Biometric Verification 3 Carore Sims Block Kiye Jane Ka Khadsha
Karachi: Telecom Operators Ne 10 Carore 30 Laakh Mobile Phone Sims Ki Biometric Verification Ka 46% Target 36 Din Mein Haasil Karte Hue 4 Carore 80 Laakh Mobile Phone Sims Ki Tasdeeq Ka Amal Poora Kar liya Hai.
Dehshat Gardi ke khilaaf qaumi mansoobay ke tehat mobile phone companies ko 90 din mein 10 carore 30 laakh sims ki verification karne ka target diya gaya tha jis ka aaghaz 12 January se kiya gaya.
Pehlay marhalay mein mulk ke hassas elaqon mein 1 ID card par 2 ya is se zayed sims ke haamil sarfeen ke zair istemaal sims ko biometric verification ke amal se guzaarna tha.
Pehlay marhalay mein 26 february tak 4 carore 40 laakh connections ki tasdeeq karni thi taham operators ne 12 January se shuru honay wali muhim mein ibtidayi 36 roz mein hi 4 carore 80 laakh sims ki verifications ka amal mukammal kar liya hai.
Pakistan Telecommunication Authority (PTA) ke adad o shumaar ke mutabiq mobile phone smz ki biometric tasdeeq ke pehlay marhalay mein 3 carore 56 laakh ID cards ki jaanch karte hue 4 carore 74 laakh sims ki tasdeeq ki ja chuki hai.
Pehlay marhalay ki jaanch mein 56 laakh sims ki biometric tasdeeq nahi hosaki jinhein block kar diya jayega.
Telecom Specialists ke mutabiq agarchy pehlay marhalay mein tasdeeq ke adad o shumaar khush kun hain lekin pehlay marhalay ke khatmay tak block honay wali sims ki tadaad 1 carore tak pahonch sakti hai.
Verification ka dosra marhala pehlay marhalay se ziyada sakht hoga.
Telecom experts Suhaib Sheikh ne kaha ke hukoomat ko biometric verification ke liye muqarara muddat mein kam az kam 2 mah ki tosee karna hogi.
Agar muddat mein izafa na kiya gaya to 14 April ko muhim ke ekhtataam par 2 se 3 carore sims ki bandish ka saamna hoga jo telecom sector ke revenue mein kami ke sath khud hukoomat ke revenue mein bhi kami ka sabab hoga.
Unhon ne zor diya ke duniya bhar mein mobile phone connections ka dehshat gardi ya juraim se barah e raast koi talluq nahi.
GSMA ki globle reserch report bhi is muaqqaf ko taqwiyat faraham karti hai.
Pakistan mein tamam zair istemaal sims ki tasdeeq aur registration ke baad bhi dehshat gardi ke waqe’Aat ka imkaan khatam nahi ho sakta.
Saneha Peshawar mein bhi biomatric verification shuda sims hi istemaal ki gayi theen.
fil-waqt Pakistan mein kaam karne walay operators dabao ka shikaar hain,
Sims ki tasdeeq ki muhim ke khatmay ke baad yeh dabao industry ke dosray shobo mein muntaqil ho sakta hai jin mein devices ya data services shaamil hain.
Wazeh rahay ke Pakistan mein 2014 ke ekhtitaam tak mobile phone connections ki tadaad 13 carore 57 laakh 60 hazaar ki satah par Aagai jis mein haliya muhim ke douran 56 laakh sims ki bandish ke baad mulk bhar mein zair istemaal Connections ki tadaad 13 carore ki satah tak Aagai hai muhim ki takmeel ke baad 25 se 30 million sims ki bandish ki soorat mein mulk bhar mein zair istemaal sims ki tadaad bhi 10 carore 50 laakh ki satah par anay ka andesha hai.
