Wazeer-e-Azam Nawaz Sharif Resign Den Ya Na Den Wo Farigh Ho Jaienge
Multan: Pakistan Tehreek Insaaf Ke Saddar Javed Hashmi Ka Kehna Hai Ke Wazeer-e-Azam Nawaz Sharif Resign Den Ya Na Den Wo Farigh Ho Jaienge Aur Agar Marshal’laa Laga To Na Sirf Mulk Toot Jayega Balkay Is Ke Lagnay Se Bohat Barri Baghaawat Hogi,
Multan mein press conference karte hue Javed hashmi ka kehna tha ke Islamabad mein jari dharnon ka koi anjaam nahi ho ga aur imran Khan kis terha dharnay se wapis ayen,
Zaalmon ne un ki wapsi ka koi rasta hi nahi chorra,
Imran Khan ki janib se show cause notice ka inteZar kar raha hun aur jab yeh notice mujhe mil jaye ga to is ka mann waan jawab day dunga. un ka kehna tha ke Sheikh rasheed Ahmed ne kaha ke Technocrat hukoomat ka elaan hoga aur is ke sarbarah cheif justice hon ge jab ke fouj ki jitni tauheen Sheikh rasheed ne ki hai shayad kisi aur ne aaj tak nahi ki ho.
Dharnon se mutaliq aik sawal ke jawab mein Javed hashmi ka kehna tha ke mein usay script nahi kehta, fouj aur ISI ko pata bhi nahi hoga lekin mojooda sorat e haal mein sirf retaired jarnail jaldi mein hain aur sabiq DG ISI hameed gull ne 10 roz pehlay mujh se kaha tha ke aaj ki raat aakhri hai, ejaz shah ne kaha tha Nawaz Sharif resign nahi den ge jab ke mein ne kaha tha ke marshal’laa aajay ga.
Javed hashmi ne kaha ke shahrah dastoor se agay jane ke hawalay se core committee ki koi meeting nahi hui thi,
Imran Khan aur tahreek insaaf ke rehnumao ki ghalat bayani par bohat dukh hai, Imran Khan samait tehreek insaaf ki poori qayadat meri aankhon mein ankhen daal kr bat kere to un ke salawon ka jawab dunga. unhon ne kaha ke Imran Khan bitayen kya esharon ke faislay nahi thay, Imran Khan ne kaha tha ke sab teh hai Supreme Court 3 maah mein election ka elaan kardeygi, Imran Khan table ke aik konay par aik aur dosray konay par dosra faisla karte hain.
Wazeh rahay ke dharnay ke hawalay se ikhtilafat par Javed hashmi ne press conference ke douran Imran Khan per sangeen qism ke ilzamaat lagaye jis ke baad Imran Khan ne bhi un se alehadgi ka elaan kardiya tha jab ke 2 September ko parliment ke mushtarqa ijlaas mein azhare khayal karte hue unhon ne qaumi assembly ki nashist se bhi resign de diya tha…