Nepal Mein Zalzalay Se Halaak Honay Walon Ki Tadaad 3700 Se Tajawaz Kar Gayi
Khatmandu: Nepal Mein 2 Roz Qabal Anay Walay Tabah Kun Zalzalay Se Halaak Honay Walon Ki Tadaad 3700 Se Tajawaz Kar Gayi Hai Jab Ke Ab Bhi Hazaron Afraad Imaarton Ke Malbay Taley Dabey Hain Jinhein Nikaalne Ke Liye Imdadi Karwai Jari Hai.
Report ke mutabiq guzishta haftay 7.9 shiddat ke zalzalay se nepal ke 75 mein se 35 azlaa buri terha mutasir hue hain.
Kayi elaqon ke mulk ke deegar hisson se zameeni aur mawaslati raabtey mukammal tor par toot chuke hain.
Is ke ilawa maghribi nepal ke pahari elaqon aur unke nawahi dehaat mein bhi bohat ziyada tabahi hui hai taham dushwaar guzaar raaston aur rabton ki kami ki wajah se wahan ki durust soorat e haal ka andaza nahi ho raha.
Nepal ka dar-al-hakoomat Khatmandu zalzalay se sab se ziyada mutasir howa hai jo is waqt khaima basti mein tabdeel ho chuka hai.
Zalzalay ke baad Aftershocks ka silsila ab bhi jari hai jis ki wajah se logon mein shadeed khauf o hiraas paaya jata hai aur awam khulay aasman taley zindagi guzaarne par majboor hain.
Nepal ki wizarat baraye hungami sorat e haal ke sarbarah Ram Ishwar dangal ke mutabiq ab tak 3700 se zayed laashon ko nikala ja chuka hai jab ke zakhmion ki tadaad 6500 se tajawaz kar chuki hai.
Malbay taley ab bhi hazaron afraad dabey hue hain jis ki wajah se halakaton ki tadaad mazeed barh sakti hai.
Nepal mein guzashta 81 barson mein anay wala ye taaqatwar tareen zalzala tha.
Is se qabal 1934۶ mein anay walay 8.3 shiddat ke zalzalay mein 10 hazaar afraad halaak hue thay..