National

Karachi Mein Bomb Dhamakay Ke Natijay Mein 1 Shakhs Jaan Bahaq

 Karachi: Lee’Market Mein LPG Cylinder Ki Dukaan Mein Dhamakay Ke Natijay Mein 1 Shakhs Jaan Bahaq Jab Ke 5 Zakhmi Hogaye.

Report ke mutabiq Karachi ke elaqay Lee’Market mein LPG Gas Cylinder ki dukaan mein achanak dhamaka hogaya jis ke natijay mein 6 afraad zakhmi hogaye.

Zakhmion ko fori tor Civil hospital muntaqil kiya gaya jahan 1 zakhmi dam tor gaya jab ke deegar ki haalat bhi tashweesh-naak hai.

Waqeye ke baad police aur bomb disposel squad ki teams ne shawahid ikathay kiye.

Bomb disposel squad ka kehna hai ke dhamaka cylinder phatnay se nahi hua balkay is ke liye Aadha kilo baroodi mawaad istemaal kiya gaya aur se remote control ke zariye uraya gaya..

Islamabad Aur Lahore Samait Khyber Pakhtun Khwa Ke Mukhtalif Elaqon Mein Zalzalay Ke Shadeed Jhatkay

 Islamabad: Khyber Pakhtun Khwa Ke Mukhtalif Elaqon Samait Lahore Aur Islamabad Mein Zalzalay Ke Shadeed Jhatkay Mehsoos Kiye Gaye.

Report ke mutabiq Fata, Khyber Pakhtun Khwa, Azad Kashmir aur Punjab ke mukhtalif azlaa mein zalzalay ke shadeed jhatkay mehsoos kiye gaye aur richter scale par is ki shiddat 6.2 record ki gayi.

Zalzala pema markaz ke mutabiq zalzalay ka markaz Afghanistan Tajksitan ka sarhadi ilaqa hai.

Khyber Pakhtun Khwa ke jin shehron mein zalzalay ke jhatkay mehsoos kiye gaye un mein Peshawar, Mansehra, Hari poor, Swat, Shangla, Malakand, Naushera, Der, Hangu, Bsham, Kohastan aur Kohaat shaamil hain.

Lahore Islamabad samait Punjab ke jin azlaa mein zalzalay ke jhatkay mehsoos kiye gaye un mein Sheikhupura, Sialkot, Gujranwala, Sargodha, Manndi Baha uddin, Gujranwala, Miyanwali, Khushab, Sahiwal, Narrwal, Hafiz abad, Qusoor aur Vihaari shaamil hain jab ke Kotli Azad kshmir aur khyber agency mein bhi zalzalay ke jhatkay mehsoos kiye gaye.

Lahore Sheikhupura Aur Qareebi Shehron Mein Zalzalay Ke Jhatkay

 Lahore Sheikhupura Aur Qareebi Shehron Mein Zalzalay Ke Jhatkay Mehsoos Kiye Gaye.
Log Kalma Ttayyiba Ka Vird Karte Gharon Se Nikal Aaye richter scale Par Shiddat Record Ki Gayi.

Lahore: Zalzala Pema Mmarkaz Ke Mutabiq Zalzalay Ka Markaz Lahore Se 50 Kilometer door Maghrib Mein Tha Jo Ke Sheikhupura Banta Hai.

Zalzalay ki geherai 30 kilometer record ki gayi.

Sheikhupura mein 3.4 shiddat ke zalzalay se logon mein khauf o hiraas phail gaya aur log kalma tayyiba ka vird karte gharon se bahar nikal aaye.

Mehakma mosmiyat ke mutabiq zalzalay ke jhatkay 3 baj kar 48 minute par mehsoos kiye gaye..

Shayar Mashriq Allama Mohammad Iqbal Ka 138th Yom-E-Pedaiesh Aaj Manaya Ja Raha Hai

 Shayar Mashriq Aur Azeem Mufakkir Dr. Allama Mohammad Iqbal Ka 138th Yom-E-Pedaiesh Aaj Manaya Ja Raha Hai.

