Karachi Mein Workers Ki Giraftarion Par MQM Ke Dharnay
Karachi: Guzishta Raat Scheme 33 Abul Hassan Asfhani Road Par Waqay MQM Ke Daftar Par Rangers Ke Chaapay Aur Workers ki Giraftarion Ke Khilaaf Shehar Ke Mukhtalif Elaqon Mein Dharnay Jari Hain Jab’kay MQM Ne Sindh Assembly Ke Ijlaas Ka Bhi Boycott Kardiya Hai,
Karachi mein rangers ki janib se workers ki giraftari par MQM ke Quied Altaf Hussain ki janib se dharnon ke elaan ke baad shehar ke mukhtalif ilaqon mein dharnay jari hain jin elaqon mein dharnay diye jarahay hain un mein wazeer-e-Aala house ke samnay, Teen Talwar, Numaish Chowrangi, Nazim abad number aik, 5 star Chowrangi, Alkaram Square, Nagan Chowrangi, Gulshan chowrangi, Star Gate aur Landhi shaamil hain. dharnon mein MQM ke Arkeen qaumi o sobai Assembly, Arkaan Senate aur rabita committee ke membraan ke elawa workers ki barri tadaad bhi mojood hai.
Rangers ki karwai ke khilaaf shehar ke beshtar niji taleemi idaray band kar diye gaye hain is ke elawa karobari marakaz, markets, bazaar aur petrol pimps bhi band kar diye gaye hain.
Dharnon ke baais traffic ki Aamad o Raft buri terhan mutasir hui hai jis ke paish e nazar traffic police ne shehrion se apni manzlon par pounchanay ke liye mutabadil rastay ikhtiyar karne ki appeal ki hai.
Doosri janib wazeer-e-Aala Sindh Syed Qaim Ali Shah ne MQM ke tahaffuzaat door karne ke liye 6 rakni Committee Qaim kar di hai committee mein Nisar Khorho, Sharjeel Memon, sikandar Mendhro, Mola Baksh Chandio, Waqar Mehdi aur Arshad Rabbani shaamil hain,
Committee MQM Ke Rehnumaon Se Fori Mulaqaat Kar kay Masail Ke Hal Par Baat Keregi…
Imran Khan Ne Bill Ada Na Kiya To Un Ki Bijli Kaat Denge
Quetta: Wazir-e-Mumlikat Pani O bijli Abid Ne Kaha Hai Ke Agar Imran Khan Ne 2 Mah Tak Bani gala Ka Bijli Ka Bill Ada Na Kiya To Unke Ghar Ki Bijli Kaat Denge.
Quetta mein media se baat karte hue abid sher Ali ne kaha ke Imran Khan aur Tahir Ul Qaderi nojawanon ko bharkanay aur Aapas mein laranay ki koshish kar rahay hain.
Unhon ne kaha ke Imran Khan ki janib se civil nafarmani ki tehreek ko awam ne mustard kardiya hai ab agar Imran Khan ne bhi 2 mah tak bani gala ka bijli ka bill ada na kiya to un ki bijli kaat di jaye gi jabkay hukoomat bijli ke nadihindigan se mazakraat ke zariye wasooli keregi…
Nawaz Shareef Ke Resign Ke Baghair Jad-o-jehad Khatam Nahi Karengay
Pakistan Tehreek Insaaf Ke Chairman Imran Khan Ka Kehna Hai Ke Hum Nawaz Shareef Ka Resign Lenay Ke Liye Yahan Baithy Hain Qoum Husnaa Mubarak Ko Qubool Nahi Keregi,
Islamabad: dharnay ke shurka se khitaab mein Imran Khan ka kehna tha ke awam police ke khauf ke bawajood dharnay mein shareek hotay ja rahay hain.
Qoum ne faisla kar liya hai ke woh zulm aur na-insafi bardasht nahi karengay. awam ko pata chal chuka hai ke un ki haq talfi ki ja rahi hai awam apne haqooq ke liye datt gaye hain.
Qoum ne faisla kar liya hai ke ab na-insafi aur zulm bardasht nahi karen ge.
Imran Khan ka kehna tha ke aaj naye Pakistan ki bunyaad rakhi ja rahi hai qoum mein bedaari Aagai hai nai tareekh ban rahi hai.
