Pakistan Samait Duniya Bhar Mein Aaj Jamhoriat Ka Aalmi Din Manaya Ja Raha Hai

Karachi: Pakistan Samait Duniya Bhar Mein Aaj ”Jamhoriat Ka Aalmi Din” Manaya Ja Raha Hai

Yeh din aqwam mutahidda ki general assembly mein paas kardah mutafiqa qarardad A/62/7 ke tehat duniya bhar mein manaya jata hai jo ke 2007 mein Manzoor ki gayi thi,

Is qarar’daad mein duniya bhar ke mumalik se appeal ki gayi hai ke woh apne apne mumalik mein jamhoori idaron ko mazboot se mazboot tar’banayen apni qaumi policiyon mein awaami shirkat ko yaqeeni banayen,

Qarardad ki manzoori ke douran aqwam mutahidda ke tamam member mumalik ne is baat per attifaq kiya tha ke har saal 15 September ko duniya bhar mein”jamhoriat ka aalmi din”manaya jayega.

Muttahida Quami Movement (MQM) ke quaid Altaf Hussain ne aalmi yome jamhoriat per apne pegham mein kaha ke jamhoori nizaam mein awam ko siyasi, muashi, saqafati va mazhabi usoolon ke mutabiq zindagi guzaarne ki azadi hoti hai,

Jamhoori nizaam mein mulk ke tamam shehrion ka qaumi wasail par yaksaa haq hota hai…

Wazeer-e-Azam Nawaz Sharif Resign Den Ya Na Den Wo Farigh Ho Jaienge

Multan: Pakistan Tehreek Insaaf Ke Saddar Javed Hashmi Ka Kehna Hai Ke Wazeer-e-Azam Nawaz Sharif Resign Den Ya Na Den Wo Farigh Ho Jaienge Aur Agar Marshal’laa Laga To Na Sirf Mulk Toot Jayega Balkay Is Ke Lagnay Se Bohat Barri Baghaawat Hogi,

Multan mein press conference karte hue Javed hashmi ka kehna tha ke Islamabad mein jari dharnon ka koi anjaam nahi ho ga aur imran Khan kis terha dharnay se wapis ayen,
Zaalmon ne un ki wapsi ka koi rasta hi nahi chorra,
Imran Khan ki janib se show cause notice ka inteZar kar raha hun aur jab yeh notice mujhe mil jaye ga to is ka mann waan jawab day dunga. un ka kehna tha ke Sheikh rasheed Ahmed ne kaha ke Technocrat hukoomat ka elaan hoga aur is ke sarbarah cheif justice hon ge jab ke fouj ki jitni tauheen Sheikh rasheed ne ki hai shayad kisi aur ne aaj tak nahi ki ho.

Dharnon se mutaliq aik sawal ke jawab mein Javed hashmi ka kehna tha ke mein usay script nahi kehta, fouj aur ISI ko pata bhi nahi hoga lekin mojooda sorat e haal mein sirf retaired jarnail jaldi mein hain aur sabiq DG ISI hameed gull ne 10 roz pehlay mujh se kaha tha ke aaj ki raat aakhri hai, ejaz shah ne kaha tha Nawaz Sharif resign nahi den ge jab ke mein ne kaha tha ke marshal’laa aajay ga.

Javed hashmi ne kaha ke shahrah dastoor se agay jane ke hawalay se core committee ki koi meeting nahi hui thi,
Imran Khan aur tahreek insaaf ke rehnumao ki ghalat bayani par bohat dukh hai, Imran Khan samait tehreek insaaf ki poori qayadat meri aankhon mein ankhen daal kr bat kere to un ke salawon ka jawab dunga. unhon ne kaha ke Imran Khan bitayen kya esharon ke faislay nahi thay, Imran Khan ne kaha tha ke sab teh hai Supreme Court 3 maah mein election ka elaan kardeygi, Imran Khan table ke aik konay par aik aur dosray konay par dosra faisla karte hain.

