab Main Tez Barish Ne Tabahi Machadi Deewarain Chhatain Aur karant Lagne Se 32 Afraad Jan’bahaq
Shahbaz Sharif Ka Jan’bahaq Afraad Ke Warsa Ke Liye 5,5, Lakh Rupy Imdaad Ka Elaan kar Diya,
Lahore: mulk main monsoon barishon ka silsila urooj per hai aasman se baraste pani ne beshtar elaqay dibo diye,
garajti barasti ghatain kai gharon ke liye ajal pegaam ban gaien.
Chhatain girne aur karant lagne se mukhtalif waqeaat main darjano gharon ke chiraagh gull ho gaye.
Lahore ke elaqay chah miran main 2 manzila girne se ek hi khandan ki 2 khawateen aur bachi samait 6 afraad zindagi ki baazi haar gaye.
G O R main 2, thokar niaz bag main 3, aur defence phase 6 main 3 afraad afraad chal basey.
Mozang aur johar town main chhatain girne se 8 afraad zakhmi ho gaye.
Faisalabad main saifabad, maqbool road, ghulam mohammad abad aur nishatabad main factory aur makanaat ki chhatain girne ke mukhtalif waqaat main 32 afraad jan’bahaq huwe,
Punjab hukumat ne barishon se jan’bahaq hone walon ke lawahqeen ke liye 5,5, lakh aur zakhmiyon ke liye 1,1, lakh rupy imdaad ka elaan kiya hai,
Chief Minister Shahbaz Sharif ne hidayat ki hai ke administration aur WASA afsar office main bethne ke bajaye field main jayen aur pani ki nakasi ki khud nigrani karen.
Shahbaz Sharif ne kaha hai ke hadsaat main zakhmi hone walo ko behtreen saholiyaat ki farahami ko yaqeeni banaya jaye aur fori madaadi karwaiyaan ki jayen..
PTV Per Hamlay Ka muqadma Imaran Khan Aur Tahir Ul Qadri Ke Khilaaf Darj
Islamabad: Pakistan Television Network Ki Building Per Hamlay Ka muqadma Tahreek-e-Insaaf Ke Chairman Imran Khan Aur Awami Tahreek Ke Head Tahir Ul Qadri Ke Khilaaf Darj Kar Liya Gaya Hai,
Report ke mutabiq PTV ki building per hamlay aur qabzay ka muqadma imran khan aur tahir ul qadri ke khilaaf police station secretariat main darj kar liya gaya hai.
Official TV per hamlay ka muqadma number 183 hai jis main PTV hamlay aur qabzay ka ilzaam Aaid kiya hai iss ke elava tahreek-e-insaaf ke leaders Shah Mehmood Qureshi, Arif Alvi, Jahangir Tareen, Asad Umar, Shireen Mazari aur Shafqat Mahmood ke khilaaf khyber pakhtun khwa assembly ke MPA Iftikhar Mashwani ko faraar karane ka muqadma bhi darj kiya gaya hai,
Jis main kaha gaya hai ke guzishta roz tehreek-e-insaaf ke leaders apne workers ke sath police station secretariat main aaye aur MPA ko mulaqaat ke lye bulwaya aur phir kissi ko khatir main na laate huwe unhain churwa kar legaye aur jub police bahar nikli to tehreek-e-insaaf ke workers bari tadaad main moujood thy jis ki waja se police kissi qism ka action nhi kar saki thi,
Iss ke elawa pakistan tehreek-e-insaaf aur awami tahreek ke leaders ke khilaaf ab’tak 7 FIR darj karai ja chuki hain jin main se police station secretariat main 3 PS kohsaar main 2 aur PS abpaara main 2 darj karai ja chuki hain,
Wazeh rahe ke guzishta roz tehreek-e-insaaf aur awami tahreek ke workers ne PTV ki building main ghus kar tor’phor ki aur building ko qabzay ke baad PTV World Broadcasting band kara di gai,
Pak Fouj Soldiers ke aane ke baad Protesters building se bahar nikal aaye..
Aaj Se Mere Aur Jawed Hashmi Ke Raste juda Hain: IMran Khan
Pakistan Tahreek-e-Insaaf Ke Leader Imran Khan Ne Kaha Hai ke Mujhe Aagy Barhne Ke Liye Kissi Ke Kandhay Ki Zaroorat Nahi Hai. Aaj Se Mere Aur Jawed Hashmi Ke Raste juda Hain.
Resignation Na Dene Walon Ko Bhi Party Se Nikalne Ka Elaan,
Islamabad: Islamabad main protesters se khitaab karte huwe imran khan ka kehna tha ke model town tragedy main chief minister shahbaz sharif ko insaaf ke katehry main khara kiya jata to kal raat qatel-e-aam na hota,
Unhone ne claim kiya ke police violence se ab tak 20 shaheed jub’ke 500 zakhmi ho chuke hain,
Tahreek-e-Insaaf ke President Makhdoom Javed Hashmi ki Press Conference per apne reaction ka izhaar karte huwe unka kehna tha ke mujhe javed hashmi ki soch per afsoos hai,
Main kissi ke esharoon per nahi naach raha woh buhat achi tarah jante hain ke mujhe aagay barhne ke liye kissi ke kandhay ki zaroorat nahi hai,
Unhone ne elaan kiya ke aajse mere aur javed hashmi ke raste juda hain,
Unhone resignation na dene wale MPs ko bhi Tahreek-e-Insaaf se nikalne ka elaan kiya…
India Main Sirf 33 Dollar Ka Smart Phone Launch
India Main Mobile Phone Banane Wali Company Entics Ne Ek Naya Smart Phone Pesh Kiya Hai Jis Ki Price Sirf 33 Dollar Hai.