Telecom industry ke zaraye ka kehna hai ke tasdeeq ki muhim ke pehlay marhalay ke ekhtitaam mein ek maah ki tosee ki ja sakti hai taham is ka hatmi faisla muhim ki muddat ke khatmay par tasdeeq ki jane wali sims ki tadaad ko mad-e-nazar rakhtay hue kiya jayega..
Electronic Tea Bag Se Chaye Banana Ab Lamhoon Ki Baat
Pauney: Achi Chaye Ka Cup Insaan Ke Andar Chusti Aur Taazgee Peda Kar deta Hai Lekin Chaye Bananay Ke Liye Mahaarat Aur Waqt Darkaar Hota Hai.
Is Ka Hal Indian Student Ne Electronic Tea Bag Bana Kar Nikaal Liya Hai.
Indian Student Utara Ghotkay ne apne tayyar karda electronic tea bag ka naam’ My Chaye’ rakha hai, jis mein 4 mukhtalif aqsam ki chaye lamhoon main tayyar ki ja sakti hai aur is ka tareeqa bhi aasaan hai.
Tea bag ki teh mein apni marzi ki chaye ke pattay rakhen, tea bag ko chaye ke cup mein dalain aur bag ko battery ke sath munsalik karkay usay on kar dein.
Tea bag ke sath laga howa tharmo electric material pani ko matlooba darja hararat par garam kar deta hai aur bag mein mojood chaye ke pattay fori tor par hal hona shuru ho jatay hain jis ke kuch hi lamhoon mein chaye tayyar hojati hai.
Electronic tea bag ek battery ke zariye kaam karta hai, jisay har 3 se 4 cup ki tayari ke baad charge kiya ja sakta hai.
Tea bag aur battery ka size is qader chhota hai ke usay jaib ya hand bag mein rakh kar kahin bhi lejaya ja sakta hai…
China Mein Gadhay Ke Taaza Gosht Ke Liye Kharidaro Ki Line Lag Gaye
Beijing: Gadhay Ka Gosht Khanay Ka Tasawwur Hi Qabil Nafrat Mehsoos Hota Hai Lekin Cheeni Apne Naye Saal Ki Khushi Mein Apne Samnay Gadhon Ko Intehai Zalimana Andaaz Mein Halaak Karwa Ke Un Ka Taaza Gosht Dheron Dhair Khareed Rahay Hain.
Chein mein gadhay ke gosht ko khaas soghaat samjha jata hai aur logon ki khwahish hoti hai ke woh taaza gosht azeezon aur doston ke liye tohfay ke tor par le kar jayen.
Kharidaro ki is khwahish ko poora karne ke liye qasai un ke samnay gadhay ko halaak karte hain.
Haal hi mein cheeni soobah hobay ke shehar bounding mein gadhay ke taaza gosht ki tayari ke manazair samnay aaye hain jinhen dekh kar duniya mein khauf aur ishtial ki lehar daur gayi hai.
Gadhay ki tangein bandh kar usay lita diya jata hai aur 1 shakhs is ke sir se bandhi rassi ko khech kar rakhta hai jab ke dosra aik barray hathoray ke sath badnaseeb janwar ke sir par waar karna shuru kar deta hai aur phir is ki gardan kaat kar khoon aik plastic ke dabba mein jama kar letay hain.
Is ke baad gahak ke samnay gadhay ka taaza gosht tayyar kiya jata hai. yeh gosht aam halaat mein to bohat mehanga bikta hai magar naye saal ke mauqa par hazaron lakhoon gadhon ka bandobast kiya jata hai aur un ka taaza gosht taqreeban aik hazaar rupay fi kilo mein becha jata hai.
Pakistan World Cup Mein india Ke Khilaaf Apni Riwayat Na Tor Paaya
Adelaide: World Cup Ke Match Mein India Ne Pakistan Ko 76 Runs Se Hara Diya.
Adelaide mein khailay jane waly match mein Indian captain Mahendra Singh Dhoni ne toss jeet kar batting ka faisla kiya aur muqarara 50 overs mein 7 wickets ke nuqsaan par 300 runs banaye.