9 November 1877 ko Sialkot mein Ankh kholnay walay Allama Mohammad Iqbal ne ibtidayi taleem apne aabai shehar mein haasil ki aur phir Lahore ka rukh kiya.

1899 mein MA karne ke baad oriental college mein shoba dars o tadrees se wabsta hogaye aur is douran shairi bhi jari rakhi.

Allama Iqbal 1905 mein Bartania chalay gay jahan pehlay unhon ne Cambridge University Trinity College mein dakhla liya aur phir Maroof taleemi idaray Lincoln’s Inn mein waqalat ki taleem lena shuru kar di phir woh Germany chalay gaye jahan Munich University se unhon ne falsafah mein PHD ki degree haasil ki.

Dr. Mohammad Allama Iqbal ne 1910 mein watan wapsi ke baad waqalat ke sath siyasat mein bhi hissa lena shuru kiya aur apni shairi ke zariye fikri aur siyasi tor par muntashir Musalmanoon ko khawab ghaflat se jagaya.

1934 ko Muslim League ke markazi parlimani board ke rukan banay taham tabiyat ne un ka sath na diya aur woh qayam Pakistan se 9 baras qabal 21 April 1938 ko Lahore mein apne khaaliq haqeeqi se ja milay.

Mufakkir Pakistan ke yom e pedaiesh ke mauqe par mulk bhar mein khusoosi taqrebaat ka ihtimaam kiya ja raha hai.

Is silsilay mein mazaar e Iqbal par guards ki tabdeeli ki purwaqar taqreeb mein Pakistan behria ke dastay ne Pakistan Rangers ki jagah faraiz sambhale.

Is mauqe par Station Commander Navy Commodore SM Shahzad ne Mazaar par phool charhaye Fatiha khawani ki mehmanon ki kitaab mein apne remarks likhay.

Is ke ilawa Sialkot mein waqay Iqbal manzil par bhi shayar mashriq se jari cheezon ko dekhnay awam ka Tanta bndh gaya hai..

Lahore Factory Hadsa Jaan Bahaq Afraad Ki Tadaad 23 Hogayi

 Lahore: Sunder Industrial State Mein Factory Ki Building Se Nikaali Gayi Dead bodies Ki Tadaad 23 Hogayi Hai Jab Ke Malbay Se Darjanon Mazdoor Ab Tak Nahi Nikalay Ja Sakay.

Lahore ki sunder industrial state mein waqay factory ki building zameen bose huwe 24 ghantay se zayed waqt guzarnay ke bawajood malbay se tamam mazdooron ko nahi nikala jaska.

Relief Activities mein 400 se zayed afraad hissa le rahay hain jin mein Resque 1122, Pak Fouj, Edhi Foundation, Falah Insaaniyat Foundation sameit mutadid Organizations ke workers shaamil hain.

Malbay se ab taq 23 afraad ki dead bodies jab ke 120 afraad ko zakhmi haalat mein nikaal liya gaya hai.

Pak fouj ke ahelkaar factory ke ‘Lenter’ mein hole kar kay building ke andar daakhil ho kar andar mojood afraad ko nikaalne mein masroof hain.

Resque 1122 ke DG brigedier retired Dr. Arshad ka kehna hai ke factory ke malbay mein ab bhi kayi afraad dabey hue hain jin mein se kayi afraad ka guzashta roz taq un ka mobile phone par rabita tha taham mobile phones ki battery khatam hojane ki wajah se un se ab rabita nahi ho pa raha.

Malbay mein dabey afraad ko zinda nikaalne ke liye intahi ahtihyaat se kaam liya ja raha hai is liye imdadi kaam kal taq jari rehne ka imkaan hai.