Iss Company Ne Iss Lowest Rate Phone Ko Mobile Phone Ki Market Main Ek Naye Ehad ka Aghaaz Kaha Hai,
New Delhi: Dunya bhar main new smart phone customers ki gair mamooli tawaja ka bais ban rahe hain.
Smart phones jitne modern style ke hote ja rahe hain unki price utne hi hosh ura deti hain ab indian mobile phone company entics ne firefox browser ki malik company Mozilla ke Cooperate aur sharing se ek aesa smart phone ready kiya hai jo quality aur performance ke aitbaar se apple iphone aur samsung galaxy jese functions ka hamil hai magar price ke aitbaar se sasta tareen phone hai yani sirf 33 dollars hain,
Entics tarjumaan ka kehna tha ke inki company ko umeed hai ke agley 3 months ke andar andar iss phone ke 5 lakh units sell ho jayengy.
Entics company starting se indian market ko target kar rhi hai ta’hum umeed ki ja rahi hai ke yeh smart phone asia ke deegar mumalik main bhi apni market bana lega,
World Bank ke andazon ke mutabiq dunya ke ghareeb awaam ki kul tadaad ka ek tihai hissa india main moujood hai,
ISs mulk main smart phone ki price kaleedi ahmiyat ki hamil hai india main sell hone wale smart phone ki kul tadaad ke 3 chothai ki price 200 dollar se kum hoti hai..
Karachi Main Tez Raftaar Bus Aur Car Main Tasadum
Karachi: Tariq Road Per Tez Raftaari Ke Bais musafir Bus Ne Car Ko Takkar Mar di Jis Ke Natije Main Ek Khatoon Jan-Bahaq Jub’ke Ek Shaks Zakhni Ho Gaya,
Report ke mutabiq karachi ke elaqay tariq road per labourity chowk ke qareeb tez raftaati ke bais musafir bus car main ja ghusi jis ke natije main ek khatoon jan-bahaq jub ke ek shaks zakhmi bhi ho gaya,
Rescue teams ke ahlkaron ne zakhmi hone wale shaks ko foori tor per jinnah hospital muntaqil kiya jaha doctors ne bataya uski halat buhat kharab hai aur usey aid di ja rahi hai,
Hadsay main jan-bahaq hone wali khatoon ki shanakht nahi ho saki jub’ke bus driver moqe se faraar ho gayaa..
Police officers ka kehna hai ke waqay ka muqadma darj kar liya gaya hai jub ke bus ko qazbe main lekar maalik aur driver ka patta lagane ke liye karwai shuru kar di gai hai..
Imran Khan Ke Dhandli Ke Ilzamaat
Islamabad: Election Commission Ne Tahreek-e-Insaaf Ke Chairman Imran Khan Ki Janib Se 2013 Ke General Elections Main Dhandlioyn Ke Ilzamaat Per 26 August Ko Eham Ijlaas Talab Kar Liya,
Report ke mutabiq 26 august ko talab kiye gaye ijlaas ki sarbarahi qaim maqam chief election commissioner custice Anwar Zaheer Jamali karenge.
Ijlaas Main 4ron Soobayi election commissioner ke elava deegar aala officers bhi shirkat karenge.
Ijlaas main ballot papers ki chapayi se related imran khan ke ilzaamat ka bhi jaiza liya jayega..
Wazeh rahe ke imran khan ne election commission ke kuch aala officers per ilzaam lagaya tha ke unho ne election se 2 din pehle fake ballot papers chapwa kar muslim league (N) ke hawalay kiye thy..
Shah Mehmood Qureshi Ke Ghar Per Hamla
Multan: Insdaad-e-Dehshat Gardi Ki Khusoosi Adalat Ne Tahreek Insaaf Ke Deputy Chairman Shah Mehmood Qureshi Ke Ghar Per Hamlay Ke Ilzaam Main Giriftaar Muslim Leauge (N) Ke District President Bilal Butt Samait 18 Mulzimaan Ki Zamanat Manzoor Karli,
Multan main insdaad-e-dehshat gardi ke Judge Khalid Javed Warraich ne tahreek insaaf ke deputy chairman shah mehmood qureshi ke ghar per hamlay ke muqadmay ki samaat ki aur police ne muslim leauge (N) ke district president bilal butt samait deegar namazd mulzimaan ko adalat main paish kiya,
Mulzimaan ke wakeel ne adalat se zamanat ki Application di mulzimaan ka bayaan sun’ne ke baad adalat ne bilal butt samait 18 mulzimaan ki 4 september tak zamanat manzoor karli,
Yaad rahe ke 20 august ko multan main muslim leauge (N) ke workers ki janib se shah mehmood qureshi ke ghar hamla kiya gaya tha jis per N leauge ke district president bilal butt urf billo butt samait deegar 18 afraad ke khilaaf muqadma darj kiya gaya hai..