Opener RohIt Sharma aur Shikhar Dhawan team ko acha aaghaz faraham karne mein nakaam rahay aur Rohit sharma 34 ke majmoi score par 15 runs bana kar Sohail Khan ki ball par Misbah Ul Haq ke hathon catch out hue,
Rohit sharma ke out honay ke baad virat kohli crease par aaye aur Shikhar Dhawan ke sath team ke score ko agay berhate hue 60 balls par apni half century mukammal ki taham 163 ke majmoay par Shikhar Dhawan 73 runs bananay ke baad run out hue.
Shikhar Dhawan ke out honay ke baad Suresh Raina crease par aaye aur baghair kisi dabao ke jarehana andaaz mein batting karte hue 74 runs bana kar out hue.
Virat kohli ne shandaar batting ka muzahira karte hue apni ODI match ki 22nd century mukammal ki aur 107 runs bana kar Sohail Khan ki ball par catch out hue jab ke Mahendra Singh Dhoni 18 bana sakay.
Pakistan ki janib se Sohail Khan ne shandaar bowling ka muzahira karte hue 10 overs mein 55 runs day kar 5 players ko pavellion ki raah dikhayi jab ke Wahab Riaz ne aik player ko out kiya.
Pakistan ki team 301 runs ke hadaf ke taqub mein 47 overs mein 224 runs bana kar all out hogayi,
Qaumi team ko ining ke aaghaz mein hi khasaray ka samna karna para aur Younus Khan sirf 11 runs ke majmoay par 6 runs bana kar Mohammad Shami ki ball par wickets ke peechay catch out hue,
Younus Khan ke out honay ke baad Haris Sohail crease par aaye taham woh bhi Ahmed Shahzad ke sath bari shiraakat qaim karne mein nakaam rahay aur 79 ke majmoay par 36 runs bana kar catch out hogaye,
102 runs ke majmoi score par Ahmed Shahzad bhi 47 runs bana kar
Umeshkumar Yadav ki ball par catch out hue jis ke baad agli hi ball par Suhaib Maqsood ne bhi Suresh Raina ko catch day kar pavellion ki raah li jab ke Umar Akmal bhi baghair khata khole Ravindrasinh Jadeja ki ball par wicketon ke peechay catch out hue.
Umar Akmal ke out honay ke baad captain Misbah Ul Haq aur Shahid afridi ne team ke score ko agay badhaya taham Shahid afridi bhi ziyada der crease par na tik paye aur 22 runs bana kar pavellion lout gaye.
Misbah Ul Haq ne 6 players ke out honay ke baad bhi haar na maani aur indian bowlers ke agay muzahmat jari rakhtay hue 76 runs ki zimma daarana ining kheli jab ke yasir Shah 13, Wahab Riaz 4 aur Sohail Khan 7 runs bana kar out hue.
India ki janib se Mohammad Shami ne umda bowling ka muzahira karte hue 4 wickts haasil ki.
Umeshkumar Yadav aur Mohit Sharma ne 2,2 jab ke Ashwin aur Ravindrasinh Jadeja ne 1,1 player ko out kiya.
Match ke baad qaumi team ke captain Misbah Ul Haq ka kehna tha ke match harnay ka afsos hai aur india ne achi batting ka muzahira kiya taham ab humein ye match bhula kar agay dekhna hai aur deegar matches bhi eham hain jin par tawajah deeni hogi.
behtareen karkardagi par virat kohli ko match ka behtareen player qarar diya gaya.
New zeland Ne Pakistan Ko 119 Runs Se Shikast De kar Series Apne Naam Karli
Napier: New zeland Ne Pakistan Ko 2nd ODI Match Mein 119 Runs Se Shikast De Kar 2 Matches Par Mushtamil Series 0-2 Se Apne Naam karli.
