Internet Connection Ke Liye Bio Metric Lazmi
Government Ne Faisla Kiya Hai Ke Internet Connection Broad Band, Wifi Aur DSL Ke Liye Bio Metric Ko Laazmi Qarar Diya Jayega Ta kay Is Ke Ghalat Istemaal Ko Roka Ja Sakay. Interior Ministry Is Baray Mein Ainda Kuch Roz Mein Notification Jari Kar degi.
Islamabad: Internet connection ke husool ke liye bio metric ki shart na honay ki wajah se aik naam par kayi connection kaam kar rahay hain jin ki koi tasdeeq nahi ke yeh customer ke apne naam par hi hain ya un ka ghalat istemaal ho raha hai.
Zaraye ke mutabiq yeh maamla us waqt samnay aaya jab aik aala sarkari Afsar ny internet connection ke husool ke liye darkhwast di to maloom howa ke un ke naam par pehlay se internet ke 5 connection chal rahay hain.
Jab mazkoorah Afsar ne is hawalay se mazeed tafseelaat maloom ki to yeh baat samnay aayi ke yeh connection mukhtalif shehron mein hain aur un ke istemaal mein koi internet connection nahi tha lekin un ka qaumi shanakhti cards number aur is ki copy istemaal hui.
yeh bilkul isi terha tha jaisay naye mobile number ke husool ke liye maazi mein hota raha jis ki wajah se mobile sims ke ajra ke liye bio metric ka nizaam shuru kiya gaya ta ke is ka ghalat istemaal roka ja sakay aur yeh dehshat gardi aur deegar juraim mein istemaal na ho sakay.
Ye ahem maamla Interior Minister ke ilm mein laya gaya jis ke baad is par ghor shuru howa ke internet connection ke husool ke liye bhi sim card ke husool ki tarha bio metric laazmi qarar diya jaye.
Is muamlay par Interior Minister Pakistan Tele Communication Authority se jald rabita karegi..