Naya Pakistan sirf awam ke zariye hi banay ga. un ka kehna tha ke kal Karachi mein aik hi aawaz” go Nawaz go” nikal rahi thi kal Karachi ka jalsa khuda ki taraf se ishara tha,
Log nikal aaye hain. Karachi jalsay mein sindhi, pashtoon, baloch, sirayiki aur hazara se bhi log shareek thay.
khushi hai hum taqseem nahi Pakistanio ko akhatta kar rahay hain.
Qoum apni haalat badalny ki koshish kar rahi hai, Allah Taala madad kar raha hai. unhon ne elaan kya ke tehreek insaaf 28 September ko Lahore mein jalsa keregi…
Tehreek Insaaf Ney Javed Hashmi Ko Party Saddar Ke Ohday Se Bar Tarf Kar Diya
Islamabad: Pakistan Tehreek Insaaf Ney Javed Hashmi Ko Party Saddar Ke Ohday Se Bar Tarf Kar Diya.
Report ke mutabiq Imran Khan ki sadarat mein tehreek insaaf ka Aala satah ka ijlaas Islamabad mein howa jis mein party ke sabiq saddar Javed hashmi ko un ke ohday se bar tarf karne ka baqaida faisla kiya gaya jis ki Imran Khan se bhi manzoori li gayi.
Tehreek insaaf ki janib se Makhdoom Javed Hashmi ko saddar ke ohday se bartarfi ka notice bhi bhijwa diya gaya hai jis mein Javed hashmi par party discipline ki khilaaf warzi karne ka ilzaam Aaid kiya gaya hai.
Tehreek insaaf ki janib se bheje gaye notice mein kaha gaya hai ke Javed hashmi ne party qayadat ke khilaaf ghair zimma daarana bayanaat diye jis se party ko nuqsaan pouncha aur woh badnami ka bhi baais banay.
Musalsal press Conferences aur bayan baazi ke baad Javed hashmi ko saddar ke ohday se farigh karte hue un se wazahat bhi talab ki gayi hai…
Karachi Chember Ko’ In Trade Malaysia ‘ Mein Shirkat Ki Dawat
Karachi: Pakistan Mein Malaysian Palm Oil Ki Dar’Aamdi Sar Garmiyon Mein Kami Tashweesh-naak Hai Kyun Kay Ab Pakistan Mein Palm Oil Ka Hissa 91% Se Ghatt Kar 55% Par Agaya Hai.
Ye baat Karachi mein malaysia ke consul general Abbu Bakar Mamat ne Karachi chamber of commerce and industry mein taajiron o sanat karon se khitaab karte hue kahi.
Unhon ne kaha ke bahami tijarat ke hajam ko barhaane ke liye dono mumalik ke taajiron ko Aaps ke rawabit barhana honge aur bahami tijarat ki raah mein haail rukawaton ki nishandahi karte hue tajaweez dena hogi.
Malaysian consul general ne kulalmpur malaysia mein 20 october se shuru honay wali teen roza ‘in trade malaysia 2014′ numaish mein Karachi chamber ko shirkat ki dawat dete hue kaha ke malaysia external trade development corporation har saal tijarat aur bar’Aamdaat ke farogh ke liye’ ‘ international trade malaysia’ ‘ numaish ka ineqad karta hai jis ka maqsad mulki o ghair mulki tajir baradri ke darmiyan raabtey ustuwar karne, karobari shiraakat daari, Ideas aur bahami maloomat ka tabadla karna hai jo globle market mein karobari rasai ke khwahish mand hain.
Unhon ne kaha ke numaish mein shirkat se Pakistani taajiron ko Malaysian ashya ka jaiza lainay aur taajiron ke sath raabtey barhaane ke sath sath kaarobar ki nai rahein talaash karne ke mawaqay bhi muyassar ayenge ke kis tarha dono mumalik ke darmiyan tijarat ko farogh diya jasakay.
Is mauqa per karachi chamber of commerce ke saddar Abdullah Zaki ne chamber ki sar’garmiyon pr tafseli roshni daaltay hue kaha ke Pakistani taajiron ke duniya ke mukhtalif taajiron ke sath behtar taluqaat ustuwar karne ke liye Karachi chamber pal ka kirdar ada kar raha hai.