Dr. Arshad ka kehna hai ke haadsay ke waqt factory mein mojood afraad ki sahi tadaad ka inhen koi ilm nahi kyun kay haazri ka tamam record malbay mein daba howa hai lekin factory ke bahar mojood la’pata afraad ke vursa se tafseelaat jama ki jarahi hain.

Wazeh rahay ke guzashta shaam plastic bag tayyar karne wali factory ki building us waqt zameen bose hogayi thi jab is mein barri tadaad mein afraad mazdoori mein masroof they..

President Aur Prime Minister Samait Tamam Officials Androon O Beron Mulk Urdu Mein Taqareer Karenge

Islamabad: Government Ne Faisla Kiya Hai Ke President Aur Prime Minister Samait Tamam Official Representatives Aur Officers Androon O Beron Mulk Mein Qaumi Zabaan Mein Taqareer Karenge Jab Ke Is Kam Ka Marhala Waar Aaghaz 3 Mah Mein Kar Diya Jayega.

Senate ke ijlaas mein Government Ki janib se paish ki jane wali dastawizaat ke mutabiq Aieen ke Artical 251 ke tehat Urdu Zaban ko sarkari aur deegar maqasid ke liye istemaal kiya jayega,

Tamam wazaraton aur divisions ke wifaqi Secretary baraye It’tila’aat O nashriyaat Qoumi virsa, wifaq ke zair e intizaam kaam krne walay sarkari o name sarkari idaray apni policies ka 3 mah ke andar urdu tarjuma jab ke wifaq ke zair e intizaam kaam krne walay sarkari o name sarkari idaray har tarah ke qawaneen aur har tarah ke form angrezi se urdu mein tarjuma karenge.

Tamam awaami ahmiyat ke maqamat Courts, police stations, hospitals, parks, Educational institutions, banks ke angrezi ke sath sath urdu mein board nasb kiye jayenge.

Is ke ilawa Passport office, income tax department, GPRS, auditor general of pakistan, WAPDA, Sui Gas, election commission of pakistan, driving licence, utility bills aur Tamaam sarkari dastawizaat ka urdu mein tarjuma kiya jayega.

Dastawizaat ke mutabiq passport ke tamam Contents ko angrezi se urdu mein muntaqil kiya jayega.

Government Websites ko 3 mah ke andar Urdu mein muntaqil kiya jayega jab ke Mulk bhar mein choty bary roads ke ke kinaron per rehnumaiy ke gharz se nasb sign bords angrezi aur urdu ke sath nasb kiye jayenge.

Shaheed-E-Millat Nawabzada Liyaqat Ali Khan Ki 64th Barsi Aaj Manayi Ja Rahi Hai

 Lahore: Pakistan Ke Pehlay Wazeer-e-Azam Tehreek Pakistan Ke Sargaram Leader Shaheed-E-Millat Nawabzada Liyaqat Ali Khan KI 64th Barsi Aaj Intehai Aqeedat O Ahtiram Se Manayi Ja Rahi Hai.

Zawabzaadah Liyaqat Ali Khan ko 16 October 1951 ko Company baagh jo ab Liyaqat baagh ke naam se jana jata hai mein aik awaami ijtima se khitaab ke douran goli mar kar Shaheed kar diya gaya tha.

Liyaqat Ali Khan Ki Barsi ke mauqe par mukhtalif Organizations ki janib se Seminar, Mzakron, Conferences aur deegar taziyati taqrebaat ka ineqad kiya jayega.

Mukhtalif Political, Journalism, Court, Religious, Public, aur Social parties ke leaders taqrebaat se khitaab kar kay Shaheed e Millat Nawabzaadah Liyaqat Ali Khan ko khidmaat per  khiraj e aqeedat paish karenge…

Internet Connection Ke Liye Bio Metric Lazmi

 Government Ne Faisla Kiya Hai Ke Internet Connection Broad Band, Wifi Aur DSL Ke Liye Bio Metric Ko Laazmi Qarar Diya Jayega Ta kay Is Ke Ghalat Istemaal Ko Roka Ja Sakay. Interior Ministry Is Baray Mein Ainda Kuch Roz Mein Notification Jari Kar degi.

