India Mein Mere Bowling Action Ko Mashkook Qarar Dena Heran Kun Hai
Lahore: Pakistan Cricket Team Ke Sabiq Captain Aur All Rounder Mohammad Hafeez Ka Kehna Hai Ke India Mein Unke Bowling Action Ko Mashkook Qarar Dena Heran kun Hai Jab’kay Woh Guzashta Saal Se Esi Terha Bowling Kar Rahay Hain Aur kabhi Kisi Ne Aitraaz Nahi Kiya.
Australia ke khilaaf mutahidda arab amarat mein teh shuda series mein hissa lainay ke liye rawaangi se qabal Lahore airport par media se baat karte hue Mohammad Hafeez ka kehna tha ke India mein champions league mein mere bowling action par aitraaz uthana heran kun hai.
Unhon ne kaha ke k mere bowling action par aitraaz kya gaya hai lekin woh apna action tabdeel nahi karenge kyun kay mein guzashta saal se ICC ke mujawaza qawaneen ke mutabiq bowling karwa raha hon.
Mohammad Hafeez ka kehna tha ke champions league india mein honay wala domestic tournament tha jis mein bowling action par lagaye jane walay aitrazaat ki koi hesiyat nahi.
All rounder ka kehna tha ke baaz halqon ke nazdeek ” dosra ” delivery ko ghair qanooni samjha jata hai lekin unhon ne kabhi ”dosra” ball nahi karwai jis ki wajah se inhen koi khouf nahi.
Sabiq captain ne kaha ke woh 6 aalmi tournament mein hissa le chuke hain jis mein 2 world cup aur 3 T20 world cup shaamil hain jis mein kabhi kisi ne un ke bowling action par sawal nahi uthaya jab’kay india mein un ke bowling action par aitraaz karna samajh se baala hai.
Wazeh rahay ke ICC ki janib se mashkook bowling action par Pakistani spiner Saeed Ajmal ko bowling karanay se rok diya gaya tha jab’kay world cup se qabal spiner ke action par aitraaz laga kar inhen event se bahar karne ki koshish par Pakistani coach Waqar Younis ne kayi sawalaat uthaye hain..