Dollar Ki Qeemat 104 Rupay Se Mutajaviz
Karachi: Interbank Market Mein Aik Hi Roz Ke Douran Dollar Ki Qader Mein 2 Rupay 10 Paisay Tak Izafay Ke Baad Dollar Ki Qeemat 104 Rupay Se Bhi Barh Gayi Hai.
Report ke mutabiq exporters ki janib se American dollars ki barri tadaad mein khareed ke baais market mein Adam istehkaam peda ho raha hai aur dollar ki qeemat 104 rupay 10 pesey tak poanch jaane ke baad open market mein money changers ne dollars ki farokht band kar di hai.
Muashi mahireen ka kehna hai ke rupay ki qader mein kami mulk mein mehengai ki sharah mein izafay ka baais ban sakti hai.
wazeh rahay ke fil-waqt aazmin Hajj hi Saudi Riyal aur American dollars sameit ghair mulki currency ke sab se barray kharedar hain.
State bank ne haal hi mein currency dealers ko is baat ki ijazat di thi ke woh dollars ko Dubai se online bhi Pakistan mein apne bank accounts mein muntaqil kar saktay hain.
Bajaye is ke ke woh pehlay kisi bank mein transfer karen Kyun Ke is tamam amal mein aik haftay ka waqt lag jata tha.
Yeh qadam dealers ki janib se open market mein dollars ki taiz raftaar supply ke mutalbey par uthaya gaya tha.
Doosri janib report ke mutabiq monday ko karobari haftay ke aaghaz par Karachi stock exchange mein hundred index 1400 points ki kami ke sath 33 hazaar points par record kiya gaya..