Wazeh rahay ke dharnay ke hawalay se ikhtilafat par Javed hashmi ne press conference ke douran Imran Khan per sangeen qism ke ilzamaat lagaye jis ke baad Imran Khan ne bhi un se alehadgi ka elaan kardiya tha jab ke 2 September ko parliment ke mushtarqa ijlaas mein azhare khayal karte hue unhon ne qaumi assembly ki nashist se bhi resign de diya tha…

Hooshiyar! Hackers Ne 50 Laakh Ke Qareeb G Mail Paas Words Chori Kar Liye

New Delhi:Russian Hackers Ne 50 Laakh Ke Qareeb G Mail IDs Aur Paas Words Chori Kar Liye Jo Ke Drive, Plus, Youtube Aur Maps Waghera Ke Liye Bhi Istemaal Hotay Hain,

Indian media reports ke mutabiq russian Hackers ne taqreeban 49 laakh 30 hazaar G Mail IDs aur paas words chori kar liye hain aur yeh tamam paas words G mail ke ilawa, drive, plus, you tube aur maps ke liye bhi istemaal hotay hain.

Hackers ne accounts ki tafseelaat bhi internet par jari kar di hain aur kaha hai ke heck kiye gaye paas words mein se 60% paas words ab bhi Active hain.

Doosri janib Google ka kehna hai ke chori kiye gaye paas words mein se sirf 2% active hain aur hamaray khud’car anti high jacking system ne paas word chori karne ki bohat si koshishon ko roka.

Google ka kehna hai ke IDs aur paas words hamaray system ki kamzori ki wajah se chori nahi hue bal’kay aksar aisi Ehem cheezein mukhtalif zaraye se haasil ki jati hain.
Agar aap aik jaisi user IDs aur paas words ko mukhtalif Websites par istemaal karte hain aur un mein se aik Website hack ho jati hai to is account ke zariye se doosri Website par bhi ba aasani login ho sakta hai jab ke kuch hackers IDs aur paas words hack karne ke liye dosray tareeqay bhi istemaal karte hain…

Karachi Mein Motocycle Ki Double Sawari Par Pabandi Mein 5 Roz Ki Kami Kardi Gai

Karachi: Sindh Hukoomat Ne Karachi Mein Motocycle Ki Double Sawari Praayd Pabandi Mein 5 Roz Ki Kami Kardi Hai.

Report ke mutabiq mehakma dakhla Sindh ne Karachi mein 10 roz ke liye motocycle ki double sawari par Aaid pabandi mein 5 roz ki kami kar di hai. mehakma dakhla ke notification ke mutabiq motocycle ki double sawari par pabandi mehakma police ki sifarish par lagai gayi thi jisay 20 September tak nafiz kya gaya tha ta’hum is ki muddat mein kami ke baad pabandi ab 15 September tak nafiz rahay gi.

Wazeh rahay ke Karachi mein firqa warana target killing ke baad shehar mein 10 roz ke liye motocycle par pabandi aed ki gayi thi jis mein allama abbas kmeli ke sahibzaday molana akbar Ali aur jamea binoria ke muhtamim mufti Naeem ke damaad molana masood bag ko target killing ka nishana banaya gaya tha…

Musharraf Ki Aamriyat Nawaz Shareef Ki Jamhoriat Se Behtar Thi

imran khan.14Imran Khan Ne Kaha Hai Ke Awam Ko Haqooq Nahi Miley To Khooni Inqilab Ka Rasta Khul JayeGa.
Khud’Kash Hamlay Ka Saamna Karne Ke Liye Bhi Tayyar Hain. Dehshat Gardon Se Nahi Hukmraanon Ki Dehshat Gardi Se Khatra Hai,