Islamabad: Internet connection ke husool ke liye bio metric ki shart na honay ki wajah se aik naam par kayi connection kaam kar rahay hain jin ki koi tasdeeq nahi ke yeh customer ke apne naam par hi hain ya un ka ghalat istemaal ho raha hai.

Zaraye ke mutabiq yeh maamla us waqt samnay aaya jab aik aala sarkari Afsar ny internet connection ke husool ke liye darkhwast di to maloom howa ke un ke naam par pehlay se internet ke 5 connection chal rahay hain.

Jab mazkoorah Afsar ne is hawalay se mazeed tafseelaat maloom ki to yeh baat samnay aayi ke yeh connection mukhtalif shehron mein hain aur un ke istemaal mein koi internet connection nahi tha lekin un ka qaumi shanakhti cards number aur is ki copy istemaal hui.

yeh bilkul isi terha tha jaisay naye mobile number ke husool ke liye maazi mein hota raha jis ki wajah se mobile sims ke ajra ke liye bio metric ka nizaam shuru kiya gaya ta ke is ka ghalat istemaal roka ja sakay aur yeh dehshat gardi aur deegar juraim mein istemaal na ho sakay.

Ye ahem maamla Interior Minister ke ilm mein laya gaya jis ke baad is par ghor shuru howa ke internet connection ke husool ke liye bhi sim card ke husool ki tarha bio metric laazmi qarar diya jaye.

Is muamlay par Interior Minister Pakistan Tele Communication Authority se jald rabita karegi..

Sindh Government Ne Muhrram Ul Haram Ke Douran Aman O Amaan Ke Liye Pak Fouj Talab Karli

 Karachi: Sindh Government Ne Security Khadshaat Ke Paish-E-nazar Muharram Ul Haram Ke Douran Aman O Amaan Ke Liye Pak Fouj Talab Karli..

Report ke mutabiq Sindh Government ki janib se pak fouj aur wifaqi hukoomat ko likhay gaye khat mein kaha gaya hai ke Muharram ul Haram ke douran security khadshaat ke paish e nazar pak fouj tainaat ki jaye.

Khat mein darkhwast ki gayi hai ke Karachi mein pak fouj ki 8 Companies, Hyderabad division mein 400 fouji jawan, Shaheed Benazirabad division mein 2 Platoon, Sukkur division ke liye pak fouj ki 2 Companies aur Larkana division ke liye 700 fouji jawan tainaat kiye jayen.

Karachi Aaj Phir Garmi Ki Lapait Mein Magar Heatstroke Ka Koi Khadsha Nahi

 Karachi: Director General Mehakma Mosamiyat Ghulam Rasool Ka Kehna Hai Ke September Ka Maheena Garam Tareen Maheena Hota Hai Aur Ainda 2 Roz Tak Karachi Mein Garmi Ki Shiddat Barqarar Rahygi.

Report ke mutabiq DG meet ka kehna tha ke Karachi mein darja hararat 40 degree centi grade tak jane ka imkaan hai taham darja hararat bharne se heatstroke ka koi khadsha nahi.

Unka kehna tha ke September ka maheena garam tareen maheena hota hai aur ainda 2 roz tak garmi ki shiddat barqarar rahaygi 4 roz baad Karachi ka mausam Khushgawar ho jayega.

Mehakma mosamiyat ke mutabiq ainda 24 ghanton ke douran Karachi mein mousam garam aur khushk rahayga jab ke hawa mein nami ka tanasub 31 feesad tak rehne ka imkaan hai.

Is waqt shumal aur shumal mashriqi hawaien chal rahi hain din ke auqaat mein hawa mein nami ka tanasub mazeed kam hojayega..

News
Karachi
April 2024
M T W T F S S
« Mar    
1234567
891011121314
15161718192021
22232425262728
2930