Napier ke mclean park mein khailay gaye 2nd ODI match mein new zeland ne pehlay batting karte huye muqarara 50 overs mein 369 runs banaye jis ke jawab mein qoumi team 43.1 overs mein 250 runs par dhair hogayi.
Green shirts ki janib se opening bats man Mohammad Hafeez aur Ahmed Shahzad ne pehli wicket ki shiraakat mein 111 runs jore aur Shahzad 55 runs bananay ke baad nathan mccullum ki ball par catch out hue jis ke baad Younus Khan bhi 11 runs bananay ke baad 130 ke majmoi score par pavellion lout gaye jis ke baad waqfay waqfay se wickts girty chali gayeen,
Mohammad Hafeez 86 runs ke sath numaya batsman rahay jab ke captain Misbah Ul Haq 45, Shahid afridi 11, Sarfraz Ahmed 13 runs banakar out hue aur 4 player double figur mein bhi shaamil nah hosakay.
Newzeland ki janib se Tim Southee, Grant Elliott, Nathan McCullum aur Adam Milne ne 2,2 jab ke Daniel Vettori aur Trent Boult ne 1,1 wicket haasil ki.
Is se qabal new zeland ne Pakistan ke khilaaf toss jeet kar pehlay batting ka faisla kiya to sazgaar pitch ka faida uthatay hue new zeland batsman ne bollers ki khoob pataayi ki aur 50 overs mein 5 wickets ke nuqsaan par 369 runs banaye.
New zeland ki janib se Kane Williamson aur Ross Taylor ne 112 aur 102 runs ki shandaar ining kheli,
is ke elawa Martin Guptill ne bhi 76 runs ki baari khail kar runs ki behti ganga mein khoob haath dhoye.
Pakistan ki janib se Mohammad Irfan ne 2 jabkay Shahid afridi, Ahsaan adil aur Ahmed Shahzad ne 1,1 wicket haasil ki jab ke bilawal Bhatti mehngay tareen bowler saabit hue aur unhon ne 10 over mein 93 runs diye aur koi wicket bhi haasil na kar sakay.
Match mein behtareen karkardagi paish karne walay Kane Williamson ko men of the match qarar diya gaya.
Wazeh rahay ke 2 matches par mushtamil series ke pehlay match mein new zeland ne Pakistan ko 7 wickets se shikast di thi…
Pak Chaina Dosti Ki Yadgaar Ke Tor Par 20 Rupay Ka Sikka Jari
Islamabad: Hukoomat Pakistan Ne Pak Chaina Dosti Ki Yadgar Ke Tor Par 20 Rupay Ka Sikka Jari Kar Diya..
Sikkay ke front par islami jamhooria Pakistan likha gaya hai jabkay darmiyan mein chaand tara banaya gaya hai jabkay pusht par Pakistan aur chaina ke jhanday banaye gaye hain,
Yeh sikka aaj se mulk bhar mein istemaal hosakega.
Wazeh rahay ke Pakistan aur chaina ki dosti La’zawaal tassawur ki jati hai aur army cheif general raheel shareef ke haliya dora cheen ke mauqey par cheeni hakkaam ne Pakistan ki tashweesh ko apni tashweesh qarar diya tha jab ke March mein chaina ke saddar Pakistan ka dora bhi karenge…
Micorsoft Ka New Operating System Windows 10 Paish Karne Ka Elaan
Micorsoft Ne New Operating system Windows 10 Paish Karne Ka Elaan Kiya Hai.
Jo Un Computers Ko Muft Faraham kiya Jayega Jin Par Pehlay Se Windows 8 Ya Windows 7 Ya Phir Windows Ka Phone Operating Nizaam Mojood Hai.
New York: Micorsoft ne aik hand set bhi muta’arif karaya hai jis ki madad se mustaqbil mein windows ko computer screen ke ilawa doosri cheezon par bhi dekha ja sakayga.
Windows 10 mein aawaz se control kiya jane wala software’cortina’ bhi shaamil hoga.