Islamabad: dharnay ke shurka se khitaab mein Imran Khan ne kaha ke nojawanon ka mustaqbil andheray mein hai aur haqeeqi jamhoriat hi wahid hal hai.
Pakistanio beron mulk ja kar paisa to kama lo ge magar izzat nahi pa sakoge. mujhe Pakistan ki adliya se takleef hai jamhoori mulk mein adliya azad hoti hai, adliya ki azadi ke baghair haqeeqi jamhoriat nahi aa sakti,

Unhon ne kaha Iftikhar choudhary ki bahaali ke liye sab se agay mein tha tareekh gawah hai ke tehreek insaaf ne adliya ki bahaali ke liye koshishen kee mera Emaan tha ke adliya ki azadi ke baghair insaaf nahi mil sakta,

2013 ke intikhab ke waqt mujhe sabiq cheif justice par bharosa tha magar Iftikhar chohadry Pakistan ki tareekh ka Meer Jaffer nikla. Imran Khan ne kaha election se qabal hi keh diya tha ke intikhabaat shafaaf nahi honge kya is mulk ki adliya ka kaam insaaf dena nahi?

Dhandli ko chupanay ke liye qanoon ka istemaal kiya ja raha hai, mein ne pehlay hi keh diya tha ke agar insaaf nahi mila to sarkon par niklon ga. un ka mazeed kehna tha mujhe Pakistani fouj ki zaroorat nahi, meri fouj meri awam hai pur aman ehtijaj karne walon ko golian marain, grftaryan kee, adliya kahan thi ?. adliya se puchta hon kis qanoon ke tehat dharnay walon par danday barsaye gaye?

PTV hamlay mein agar tehreek insaaf ka ek bhi worker mulawis nikla to khud usay jail bhijwaonga.
Dj Butt ko muawza day kar sound system ke liye rakha howa hai. Imran Khan ka ye bhi kehna tha container Islamabad high court ke faislay ke baad bhi nahi uthaye ja rahay, jamhoriat ka raag alapne walay high court ke faislay par amal nahi kar rahay.ujrat se puchta hon kab apne haqooq ke liye kharay hoge,

Nawaz shareef had se ziyada dar’pok insaan hai khud kash hamlay ke liye bhi tayyar hon hukmraanon ki terha dar’pok nahi. mujhe dehshat gardon se nahi Nawaz shareef ki dehshat gardi se khatrah hai agar adliya awam ko insaaf nahi day gi to hum kidhar jayen ge?
kya adliya ka kaam human rights ka tahaffuz nahi ?. awam adliya ki bahaali ke liye is liye niklay thy ke inhen insaaf miley ga yahi waqt hai ke adliya awam ki behtari ke liye so motto action le agar awam ko haqooq nah miley to khooni inqilab ka rasta khul jayega,

Javed Khan ke dono betay thaanay mein hain cheif justice se puchta hon awam insaaf ke liye kis dar par jayen? unhon ne kaha general Musharraf ki aamriyat Nawaz shareef ki jamhoriat se behtar thi Nawaz shareef kyun mulk ki fouj ko badnaam kar rahay ho. shakeel ur Rahman Pakistan ka firaon hai. shakeel ur Rahman aur Nawaz shareef dono miley hue hain. Imran Khan ka kehna tha ke ab hukoomat se mazeed mazakrat ki zaroorat nahi…

Nazimabad Mein Bank Ke Bahar Dhamaka

Sharpasnd Anasir Niji Bank Ke Bahar Dhamaka Khaiz Mawaad Pheink Kar Faraar Hogaye Dhamake Ki Aawaz Door  Door Tak Suni Gayi,

Karachi: North nazimabad mein niji bank ke bahar motorcycle sawaar dhamaka khaiz mawaad pheink kar faraar ho gaye.
Dhamake ki aawaz kaafi door tak suni gayi.

Waqeye ke baad police aur imdaadi team mauqe par poanch gayeen.

Waqeye mein koi jani nuqsaan nahi howa, mauqe par pounchanay wali bomb disposel team ke mutabiq dhamaka desi sakhta dasti bomb ka tha..

