Pakistan Ne South Africa Ko Dilchasp Muqablay Ke Baad Shikast Dedi
Auckland: ICC World Cup Ke Group Match Mein Pakistan Ne Dilchasp Muqablay Ke Baad South Africa Ke Khilaaf World Cup Ki Tareekh Mein Pehli Fatah Haasil Karli.
Auckland ke Eden Park mein khailay gaye match mein south africa ke captain AB De Villiers ne toss jeet kar Pakistan ko pehlay batting ki dawat di to barish ke baais match ko 47 overs tak mehdood kardiya gaya.
Pakistan ki janib se Sarfraz Ahmed aur Ahmed Shahzad ne ining ka aaghaz kiya lekin 8th over mein 30 runs ke total par Ahmed Shahzad 18 runs bana kar Kyle Abbott ki ball par catch out hogaye.
Sarfraz Ahmed ne 49 balls par 3 6s aur 5 4s ki madad se 49 runs ki umda ining kheli aur 17th over mein run out hue jab ke Younis Khan 37 runs bana kar AB De Villiers ki ball par catch out hue.
Suhaib Maqsood bhi ziyada der tak crease par tikne mein nakaam rahay aur 8 ke infiradi score par Kyle Abbott ka shikaar banay jab ke Umar Akmal bhi aik baar phir nakaam hotay hue 175 ke majmoay score par 13 runs bana kar pavellion lautay.
Is mauqe par National team ke mard bohraan Misbah Ul Haq ne aik baar phir zimma daarana batting ka muzahira kiya aur world cup ki 4th half century mukammal karte hue 56 runs ki shandaar ining kheli jis ki badolat National team 222 runs bana saki aur poori team 47th over mein out ho gayi taham south africa ko duckworth lewis method ke tehat 47 overs mein 232 runs ka target mila.
South Africa ki janib se Dale Steyn ne shandaar bowling ka muzahira karte hue 3 players ko out kiya.
Kyle Abbott aur Morne Morkel ne 2,2 jab ke Imran Tahir aur AB De Villiers ne 1,1 wicket haasil ki.
South Africa ki team 232 runs ke hadaf ke taqub mein 34th over mein 202 runs par dhair hogayi aur Pakistan ne ye match 29 runs se jeet liya.
South Africa ne bazahir Aasaan nazar anay walay hadaf ke taqub mein batting ka aaghaz kiya to 1st over ki 2nd ball par hi Quinton de Kock baghair koi run banaye wicket ke peechay catch out hogaye jis ke baad Faf du Plessis crease par aaye aur Hashim Amla ke sath mil kar 67 runs ki shiraakat qaim ki taham phir du Plessis 27 ke infiradi score par Raahat Ali ka shikaar banay jab ke Hashim Amla bhi team ke majmoi score mein mazeed izafah kiye baghair 38 runs bana kar Wahab Riaz ki ball par wicket ke peechay catch out hogaye.
South Africa ke 3 players out honay ke baad Green Shirts ke players mein fatah ki umeed roshan honay lagi aur bowlers ne tabah kun karkardagi ka muzahira karte hue aik ke baad aik proteas batsman ko pavellion ki raah dikhayi taham south african captain AB De Villiers ki jarehana batting ne match ko sansani khaiz bana diya aur un ki 77 runs ki shandaar ining ne proteas ki fatah ki umeed jagaaye rakhi lekin un ka yeh khawab us waqt chikna chor hogaya jab woh 200 ke majmoi score par Sohail Khan ki ball par catch out hue.
Deegar players mein Rilee Rossouw 6, JP Duminy 12, Dale Steyn 16 aur Kyle Abbott 12 runs bana kar out hue.
Pakistan ki janib se Mohammad Irfan, Raahat Ali aur Wahab Riaz ne shandaar bowling ka muzahira karte hue 3,3 jab ke Sohail Khan ne 1 player ko out kiya.
Behtareen performance par Sarfraz Ahmed ko man of the match se nawaza gaya..