Asia T20 Pakistan Ne UAE Ko Shikast Dedi
Dhaka: Asia Cup T20 Ke 4th Match Mein Pakistan Ne UAE Ko 7 Wickets Se Shikast Dedi.
Mirpor ke Sheer Bangla stadium mein khailay gaye Asia T20 Cup ke 4th match mein UAE ne pehlay batting karte hue total 20 overs mein 6 wickets ke nuqsaan par 129 runs banaye jis ke jawab mein Pakistan ne 18.4 over mein 3 wickets ke nuqsaan par target haasil kar liya.
Mohammad Hafeez aur Sherjeel Khan ne ining ka aaghaz kiya lekin UAE ke Captain Amjad Javed ne 3 overs main Sherjeel Khan 4, Khurram Manzoor 0 aur Mohammad Hafeez ko 11 runs par pavellion bhej kar match mein sansani peda kar di taham Umar Akmal aur Shoiab Malik ne 4th wicket ke liye 114 runs ki shirakat daari qaim kar kay Pakistan ko jeet se humkinar karaya.
Shoiab Malik 3 6s aur 7 4s ki madad se 63 jab ke Umar Akmal 3 6s aur 2 4s ki madad se 50 runs par not out rahay.
Is se qabal UAE ke Captain Amjad Javed ne Toss jeet kar pehlay batting ka faisla kiya, Rohaan Mustafa aur Mohammad Kaleem ne ining ka aaghaz kiya lekin dono player aik aik runs bana kar pavellion lout gaye jis ke baad Mohammad Shahzad batting ke liye aaye aur 5 runs bana kar Mohammad Irfan ka nishana banay.
Shaiman Anwar aur Usman Mushtaq ne 4th wicket ke liye 29 runs ki shiraakat daari qaim ki.
Mushtaq 9 runs bana kar pavellion lautay jab ke Shaiman Anwar ne 5th wicket ke liye Mohammad Usmaan ke sath mil kar 31 runs banaye aur Shaiman 46 runs bana kar out hue.
Mohammad Usmaan ne 6th wicket ke liye Captain Mohammad Amjad ke hamrah mil kar 46 runs ki shandaar shiraakat daari qaim kar kay team ka score mustahkam kiya.
Mohammad Usman 21 runs bana kar out hue jab ke captain 27 runs par not out rahay.
Pakistan ki janib se Mohammad Aamir ne Shandaar bowling ka muzahira karte hue 4 overs mein 6 runs de kar 2 wickets, Mohammad Irfan ne bhi 2 jab ke Mohammad Sami aur Shahid Afridi ne 1,1 wicket haasil ki.
Wazeh rahay ke Pakistan aur UAE pehli martaba T20 mein aik dosray ke mad-muqabil aye hain is se qabal dono Teams mein 3 one day matches bal tarteeb 1994, 1996 aur 2015 mein khailay ja chukay hain.
Shahid Afridi ne Ab tak 85 T20 ining mein 66 6s maray hain 3 mazeed 6s se woh David Warner ( 67 ) aur Martin Guptil ( 68 ) ko peechay chortay hue all time list mein 4th number par poanch jayenge..