Naadra Ne Tamaam Halqon Ke Finger Prints Ki Tasdeeq Namumkin Qarar Daydi

Naadra Ne Wazeh Kiya Hai Ke Agar Mulk Bhar Ke Intikhabi Halqay Khole Gaye To Angothon Ke Nishanaat Ki Tasdeeq Ka Amal 10 Saal Mein Mukammal Hoga. Doosri Janib Member Election Commission Justice Retired Riaz Kiyani Ne Afzal Khan Ko Qanooni Notice Arsaal Kar Diya,

Islamabad: Nadra ne mojooda dour hukoomat mein tamam halqon ki finger prints ki tasdeeq namumkin qarar daydi. national data bees authority zaraye ka kehna hai ke angothon ke nishanaat ki tasdeeq ke liye nadra ko saat marahil se guzarna parega.

Pehley marhalay mein counter file aur voter list serial number ke tehat wasool ki jaye gi. dosray marhalay mein counter file ki ginti. teesray mein tasweer wali voter fhrston ke sath Counter file ko match kiya jata hai. choutha marhala scanning digitization hai jis ke baad ki tasdeeq ka amal agay barhta hai.

Ek martaba report anay ke baad yeh amal do se teen martaba dohraya bhi jata hai. aakhri marhalay mein naadra dastawizi report tayyar karta hai.

doosri janib election commission Punjab ke rukan justice retired Riaz Kiyani ne afzal Khan ko qanooni notice bhijwa diya hai jis mein kaha gaya hai ke afzal Khan ne be-bunyaad ilzamaat lagaye.

Afzal Khan 14 din ke andar maafi mangeen. un ka kehna tha ke afazl Khan ne maafi na mangi to un ke khilaaf 2 crore rupay harjana aur fouj daari karwai ke liye darkhwast dunga..

Selaab Se Hone Wali Tabahi Ki Zimmadaar Punjab Hukoomat Hai

Islamabad: Chairman Tehreek Insaaf Imran Khan Ka Kehna Hai Ke Selaab Se Honay Wali Tabahi Ke Zimmadaar Mojooda Hukmaran Hain Kyun Ke Unhon Ne Selaab Ki Rok Thaam Ke Liye Kuch Nahi Kiya Aur Ab Kaha Ja Raha Hai Ke Dharna Khatam Kya Jaye,

Islamabad ke D chowk par azaadi March ke shurka se khitaab karte hue Imran Khan ka kehna tha ke Punjab mein selaab ke baais kisanon ko arbon rupay ka nuqsaan howa jabkay selabi pani ko zakheera kar ke qabil istemaal banaya ja sakta tha lekin selaab ki rok thaam ke liye iqdamaat na karna Punjab hukoomat ki ghaflat ka nateeja hai aur wohi is ki zimmadaar hai.

unhon ne kaha ke tehreek insaaf har haal mein selaab mutasireen ki madad kere gi, hukoomat ke sath milnay walay corrupt tolay ka muqaabla kar ke deikheinge.

Chairman tehreek insaaf ka kehna tha ke tehreek azadi ke baad yeh tehreek sab se barri hai, hum apne liye nahi balkay mazloom tabqay ke liye jad-o-jehad kar rahay hain, un logon ke liye qurbaniyan day rahay hain jinhein hukmaran bheer bakrion ki terhan rakhtay hain aur un bachon ke liye lar rahay hain jinhein un ke bunyadi haq taleem ke husool se door rakha jata hai.