Unhon ne tajweez di ke tijarti wafood ke mutawatar tabadlay, malomati aur single country numaishen, seminar aur conference ke ineqad se tijarti taluqaat ko behtar bananay mein madad milegi jo dono mumalik ki maeeshat ke liye sazgaar saabit hoga.
Unhon ne kaha ke mayaari taleem ke farogh ke liye aik nuqta nazar ke sath Pakistan aur malaysia mein universities ke darmiyan mazboot rawabit peda karne ki zaroorat hai,
Is silsilay mein Pakistani students ko bhi malaysia mein taleem haasil karne ki sahoolat faraham ki jani chahiye.
Imran Khan Ne Civil Nafarmani Ki Tehreek Ke Tehat Apna Bijli Ka Bill Jala Diya
Islamabad: Chaiman Tehreek Insaaf Imran Khan Ne Civil Nafarmani Ki Tehreek Ke Tehat Dharnay Mein Apna Bijli Ka Bill Jala Diya Jab Ke Dharnay Mein Mojood Shurka Ne Bhi Apne Bil Jala Dalay.
Islamabad mein D chowk par dharnay ke shurka se khitaab karte hue Imran Khan ne kaha ke Nawaz Sharif kisi ghalat fehmi mein na rahen ke mein yahan se thak kar chala jaoon ga,
Hum ne barri Eid ka plan bana liya hai hum qurbani bhi dharnay mein hi karen ge kyun kay agar hum yahan se chalay gaye to dhandli ki koi tehqiqaat nahi hogi.
Unhon ne kaha agar Nawaz Sharif ne resign nahi diya to un ke liye har din mushkil hota jaye ga jabkay hukoomat ne hamaray Aadhay mutalibaat bhi nahi manay aur mutalibaat maan’ne ki baatein kar kay jhoot bola ja raha hai.
Imran Khan ka kehna tha ke Nawaz Sharif apne aap ko Quied-E-Azam se na milaain,
Quaid-E-Azam ne mulk Iqtidaar ke liye nahi balkay Pakistanio ke liye banaya tha unhon ne Pakistan banaya tha factories nahi banayen,
Quaid-E-Azam ne hamesha sach bola aur Nawaz Sharif ke jhoot be shumaar hain. unhon ne kaha ke hamaray yahan jama honay ka maqsad qoum ko un ke haqooq batana hai jaisay hi awam ko apne haqooq ka pata chal jaye ga tab kisi bhi hukumran mein awam ko bheer bakrion ki tarhan rakhnay ki jurrat nahi hogi.
Chaiman tehreek insaaf ne kaha ke mazdooron par zulm ho raha hai lekin koi poochnay wala nahi hai,
Sindh ke hariyon par jageerdaroon jaisa zulm kahin bhi nahi dekha,
Zulm kahin par bhi ho muqaabla karna sab ka farz hai aur hum isi zulm ke khilaaf Islamabad mein baithy hain kyun kay zulm O Na-insafi ka muqaabla karna jehaad hai jab’kay ab awam bhi hamaray nazariye ke liye uth khari hui hai…
World Cup Ki Fatah Ke Liye Saeed Ajmal Ka Team Mein Hona Zurori Nahi, Javed Miandad
Karachi: Pakistan Ke Sabiq Maaya Naz Batsman Javed Miandaad Ne Kaha Hai Ke World Cup Ke Tournament Mein Fatah Ke Liye Saeed Ajmal Ka Team Mein Hona Zaroori Nahi,
World cup ki trophy Lahore se Karachi pounchanay par is ka shandaar istaqbaal kya gaya.
Is mauqa par munqaid taqreeb se khitaab mein sabiq Pakistani legend batsman Javed miandaad ne kaha ke agar Saeed Ajmal par world cup ke Aaghaz tak pabandi barqarar rehti hai tab bhi Pakistan world cup jeetnay ki salahiyat rakhta hai.
Unka kehna tha ke Pakistan world cup jeet chuka hai jo tareekh ka hissa hai. agar Pakistani players apni poori salahiyaton ke sath khelain to qaumi team aik baar phir world cup jeetnay mein kamyaab hogi.
Javed miandaad ne aik sawal ke jawab mein kaha ke Pakistani team ko kisi aik player par hi inhisaar nahi karna chahiye. Aese player ke baray mein kyun socha jaye jo team ka hissa hi nahi hai balkay dosray khiladion ko apni zimma darion ko poora karna chahiye.
