Daily Archives: August 14, 2015
Mulk Bhar Mein 69th Yom-e-Azadi Intehai Josh-o-Jazbay Ke Sath Manaya Ja Raha Hai
Mulk Bhar Mein Yom-e-Azadi Intehai Josh-o-Jazbay Ke Sath Manaya Ja Raha Hai Jab Ke Is Mauqe Par Raat 12 Bajtay Hi Karachi, Lahore, Islamabad Aur Queta Sameit Deegar Shehron Mein Shandaar Aatish Baazi Ka Muzahira Kiya Gaya.
Mulk bhar mein 69th Yom e Azaadi Shayan shaan tareeqay se manaya ja raha hai.
Din ka Aaghaz Wifaqi Dar-al-hakoomat mein 31 jab ke Sobai Dar-al-hakoomaton mein 21,21 Topon ki Salami se howa jab ke masajid mein Pakistan ki taraqqi aur khushhali ke liye khusoosi duayen ki gayeen.
Jashan e Azaadi ki markazi taqreeb Islamabad ke convention center mein ho rahi hai jis mein Saddar Mamnon Hussain, wazeer e Azam Nawaz Shareef, Army Cheif General Raheel Shareef aur joint Cheif Of Staff Committee General Arshad Mahmood sameit wifaqi wazraa, mimbraan qaumi assembly, senetors aur ghair mulki sfartkaron ki barri tadaad shareek hai.
Taqreeb ka baqaida aaghaz saddar Mamnon Hussain aur wazeer e azam Nawaz shareef ne parcham kushai se kya.
Yom e Azaadi ki markazi taqreeb ke mauqe par Islamabad mein security ke intahi sakht intizamaat kiye gay hain,
Wifaqi dar-al-hakoomat ki eham shahrahon par pak fouj ke dastay tainaat hain jab ke mobile phone service bhi moattal hai.
Karachi mein bhi Mazaar e Quied par guards ki tabdeeli ki purwaqar taqreeb munaqqid hui.
Mazaar e Quied par Governor Sindh Dr.Ishrat ul Ibad Khan, Wazeer e Aala Sindh Syed Qaim Ali Shah sameit mimbraan Sindh assembly ne shirkat kar ke Fatiha khawani ki aur phoolon ki chadar charhai.
Lahore mein bhi Wazeer e Aala Punjab Shahbaz shareef ne Mazaar e Iqbal par haazri di aur parcham kushai ki.
Wazeer e Aala Balochistan Dr. Abdul Malik ne bhi sobai assembly mein parcham kushai ki.
Shumali Waziristan ki tehseel miranshah mein bhi muqami afraad ne Pak Fouj ke jawanon ke sath Qaumi Naghmon par jhoom utthay jab ke Azad Kashmir ke saddar Sardar Yaqoob ne bhi ewaan e saddar mein Sabz Hilali parcham Lahraya.
Yom e Azaadi ke mauqe par gali gali koochy koochy mein azaadi ke jazbay se sarshar shehrion ne cheraghan kiya aur Qoumi Parcham se apne gharon ko sajaya jab ke 13 August ki raat 12 bajtay hi Karachi, Lahore, Queta aur Islamabad sameit deegar shehron mein shandaar aatish baazi ka muzahira kiya gaya aur is mauqe par Aasman roshiniyon se Munawar hogaya,
Mulk ke mukhtalif hisson mein Jashan e Azaadi ki munasbat se programme ka ineqad kiya gaya hai jis mein Bachay, Nojawan, Buzurg sab hi ne mili Naghmon par Raqs kiya.
Yom e Azaadi ke mauqe par Karachi sameit deegar shehron mein Manchaly Nojawan raat ko sarkon par nikal aye aur yom e azaadi ka jashan manaya.
Dosri janib wazeer e azam Nawaz Sharif ne yom e azaadi ke mauqe par qoum ke naam apne pegham mein kaha hai Ke ye din khushi ka bhi hai.
Allah Taala ke huzoor sajda shkar baja laane aur is ehad ko taaza karne ka bhi ke hum muttahid aur yakjaan hokar un maqasid ke liye jadd-o-jehad krte rahenge jin ke liye pakstan haasil kiya gaya tha.
Unhon ne kaha ye shayar mashriq Allama Iqbal ne janoobi Asia ke musalmanoon ke liye ek azad o khud mukhtar riyasat ka khawab dekha hai babaye qoum Quaid E Azam Mohammad Ali Jinnah ne wal’walah angaiz tehreek ke zariye is khawab ko tabeer ki shakal di hai..