Unhon ne kaha ke sahib Iqtidaar Pakistan ko apni riyasat samajte hain aur apne bachon ko lainay ke liye tayyar kar rahay hain.
Quaid-e-Azam aur Allama Iqbal ne jis Pakistan ke liye jad-o-jehad ki usay haqeeqi shakal mein laane ke liye koshish jari rahay gi.

wazeh rahay ke chairman tehreek insaaf ne Sialkot ke selaab mutasirah elaqon ka dora kiya jahan mutasireen se mulaqaat ke baad Imran Khan dobara dharnay mein ponch gaye…

PTI Ke Sath Taqreeban Tamam Cheezon Par Ittafaq Ho Chuka

Hukumat Aur Tehreek Insaaf Ki Mazakarati Cometion Ke Darmiyan Mulaqaat Khatam, Wifaqi Wazeer Khazana Ishaq daar Ne Kaha Hai Ke PTI Ke Sath Taqreeban Tamaam Cheezon Par Ittafaq Ho Chuka Hai,

Islamabad; Siyasi bohraan ke khatmay ke liye hukumat aur tehreek insaaf ki mazakarati cometion ke darmiyan aaj do ijlaas hue jis mein tehreek insaaf ki janib se tehreek insaaf ke deputy chairman Shah Mahmood Qureshi aur Jahangir tareen ne shirkat ki,

Jub’ke hukumat ki janib se wifaqi wazeer khazana Ishaq daar aur Zahid Hamid ijlaas mein shareek huye. ijlaas ke baad media se guftagu karte hue Ishaq daar ne bataya ke tehreek insaaf ke sath taqreeban tamam cheezon par ittafaq ho gaya hai lekin tehreek insaaf se aik mutalbe par baat nahi ho sakti,

Do cheezon par qayadat se mushawarat ke baad PTI ko batayenge. Shah Mahmood Qureshi ne kaha ke hum ne jo kuch kehna tha hakumati team ko keh diya hai. mazakarati amal mukammal ho chuka hai jis ki kamyabi ka inhisaar hukumat par hai…

ICC Ki Nai One Day Ranking Jari Pakistan 6th position Par Barqarar

Dubai: International Cricket Council Ne One Day Cricket Ki Nai Ranking Jari Kar Di Hai Jis Ke Tehat Qaumi Team Ki 6th position Barqarar Hai Jub’ke Jadugar Spinner Saeed Ajmal Ki One Day Format Mein Badshahat Brqrar Hai Aur All Rounders ki fehrist mein bhi Pakistan ke Mohammad Hafeez sir fehrist hain,

International cricket council ki janib se jari kardah rating ke mutabiq one day format mein india sare fehrist hai jub’ke south africa 2nd aur Srilanka ka 3rd number hai,

fehrist mein Australia , England , Pakistan , newzeland, west indies aur Bangladesh bil tarteeb 4th, 5th, 6th, 7th 8th and 9th number par mojood hain.

One day format ke 10 behtareen bats man mein south africa aur india ke 3,3, srilanka ke 2 jub’ke australia aur newzeland ka 1,1, player shamil hain.

Behtareen bats mans mein AB de villiers 1st, hashim amla 2nd, kohli 3rd, george baili 4th aur kamaraa sangakara 5th number par hold hain, one day ranking mein Pakistan ki janib se sab se agay Misbah ul Haq hain jin ka fehrist mein 12th number hai.

Mashkook action ke ilzaam ka shikaar Pakistan ke jadugar spiner Saeed Ajmal ki one day format mein badshahat barqarar hai aur woh duniya ke behtareen bowlers mein sab se agay hain, 2nd number par west indies ke sunil narayan aur 3rd number par south africa ki gun deal styn mojood hain.

James anderson ka 4th jub’ke ravindra jadeja ka 5th number hai, top ten bowlers ki fehrist mein Pakistani professor ki ranking mein 3 darjay taraqqi hui hai is tarha Mohammad Hafeez 9th se 6th number par aagaye hain.

Bowling ki tarha all rounders ki fehrist mein bhi Pakistan ki baladasti barqarar hai aur guzashta kayi mah se Mohammad Hafeez sir fehrist hain,

angelio mathews 2nd, ravinder 3rd aur shakib Al Hasan 4th number par mojood hain,

All rounders ki top ten fehrist mein boom boom afridi bhi mojood hain aur un ki ranking 7th hai.

News

Karachi
November 2024
M T W T F S S
« Mar    
 123
45678910
11121314151617
18192021222324
252627282930