Wazeh rahay ke world cup Australia aur newzeland mein february se March ke douran khela jaye ga jab’ke Pakistan apna pehla match rawayeti hareef india ke khilaaf 15 february ko Adelaide mein khailay ga.
India Ne teh Shuda Tareeqa Kar Ke Tehat Pakistan Mein Selabi Pani Chorra,Indian High Commissioner
Karachi: Pakistan Mein Mutayyan Indian High Commissioner Ka Kehna Hai Ke Selabi Pani Par Pak India Moahida Mojood Hai Jis Par India Ne teh Shuda Tareeqa Kar Ke Tehat Pakistan Mein Selabi Pani Chorra,
Report ke mutabiq indian high commissioner T A C Raghon ne kaha ke mustaqbil qareeb mein pak india wazraye Azam ki mulaqaat mutawaqqa nahi jabkay indian prime minister narindar modi ke dora Pakistan ka schedule bhi teh nahi hai.
Unhon ne kaha ke selabi pani par pak india moahida mojood hai aur india ne teh shuda tareeqa kar ke tehat selabi pani chorra hai.
Indian high commissioner ka kehna tha ke guzishta dahaiyon se do Tarfa taluqaat mein doorian rahien lihaza ab ikhtilafat bhula kar haqeeqi muzakraat ki taraf jana hoga.
Tehreek Insaaf Ka 21 September Ko Karachi Mein Jalsa Karne Ka Faisla
Tehreek Insaaf Ne Hukoomat Ke Khilaaf Ehtijaj Ka Daira Wasee Karte Hue Barray Shehron Mein Jalson Ka Faisla Kiya Hai.
Is Silsila Mein Party Chairman Imran Khan 21 September Ko Karachi Mein Jalsay Se Khitaab Karenge,
Islamabad: Islamabad mein Imran Khan ki zer-e-sadarat tehreek insaaf ki core committee ke ijlaas mein kiya gaya.
Core committee ne ehtijaj ka daira dosray shehron mein phelanay aur Wazeer e Azam ke isteefay tak dharna jari rakhnay ke faislon ki toseeq ki. Imran Khan ke sunday ko Karachi mein jalsay se khitaab ki manzoori bhi di gayi,
Is silsila mein party chairman Imran Khan 21 September ko Karachi mein jalsay se khitaab karen ge.
Deputy secretary general Imran ismael ko Karachi jalsay ke intizamaat ki hidayat ki gayi hai.
Core committee ne tamam giriftar workers ki rihayi tak hukoomat se mazakraat moattal rakhnay ka faisla bhi kya hai.
Ijlaas ko bataya gaya ke Supreme Court aur high court mein dair darkhwaston ki bharpoor tareeqay se pairwi ki jaye. zaraye ke mutabiq ijlaas mein Multan ke halqa NA-149 ke zimni intekhab mein Shah Mahmood Qureshi ke betay ko larnay ki ijazat nahi di gayi…
Karachi Double Sawari Par Pabandi Qabal Az Waqt Khatam
Karachi Mein Motorcycle Par Double Sawari Par Pabandi Khatam Kar Di Gayi Hai.
Raat Gaye Police Ne Mukhtalif Karwaiyon Ke Douran 9 Mulzimaan Ko Arrest Kar Ke Asleha Bar Aamad Kar Liya,
Karachi 11 September ko shehar mein 10 din ke liye double sawari par pabandi Aaid ki gayi thi,
Jis ki khilaaf warzi par 1062 afraad ke khilaaf karwai ki gayi,
Aur 461 muqadmaat darj kiye gaye. police ne 5 din baad hi pabandi khatam kar di hai. quied abad mein police ne aik ghar par chhapa mar kar 3 mulzimon ko girftar kar liya. 3 mulzim daketi ki 50 se zayd wardaton mein matloob thay.
Aziz Bhatti town ke elaqay mein police ne loot maar karne walay 3 mulzimon ko muqablay mein giriftar kar liya.
Mulzimaan se asleha aur cash bar’aamad kar lia.
Pakistan bazaar ke elaqay mein bhi police ne 3 mulzimaan ko girftar karliya..