Pakistan Ne 1st T20 Match Mein New Zealand Ko Shikast Dedi

 Auckland: Pakistan Ne Captain Shahid Afridi Ki All Rounder Karkardagi Ki Badolat New ZeaLand Ko Pehlay T20 Match Mein 16 Runs Se Shikast Day Kar Series Mein Bartari Haasil Karli.

Auckland ke Eden Park mein khailay gaye match mein kiwi team ke captain Kane Williamson ne toss jeet kar Shahid Afridi ko pehlay khailnay ki dawat di.

Pakistan ki janib se Ahmed Shahzad aur Mohammad Hafeez ne batting ka Aaghaz kiya.

Dono batsman ne mohtaat batting ka muzahira karte hue 4 overs mei bina kisi nuqsaan ke 23 runs banaye taham 4th over mein Ahmed Shahzad ne Adam Milne ko 1 4s aur 6s Raseed karne ke baad 5th ball par 1 aur long shot khailnay ki koshish mein Elliott ko catch thama baithy.

Wo 14 runs bana kar out honay walay 1st Pakistani batsman they.

Sohaib Maqsood score mein koi izafah kiye baghair 0 par out hue

3rd out honay walay batsman Shoiab Malik they jnhon ne Hafeez ke sath mil kar 3rd wicket ki shiraakat mein score ko 78 runs tak pohanchaya aur 20 runs bana kar Santner ki ball par out hue.

Mohammad Hafeez ne zimma daarana batting ka muzahira karte hue 47 balls par 2 6s aur 8 4s ki madad se 61 runs banaye aur Adam Milne ki ball par out hue.

Umar Akmal 24 runs bana kar out honay walay 5th player they.

Captain Shahid Afridi ne jarehana batting ka muzahira karte hue Pakistan ka score 147 runs tak pohanchaya unhon ne 8 balls par 2 4s aur 2 6s ki madad se 23 runs banaye lekin apne mizaaj ke mutabiq khailnay ki koshish mein Trent Boult ki ball par Kane Williamson ke hathon catch out hue.

Sarfraz Ahmed 2 runs bana kar Milne ka shikaar banay jabkay Ammad Wasim 18 runs bana kar out hue.

Wahab Riaz 2 aur Umar Gul 1 run bana kar not out rahay.

Pakistan ne 20 overs mein 8 wickets ke nuqsaan par 171 runs banaye aur maizban New Zealand ko jeet ke liye 172 runs ka target de diya.

New Zealand ke Adam Milne 4 wickets haasil karkay kiwis ki janib se top bowler rahay, Santner ke hissay mein 2 wickets ayen.

172 runs ke target ke taqub mein kiwis ke opening batsman Martin Guptill 2 runs bana kar 9 ke total score per run out hue jabkay Shahid Afridi ne starting over mein Kane Williamson ka 1 Asaan catch drop kiya.

Colin Munro 27 balls par jaarehana 56 runs bana kar out hue unhon ne 6 6s aur 2 4s lagaye.
Corey Anderson 0 par Ammad Wasim ka shikaar banay.

Grant Elliott 3 aur Luke Ronchi baghair koi run banaye Shahid Afridi ke hathon out hue jabkay Santner bhi 0 per hi Umar Gul ko wicket de baithy.

Todd Astle 138 ke total par 1 run ka izafah karkay Umar Gul ki 2nd wicket ban gaye jabkay Matt Henry 10 runs bana kar Mohammad Aamir ki International cricket mein wapsi ke baad pehla shikaar banay isi ke sath Aamir ki International cricket mein 100 wickets bhi mukammal ho gayen.

Last over mein Kane Williamson 70 aur Trent Boult 0 par Wahab Riaz ki ballspar out hue.

New Zealand ki All Team 155 runs bana kar out hui yun Pakistan 16 runs se Winner ban gaya.

Pakistan ki janib se Wahab Riaz ne 3, Umar Gul aur Shahid afridi ne 2,2 jabkay Aamir aur Amad Wasim ne 1,1 wicket haasil ki.

Shahid Afridi ko All Round karkardagi par match ka behtareen player qarar diya gaya.

1st T20 match ke liye dono teams In players per mushtamil Thin.

Pakistan Team..
Shahid Afridi (Captain), Ahmed Shahzad , Mohammad Hafeez , Sohaib Maqsood, Shoiab Malik, Umar Akmal , sarfaraz Ahemd, Ammad Wasim, Wahab Riaz , Umar Gul aur Mohammad Aamir

New Zealand Team..
Kane Williamson (Captain), Martin Guptill, Colin Munro, Corey Anderson, Grant Elliott, Luke Ronchi, Mitchell Santner, Todd Astle, Adam Milne, Matt Henry, Trent Boult

Pakistan aur New Zealand ke darmain Series ka 2nd T20 match 17 Jan, Sunday ko Seddon Park mein khela jayega .

News
Karachi
January 2016
M T W T F S S
« Dec   Feb »
 123
45678910
11121314151617
18192021222324
25262728293031