Windows 10 ki muft farahmi Micorsoft ki policy mein tabdeeli ki bhi alamat hai kyon ke is se pehlay windows apne upgrade ke liye khasi mehngi qeemat wusool karti rahi hai.
Yahi wajah hai ke logon ne windows 8 ko barray pemanay par qubool nahi kiya..
World Cup Jeetnay Wali Team Ko 40 Laakh Dollars Ka Inaam Mileyga
Final Mein 2nd Number Par Anay Wali Team Ko 18 Laakh Dollars Mileyge Aur Semi Finalist Ko 9 Laakh Dollars Diye Jayengay,
Sydney: Cricket par ainda 4 saal jo bhi team hukumrani keregi Us par Dollers ki barish hogi.
Tamam teams ne cricket ke barray markay ke liye barray barray khawab saja liye.
2015 World Cup ka Title jeetnay wali team ko ICC 40 laakh dollar se nawazyga.
Final ki runner up team 18 laakh dollar samait kar apne watan ko lautaygi.
Semi final khailnay wali teams 9 laakh dollars ki haqdaar qarar payengi.
Yahi nahi quarter final khailnay wali teams 5 laakh dollars samaitney mein kamyaab rahengi.
Ab dekhna yeh hai ke khazanay ki chaabi kis team ke haath lagti hai..
Sindh Aur Balochistan Ke Sahili Elaqon Mein Barish
Karachi: Mulk Mein Baarisho Aur Barf bari Ka Sabab Ban’nay Walay System Ke Baais Sindh Aur Balochistan Ke Sahili Elaqon Mein Kahin Halki To Kahin Taiz Barish Ho Rahi Hai.
Balochistan ke sahili elaqon Gwadar,Panjgoor,Turbat aur deegar mulhiqa elaqon mein guzashta raat se mosladhar barish jari hai jis se nashebi elaqay zere’Aab aagaye aur nadi naalon mein tughyani agai hai.
Kayi maqamat par musafir gariyaan phas gayi hain is ke ilawa neel nutt nadi mein tughyani ke baais Balochistan ke mukhtalif elaqon ka Karachi se zameeni rabita bhi munqita hogaya hai.
Balochistan mein daakhil honay walay baadalon ne Karachi samait Sindh ke beshtar sahili elaqon ko bhi apni lapait mein le liya hai jis se mukhtalif elaqon mein taiz hawaon ke sath kahin halki aur kahin taiz barish ho rahi hai.
Mehakma Mosamiyat ka kehna hai ke ainda 2 roz mein baarisho aur barf bari ka silsila poray mulk tak phail jayega.
Budh aur jumeraat ke roz Islamabad,Rawalpindi ,Sargodha,Gujranwala aur Lahore jab’kay Balochistan mein Queta,Qalaat,Pasheen aur qilah Saif Ullah jab’kay Khyber Pakhtunkhwa Azad Kashmir aur Gilgit Baltistan mein jummey tak barish aur barf bari hogi..
Swaat Malaa Kund Aur Gardo Nawah Mein Zalzalay Ke Jhatkay
Swaat: Malaa Kund Aur Gardo Nawah Mein Zalzalay Ke Jhatkay Mehsoos Kiye Gaye Taham Kisi Jani O Maali Nuqsaan Ki It’tilaat Masool Nahi Hui Hain.
Report ke mutabiq swaat aur malaa kund mein zalzalay ke jhatkay mehsoos kiye gaye.
Zalzala koh pema markaz ke mutabiq richter scale par zalzalay ki shiddat 4.6 record ki gayi jab ke is ka markaz tajikstan ka sarhadi elaqa aur zameen mein is ki gehrai 10 kilometer thi.
Zalzalay ke baais kisi jani o maali nuqsaan ki it’tilaat masool nahi hui hain taham khauf ke baais log kalma tayyaba ka vird karte hue apne gharon se bahar aa gaye..